SlideShare a Scribd company logo
MAREEZ
KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN
MARTA
Az:
Maqsood Hasni
Paish'kar:
Prof. Niamat Ali Murtazai
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016
Farist mazamein
1- Mareez kansar ke jusomay se nahain marta
2- Motwazan ghaza ka masla
3- Kansar koee fooq-ul-fitrat bimari nahain
4- Alaj moaljay se pehlay khamir ke ajza par ghoor ki
zarorat
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN
MARTA
Cencer koee Fooq-ul-Fitrat bimari nahain hai.
Is kay jarsumay say bohat kam mareez fori
toor par martay hain. Mareez kay marnay ki
aur bohat sari vajohaat ho sakti hain. Oon
main say chand eak ka zikar kar raha hoon
ta'kah yah samjha ja sakay kah yah maraz
Qabal-e-Alaj hai aur is ka shakar honay walay
mareez ko mout kay monh main janay say
ba'khobi bachaya ja sakta hai aur is ka koee
mehnga alaj bhi nahain. Issay Daktar Hazrat ki
mali havas aur maal kamaee mohim kay
hawala say mehnga samjh aur mehnga bana
diya giya hai.
MAREEZ KAY MARNAY KAY ASBAAB
Jahalat
Soni sanaee batoon par yaqein kar laina
Pehlay say teh kar laina kah is maraz ka koee
alaj nahain aur mareez ki mout yaqini aur
teh'shuda baat hai.
Ghurbat
Zati aur logoon say sonay sana'ay totkoon par
inhasar aur oon ka bila takalluf istamal.
Ta'hum yah tootkay ba'maeni aur la'yaeni bhi
nahain hotay. In kay istamal kay moamla main
ihtayat ki bari zarorat hoti hai.
Alaj ki taraf tavajo karnay main dairi
Is ka matlab yah nahain kah dusri ya taisri
stage samjh kar mareez ko maraz kay
rehm-o-karam par choor diya ja'ay. Allah
karim nay her sata kay liay koee na'koee hal
zaroor rakha hai. Kisi cheez ko imkan say
bahar nahain rakha. Os ka kehna hai kah
masusi gonah hai.
Mareez par khool diya jata hai kah ossay
kansar hai. Woh yah son kar hi adha mar jata
hai. Yah os ta'asar ka natija hai kah yah maraz
na qabal-e-alaj hai aur aakhar mout mareez
ka moqadar teharti hai.
Yah ta'asar kah is maraz ka alaj hamaray haan
mumkin nahain, bazaat-e-khud mout hai
halankah baroon-e-mulak is marz ka alaj
momkin hi nahain. Apnay hi alaqa main is ka
alaj momkin ho sakta hai.
Haspataloon main Daktar Hazraat ki
bila'moavza mareez kay moamla main tasahal
pasandi,
check up main dairi aur la'parvahi
Mareez ko koee relief dainay say pehlay
testoon ki bhar'maar.
ya mehz pain killer adviyaat ka istamal
ya nasha'aawar adviyaat daina takah mareez
sakoon se soya rahay aur ghar walay samjhain
mareez behtari ki taruf aa raha hai.
Testoon ki report main dairi baz reports to
mareez ki mout kay baad mosool hoti hai
Alaj ka aghaz baray zalam injectionoon aur
sakht tarein adviyaat say kiya jata hai. Jab'kah
os waqt tak mareez ki madafti qovatain
intahae kamzoor par chuki hoti hain. Is tara
ossay dou mahazoon par larna parta hai.
Natija-e-kar Kamzori kay baes shakast-e-fash
say dou char hoti hain.
Gher mayari adviyaat ki dasyabi aur oon ki
dasyabi main roak toak/check na hona
Mareez ki aiyadat ko aanay walay, khsusan
mohtaram khatein ki hum'dardi aur
rikat'aamaiz guftagu khatam kar daiti hai.
Attendant ki martay shakas kay sath ka sa
rovaeya, andaz aur salook
Maraz say mail na khati ghaza,
moashi-o-masharti tafakraat, malawat, girani,
ganda pani, na'gowar mahool aur fiza,
gharailu jhagray martay shakas ka sa salook
aur ravaeaya.
Daktar aur is paisha say motalaq amlay ka
qisabi rovaeya.
Mareez ko mareez say ziyada maal kamanay
ka zariya samja jata hai. Daktaroon ki yah ada
na'siraf insaniat ka qatil hai bal'kah samaji
juram bhi hai.
Kaam say faragh karkay achay aur araam say
din gozarnay aur Allah Allah karnay ki talqein
karna.
Research ka qehat aur foqdan
Siraf Allopathic par iktafa aur issay hi
mawa-o-malja samjh laina aur digar tariqa
ha'ay alaj ko bai'kar qarar day diya jana
Mareez ko alag thalag se mukhlooq qarar day
daina aur karobar e hayat say faragh kar
daina
Pain killer adviyaat ka bila'daraigh aur
bai'tahasha istamal.
Dard door karnay ka chara karna bura nahain
laikin assal maslay ki taraf tavajo pehli tarji
hona chahiay, jo sanvi darja ikhtayar kar gaee
hai
Baray fakhar say bazari ashya-e-khudni ka
istamal
Chatpati, khati mithi aur taizabiat bananay
wali ashya ka ba'kasrat istamal.
Sabzioon main, gher combination rakhnay
wali ashya ka pakwan
Masalai'dar pakwan
Bachay ko, sinay kay hosan ko barqarar
rakhnay kay liay dudh na pilana. Jab'kah dudh
pilana bacha aur zacha, donoon kay liay zarori
hai
Pistanoon say bachay ka Sar lagna/takrana ya
kisi aur hawala say bai ehtayati
Qabaz ka matwatar rehna
Jald hazam na honay wali ashya ka istamal
Sabzi kay qimati aur ossay mutwazan rakhnay
walay ajza ko kat phankna (Chilka baij
waghera)
Khana kha kar lait rehna
Paidal chalnay ka ravaj kam ya khatam sa ho
jana
Kisi choot kay moamla main bai'ehtyati aur la'
parwahi bartna
Parishni, fikar'mandi, dukh waghera
Dhowaan (smoke)
Veham
Nasha aawar ashya ka istamal.
Takleef main nasha day kar sola dainay ka
rujhan
Othtay hi high potency anti-biotic ka istamal
ya in ka omomi istamal
Bayak'waqt dou dou antibiotic adviyat ka
istamal
Aaram talbi
Sadgi say dori
Balgham ka akhraj rokna
Operations
(Eak fisad sahi, laikin yah sabab zaroor hai)
Opertion se ziyada koee khatarnak amal
nahain. Issi ke baes mareez mout ke monh
main chala jata hai.
Moaljay mai baitara ki kotahi; maslan bokhar
hota hai bukhar otarnay ki dwa di jati hai
bukhar to koee bimari hi nahain ya pait main
dard hota hai to Buscopan waghera day daitay
hain halan'kah tap aur dard kisi aza kay amal
main kharabi ki nishan'dahi hai.
Khana khanay kay foran baad cha'ay laina.
Garam garam cha'ay pi laina
Bachay ko zamein par khailnay say mana
karna
Sehat kay moamla main adam'tovajgi
Sadma,
Kal parsoon ki baat hai, eak sahib ko pitay ka
kansar tha woh aaghi say pehlay dard main
sahi, ji raha tha. Jonhi ossay maloom howa to
heart attack say chal basa.
Mairay khayaal main ossay kuch din aur
bimari kay sath jina tha. Kansar itni jaldi kab
marnay daita hai. Bohat waqt daita hai aur
phir tarpa tarpa kar marta hai.
Eak hanstay aur katay pitay aadmi kay hath
ghalti say kansar kay mareez ki report thama
di gaee. Woh dinoon main soch soch kar lakri
ho giya. Kansar ka moalja shuro ho giya. Her
aglay din halat kharab hoee. Ossay dobara say
test ka mashwara diya giya. Ossay siray say
yah maraz tha hi nahain. Yaqein manain woh
eak haftay kay andar andar phir say pehlay sa
ho gya.
Libas aur colors main tabdili na lana
Mutbadlaat ka nazar andaz hona.
Jis tara saieb/apple ka mutbadal gajar hai.
Taza gajar, saieb/apple kay hotay gajar kay
morabay kay khanay ka kya jawaz hai
Zana'kari,
Jo khoof pashmani aur aza-e-raesa ki kamzori
ka sabab banti hai
Viraj ka ziya na'qabal-e-talafi noqsan hai. Is
liay Zana'kari say ijtanab intahaee zarori hai.
Issi tara hum'jinsi aur janwaroon se ghalt'kari
madafti qovatoon ko mout ke ghat otaranay
ke motraduf hai.
Islam main char shadioon ka jaez hona
bai'maeni aur bila'jawaz nahain hai.
Bhook rakh kar na kana.
Allah kay naam say aaghaz na karna aur
ikhtatam par Allah ka shukar ada na karna.
Dant ki gher monasab safaee ya mail na khati
paste ka istamal.
Yah bhi kah miswak ko nazar andaz kya jana
Nakhan bharana ya oon ka baqaedgi say kata
na jana
KUCH MAZEED BATAIN
Aakhar dudh, podinay, dhnay, anar danay,
tulsi ya sada kachay piyaz kay sath roti
khanay main kya kharabi hai.
Mati kay bartan main khana kayoon nahain
pakaya aur khaya ja sakta.
Gharay ka pani pinay main kya boraee hai?
Kuch khanay kay baad tein bar koli kar lainay
main yaqinan kuch kharach nahain aata.
Neem kay patay, haldi, phatkari, namak milay
pani par pishaab karnay main koee kharach
nahain aata.
Mosam kay sastay phal khanay say qudrati
toor par RBCs aur WBCs ki tarkeeb-o-tashkeel
main madad milti rehti hai .
Bazahar in main say kuch chaizain kansar say
motalaq maloom nahain hotien laikin yah
chizain/batain kisi bimari ko takleef ponchati
hain. In ka na hona kisi na'kisi bimari ka
sabab banta hai. Jo aagay ja kar shifa'yabi na
honay ki surat main kansar ka roop dhar laiti
hai. Yah sada aur mamoli chizain modafti
qowatoon ko sakti se nawazti hain.
Sun Oct 26, 2008 1:46 pm
_________________
chahsanashraf
Moderator
Bahawalpur
Ap na bilkul tak laka ha ma na kudh is ke
taklef ko apni eyes sa daka ha boot taklef hoti
ha mariz ko Allah raham kara
Sun Oct 26, 2008 3:00 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
kansar-----------
tovajo k liay shukar gozar hoon.
jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k
tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka
kaam ho sakay.
Sun Oct 26, 2008 3:25 pm
_________________
chahsanashraf
Moderator
Pakistan
Dr Maqsood Hasni wrote:
tovajo k liay shukar gozar hoon.
jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k
tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka
kaam ho sakay.
mari papo ko chest cancer ho jia tha ajj sa 3
years pahla pir chest ko remove kar dia
doctor na lakin cansor backbon ma cala jia tha
ore boot taklif the pir calna pirna katam ho jia
Dr na kamya thropy shoro ke gis ka allag sa 4
mount ma per sa calna pirna soro kar dia pir 4
sa 5 mount bad acank dard hova ore isi rat ko
death ho gie is pora arsa ma takreban 2 sal ho
jia tha
Sun Oct 26, 2008 3:44 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
kansar-----------
Allah sahib oon ko jannat main jaga day aur
oon ki rooh ko sakoon day
agar mazeed kuch bata dain gay to mumnoon
hoon ga.
_________________
http://www.forumpakistan.com/mareez-kansar-kay-jarsumay-
say-nahain-marta-t17362.html#ixzz4GGZIXh9p
Motwazan ghaza ka masla
Baigun arbi/aalu ho ya shalgum; kado ho ya
ghiya tori, karailay hoon ya bhindi tori ho ya
goasht mufrad ya marakab, ghobi aalu ho ya
faraee tainday, sab apni zaat main apnay
tamam tar ajza kay sath mokamal aur
motwazan ghaza hain.
In main say her koee ghee, tamatar/dahi,
adkar (Adrak), thoom piyaz waghera say
marakab ho kar aur aatesh milnay kay baad
pakwan kay darja par faez ho kar matwazan
ghaza ka darja hasal kartay hay.
Her pakwan eak waqt hi khaya jata hai.
Dosray waqt koee aur cheez li jati hai.
Bawar rehna chahiay salan kay sath chapati
bhi lazma rehti hai. Lowazmay main salad bhi
dastar khan ka hissa banta hai.
Dosray waqt ki khorak kay darmiyan main
hum kuch na kuch zaroor khatay rehtay hain.
Goya hamaray jism ko kisi na'kisi hawala say
22 ouns khorak din main mil hi jati hai.
Issi tara mithay main kheer ho kah kastad,
gajar ka halwa ho ya sohan halwa matloba
zarorat ko pora kartay rehtay hain.
Jo cheez hum pasand nahain kartay aur ossay
khorak nahain banatay os ka motbadal
hamari khaesh farahum kar daiti hai.
Khorak ko motwazan karni ki fikar main hum
gher zorori chizain kha jatay hain jo faeday ki
baja ay noqsan ka sabab banti hain. Khorak ko
aam sada aur gharailu sa rakheay. Takalfaat
say dori hamain bimari say door rakhti hai.
_________________
Sun Nov 30, 2008 9:54 pm
amber ali
5 Star Member
LONDON
thanks 4 good info
Sun Nov 30, 2008 10:33 pm
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
Allah Sahib aap k zooq-e-aaghi ko barkat day
_________________
Sun Nov 30, 2008 11:50 pm
urfi67
Forum Family Member
keep it up , Dr Hasni
Mon Dec 01, 2008 9:45 am
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
‫ل‬ ‫کے‬ ‫توجہ‬‫ی‬‫ہوں‬ ‫گزار‬ ‫شکر‬ ‫ے‬‫۔‬
‫رکھے‬ ‫کوخوش‬ ‫آپ‬ ‫ح‬ ‫ص‬ ‫ہ‬‫۔‬
‫والد‬ ‫اپنے‬ ‫اور‬ ‫اپن‬‫ی‬‫خ‬ ‫ک‬ ‫ن‬‫ی‬‫رکھ‬ ‫ل‬‫ی‬‫ں‬
http://www.forumpakistan.com/motwazan-ghaza-ka-masla-t1
9016.html#ixzz4GGpKU5Kc
KANSAR KOEE FOOQ-UL-FITRAT BIMARI
NAHAIN
Her bimari kisi na'kisi androni aza main
tabdiliz/kharabi ka natija hoti ab mein kehta
hoon gher mehsous andaz say mojoda aur adi
mamolaat main tabdili laee ja'ay to is say
mairi marad androni aur bahar kay mamolaat
hotay hain.
Baroni tabdiliaan:
1- Majoda rehan sehan aur os say
motalqaat
2- Naya mahool aur na'ay atwar ki farahmi
3- Mosamoon ki tabdili
4- Othnay baithnay kay momolaat
5- Khanay pinay ki tarteeb
6- Khanay pinay kay oqaat main tabdili
7- Pasand na'pasand main tabdili
8- Pasand na pasand ki tarteeb main
tabdili
9- Her qisam kay tasalsal aur tawatar ko
tabdeel kya ja'ay
10- Roz mara kay momolaat tabdeel ki'ay
jaein
11- Rangoon ki viraity tabdeel hoti rehni
chahiay
12- Nafrat say mohabat aur mohabat kay
mamolaat aur atwar main tabdili
13- Tovajo batanay kay sabqa atwar
14- Doctor ki sar par sawari taqriban
khatam ki ja'ay mareez kay sath
sath
motalqein say rabta bananay ko bhi
tarji main rakha ja'ay.
15- Aanay janay kay rastoon tak main tabdili
laee ja'ay
16- Jism ko eak hi dwa ka adi na banaya jay
lihaza adviyaat main dosray chothay tabdili
laee ja'ay ya kam az kam oon kay oqaat
tabdeel kartay rehna chahiay
17- Khanay porana hai to bartan pehlay walay
na rahain
Androni aza kay function main tabdiliaan
lanay ki baat bila shuba hiran'kon aur
ahmqana si lagti hai laikin yah otna hi zarori
hai jitna baroni tabdilioon ka lana zarori hota
hai. Masan
a- khorak ki tabdili say
b- walk aur warzesh kay mukhtalif harboon
say
c- sochoon main tabdili la kar
d- jumla havas par mukhtalif hawaloon say
asar andaz ho kar
e- mosmoon kay tafawat kay zariay
f- Mashrobaat main tabdili say
g- Khush rakh kar
h- Tarjihaat main tabdili la kar
i- chalnay prirnay aur othnay baithnay ke
andaz o atwar badal kar
j- badal badal kar saman-e-tafree farahum
kiya j'ay.
Adviyaat main
Calc flour (6) TDS yaeni tein martaba
siraf char qatray pani main dal kar
Kali Phos (30) OD yaeni eak martaba,
khas tour par sotay waqt.
preshani ya kisi afsurda halat main dohraein
Ka kisi bhi surat main naga nahain hona
chahiay.
Digar main
Apes (30)
Belladonna (30)
Selenium (30)
Naja (30)
Thoja (30)
Ya jo bhi dwa laga rakhti ho mareez kay baltay
mazaj aur badalti halat kay motabaq di jinai
chahiay. Yaad rehna chahiay mareez ka her
lumha mazaj, halat, zarorat, rujhan, khaesh
waghera main tabdili aati rehti hai is liay eak
hi dwa ka daina monasab/soud'mand na ho
sakay ga. Ghar waloon ko is moamla main
bara hi sensitive hona paray ga.
Attendant ko moalaj ki si hasiat hasal hoti hai
woh mareez ki halat zarorat waghera ko
ba'chasham-e-khud daikhta rehta hai is liay
ossay choti choti tabdilioon ko nazar main
rakhna ho ga.
Is kay liay ossay lamha lamha ki khabr likhtay
jana chahiay is say mareez kay Doctor ko alaj
main aasani rahay gi.
Note: likh nahain sakta to moti motu batoon
ko yaad main rakhe.
Adviyaat kay sath sath:
1- Khiray ki jhaag ko pani main mala kar di
ja'ay
2- Eak waqt main eak sabzi ki yakhni bana kar
os
main say eak chamach jab mareez pani
talab kary,
pani kay glass main mala di ja'ay
3- Her qisam ka phal mareez ko diya ja'ay.
Pabandi
na rakhi ja'ay jitna ji chahay kha'ay
chahay eak
qash hi kayoon na lay.
4- Phal ka juice nikal kar rakh lain. Jab mareez
pani
talab kary, pani kay glass main eak
chamcha mala
diya ja'ay.
5- a. Gosht ko soka aur masala'dar na
pakwaein.
b. Gosht ka shorbay wala aur kam
masaoon wala
hona chahiay.
c. Ziyada chiknaee se parhaiz karain.
d. Gosht main chahay eak hi kash sabzi ki
zaroor
dain. Os kash ko khaein na'khaein
yah zarori
nahain haan os ka dalna zarori hai.
Rang aur Shmsi tavanaee
Rang zindgi main bara aham kirdar rakhtay
hain. Mareez ko jo rang pasand ho, os rang ki
botal ya phir os rang ka patla kaghaz boltal
lipait lain. Pani say bhari yah botal 6 ta 8
ghaintay kari dhoop main rakhain baad azaan
ossay thainda karkay mareez ko dain aur yah
amal tawatar say hona chahiay.
is pani ko ahista ahista gira'ay aur os par
paishab ki dhar maray.
Wasael omuman sad-e-rah bantay hain aur
ghurbat kaam bigarti hai laikin ghurbat main
bhi mamolaat main tabdili lana mushkal kaam
nahain. Rastoon ki tabdili, dhoop main chaoon
ki khaesh, pakwan kay zaeqay badal kar,
namak kam rakh kar namak ki khaesh paida
ho sakti hai, mirch ziyada rakh kar kam mirch
kay liay rujhan ho sakta, tovajo tabdeel
karkay waghera waghera qisam kay aqdam
aur harboon main koee dushwari ya kharach
nahain aata.
In tamam iqdamaat ka kya faeda ho ga?
Rozmara kay mamolaat khorak ki tabdili say:
1-Androni aza kay function main tabdili aa'ay
gi jab kah bimiri kay garaseem sabqa
mukhsous halaat main parwan charay hotay
hain. Wo tabdiloon kay ammal main apni
survival barqarar na rakh paein gay.
Dosra khanay pinay kay mamolaat, taste,
ouqaat, variety aur pakan ki cooking mamool
say hatnay say oon main baichaini bharay gi
natija kar oon ki bahmi thun ja'ay gi. eak
dosray ko marain ge aur apni khorak banaein
ge.
Os ki zinda ki missal yah hai kah karoroon
sperms main say eak do ya kuch hi uterus
main dakhal ho patay hain baqi eak dosray
kay hatoon mout kay ghat otar jatay hain.
Ya yah missal lay lain eak aadmi mukhsous
masaloon main bhona howa ghost khata raha
hai aur wo is ka arsa daraz say aadi hai. Ab
ossay pehlay masaloon say hat kar masaloon
main paka shorbay wala ghost khanay ko diya
jata hai. Yah ammal androni tabdilioon ka
sabab banay ga.
Eak shakas bhanis ka doodh pita chal;a aa
raha hai ab bhanis kay doodh ki bajay onthni,
bakri ya phir ga'ay ka doodh pinay ko diya
ja'ay.
Eak shakas hot tea ka adi hai ab ossay ice/cold
tea di ja'ay.
Eak aadmi chaoon walay rastay say gozarta
hai aur yahhi hamaisha say os ka mamool
raha hai. Ab ossay dhoop walay rastay say
gozarna parta hai. Andar chaoon ki khaesh
paida ho gi. Yah khaesh pehlay routine ki
zarorat ho gi. Puri na honay kay sabab andar
kay function main tabdiliaan la'ay gi. Yah
tabdiliaan bimari kay jarasimoon ko kisi bhi
hawalsa say khush na aaein gi.
Is moamla main eak zarori baat note karni
chahiay kah bar bar tabdiliaan laee jaein. Eak
mamool na rehnay di ja'ay.
2-Blood cells ki haiat-e-tarkibi main tabdili
aa'ay gi. Es hawala say bannay wala khoon
bimari kay jarasemoon kay liay kisi kaam ka
na ho ga. Es tara wo bhokoon marain gay yah
phir eak dusray ki khorak ban jaein gay.
3-Madafti fooj na ay saray say eak dusray
andaz aur nae qisam ki tavanae kay sath
taiyar ho gi. Yah fooj jarasimoon ki kisi tara
bardast na karay gi aur na'ay andaz aur na'ay
tariqa ha'ay kar say jang ka aaghaz karay gi. Is
fooj ki taqat aur larnay kay atwar say bimari
kay jaraseem motahammal na ho sakain gay.
4- jis kamzoor hissa main bimari kay jaraseem
ponahain ge wahaan bilkul mukhtalif qisam
ka khoon ja sakay ga. Is kay doo fawaed hoon
gay:
a- wo hissa zindgi ki taraf lotna shoru kar day
ga aur os ka function pehlay say mukhtalif
andaz aur toor ka ho ga aur yah bimari kay
jarasimoon kay liay mohlak sabat ho ga.
b-yah naee tara ka khoon aur is kay RBCs
bimari kay liay kisi kaam kay na hoon gay. Is
hawala say bimari kay jarasimoon ki
nash-o-nama rok ja'ay gi aur lamha-ba-lamha
kamzoor partay jaein gay.
Panch moalgein ki zarorat
Hamaray haan baad qismati yah hai ka
mareez ko madi laclach ki vaja say bohat hi
kaam waqt diya jata hai. Warna is mozi marz
kay liay panch masihaoon ki zarorat hoti hai:
1- Qualified Record keeper jo bari zimadari
say
mareez ki naqal-o-harqat waghera ko
note karay
2- Mahar-e-Nafasyaat jo marz kay khatamay
main
bara aham kirdar ada kar sakta hai aur
woh:
a- mareez ki soch kay dharay badal sakta hai
b- jinay ki khaesh ko do'chand kar sakta hai
Aagay bharnay say pehlay batoor hawala eak
missal paish kana zarori samjta hoon. Eak
shakas kisi ko qatal karnay kay liay baray
ghusa say dhora chala jar aha hai. Rasta main
koee ossay rook kar moamla pochnay baith
jata hai aur woh dil khool kar sara majra/qisa
keh daita. Keh dainay kay baad woh kisi ko
qatal karny ki pozishan main nahain rehta.
Halan kah ossay samjaya nahain giya hota.
3- Baroni mamolaat main gher mahsous
andaz/tariqa
say tabdiliaan lanay wala
4- Khorak kay zariay androni aza main
tabdiliaan
lanay wala
5- Adviyaat kay hawala say is mozi maraz kay
jaraseem kay khalaaf jang larnay wala
Mareez ka attendant bhi qabal, zimadar,
maraz ki
noeat samjnay wala hona chahiay.
Yah baat zehan nashein rehni chahiay kah
charoon ka bahmi rabta aur sala mashwara
rehna chahiay. Goya woh eak team ka sa
kirdar ada karain. Kaam mukhtalif laikin
maqsad eak. Giyara khilari apnay apnay
hawala say eak marboot khail khail kar goal
karnay ki thantay hain. Zindgi kay liay
moalajein khilari ki si lagan kay sath yah
qabal-e-izzat masiha Sahiban kaam kayoon
nahain kar saktay?!
http://www.forumpakistan.com/kansar-koe-fooq-ul-fitrat-bim
ari-nahain-t17372.html#ixzz4GGpVkOgB
ALAJ MOALAY SAY PEHLAY KHAMIR KAY AJZA
PAR GHOOR KI ZARORAT
Allah Sahib ka kehna hai kah insan ko tein
(Mati) say takhleeq/paida kya giya hai. Hazrat
Amir (AS) is ki wazahat kay zomray main
apnay eak khutbay main arshad farmatay
hain, insan ko mukhtalif amarja ki matti
akathi karkay banaya giya. Goya
Insan matti say bana
Yah mati mukhtalif amarja say li gaee
Matti mokhtalif ajza say tarkeeb paee hai aur
her joz ki taseer dosri say alag hai.
Issi tara mukhtalif amarja ki matti kay ajza
main faraq hai. Mamasal ajza ki taseer main
bhi yaqinun tanasab aur taseer ka faraq rehta
hai.
In ajza main pani miqdar main ziyada hota
hai. Issi tara mokhtalif jagoon kay pani ki
taseer alag say hoti hai. Ajza-e-tarkibi kay
tanasab main bhi faraq hota hai. Yahhi surat
digar ajza ki taseer kay sath dar paish rehti
hai.
Is hawala say daikha ja'ay to mareez ko
na'siraf os kay apnay hawala se daikhnay ki
zarorat hoti hai balkah os alaqa kay matti pani
ki taseer aur ajza e-tarkibi ko bhi daikhnay
ki zarorat ko nazr main kanay ki zarorat rehti
hai. Is hawala say dou kaam karna hoon gay:
1- Os alaqa ki matti pani ki majmoee taseer
aur
ajza-e-tarkibi kay tanasab say
waqfiyat rakhna
paray gi.
2- Madafti qowatoon ki mazboti issi tanazar
main
baqarar rakhna ho gi.
Jahaan alaj moalja ahum hasiat rakhta hai
wahaan madafti qowat ko mazboot say
mazboot karnay ki zarorat ko nazar andaz
karna kharabi say nipatnay main kamzori
daikhana ho gi. Jab yah maloom hai kah
kansar, aid aur yarqan (Hapataitas B) jaisay
mozi marzoon kay liay zalim qisam ka
injekshan /adviyaat daina hai to madafti
qowat ko bhi taqviat daina ho gi. Mareez ki
madafti qowat bimari say naburd azma ho gi
kah in adviyaat kay sakhat tarein raad-e-amal
say barsar-e-paikar ho gi. Yah baat mein nay is
hawala say bhi arz ki hai kah hamaray haan
ailopaithik aur apraishan par hi yaqein rakha
jata hai jab kah digar tariqa ha'ay alaj say
parhaiz hi rakha jata hai. Ta'hum koee bhi
moaljay kay liay tariqa ikhtayar kiya ja'ay
madafti qowatoon ko sahara daina hi ho ga.
Madafti qowatoon ko sambhala dainay kay
liay matti panikay ajza-e-tarkibi ki janch
karna pary gi. Androni nazam main kisi bhi
waja say in ajza-e-tarkibi main say kisi eak ki
kami waqay ho sakti hai ya os main azafa ho
sakta hai. Is kami ya ziyadti ko pura kiya ja'ay.
Ajza main kami baishi ka andaza moalaj
yahaan tak kah ghar walay ba khobi laga
saktay hain. Wo is tara
1- mareez kay roz mara mamolaat main
tabdili
mehsous karkay
2- mareez kay badaltay atwar say
3- mareez ki badalti khahshaat say
4- mareez kay badaltay sabha aur mazaj say
5- mareez ki badalti pasand na'pasand say
6- mareez ki pehlay aur mojoda ki bool chaal
kay
andaz say
7- aza main mehsous hoti tabdilioon kay
hawala se
8- kahein dard rehnay say
9- bukhar ki halat say
10-susti waqay honay say
11-dilchaspioon ki tabdili say
12-omomun koee taklif rehnay say
13- bhook ki kami baishi se
14- khorak main kisi cheez ki masalsal barhti
khaesh
se
15- napasand ki pasand se
Gharz aaghaz hi say aisi bohat sari chizoon say
andaza lagaya ja sakta hai aur ossi hawala say
moalja sood'mand sabat ho sakta hai. Maslan
a-
mareez main khurdni namak ki khaesh bhar
ya kam ho sakti hai.
Gosht khori ki khaesh main kami baishi aa
sakti hai.
Ziyada pani paina shuro kar daita ha ya
pehlay ki nisbat pani kam pita hai.
Kisi khas sabzi ki taraf raghbat bhar sakti hai.
Pasand ki sabzi say nafrat ho sakti hai.
Khnay main naqs nikalna shuro kar daita hai
Bartanoon ki tabdili ki khaesh karnay lagta
hai
Khnay kay hawala say bohat tara ki tabdilioon
ko mehsus kiya ja sakta hai
b-
Kisi mukhsous shakas say pehlay ka sa
rovaeya nahain rehta.
Mazaj main chirchara'pun aa sakta hai.
Baat baat par jhagra khara kar daita hai
Batain bholnay lagtqa hai
Baat ko olta laita hai
Itmad ki kami aa sakti hai
Kisi par itmad nahain karta
Auroon say ziyada omidain wabasta kar laita
hai
Oltay saidhay khaab daikhnay lagta hai
Hawaee qalay tameer karna shuro kar daita
hai
Khoof aur haras main rehnay lagta hai yah kisi
khas baat say darta hai aur os say dori
ikhtayar karta hai
Mazaji atwar ki bohat sari tabdilioon ko note
kiya ja sakta hai.
Khoraki aur mazaji tabdilioon kay hawala say
khorak say mota'aluq kisi joz main kami ya
azafay ka andaza karna koee dushwar kaam
nahain. Is kami baishi ko ajza say hi pura kya
jana momkin hai. Eak shakas main namak ki
kaesh bhar gaee os ki is khaesh ko din main
tein baar
Nat Mur (6)
nay pura kar diya giya jis say woh aati bimari
say bach gya.
Her shakas apnay khamir ki matti kay
motabaq khoraqi ajza laita hai is liay os say
mota'aluq aaghi hasal karna koee mushkal
kaam nahain. Jab hum os ko ibtada main
mehsous nahain kartay aur os kay badaltay
atwar par nazar nahain kartay to woh aatay
kal ko kisi khoof'nak bimari main mobtala ho
jata hai. Ibtada main hi tovajo day di ja'ay to
yah achi aur sehat'mand baat hai dairi ki surat
main koee pachidgi paida ho sakti hai ta'hum
yah nahain kaha ja sakta kah ab mout hi os ka
moqadar bun chuki hai aur ossay halaat kay
reham-o-karm par choor diya ja' ay. Chara
bahar toor akhri sansoon tak puri shidat aur
dilchaspi say hotay rehna chahiay.
http://www.forumpakistan.com/alaj-moalay-say-pehlay-khami
r-kay-ajza-par-ghoor-ki-zarorat-t17376.html#ixzz4GGpgwypT
MAREEZ
KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN
MARTA
Az:
Maqsood Hasni
Paish'kar:
Prof. Niamat Ali Murtazai
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016

More Related Content

What's hot

maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmainmaqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni
 
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab	lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
maqsood hasni
 
Angraizi (1)
Angraizi (1)Angraizi (1)
Angraizi (1)
maqsood hasni
 
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay NahainTakht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
maqsood hasni
 
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriPaaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Salim Rawat
 
Lafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahaniLafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahani
maqsood hasni
 
Urdu
Urdu Urdu
Angraizi ke urdu par lisanyati asraat
Angraizi ke urdu par lisanyati asraatAngraizi ke urdu par lisanyati asraat
Angraizi ke urdu par lisanyati asraat
maqsood hasni
 
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
touqeerabbas
 
Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala
maqsood hasni
 
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH  URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
maqsood hasni
 
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainUrdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
maqsood hasni
 
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana haiMasoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
mnqureshi226
 
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہےقومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
maqsood hasni
 
Geet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor LyricsGeet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor Lyrics
Masihi Web
 
Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1
messiahfarman
 
english_asaramayan
english_asaramayanenglish_asaramayan
QA series40
QA series40QA series40
QA series40
AliyaTabassum5
 
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraatArbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
maqsood hasni
 
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aale Rasool Ahmad
 

What's hot (20)

maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmainmaqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
 
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab	lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
 
Angraizi (1)
Angraizi (1)Angraizi (1)
Angraizi (1)
 
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay NahainTakht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
 
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriPaaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
 
Lafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahaniLafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahani
 
Urdu
Urdu Urdu
Urdu
 
Angraizi ke urdu par lisanyati asraat
Angraizi ke urdu par lisanyati asraatAngraizi ke urdu par lisanyati asraat
Angraizi ke urdu par lisanyati asraat
 
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
 
Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala
 
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH  URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
 
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainUrdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
 
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana haiMasoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
 
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہےقومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
 
Geet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor LyricsGeet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor Lyrics
 
Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1
 
english_asaramayan
english_asaramayanenglish_asaramayan
english_asaramayan
 
QA series40
QA series40QA series40
QA series40
 
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraatArbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
 
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
 

Similar to MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA

Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanainAwazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
maqsood hasni
 
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat 	Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
maqsood hasni
 
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
Khudi na bach  gharibi main naam paida kar Khudi na bach  gharibi main naam paida kar
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
maqsood hasni
 
Insan aur zobanain
Insan aur zobanainInsan aur zobanain
Insan aur zobanain
maqsood hasni
 
Sant velentain jodon ka sanrakshak.
Sant velentain   jodon ka sanrakshak.Sant velentain   jodon ka sanrakshak.
Sant velentain jodon ka sanrakshak.
Martin M Flynn
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
MuhammadAhsanProfile
 
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAHARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
maqsood hasni
 
Asaramayan english
Asaramayan englishAsaramayan english
Asaramayan english
Alliswell Fine
 
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas ayaEk walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
alihussnain
 
آٹھ انچ کا پروں والا انسان
آٹھ انچ کا پروں والا انسانآٹھ انچ کا پروں والا انسان
آٹھ انچ کا پروں والا انسان
maqsood hasni
 
Babul ki beti
Babul ki betiBabul ki beti
Babul ki beti
akshatkumararya
 
Mastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdf
Mastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdfMastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdf
Mastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdf
DUFM Educational & Charitable Trust
 
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeriProf. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
maqsood hasni
 
Amel Ki Categeory (Darjat)
Amel Ki Categeory (Darjat)Amel Ki Categeory (Darjat)
Amel Ki Categeory (Darjat)
guest77eb26
 
Maqsood Hasni Aur Samaji-o-Akjlaqi haqaeq Tadvein
Maqsood Hasni  Aur  Samaji-o-Akjlaqi haqaeq TadveinMaqsood Hasni  Aur  Samaji-o-Akjlaqi haqaeq Tadvein
Maqsood Hasni Aur Samaji-o-Akjlaqi haqaeq Tadvein
maqsood hasni
 
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
maqsood hasni
 
New text document
New text documentNew text document
New text document
Shaik Uddin
 
CASE OF DIABETIC FOOT.pptx
CASE OF DIABETIC FOOT.pptxCASE OF DIABETIC FOOT.pptx
CASE OF DIABETIC FOOT.pptx
DhruvinaRajpara
 
LOVE SHAYARI
LOVE SHAYARILOVE SHAYARI
LOVE SHAYARI
Arun chauhan
 

Similar to MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA (19)

Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanainAwazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
 
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat 	Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
 
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
Khudi na bach  gharibi main naam paida kar Khudi na bach  gharibi main naam paida kar
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
 
Insan aur zobanain
Insan aur zobanainInsan aur zobanain
Insan aur zobanain
 
Sant velentain jodon ka sanrakshak.
Sant velentain   jodon ka sanrakshak.Sant velentain   jodon ka sanrakshak.
Sant velentain jodon ka sanrakshak.
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
 
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAHARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
 
Asaramayan english
Asaramayan englishAsaramayan english
Asaramayan english
 
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas ayaEk walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
 
آٹھ انچ کا پروں والا انسان
آٹھ انچ کا پروں والا انسانآٹھ انچ کا پروں والا انسان
آٹھ انچ کا پروں والا انسان
 
Babul ki beti
Babul ki betiBabul ki beti
Babul ki beti
 
Mastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdf
Mastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdfMastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdf
Mastan Aur Masihe Millat Enghlish Book.pdf
 
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeriProf. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
 
Amel Ki Categeory (Darjat)
Amel Ki Categeory (Darjat)Amel Ki Categeory (Darjat)
Amel Ki Categeory (Darjat)
 
Maqsood Hasni Aur Samaji-o-Akjlaqi haqaeq Tadvein
Maqsood Hasni  Aur  Samaji-o-Akjlaqi haqaeq TadveinMaqsood Hasni  Aur  Samaji-o-Akjlaqi haqaeq Tadvein
Maqsood Hasni Aur Samaji-o-Akjlaqi haqaeq Tadvein
 
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
 
New text document
New text documentNew text document
New text document
 
CASE OF DIABETIC FOOT.pptx
CASE OF DIABETIC FOOT.pptxCASE OF DIABETIC FOOT.pptx
CASE OF DIABETIC FOOT.pptx
 
LOVE SHAYARI
LOVE SHAYARILOVE SHAYARI
LOVE SHAYARI
 

More from maqsood hasni

چودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہےچودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہے
maqsood hasni
 
مقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیںمقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیں
maqsood hasni
 
The languagr problem
The languagr problemThe languagr problem
The languagr problem
maqsood hasni
 
کچھ نظمیں
کچھ نظمیںکچھ نظمیں
کچھ نظمیں
maqsood hasni
 
زیادہ تر
زیادہ ترزیادہ تر
زیادہ تر
maqsood hasni
 
TWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIESTWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIES
maqsood hasni
 
منار زیست پر
منار زیست پرمنار زیست پر
منار زیست پر
maqsood hasni
 
Miracle of arts
  Miracle of arts  Miracle of arts
Miracle of arts
maqsood hasni
 
دس واکا نظمیں
دس واکا نظمیںدس واکا نظمیں
دس واکا نظمیں
maqsood hasni
 
کیچڑ کا کنول منظومہ
 کیچڑ کا کنول  منظومہ کیچڑ کا کنول  منظومہ
کیچڑ کا کنول منظومہ
maqsood hasni
 
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
maqsood hasni
 
Pandora
PandoraPandora
Pandora
maqsood hasni
 
Japanese poetry
Japanese poetryJapanese poetry
Japanese poetry
maqsood hasni
 
Sailing stones of death valley
Sailing stones of death valleySailing stones of death valley
Sailing stones of death valley
maqsood hasni
 
چودہ ہائیکو
چودہ ہائیکوچودہ ہائیکو
چودہ ہائیکو
maqsood hasni
 
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
maqsood hasni
 
طلاق
 طلاق طلاق
طلاق
maqsood hasni
 
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
maqsood hasni
 
The World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years AgoThe World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years Ago
maqsood hasni
 
Adam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridgeAdam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridge
maqsood hasni
 

More from maqsood hasni (20)

چودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہےچودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہے
 
مقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیںمقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیں
 
The languagr problem
The languagr problemThe languagr problem
The languagr problem
 
کچھ نظمیں
کچھ نظمیںکچھ نظمیں
کچھ نظمیں
 
زیادہ تر
زیادہ ترزیادہ تر
زیادہ تر
 
TWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIESTWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIES
 
منار زیست پر
منار زیست پرمنار زیست پر
منار زیست پر
 
Miracle of arts
  Miracle of arts  Miracle of arts
Miracle of arts
 
دس واکا نظمیں
دس واکا نظمیںدس واکا نظمیں
دس واکا نظمیں
 
کیچڑ کا کنول منظومہ
 کیچڑ کا کنول  منظومہ کیچڑ کا کنول  منظومہ
کیچڑ کا کنول منظومہ
 
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 
Pandora
PandoraPandora
Pandora
 
Japanese poetry
Japanese poetryJapanese poetry
Japanese poetry
 
Sailing stones of death valley
Sailing stones of death valleySailing stones of death valley
Sailing stones of death valley
 
چودہ ہائیکو
چودہ ہائیکوچودہ ہائیکو
چودہ ہائیکو
 
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 
طلاق
 طلاق طلاق
طلاق
 
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 
The World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years AgoThe World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years Ago
 
Adam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridgeAdam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridge
 

Recently uploaded

Anxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptx
Anxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptxAnxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptx
Anxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptx
Sagunlohala1
 
HUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COM
HUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COMHUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COM
HUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COM
priyabhojwani1200
 
Trauma Outpatient Center .
Trauma Outpatient Center                       .Trauma Outpatient Center                       .
Trauma Outpatient Center .
TraumaOutpatientCent
 
LGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to Care
LGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to CareLGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to Care
LGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to Care
VITASAuthor
 
Hypertension and it's role of physiotherapy in it.
Hypertension and it's role of physiotherapy in it.Hypertension and it's role of physiotherapy in it.
Hypertension and it's role of physiotherapy in it.
Vishal kr Thakur
 
Gemma Wean- Nutritional solution for Artemia
Gemma Wean- Nutritional solution for ArtemiaGemma Wean- Nutritional solution for Artemia
Gemma Wean- Nutritional solution for Artemia
smuskaan0008
 
Stem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac Care
Stem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac CareStem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac Care
Stem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac Care
Dr. David Greene Arizona
 
Vicarious movements or trick movements_AB.pdf
Vicarious movements or trick movements_AB.pdfVicarious movements or trick movements_AB.pdf
Vicarious movements or trick movements_AB.pdf
Arunima620542
 
MBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdf
MBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdfMBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdf
MBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdf
bkling
 
DRAFT Ventilator Rapid Reference version 2.4.pdf
DRAFT Ventilator Rapid Reference  version  2.4.pdfDRAFT Ventilator Rapid Reference  version  2.4.pdf
DRAFT Ventilator Rapid Reference version 2.4.pdf
Robert Cole
 
CCSN_June_06 2024_jones. Cancer Rehabpptx
CCSN_June_06 2024_jones. Cancer RehabpptxCCSN_June_06 2024_jones. Cancer Rehabpptx
CCSN_June_06 2024_jones. Cancer Rehabpptx
Canadian Cancer Survivor Network
 
Unlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdf
Unlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdfUnlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdf
Unlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdf
Lift Ability
 
Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...
Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...
Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...
nirahealhty
 
Under Pressure : Kenneth Kruk's Strategy
Under Pressure : Kenneth Kruk's StrategyUnder Pressure : Kenneth Kruk's Strategy
Under Pressure : Kenneth Kruk's Strategy
Kenneth Kruk
 
Letter to MREC - application to conduct study
Letter to MREC - application to conduct studyLetter to MREC - application to conduct study
Letter to MREC - application to conduct study
Azreen Aj
 
Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...
Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...
Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...
Levi Shapiro
 
Feeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptx
Feeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptxFeeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptx
Feeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptx
SatvikaPrasad
 
TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...
TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...
TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...
rightmanforbloodline
 
PET CT beginners Guide covers some of the underrepresented topics in PET CT
PET CT  beginners Guide  covers some of the underrepresented topics  in PET CTPET CT  beginners Guide  covers some of the underrepresented topics  in PET CT
PET CT beginners Guide covers some of the underrepresented topics in PET CT
MiadAlsulami
 
Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.
Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.
Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.
Dinesh Chauhan
 

Recently uploaded (20)

Anxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptx
Anxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptxAnxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptx
Anxiety, Trauma and Stressor Related Disorder.pptx
 
HUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COM
HUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COMHUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COM
HUMAN BRAIN.pptx.PRIYA BHOJWANI@GAMIL.COM
 
Trauma Outpatient Center .
Trauma Outpatient Center                       .Trauma Outpatient Center                       .
Trauma Outpatient Center .
 
LGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to Care
LGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to CareLGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to Care
LGBTQ+ Adults: Unique Opportunities and Inclusive Approaches to Care
 
Hypertension and it's role of physiotherapy in it.
Hypertension and it's role of physiotherapy in it.Hypertension and it's role of physiotherapy in it.
Hypertension and it's role of physiotherapy in it.
 
Gemma Wean- Nutritional solution for Artemia
Gemma Wean- Nutritional solution for ArtemiaGemma Wean- Nutritional solution for Artemia
Gemma Wean- Nutritional solution for Artemia
 
Stem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac Care
Stem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac CareStem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac Care
Stem Cell Solutions: Dr. David Greene's Path to Non-Surgical Cardiac Care
 
Vicarious movements or trick movements_AB.pdf
Vicarious movements or trick movements_AB.pdfVicarious movements or trick movements_AB.pdf
Vicarious movements or trick movements_AB.pdf
 
MBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdf
MBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdfMBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdf
MBC Support Group for Black Women – Insights in Genetic Testing.pdf
 
DRAFT Ventilator Rapid Reference version 2.4.pdf
DRAFT Ventilator Rapid Reference  version  2.4.pdfDRAFT Ventilator Rapid Reference  version  2.4.pdf
DRAFT Ventilator Rapid Reference version 2.4.pdf
 
CCSN_June_06 2024_jones. Cancer Rehabpptx
CCSN_June_06 2024_jones. Cancer RehabpptxCCSN_June_06 2024_jones. Cancer Rehabpptx
CCSN_June_06 2024_jones. Cancer Rehabpptx
 
Unlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdf
Unlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdfUnlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdf
Unlocking the Secrets to Safe Patient Handling.pdf
 
Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...
Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...
Can coffee help me lose weight? Yes, 25,422 users in the USA use it for that ...
 
Under Pressure : Kenneth Kruk's Strategy
Under Pressure : Kenneth Kruk's StrategyUnder Pressure : Kenneth Kruk's Strategy
Under Pressure : Kenneth Kruk's Strategy
 
Letter to MREC - application to conduct study
Letter to MREC - application to conduct studyLetter to MREC - application to conduct study
Letter to MREC - application to conduct study
 
Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...
Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...
Michigan HealthTech Market Map 2024 with Policy Makers, Academic Innovation C...
 
Feeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptx
Feeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptxFeeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptx
Feeding plate for a newborn with Cleft Palate.pptx
 
TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...
TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...
TEST BANK For Accounting Information Systems, 3rd Edition by Vernon Richardso...
 
PET CT beginners Guide covers some of the underrepresented topics in PET CT
PET CT  beginners Guide  covers some of the underrepresented topics  in PET CTPET CT  beginners Guide  covers some of the underrepresented topics  in PET CT
PET CT beginners Guide covers some of the underrepresented topics in PET CT
 
Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.
Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.
Tips for Pet Care in winters How to take care of pets.
 

MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA

  • 1. MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA Az: Maqsood Hasni Paish'kar: Prof. Niamat Ali Murtazai Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016
  • 2. Farist mazamein 1- Mareez kansar ke jusomay se nahain marta 2- Motwazan ghaza ka masla 3- Kansar koee fooq-ul-fitrat bimari nahain 4- Alaj moaljay se pehlay khamir ke ajza par ghoor ki zarorat
  • 3. MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA Cencer koee Fooq-ul-Fitrat bimari nahain hai. Is kay jarsumay say bohat kam mareez fori toor par martay hain. Mareez kay marnay ki aur bohat sari vajohaat ho sakti hain. Oon main say chand eak ka zikar kar raha hoon ta'kah yah samjha ja sakay kah yah maraz Qabal-e-Alaj hai aur is ka shakar honay walay mareez ko mout kay monh main janay say ba'khobi bachaya ja sakta hai aur is ka koee mehnga alaj bhi nahain. Issay Daktar Hazrat ki mali havas aur maal kamaee mohim kay hawala say mehnga samjh aur mehnga bana diya giya hai. MAREEZ KAY MARNAY KAY ASBAAB
  • 4. Jahalat Soni sanaee batoon par yaqein kar laina Pehlay say teh kar laina kah is maraz ka koee alaj nahain aur mareez ki mout yaqini aur teh'shuda baat hai. Ghurbat Zati aur logoon say sonay sana'ay totkoon par inhasar aur oon ka bila takalluf istamal. Ta'hum yah tootkay ba'maeni aur la'yaeni bhi nahain hotay. In kay istamal kay moamla main ihtayat ki bari zarorat hoti hai. Alaj ki taraf tavajo karnay main dairi Is ka matlab yah nahain kah dusri ya taisri stage samjh kar mareez ko maraz kay rehm-o-karam par choor diya ja'ay. Allah karim nay her sata kay liay koee na'koee hal zaroor rakha hai. Kisi cheez ko imkan say bahar nahain rakha. Os ka kehna hai kah masusi gonah hai.
  • 5. Mareez par khool diya jata hai kah ossay kansar hai. Woh yah son kar hi adha mar jata hai. Yah os ta'asar ka natija hai kah yah maraz na qabal-e-alaj hai aur aakhar mout mareez ka moqadar teharti hai. Yah ta'asar kah is maraz ka alaj hamaray haan mumkin nahain, bazaat-e-khud mout hai halankah baroon-e-mulak is marz ka alaj momkin hi nahain. Apnay hi alaqa main is ka alaj momkin ho sakta hai. Haspataloon main Daktar Hazraat ki bila'moavza mareez kay moamla main tasahal pasandi, check up main dairi aur la'parvahi Mareez ko koee relief dainay say pehlay testoon ki bhar'maar. ya mehz pain killer adviyaat ka istamal ya nasha'aawar adviyaat daina takah mareez sakoon se soya rahay aur ghar walay samjhain mareez behtari ki taruf aa raha hai.
  • 6. Testoon ki report main dairi baz reports to mareez ki mout kay baad mosool hoti hai Alaj ka aghaz baray zalam injectionoon aur sakht tarein adviyaat say kiya jata hai. Jab'kah os waqt tak mareez ki madafti qovatain intahae kamzoor par chuki hoti hain. Is tara ossay dou mahazoon par larna parta hai. Natija-e-kar Kamzori kay baes shakast-e-fash say dou char hoti hain. Gher mayari adviyaat ki dasyabi aur oon ki dasyabi main roak toak/check na hona Mareez ki aiyadat ko aanay walay, khsusan mohtaram khatein ki hum'dardi aur rikat'aamaiz guftagu khatam kar daiti hai. Attendant ki martay shakas kay sath ka sa rovaeya, andaz aur salook Maraz say mail na khati ghaza, moashi-o-masharti tafakraat, malawat, girani, ganda pani, na'gowar mahool aur fiza, gharailu jhagray martay shakas ka sa salook
  • 7. aur ravaeaya. Daktar aur is paisha say motalaq amlay ka qisabi rovaeya. Mareez ko mareez say ziyada maal kamanay ka zariya samja jata hai. Daktaroon ki yah ada na'siraf insaniat ka qatil hai bal'kah samaji juram bhi hai. Kaam say faragh karkay achay aur araam say din gozarnay aur Allah Allah karnay ki talqein karna. Research ka qehat aur foqdan Siraf Allopathic par iktafa aur issay hi mawa-o-malja samjh laina aur digar tariqa ha'ay alaj ko bai'kar qarar day diya jana Mareez ko alag thalag se mukhlooq qarar day daina aur karobar e hayat say faragh kar daina Pain killer adviyaat ka bila'daraigh aur bai'tahasha istamal.
  • 8. Dard door karnay ka chara karna bura nahain laikin assal maslay ki taraf tavajo pehli tarji hona chahiay, jo sanvi darja ikhtayar kar gaee hai Baray fakhar say bazari ashya-e-khudni ka istamal Chatpati, khati mithi aur taizabiat bananay wali ashya ka ba'kasrat istamal. Sabzioon main, gher combination rakhnay wali ashya ka pakwan Masalai'dar pakwan Bachay ko, sinay kay hosan ko barqarar rakhnay kay liay dudh na pilana. Jab'kah dudh pilana bacha aur zacha, donoon kay liay zarori hai Pistanoon say bachay ka Sar lagna/takrana ya kisi aur hawala say bai ehtayati Qabaz ka matwatar rehna Jald hazam na honay wali ashya ka istamal
  • 9. Sabzi kay qimati aur ossay mutwazan rakhnay walay ajza ko kat phankna (Chilka baij waghera) Khana kha kar lait rehna Paidal chalnay ka ravaj kam ya khatam sa ho jana Kisi choot kay moamla main bai'ehtyati aur la' parwahi bartna Parishni, fikar'mandi, dukh waghera Dhowaan (smoke) Veham Nasha aawar ashya ka istamal. Takleef main nasha day kar sola dainay ka rujhan Othtay hi high potency anti-biotic ka istamal ya in ka omomi istamal Bayak'waqt dou dou antibiotic adviyat ka istamal
  • 10. Aaram talbi Sadgi say dori Balgham ka akhraj rokna Operations (Eak fisad sahi, laikin yah sabab zaroor hai) Opertion se ziyada koee khatarnak amal nahain. Issi ke baes mareez mout ke monh main chala jata hai. Moaljay mai baitara ki kotahi; maslan bokhar hota hai bukhar otarnay ki dwa di jati hai bukhar to koee bimari hi nahain ya pait main dard hota hai to Buscopan waghera day daitay hain halan'kah tap aur dard kisi aza kay amal main kharabi ki nishan'dahi hai. Khana khanay kay foran baad cha'ay laina. Garam garam cha'ay pi laina Bachay ko zamein par khailnay say mana karna Sehat kay moamla main adam'tovajgi
  • 11. Sadma, Kal parsoon ki baat hai, eak sahib ko pitay ka kansar tha woh aaghi say pehlay dard main sahi, ji raha tha. Jonhi ossay maloom howa to heart attack say chal basa. Mairay khayaal main ossay kuch din aur bimari kay sath jina tha. Kansar itni jaldi kab marnay daita hai. Bohat waqt daita hai aur phir tarpa tarpa kar marta hai. Eak hanstay aur katay pitay aadmi kay hath ghalti say kansar kay mareez ki report thama di gaee. Woh dinoon main soch soch kar lakri ho giya. Kansar ka moalja shuro ho giya. Her aglay din halat kharab hoee. Ossay dobara say test ka mashwara diya giya. Ossay siray say yah maraz tha hi nahain. Yaqein manain woh eak haftay kay andar andar phir say pehlay sa ho gya. Libas aur colors main tabdili na lana Mutbadlaat ka nazar andaz hona.
  • 12. Jis tara saieb/apple ka mutbadal gajar hai. Taza gajar, saieb/apple kay hotay gajar kay morabay kay khanay ka kya jawaz hai Zana'kari, Jo khoof pashmani aur aza-e-raesa ki kamzori ka sabab banti hai Viraj ka ziya na'qabal-e-talafi noqsan hai. Is liay Zana'kari say ijtanab intahaee zarori hai. Issi tara hum'jinsi aur janwaroon se ghalt'kari madafti qovatoon ko mout ke ghat otaranay ke motraduf hai. Islam main char shadioon ka jaez hona bai'maeni aur bila'jawaz nahain hai. Bhook rakh kar na kana. Allah kay naam say aaghaz na karna aur ikhtatam par Allah ka shukar ada na karna. Dant ki gher monasab safaee ya mail na khati paste ka istamal. Yah bhi kah miswak ko nazar andaz kya jana
  • 13. Nakhan bharana ya oon ka baqaedgi say kata na jana KUCH MAZEED BATAIN Aakhar dudh, podinay, dhnay, anar danay, tulsi ya sada kachay piyaz kay sath roti khanay main kya kharabi hai. Mati kay bartan main khana kayoon nahain pakaya aur khaya ja sakta. Gharay ka pani pinay main kya boraee hai? Kuch khanay kay baad tein bar koli kar lainay main yaqinan kuch kharach nahain aata. Neem kay patay, haldi, phatkari, namak milay pani par pishaab karnay main koee kharach nahain aata. Mosam kay sastay phal khanay say qudrati toor par RBCs aur WBCs ki tarkeeb-o-tashkeel main madad milti rehti hai .
  • 14. Bazahar in main say kuch chaizain kansar say motalaq maloom nahain hotien laikin yah chizain/batain kisi bimari ko takleef ponchati hain. In ka na hona kisi na'kisi bimari ka sabab banta hai. Jo aagay ja kar shifa'yabi na honay ki surat main kansar ka roop dhar laiti hai. Yah sada aur mamoli chizain modafti qowatoon ko sakti se nawazti hain. Sun Oct 26, 2008 1:46 pm _________________ chahsanashraf Moderator Bahawalpur Ap na bilkul tak laka ha ma na kudh is ke taklef ko apni eyes sa daka ha boot taklef hoti ha mariz ko Allah raham kara Sun Oct 26, 2008 3:00 pm _________________ Dr Maqsood Hasni
  • 15. Senior Proud Pakistani punjab kansar----------- tovajo k liay shukar gozar hoon. jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka kaam ho sakay. Sun Oct 26, 2008 3:25 pm _________________ chahsanashraf Moderator Pakistan Dr Maqsood Hasni wrote: tovajo k liay shukar gozar hoon. jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka kaam ho sakay. mari papo ko chest cancer ho jia tha ajj sa 3
  • 16. years pahla pir chest ko remove kar dia doctor na lakin cansor backbon ma cala jia tha ore boot taklif the pir calna pirna katam ho jia Dr na kamya thropy shoro ke gis ka allag sa 4 mount ma per sa calna pirna soro kar dia pir 4 sa 5 mount bad acank dard hova ore isi rat ko death ho gie is pora arsa ma takreban 2 sal ho jia tha Sun Oct 26, 2008 3:44 pm _________________ Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab kansar----------- Allah sahib oon ko jannat main jaga day aur oon ki rooh ko sakoon day agar mazeed kuch bata dain gay to mumnoon hoon ga. _________________
  • 17. http://www.forumpakistan.com/mareez-kansar-kay-jarsumay- say-nahain-marta-t17362.html#ixzz4GGZIXh9p Motwazan ghaza ka masla Baigun arbi/aalu ho ya shalgum; kado ho ya ghiya tori, karailay hoon ya bhindi tori ho ya goasht mufrad ya marakab, ghobi aalu ho ya faraee tainday, sab apni zaat main apnay tamam tar ajza kay sath mokamal aur motwazan ghaza hain. In main say her koee ghee, tamatar/dahi, adkar (Adrak), thoom piyaz waghera say marakab ho kar aur aatesh milnay kay baad pakwan kay darja par faez ho kar matwazan ghaza ka darja hasal kartay hay. Her pakwan eak waqt hi khaya jata hai. Dosray waqt koee aur cheez li jati hai. Bawar rehna chahiay salan kay sath chapati bhi lazma rehti hai. Lowazmay main salad bhi
  • 18. dastar khan ka hissa banta hai. Dosray waqt ki khorak kay darmiyan main hum kuch na kuch zaroor khatay rehtay hain. Goya hamaray jism ko kisi na'kisi hawala say 22 ouns khorak din main mil hi jati hai. Issi tara mithay main kheer ho kah kastad, gajar ka halwa ho ya sohan halwa matloba zarorat ko pora kartay rehtay hain. Jo cheez hum pasand nahain kartay aur ossay khorak nahain banatay os ka motbadal hamari khaesh farahum kar daiti hai. Khorak ko motwazan karni ki fikar main hum gher zorori chizain kha jatay hain jo faeday ki baja ay noqsan ka sabab banti hain. Khorak ko aam sada aur gharailu sa rakheay. Takalfaat say dori hamain bimari say door rakhti hai. _________________ Sun Nov 30, 2008 9:54 pm amber ali
  • 19. 5 Star Member LONDON thanks 4 good info Sun Nov 30, 2008 10:33 pm Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab Allah Sahib aap k zooq-e-aaghi ko barkat day _________________ Sun Nov 30, 2008 11:50 pm urfi67 Forum Family Member keep it up , Dr Hasni Mon Dec 01, 2008 9:45 am Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani punjab
  • 20. ‫ل‬ ‫کے‬ ‫توجہ‬‫ی‬‫ہوں‬ ‫گزار‬ ‫شکر‬ ‫ے‬‫۔‬ ‫رکھے‬ ‫کوخوش‬ ‫آپ‬ ‫ح‬ ‫ص‬ ‫ہ‬‫۔‬ ‫والد‬ ‫اپنے‬ ‫اور‬ ‫اپن‬‫ی‬‫خ‬ ‫ک‬ ‫ن‬‫ی‬‫رکھ‬ ‫ل‬‫ی‬‫ں‬ http://www.forumpakistan.com/motwazan-ghaza-ka-masla-t1 9016.html#ixzz4GGpKU5Kc KANSAR KOEE FOOQ-UL-FITRAT BIMARI NAHAIN Her bimari kisi na'kisi androni aza main tabdiliz/kharabi ka natija hoti ab mein kehta hoon gher mehsous andaz say mojoda aur adi mamolaat main tabdili laee ja'ay to is say mairi marad androni aur bahar kay mamolaat hotay hain. Baroni tabdiliaan: 1- Majoda rehan sehan aur os say motalqaat
  • 21. 2- Naya mahool aur na'ay atwar ki farahmi 3- Mosamoon ki tabdili 4- Othnay baithnay kay momolaat 5- Khanay pinay ki tarteeb 6- Khanay pinay kay oqaat main tabdili 7- Pasand na'pasand main tabdili 8- Pasand na pasand ki tarteeb main tabdili 9- Her qisam kay tasalsal aur tawatar ko tabdeel kya ja'ay 10- Roz mara kay momolaat tabdeel ki'ay jaein 11- Rangoon ki viraity tabdeel hoti rehni chahiay 12- Nafrat say mohabat aur mohabat kay mamolaat aur atwar main tabdili 13- Tovajo batanay kay sabqa atwar
  • 22. 14- Doctor ki sar par sawari taqriban khatam ki ja'ay mareez kay sath sath motalqein say rabta bananay ko bhi tarji main rakha ja'ay. 15- Aanay janay kay rastoon tak main tabdili laee ja'ay 16- Jism ko eak hi dwa ka adi na banaya jay lihaza adviyaat main dosray chothay tabdili laee ja'ay ya kam az kam oon kay oqaat tabdeel kartay rehna chahiay 17- Khanay porana hai to bartan pehlay walay na rahain Androni aza kay function main tabdiliaan lanay ki baat bila shuba hiran'kon aur ahmqana si lagti hai laikin yah otna hi zarori hai jitna baroni tabdilioon ka lana zarori hota hai. Masan a- khorak ki tabdili say
  • 23. b- walk aur warzesh kay mukhtalif harboon say c- sochoon main tabdili la kar d- jumla havas par mukhtalif hawaloon say asar andaz ho kar e- mosmoon kay tafawat kay zariay f- Mashrobaat main tabdili say g- Khush rakh kar h- Tarjihaat main tabdili la kar i- chalnay prirnay aur othnay baithnay ke andaz o atwar badal kar j- badal badal kar saman-e-tafree farahum kiya j'ay. Adviyaat main Calc flour (6) TDS yaeni tein martaba siraf char qatray pani main dal kar Kali Phos (30) OD yaeni eak martaba,
  • 24. khas tour par sotay waqt. preshani ya kisi afsurda halat main dohraein Ka kisi bhi surat main naga nahain hona chahiay. Digar main Apes (30) Belladonna (30) Selenium (30) Naja (30) Thoja (30) Ya jo bhi dwa laga rakhti ho mareez kay baltay mazaj aur badalti halat kay motabaq di jinai chahiay. Yaad rehna chahiay mareez ka her lumha mazaj, halat, zarorat, rujhan, khaesh waghera main tabdili aati rehti hai is liay eak hi dwa ka daina monasab/soud'mand na ho sakay ga. Ghar waloon ko is moamla main bara hi sensitive hona paray ga. Attendant ko moalaj ki si hasiat hasal hoti hai
  • 25. woh mareez ki halat zarorat waghera ko ba'chasham-e-khud daikhta rehta hai is liay ossay choti choti tabdilioon ko nazar main rakhna ho ga. Is kay liay ossay lamha lamha ki khabr likhtay jana chahiay is say mareez kay Doctor ko alaj main aasani rahay gi. Note: likh nahain sakta to moti motu batoon ko yaad main rakhe. Adviyaat kay sath sath: 1- Khiray ki jhaag ko pani main mala kar di ja'ay 2- Eak waqt main eak sabzi ki yakhni bana kar os main say eak chamach jab mareez pani talab kary, pani kay glass main mala di ja'ay 3- Her qisam ka phal mareez ko diya ja'ay. Pabandi
  • 26. na rakhi ja'ay jitna ji chahay kha'ay chahay eak qash hi kayoon na lay. 4- Phal ka juice nikal kar rakh lain. Jab mareez pani talab kary, pani kay glass main eak chamcha mala diya ja'ay. 5- a. Gosht ko soka aur masala'dar na pakwaein. b. Gosht ka shorbay wala aur kam masaoon wala hona chahiay. c. Ziyada chiknaee se parhaiz karain. d. Gosht main chahay eak hi kash sabzi ki zaroor dain. Os kash ko khaein na'khaein yah zarori
  • 27. nahain haan os ka dalna zarori hai. Rang aur Shmsi tavanaee Rang zindgi main bara aham kirdar rakhtay hain. Mareez ko jo rang pasand ho, os rang ki botal ya phir os rang ka patla kaghaz boltal lipait lain. Pani say bhari yah botal 6 ta 8 ghaintay kari dhoop main rakhain baad azaan ossay thainda karkay mareez ko dain aur yah amal tawatar say hona chahiay. is pani ko ahista ahista gira'ay aur os par paishab ki dhar maray. Wasael omuman sad-e-rah bantay hain aur ghurbat kaam bigarti hai laikin ghurbat main bhi mamolaat main tabdili lana mushkal kaam nahain. Rastoon ki tabdili, dhoop main chaoon ki khaesh, pakwan kay zaeqay badal kar, namak kam rakh kar namak ki khaesh paida ho sakti hai, mirch ziyada rakh kar kam mirch kay liay rujhan ho sakta, tovajo tabdeel karkay waghera waghera qisam kay aqdam aur harboon main koee dushwari ya kharach
  • 28. nahain aata. In tamam iqdamaat ka kya faeda ho ga? Rozmara kay mamolaat khorak ki tabdili say: 1-Androni aza kay function main tabdili aa'ay gi jab kah bimiri kay garaseem sabqa mukhsous halaat main parwan charay hotay hain. Wo tabdiloon kay ammal main apni survival barqarar na rakh paein gay. Dosra khanay pinay kay mamolaat, taste, ouqaat, variety aur pakan ki cooking mamool say hatnay say oon main baichaini bharay gi natija kar oon ki bahmi thun ja'ay gi. eak dosray ko marain ge aur apni khorak banaein ge. Os ki zinda ki missal yah hai kah karoroon sperms main say eak do ya kuch hi uterus main dakhal ho patay hain baqi eak dosray kay hatoon mout kay ghat otar jatay hain. Ya yah missal lay lain eak aadmi mukhsous masaloon main bhona howa ghost khata raha
  • 29. hai aur wo is ka arsa daraz say aadi hai. Ab ossay pehlay masaloon say hat kar masaloon main paka shorbay wala ghost khanay ko diya jata hai. Yah ammal androni tabdilioon ka sabab banay ga. Eak shakas bhanis ka doodh pita chal;a aa raha hai ab bhanis kay doodh ki bajay onthni, bakri ya phir ga'ay ka doodh pinay ko diya ja'ay. Eak shakas hot tea ka adi hai ab ossay ice/cold tea di ja'ay. Eak aadmi chaoon walay rastay say gozarta hai aur yahhi hamaisha say os ka mamool raha hai. Ab ossay dhoop walay rastay say gozarna parta hai. Andar chaoon ki khaesh paida ho gi. Yah khaesh pehlay routine ki zarorat ho gi. Puri na honay kay sabab andar kay function main tabdiliaan la'ay gi. Yah tabdiliaan bimari kay jarasimoon ko kisi bhi hawalsa say khush na aaein gi. Is moamla main eak zarori baat note karni
  • 30. chahiay kah bar bar tabdiliaan laee jaein. Eak mamool na rehnay di ja'ay. 2-Blood cells ki haiat-e-tarkibi main tabdili aa'ay gi. Es hawala say bannay wala khoon bimari kay jarasemoon kay liay kisi kaam ka na ho ga. Es tara wo bhokoon marain gay yah phir eak dusray ki khorak ban jaein gay. 3-Madafti fooj na ay saray say eak dusray andaz aur nae qisam ki tavanae kay sath taiyar ho gi. Yah fooj jarasimoon ki kisi tara bardast na karay gi aur na'ay andaz aur na'ay tariqa ha'ay kar say jang ka aaghaz karay gi. Is fooj ki taqat aur larnay kay atwar say bimari kay jaraseem motahammal na ho sakain gay. 4- jis kamzoor hissa main bimari kay jaraseem ponahain ge wahaan bilkul mukhtalif qisam ka khoon ja sakay ga. Is kay doo fawaed hoon gay: a- wo hissa zindgi ki taraf lotna shoru kar day ga aur os ka function pehlay say mukhtalif andaz aur toor ka ho ga aur yah bimari kay
  • 31. jarasimoon kay liay mohlak sabat ho ga. b-yah naee tara ka khoon aur is kay RBCs bimari kay liay kisi kaam kay na hoon gay. Is hawala say bimari kay jarasimoon ki nash-o-nama rok ja'ay gi aur lamha-ba-lamha kamzoor partay jaein gay. Panch moalgein ki zarorat Hamaray haan baad qismati yah hai ka mareez ko madi laclach ki vaja say bohat hi kaam waqt diya jata hai. Warna is mozi marz kay liay panch masihaoon ki zarorat hoti hai: 1- Qualified Record keeper jo bari zimadari say mareez ki naqal-o-harqat waghera ko note karay 2- Mahar-e-Nafasyaat jo marz kay khatamay main bara aham kirdar ada kar sakta hai aur woh:
  • 32. a- mareez ki soch kay dharay badal sakta hai b- jinay ki khaesh ko do'chand kar sakta hai Aagay bharnay say pehlay batoor hawala eak missal paish kana zarori samjta hoon. Eak shakas kisi ko qatal karnay kay liay baray ghusa say dhora chala jar aha hai. Rasta main koee ossay rook kar moamla pochnay baith jata hai aur woh dil khool kar sara majra/qisa keh daita. Keh dainay kay baad woh kisi ko qatal karny ki pozishan main nahain rehta. Halan kah ossay samjaya nahain giya hota. 3- Baroni mamolaat main gher mahsous andaz/tariqa say tabdiliaan lanay wala 4- Khorak kay zariay androni aza main tabdiliaan lanay wala 5- Adviyaat kay hawala say is mozi maraz kay jaraseem kay khalaaf jang larnay wala
  • 33. Mareez ka attendant bhi qabal, zimadar, maraz ki noeat samjnay wala hona chahiay. Yah baat zehan nashein rehni chahiay kah charoon ka bahmi rabta aur sala mashwara rehna chahiay. Goya woh eak team ka sa kirdar ada karain. Kaam mukhtalif laikin maqsad eak. Giyara khilari apnay apnay hawala say eak marboot khail khail kar goal karnay ki thantay hain. Zindgi kay liay moalajein khilari ki si lagan kay sath yah qabal-e-izzat masiha Sahiban kaam kayoon nahain kar saktay?! http://www.forumpakistan.com/kansar-koe-fooq-ul-fitrat-bim ari-nahain-t17372.html#ixzz4GGpVkOgB ALAJ MOALAY SAY PEHLAY KHAMIR KAY AJZA PAR GHOOR KI ZARORAT
  • 34. Allah Sahib ka kehna hai kah insan ko tein (Mati) say takhleeq/paida kya giya hai. Hazrat Amir (AS) is ki wazahat kay zomray main apnay eak khutbay main arshad farmatay hain, insan ko mukhtalif amarja ki matti akathi karkay banaya giya. Goya Insan matti say bana Yah mati mukhtalif amarja say li gaee Matti mokhtalif ajza say tarkeeb paee hai aur her joz ki taseer dosri say alag hai. Issi tara mukhtalif amarja ki matti kay ajza main faraq hai. Mamasal ajza ki taseer main bhi yaqinun tanasab aur taseer ka faraq rehta hai. In ajza main pani miqdar main ziyada hota hai. Issi tara mokhtalif jagoon kay pani ki taseer alag say hoti hai. Ajza-e-tarkibi kay tanasab main bhi faraq hota hai. Yahhi surat digar ajza ki taseer kay sath dar paish rehti hai.
  • 35. Is hawala say daikha ja'ay to mareez ko na'siraf os kay apnay hawala se daikhnay ki zarorat hoti hai balkah os alaqa kay matti pani ki taseer aur ajza e-tarkibi ko bhi daikhnay ki zarorat ko nazr main kanay ki zarorat rehti hai. Is hawala say dou kaam karna hoon gay: 1- Os alaqa ki matti pani ki majmoee taseer aur ajza-e-tarkibi kay tanasab say waqfiyat rakhna paray gi. 2- Madafti qowatoon ki mazboti issi tanazar main baqarar rakhna ho gi. Jahaan alaj moalja ahum hasiat rakhta hai wahaan madafti qowat ko mazboot say mazboot karnay ki zarorat ko nazar andaz karna kharabi say nipatnay main kamzori daikhana ho gi. Jab yah maloom hai kah kansar, aid aur yarqan (Hapataitas B) jaisay
  • 36. mozi marzoon kay liay zalim qisam ka injekshan /adviyaat daina hai to madafti qowat ko bhi taqviat daina ho gi. Mareez ki madafti qowat bimari say naburd azma ho gi kah in adviyaat kay sakhat tarein raad-e-amal say barsar-e-paikar ho gi. Yah baat mein nay is hawala say bhi arz ki hai kah hamaray haan ailopaithik aur apraishan par hi yaqein rakha jata hai jab kah digar tariqa ha'ay alaj say parhaiz hi rakha jata hai. Ta'hum koee bhi moaljay kay liay tariqa ikhtayar kiya ja'ay madafti qowatoon ko sahara daina hi ho ga. Madafti qowatoon ko sambhala dainay kay liay matti panikay ajza-e-tarkibi ki janch karna pary gi. Androni nazam main kisi bhi waja say in ajza-e-tarkibi main say kisi eak ki kami waqay ho sakti hai ya os main azafa ho sakta hai. Is kami ya ziyadti ko pura kiya ja'ay. Ajza main kami baishi ka andaza moalaj yahaan tak kah ghar walay ba khobi laga saktay hain. Wo is tara
  • 37. 1- mareez kay roz mara mamolaat main tabdili mehsous karkay 2- mareez kay badaltay atwar say 3- mareez ki badalti khahshaat say 4- mareez kay badaltay sabha aur mazaj say 5- mareez ki badalti pasand na'pasand say 6- mareez ki pehlay aur mojoda ki bool chaal kay andaz say 7- aza main mehsous hoti tabdilioon kay hawala se 8- kahein dard rehnay say 9- bukhar ki halat say 10-susti waqay honay say 11-dilchaspioon ki tabdili say 12-omomun koee taklif rehnay say
  • 38. 13- bhook ki kami baishi se 14- khorak main kisi cheez ki masalsal barhti khaesh se 15- napasand ki pasand se Gharz aaghaz hi say aisi bohat sari chizoon say andaza lagaya ja sakta hai aur ossi hawala say moalja sood'mand sabat ho sakta hai. Maslan a- mareez main khurdni namak ki khaesh bhar ya kam ho sakti hai. Gosht khori ki khaesh main kami baishi aa sakti hai. Ziyada pani paina shuro kar daita ha ya pehlay ki nisbat pani kam pita hai. Kisi khas sabzi ki taraf raghbat bhar sakti hai. Pasand ki sabzi say nafrat ho sakti hai. Khnay main naqs nikalna shuro kar daita hai
  • 39. Bartanoon ki tabdili ki khaesh karnay lagta hai Khnay kay hawala say bohat tara ki tabdilioon ko mehsus kiya ja sakta hai b- Kisi mukhsous shakas say pehlay ka sa rovaeya nahain rehta. Mazaj main chirchara'pun aa sakta hai. Baat baat par jhagra khara kar daita hai Batain bholnay lagtqa hai Baat ko olta laita hai Itmad ki kami aa sakti hai Kisi par itmad nahain karta Auroon say ziyada omidain wabasta kar laita hai Oltay saidhay khaab daikhnay lagta hai Hawaee qalay tameer karna shuro kar daita hai
  • 40. Khoof aur haras main rehnay lagta hai yah kisi khas baat say darta hai aur os say dori ikhtayar karta hai Mazaji atwar ki bohat sari tabdilioon ko note kiya ja sakta hai. Khoraki aur mazaji tabdilioon kay hawala say khorak say mota'aluq kisi joz main kami ya azafay ka andaza karna koee dushwar kaam nahain. Is kami baishi ko ajza say hi pura kya jana momkin hai. Eak shakas main namak ki kaesh bhar gaee os ki is khaesh ko din main tein baar Nat Mur (6) nay pura kar diya giya jis say woh aati bimari say bach gya. Her shakas apnay khamir ki matti kay motabaq khoraqi ajza laita hai is liay os say mota'aluq aaghi hasal karna koee mushkal kaam nahain. Jab hum os ko ibtada main mehsous nahain kartay aur os kay badaltay
  • 41. atwar par nazar nahain kartay to woh aatay kal ko kisi khoof'nak bimari main mobtala ho jata hai. Ibtada main hi tovajo day di ja'ay to yah achi aur sehat'mand baat hai dairi ki surat main koee pachidgi paida ho sakti hai ta'hum yah nahain kaha ja sakta kah ab mout hi os ka moqadar bun chuki hai aur ossay halaat kay reham-o-karm par choor diya ja' ay. Chara bahar toor akhri sansoon tak puri shidat aur dilchaspi say hotay rehna chahiay. http://www.forumpakistan.com/alaj-moalay-say-pehlay-khami r-kay-ajza-par-ghoor-ki-zarorat-t17376.html#ixzz4GGpgwypT MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
  • 42. Az: Maqsood Hasni Paish'kar: Prof. Niamat Ali Murtazai Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016