SlideShare a Scribd company logo
1 of 16
Download to read offline
1
ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT
Maqsood Hasni
Free Abuzar Barqi Kutab’khanaJuly 2017
2
ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT
Omuman samjha socha aur kaha jata hai kah hakam
zobanain mahkoom zobanoon par lisani hawalah se
asar’andaz hoti hain , yah nazria eak haad tak darust ho
sakta hai laikin is ki sehat ka mokamal toor par iqrar
nahain kiya ja sakta. Zobanain kisi bhi hawalah se jab eak
dosray kay qareeb aati hain, apna lisani asar zaroor
choorti hain. Kam ya ziyadah asar kay ziman main chand
omoor paish paish rehtay hain. Maslan
1- Awazoon ki ginti aur oon ka lisani nazam
2- Zobanoon ki lachak’paziri
3- Mutradaf aur mutbadal aawazoon ki farami
aur mojodgi
4- Bolnay waloon kay mazaj rojhanaat aur
khsusi ravaeay
3
5- Bolnay waloon ki mail molaqaat ki suratain
aur zaroratain
6- Majmoee aur shakhsi andaz-o-atwar
7- Halaat, qudrati mahool, aur moashrat
8- Zaroratain aur oon zaroratoon ki noeat-o-ehmiat
9- Zobanoon ki anna, jo oon se mukhsous hoti hai
10- Aalaat-e-notaq aur moavan aalaat-e-notaq
11- Mutradfaat-o-Mutbadlaat
12- Murakab aawazain
Majbori se juray afaal istakam se door rehtay hain ya
phir oon ka saliqah darust nahain hota. Yah bhi mumkin
hai kah oon kay andaz-o-atwar na’darust rahay hoon.
Bahar’toor kahein na’kahein kharabi, kaji ya adhoray’pun
ki koee na’koee surat zaroor baqi rehti hai jis kay sabab
aatay waqtoon main oon afaal ki moot waqaay ho jati hai
aur woh qissah-e-parenah ho kar reh jatay hain.
4
Mukhtalif alaqoon aur qomiatoon se motalaq log Bar-e-
Sagher main mukhtalif hawaloon se aatay jatay rahay
hain. Bar-e-Sagher ki zobanoon nay badaisi zobanoon se
asraat qabool kiay. Urdu nay bhi badaisi zobanoon se
asraat qabool kiay. Urdu donyaan ki tamaam zobanoon se
ziyadah social, milan’sar aur lachak’pazeer hai. Issi
wajah se aaj yah donyaan ki dosri bari zoban hai aur is ka
daera-e-izhar mahdood nahain. Jab yah boli rahi ho gi, is
ka qad-o-kath batata hai os waqt bhi izhar kay moamlah
main os ehad kay motabaq mahdood nahain rahi ho gi.
Yah jab aur jis se mili os ko apna kar liya.
Hoor, ahwaal, oqaat, majlis, asami, rashi, ghareeb,
khasam waghera
Mint’mar,missain, tuo’chain, touch, maicha, naicha,
ladiaan votran, sportran, tarablaat wagherah
ab Arbi ya Angraizi kay alfaz nahain rahay. Urdu zoban
main in ki apni haiseat zarorat istamal aur nahvi set up
hai aur Urdu kay apnay lisani nazam se mukhsous hai. is
5
qisam kay un’gint alfaz Urdu kay liay ajnabi nahain hain
aur na’hi in kay istamalaat Arbi ya Angraizi kay lisani
nazam kay marhoon-e-mint hain.
Angraizi Bahadar Shah Awal (1712) se taqriban Bar-e-
Sagher kay liay majbori ka darjah ikhtayar kar gaee
laikin jab Urdu kay jossay ko malahzah kartay hain to
ba’khoobi andazah hota hai kah issay kisi bhi hawalah se
majbori ka naam nahain de saktay. Angraizi alfaz ko
qaboltay samay kahein aur kisi moor par is ki anna majro
hoti nazar nahain aati. Badaisi/Mahajar ko is ki anna kay
hawalah se libas ikhtayar karna para hai. Shalwar
Qameez pehnay bagher os ki nahain bani. Her badaisi lafz
Urdu kay zaati hawalah se apni shanakht rakhta hai.
Angraizi alfaz ko qabonay ki bohat sari suratain samnay
aati hain. Agli satoor main chand eak ka tazkarah kar
raha hoon ta’kah is hawalah se kaam ko aagay bharnay
main, kisi haad tak sahi, madad mil sakay. Is tehreer ki
tayari kay liay Qblah Syed Akbar Allahabadi kay qalaam
6
se bhar’poor istafadah kiya giya hai. Bawar rahay mojood
talafaz kay motabaq alfaz kay indraj ki koshesh ki gaee
hai.
• Bay’shamar angraizi alfaz Apni asal ashkaal kay sath
Urdu zoban main dakhal ho gay hain. Oon ki yahaan farest
daina mazmoon ko la’yaeni tawalat dainay kay mutradaf
ho ga.
• Angraizi aur Urdu ki amaizash se mukhtalif qisam
kay aamaizay/marakbaat parhnay sonnay ko mil jatay
hain. Maslan
English masadar, Lat sahib, jhutay biskot, natural cheez,
natural baat, paper dhandli, shookh mis, natural hai, agla
koras, angrairzi andleeb, london tak/talak, gharbi
mashinoon, paish commission, maghrabi operation, dhili
patloon, shakhastah note book, shiya college, siyasi
committee makhfi policy/palisi, angraiz society, tikat
ghar, dak train, mula majistrate, sufi professor, political
zarorat, third walay, sintific tareeq, social halat, political
7
aab-o-hawa, eak inch, liague se, kolaig se, bar main, jail
main, college kay, college main, hotal main
alam-e-teacher, mis-e-farang, milat-e-angraiz, khooh-e-
kalaktar, taraqi-e-pension, meh-e-nature, chasham-e-
mis, shah-e-ingland, shah-e-jarmany, mission-e-inkalaab,
taqleed-e-english, saz-e-piyano, androon-e-asia, deen-e-
naturi, shahid-e-hotal, sarjun-e-raqeeb, fikar-e-salution,
ehhad-e-english, pabandi-e-patloon, patloon-o-kot,
banglah-o-biskit, latin-o-english, college-o-teacher,
englastan-o-jarman, shaikhi-o-kalarki, naghmah-e-
aspensar-o-mal, karnal-o-comissioner, naghmah-e-
yorap, ghamzah-e-anginiri, mai-e-london, saya-e-hotal,
nokri-o-membri
so-e-london, nuskhah-e-resolotion, kochah-e-service,
tazkarah-e-college, tazkarah-e-visit, pardah-e-sacreen,
kiresmis ka pechla, kalaktar ka day, aspeach ka honar,
aspeach ka sur, taitar ka sama, hukam English ka, english
ka bojh, yorap ka qafiya, council ka vote, masjid ka
8
notice, shahi ka charage, kalaktar ka didar, university ka
maslah, bikit ka choor, biskit ka joor, lecture ka sabaq,
enlish ka door dorah, beaf ka chaska, patloon ka paich,
astation kay sadqay, fesion kay sadqay, fasion kay khalaf,
fasion kay sath, bangloon kay moqeem, college kay kiray,
college kay mufti, putloon kay batan, yorap kay log,
English kay falait, parh kay angraizi, government kay
daftar, nito kay wastay
ezzat ki history, yorap ki taraf, boot ki char char, wahdat
ki mistari, history ki basti, aspatal ki dawa, deputation ki
sar sabzi, college ki bakvas, league ki government, nito
chacha, yorap ki dastan, rail ki patri, nito ki ghis ghis,
maiz ki varaity, leader ki raqasi, nito ki tunkhah, London
ki masjid, aschool ki garaimar, shitan ki sectary
bangloon par tarkay, paraid par qoaed, paraid par laid,
chahray par gilat, moter par sawar, stage par dunyaan,
committee aur resolution, tajarat aur politics,
December ho ya augest, history ko bhool stage ko
9
sanwar, votoon main mukhtalif, bangloon se namaz,
bangloon main namaz, government to kush hai, angraizi
hi ko, bari mistake, government hi responsible, league se
keh do, choor literature ko, majoon nay kot pehna,
munchi kah kalarak, government ki policy, kilisa main
angraizi, resolation kay seva, yorap nay kaha, bai’tekat
fareshtay, madam diyana
• Sabqoon lahqoon ka bhi bari khoobi se estamal hot
rehta hai. Maslan
Bay’tekat, khushnama dinner, dilkosha sciene, bay’harm,
bila’gilt, bila’colour, bila’operation, miss na’shanas,
pension yaftah, banglah nasheen, science dan, kalark
baadshah, kalark baadshahi, mumkinilty, trarablaat
wagherah
• Urdu masadar kay sath angraizi alfaz ka estamal
aam se baat hai. Baz aisay marakbaat hain jo mohavray
kay darjay par faez ho gay hain. Maslan
Aspatali ho rehna, operation karna, operation hona,
10
operation ho chukna, editor banna, edit karna, advance
daina, advance laina, bag sambhalna, batan kholna,
putloon charhana, patloon dhili hona, reject hona, reject
karna, rail par charna, teckt katna, select hona, select
karna, sciene dekhana, science bunna, science banana,
sciene daikhna, photo chatna, photo dikhana, photo laina,
photo daikhana, photo khichna, college ki rah laina, life
likhna, life raqam karna, life banna, life banana, life
bigarna, life tabah hona, mistar hona, wish karna, land
hona, land karna, motor pakarna, waqt pass hona, waqt
pass karna, history likhna, history parhna, nation banana,
defance hona, defance karna, copy karna, copy hona,
botal se pina, report likhna, report likhwana, report
daina, lecturer sonna, lecturer daina, lecture hona,
lecture jharna, lecture pilana, tekat katna, tekat katwana,
tekat milna, committee milna, committee dalna,
committee dalna
• Angraizi alfaz ki jamein Urdu kay apnay lisani nizam
11
kay zair-e-asar tarkeeb pati hain. Maslan
Bangloon, calljoon, kalarkoon, laidioon, misooon,
membroon, votoon, voteroon, biloon, bankoon,
universitoon, scholoon, motoroon, sportroon,
teacheroon, doctoroon, professoroon,
Misain, busain, carain, calain
Commiteaan scocitiaan, veritiaan waghera
• Bohat se angraizi alfaz ki Urdu main aawazain
barhaee ghataee gaee hain. Maslan
School se ascool, scheme se askeem, steam se asteam,
sacutar se askotar
• Yay aur ee ki barhoti se alfaz bananay ka ravaj
aam hai. Maslan
Aspatali, ministry, ragistari, daktari, mastari, kalactari,
clerki, leaderi, aishiae wagherah
• Moanas bananay kay liay daisi toor ekhtayar kiay
12
jatay hain. Maslan
Daktarni, masterni, membarni, afsarni, ledarrni waghera
• Bohat se alfaz tabdili-e-mafaheem kay sath Urdu
main dakhal ho gay hain. Maslan
Blade, break, discharge, taxi, copy, glass, circle, carkat,
school, tube, lead, plate jug waghera
• Baz jamein Urdu main wahad mustamal hain. Maslan
Media, bictairia
• Mutbadal aawazoon kay sath bohat se alfaz parnay
sonnay ko mil jatay hain. Masan
cd se ct, praid se parait, wagherah
• Alfaz gharnay ki adadt tamam zobanoon main bari
hai. Maslan
Baek, tuch, lakat chain, pilshun, gainsa (gass), tony blade,
bursh (buch),
Chain step (change step), tuochun, rapat waghera
13
• Talafaz ki tabdili aur tabdili-e-ashkaal ka aam ravaj
hai. Maslan
Marbal, garaemar, maral, bursh, such, batal, banglah,
varaeti wagherah
• Bohat sari ashya kay naam, omomi bool chal main
dakhal ho gay hain. Maslan
Cooler, farej, desh, fish, glass, matan, beaf, wall clock,
washing machine, wash room, bath room, kitchen,
television, telephone, baisan, blade, ovan, bed, shampoo,
bed sheet, chair, table, boot, coat, iron, cooker, shirt,
vcr, shameiz, cup, soop, book, copy, pencil, pen, modal
paper, medical wagherah
• Bohat sari adviyaat aur medical se motalqaat kay
naam aam bool chaal main dakhal ho gay hain. Maslan
Brufen, septran, ponestone, paracetamol, disprine,
needal, nurs, surjan, ms, medical store, blood group,
medical offcer, emergency delivery, care, ward waghera
14
• Foji ohdoon aur foj se motalqaat kay naam Urdu
zoban ka hessah ban gay hain. Maslan
Captain, karnal, major, wing commander, wing head
quarter, field officer, gun, tank, machine gun, brain gun,
praid ground wagherah wagherah
• Dafatar kay naam Urdu main dakhal ho gay hain.
Maslan
President house, Prime minister house, Assembly
hall/chamber, governor house, subae secretariate, dc
office, sp office, post office, sdo office, edo office, deo
office, wapda house, inspectorate, doctorate, ag office,
account office, police station, railway station, booking
office, wagherah
• Un’gint civil ohdoon kay naan Urdu main ravaj pa gay
hain. Maslan
Metar redar, driver, post man, lungar commandar, line
man, clerk, head clerk, accountant, controller, principal,
15
head master, judge, session judge, barester, dg,
economist, accountant garnal, dean, counciler, manager,
casher, gate keeper director wagherah
• Bohat saray niji adaroon kay naam angraizi amaiz
hain. Maslan
• City view high school, pakistn modal high school,
garden town college ofscience, alkhair university, Irha
postgraduate college, Lahore college of sciences, shiba
delivery house, raza health service, saeeda health
centre, qamar health calinic, noshabah beauty clinak,
nikhar beauty parlar, nitasha beauty centre, jaded book
house, ezhar sons, ferooz sons, taj compney, Ahmad
cloth house, sajid landry, kasur landry, shizan baikery,
nazir anaetullah transport compney, zaki transport
compney, chenab transport services wagherah
• Bohat saray purzoon kay naan Urdu main mustamal
ho gay hain. Maslan
Ring pistan, liver, break, bell, haran, ranch, sacru,
16
handle, stayring, madguard, tyr, tube, carboraitar, axsal,
chain, carrier, plug wagherah
• “Un” donoon zabanoon ka mushtarkah sabqah hai.
Maslan
Un’parh, un’gint, un’haad, un’jan, un’daikha, un’mit,
un’data wagherah

More Related Content

What's hot

Geet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor LyricsGeet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor LyricsMasihi Web
 
Planning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspectivePlanning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspectiveazeez luthfullah
 
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہےقومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہےmaqsood hasni
 
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainUrdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainmaqsood hasni
 
Love is a waste of time (hindi) story by- ajit sahoo
Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahooLove is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo
Love is a waste of time (hindi) story by- ajit sahooAJit Sahoo
 
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA maqsood hasni
 
Geet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor LyricsGeet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor LyricsMasihi Web
 
New text document
New text documentNew text document
New text documentShaik Uddin
 
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?  BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT? maqsood hasni
 
Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala maqsood hasni
 
Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo
Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit SahooLove makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo
Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit SahooAJit Sahoo
 
Istaghfar ki barakaat(urdu)
Istaghfar ki barakaat(urdu)Istaghfar ki barakaat(urdu)
Istaghfar ki barakaat(urdu)umenaira
 

What's hot (20)

Lafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahaniLafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahani
 
Insan
Insan Insan
Insan
 
Geet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor LyricsGeet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor Lyrics
 
Suraj ko rook lo
Suraj ko rook loSuraj ko rook lo
Suraj ko rook lo
 
Planning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspectivePlanning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspective
 
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہےقومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
 
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainUrdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
 
Love is a waste of time (hindi) story by- ajit sahoo
Love is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahooLove is a waste of time (hindi)  story by- ajit sahoo
Love is a waste of time (hindi) story by- ajit sahoo
 
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
 
english_asaramayan
english_asaramayanenglish_asaramayan
english_asaramayan
 
Geet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor LyricsGeet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor Lyrics
 
Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1
 
New text document
New text documentNew text document
New text document
 
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?  BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 
Poems
PoemsPoems
Poems
 
All baba songs
All baba songsAll baba songs
All baba songs
 
Presentation1
Presentation1Presentation1
Presentation1
 
Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala
 
Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo
Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit SahooLove makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo
Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo
 
Istaghfar ki barakaat(urdu)
Istaghfar ki barakaat(urdu)Istaghfar ki barakaat(urdu)
Istaghfar ki barakaat(urdu)
 

Similar to Angraizi ke urdu par lisanyati asraat

lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab	lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab maqsood hasni
 
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanainAwazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanainmaqsood hasni
 
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
MAREEZ  KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTAMAREEZ  KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTAmaqsood hasni
 
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat 	Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat maqsood hasni
 
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay NahainTakht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahainmaqsood hasni
 
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraatArbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraatmaqsood hasni
 
Sant velentain jodon ka sanrakshak.
Sant velentain   jodon ka sanrakshak.Sant velentain   jodon ka sanrakshak.
Sant velentain jodon ka sanrakshak.Martin M Flynn
 
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeriProf. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaerimaqsood hasni
 
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriPaaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriSalim Rawat
 
Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?!
Admi,  Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?! Admi,  Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?!
Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?! maqsood hasni
 
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.touqeerabbas
 
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas ayaEk walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas ayaalihussnain
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoMuhammadAhsanProfile
 
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
Khudi na bach  gharibi main naam paida kar Khudi na bach  gharibi main naam paida kar
Khudi na bach gharibi main naam paida kar maqsood hasni
 

Similar to Angraizi ke urdu par lisanyati asraat (20)

lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab	lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
 
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanainAwazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
 
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
MAREEZ  KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTAMAREEZ  KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
 
Insan aur zobanain
Insan aur zobanainInsan aur zobanain
Insan aur zobanain
 
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat 	Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
 
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay NahainTakht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
 
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraatArbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
 
Sant velentain jodon ka sanrakshak.
Sant velentain   jodon ka sanrakshak.Sant velentain   jodon ka sanrakshak.
Sant velentain jodon ka sanrakshak.
 
Hayat e Goraizaan
Hayat e GoraizaanHayat e Goraizaan
Hayat e Goraizaan
 
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeriProf. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
 
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriPaaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
 
Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?!
Admi,  Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?! Admi,  Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?!
Admi, Janwar ya os ki koee taraqi’yafta surat hai?!
 
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
Aseeb,Saya,Jinaat Or Bandish,Aasebi Bandish.
 
Babul ki beti
Babul ki betiBabul ki beti
Babul ki beti
 
LOVE SHAYARI
LOVE SHAYARILOVE SHAYARI
LOVE SHAYARI
 
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas ayaEk walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
Ek walid apney naujawan betey ko ley kat merrey paas aya
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
 
Asaramayan english
Asaramayan englishAsaramayan english
Asaramayan english
 
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
Khudi na bach  gharibi main naam paida kar Khudi na bach  gharibi main naam paida kar
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
 
Nusrat Fateh ali Khan
Nusrat Fateh ali KhanNusrat Fateh ali Khan
Nusrat Fateh ali Khan
 

More from maqsood hasni

چودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہےچودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہےmaqsood hasni
 
مقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیںمقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیںmaqsood hasni
 
The languagr problem
The languagr problemThe languagr problem
The languagr problemmaqsood hasni
 
TWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIESTWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIESmaqsood hasni
 
منار زیست پر
منار زیست پرمنار زیست پر
منار زیست پرmaqsood hasni
 
دس واکا نظمیں
دس واکا نظمیںدس واکا نظمیں
دس واکا نظمیںmaqsood hasni
 
کیچڑ کا کنول منظومہ
 کیچڑ کا کنول  منظومہ کیچڑ کا کنول  منظومہ
کیچڑ کا کنول منظومہmaqsood hasni
 
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکارmaqsood hasni
 
Sailing stones of death valley
Sailing stones of death valleySailing stones of death valley
Sailing stones of death valleymaqsood hasni
 
چودہ ہائیکو
چودہ ہائیکوچودہ ہائیکو
چودہ ہائیکوmaqsood hasni
 
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافیmaqsood hasni
 
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti haimaqsood hasni
 
The World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years AgoThe World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years Agomaqsood hasni
 

More from maqsood hasni (20)

چودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہےچودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہے
 
مقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیںمقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیں
 
The languagr problem
The languagr problemThe languagr problem
The languagr problem
 
کچھ نظمیں
کچھ نظمیںکچھ نظمیں
کچھ نظمیں
 
زیادہ تر
زیادہ ترزیادہ تر
زیادہ تر
 
TWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIESTWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIES
 
منار زیست پر
منار زیست پرمنار زیست پر
منار زیست پر
 
Miracle of arts
  Miracle of arts  Miracle of arts
Miracle of arts
 
دس واکا نظمیں
دس واکا نظمیںدس واکا نظمیں
دس واکا نظمیں
 
کیچڑ کا کنول منظومہ
 کیچڑ کا کنول  منظومہ کیچڑ کا کنول  منظومہ
کیچڑ کا کنول منظومہ
 
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 
Pandora
PandoraPandora
Pandora
 
Japanese poetry
Japanese poetryJapanese poetry
Japanese poetry
 
Sailing stones of death valley
Sailing stones of death valleySailing stones of death valley
Sailing stones of death valley
 
چودہ ہائیکو
چودہ ہائیکوچودہ ہائیکو
چودہ ہائیکو
 
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 
طلاق
 طلاق طلاق
طلاق
 
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 
The World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years AgoThe World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years Ago
 
Adam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridgeAdam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridge
 

Recently uploaded

Final demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptx
Final demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptxFinal demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptx
Final demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptxAvyJaneVismanos
 
Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111
Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111
Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111Sapana Sha
 
The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13
The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13
The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13Steve Thomason
 
CARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptx
CARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptxCARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptx
CARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptxGaneshChakor2
 
Science 7 - LAND and SEA BREEZE and its Characteristics
Science 7 - LAND and SEA BREEZE and its CharacteristicsScience 7 - LAND and SEA BREEZE and its Characteristics
Science 7 - LAND and SEA BREEZE and its CharacteristicsKarinaGenton
 
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdfSanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdfsanyamsingh5019
 
Painted Grey Ware.pptx, PGW Culture of India
Painted Grey Ware.pptx, PGW Culture of IndiaPainted Grey Ware.pptx, PGW Culture of India
Painted Grey Ware.pptx, PGW Culture of IndiaVirag Sontakke
 
Class 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdf
Class 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdfClass 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdf
Class 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdfakmcokerachita
 
ENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptx
ENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptxENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptx
ENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptxAnaBeatriceAblay2
 
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptxSolving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptxOH TEIK BIN
 
Paris 2024 Olympic Geographies - an activity
Paris 2024 Olympic Geographies - an activityParis 2024 Olympic Geographies - an activity
Paris 2024 Olympic Geographies - an activityGeoBlogs
 
Employee wellbeing at the workplace.pptx
Employee wellbeing at the workplace.pptxEmployee wellbeing at the workplace.pptx
Employee wellbeing at the workplace.pptxNirmalaLoungPoorunde1
 
Enzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdf
Enzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdfEnzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdf
Enzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdfSumit Tiwari
 
Science lesson Moon for 4th quarter lesson
Science lesson Moon for 4th quarter lessonScience lesson Moon for 4th quarter lesson
Science lesson Moon for 4th quarter lessonJericReyAuditor
 
Computed Fields and api Depends in the Odoo 17
Computed Fields and api Depends in the Odoo 17Computed Fields and api Depends in the Odoo 17
Computed Fields and api Depends in the Odoo 17Celine George
 
_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting Data
_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting Data_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting Data
_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting DataJhengPantaleon
 
Presiding Officer Training module 2024 lok sabha elections
Presiding Officer Training module 2024 lok sabha electionsPresiding Officer Training module 2024 lok sabha elections
Presiding Officer Training module 2024 lok sabha electionsanshu789521
 
History Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptx
History Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptxHistory Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptx
History Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptxsocialsciencegdgrohi
 
SOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptx
SOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptxSOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptx
SOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptxiammrhaywood
 

Recently uploaded (20)

Final demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptx
Final demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptxFinal demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptx
Final demo Grade 9 for demo Plan dessert.pptx
 
Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111
Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111
Call Girls in Dwarka Mor Delhi Contact Us 9654467111
 
The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13
The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13
The Most Excellent Way | 1 Corinthians 13
 
CARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptx
CARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptxCARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptx
CARE OF CHILD IN INCUBATOR..........pptx
 
Science 7 - LAND and SEA BREEZE and its Characteristics
Science 7 - LAND and SEA BREEZE and its CharacteristicsScience 7 - LAND and SEA BREEZE and its Characteristics
Science 7 - LAND and SEA BREEZE and its Characteristics
 
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdfSanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
 
Painted Grey Ware.pptx, PGW Culture of India
Painted Grey Ware.pptx, PGW Culture of IndiaPainted Grey Ware.pptx, PGW Culture of India
Painted Grey Ware.pptx, PGW Culture of India
 
Class 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdf
Class 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdfClass 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdf
Class 11 Legal Studies Ch-1 Concept of State .pdf
 
ENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptx
ENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptxENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptx
ENGLISH5 QUARTER4 MODULE1 WEEK1-3 How Visual and Multimedia Elements.pptx
 
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptxSolving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
 
Paris 2024 Olympic Geographies - an activity
Paris 2024 Olympic Geographies - an activityParis 2024 Olympic Geographies - an activity
Paris 2024 Olympic Geographies - an activity
 
Employee wellbeing at the workplace.pptx
Employee wellbeing at the workplace.pptxEmployee wellbeing at the workplace.pptx
Employee wellbeing at the workplace.pptx
 
Enzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdf
Enzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdfEnzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdf
Enzyme, Pharmaceutical Aids, Miscellaneous Last Part of Chapter no 5th.pdf
 
Science lesson Moon for 4th quarter lesson
Science lesson Moon for 4th quarter lessonScience lesson Moon for 4th quarter lesson
Science lesson Moon for 4th quarter lesson
 
Model Call Girl in Bikash Puri Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝
Model Call Girl in Bikash Puri  Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝Model Call Girl in Bikash Puri  Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝
Model Call Girl in Bikash Puri Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝
 
Computed Fields and api Depends in the Odoo 17
Computed Fields and api Depends in the Odoo 17Computed Fields and api Depends in the Odoo 17
Computed Fields and api Depends in the Odoo 17
 
_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting Data
_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting Data_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting Data
_Math 4-Q4 Week 5.pptx Steps in Collecting Data
 
Presiding Officer Training module 2024 lok sabha elections
Presiding Officer Training module 2024 lok sabha electionsPresiding Officer Training module 2024 lok sabha elections
Presiding Officer Training module 2024 lok sabha elections
 
History Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptx
History Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptxHistory Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptx
History Class XII Ch. 3 Kinship, Caste and Class (1).pptx
 
SOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptx
SOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptxSOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptx
SOCIAL AND HISTORICAL CONTEXT - LFTVD.pptx
 

Angraizi ke urdu par lisanyati asraat

  • 1. 1 ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT Maqsood Hasni Free Abuzar Barqi Kutab’khanaJuly 2017
  • 2. 2 ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT Omuman samjha socha aur kaha jata hai kah hakam zobanain mahkoom zobanoon par lisani hawalah se asar’andaz hoti hain , yah nazria eak haad tak darust ho sakta hai laikin is ki sehat ka mokamal toor par iqrar nahain kiya ja sakta. Zobanain kisi bhi hawalah se jab eak dosray kay qareeb aati hain, apna lisani asar zaroor choorti hain. Kam ya ziyadah asar kay ziman main chand omoor paish paish rehtay hain. Maslan 1- Awazoon ki ginti aur oon ka lisani nazam 2- Zobanoon ki lachak’paziri 3- Mutradaf aur mutbadal aawazoon ki farami aur mojodgi 4- Bolnay waloon kay mazaj rojhanaat aur khsusi ravaeay
  • 3. 3 5- Bolnay waloon ki mail molaqaat ki suratain aur zaroratain 6- Majmoee aur shakhsi andaz-o-atwar 7- Halaat, qudrati mahool, aur moashrat 8- Zaroratain aur oon zaroratoon ki noeat-o-ehmiat 9- Zobanoon ki anna, jo oon se mukhsous hoti hai 10- Aalaat-e-notaq aur moavan aalaat-e-notaq 11- Mutradfaat-o-Mutbadlaat 12- Murakab aawazain Majbori se juray afaal istakam se door rehtay hain ya phir oon ka saliqah darust nahain hota. Yah bhi mumkin hai kah oon kay andaz-o-atwar na’darust rahay hoon. Bahar’toor kahein na’kahein kharabi, kaji ya adhoray’pun ki koee na’koee surat zaroor baqi rehti hai jis kay sabab aatay waqtoon main oon afaal ki moot waqaay ho jati hai aur woh qissah-e-parenah ho kar reh jatay hain.
  • 4. 4 Mukhtalif alaqoon aur qomiatoon se motalaq log Bar-e- Sagher main mukhtalif hawaloon se aatay jatay rahay hain. Bar-e-Sagher ki zobanoon nay badaisi zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu nay bhi badaisi zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu donyaan ki tamaam zobanoon se ziyadah social, milan’sar aur lachak’pazeer hai. Issi wajah se aaj yah donyaan ki dosri bari zoban hai aur is ka daera-e-izhar mahdood nahain. Jab yah boli rahi ho gi, is ka qad-o-kath batata hai os waqt bhi izhar kay moamlah main os ehad kay motabaq mahdood nahain rahi ho gi. Yah jab aur jis se mili os ko apna kar liya. Hoor, ahwaal, oqaat, majlis, asami, rashi, ghareeb, khasam waghera Mint’mar,missain, tuo’chain, touch, maicha, naicha, ladiaan votran, sportran, tarablaat wagherah ab Arbi ya Angraizi kay alfaz nahain rahay. Urdu zoban main in ki apni haiseat zarorat istamal aur nahvi set up hai aur Urdu kay apnay lisani nazam se mukhsous hai. is
  • 5. 5 qisam kay un’gint alfaz Urdu kay liay ajnabi nahain hain aur na’hi in kay istamalaat Arbi ya Angraizi kay lisani nazam kay marhoon-e-mint hain. Angraizi Bahadar Shah Awal (1712) se taqriban Bar-e- Sagher kay liay majbori ka darjah ikhtayar kar gaee laikin jab Urdu kay jossay ko malahzah kartay hain to ba’khoobi andazah hota hai kah issay kisi bhi hawalah se majbori ka naam nahain de saktay. Angraizi alfaz ko qaboltay samay kahein aur kisi moor par is ki anna majro hoti nazar nahain aati. Badaisi/Mahajar ko is ki anna kay hawalah se libas ikhtayar karna para hai. Shalwar Qameez pehnay bagher os ki nahain bani. Her badaisi lafz Urdu kay zaati hawalah se apni shanakht rakhta hai. Angraizi alfaz ko qabonay ki bohat sari suratain samnay aati hain. Agli satoor main chand eak ka tazkarah kar raha hoon ta’kah is hawalah se kaam ko aagay bharnay main, kisi haad tak sahi, madad mil sakay. Is tehreer ki tayari kay liay Qblah Syed Akbar Allahabadi kay qalaam
  • 6. 6 se bhar’poor istafadah kiya giya hai. Bawar rahay mojood talafaz kay motabaq alfaz kay indraj ki koshesh ki gaee hai. • Bay’shamar angraizi alfaz Apni asal ashkaal kay sath Urdu zoban main dakhal ho gay hain. Oon ki yahaan farest daina mazmoon ko la’yaeni tawalat dainay kay mutradaf ho ga. • Angraizi aur Urdu ki amaizash se mukhtalif qisam kay aamaizay/marakbaat parhnay sonnay ko mil jatay hain. Maslan English masadar, Lat sahib, jhutay biskot, natural cheez, natural baat, paper dhandli, shookh mis, natural hai, agla koras, angrairzi andleeb, london tak/talak, gharbi mashinoon, paish commission, maghrabi operation, dhili patloon, shakhastah note book, shiya college, siyasi committee makhfi policy/palisi, angraiz society, tikat ghar, dak train, mula majistrate, sufi professor, political zarorat, third walay, sintific tareeq, social halat, political
  • 7. 7 aab-o-hawa, eak inch, liague se, kolaig se, bar main, jail main, college kay, college main, hotal main alam-e-teacher, mis-e-farang, milat-e-angraiz, khooh-e- kalaktar, taraqi-e-pension, meh-e-nature, chasham-e- mis, shah-e-ingland, shah-e-jarmany, mission-e-inkalaab, taqleed-e-english, saz-e-piyano, androon-e-asia, deen-e- naturi, shahid-e-hotal, sarjun-e-raqeeb, fikar-e-salution, ehhad-e-english, pabandi-e-patloon, patloon-o-kot, banglah-o-biskit, latin-o-english, college-o-teacher, englastan-o-jarman, shaikhi-o-kalarki, naghmah-e- aspensar-o-mal, karnal-o-comissioner, naghmah-e- yorap, ghamzah-e-anginiri, mai-e-london, saya-e-hotal, nokri-o-membri so-e-london, nuskhah-e-resolotion, kochah-e-service, tazkarah-e-college, tazkarah-e-visit, pardah-e-sacreen, kiresmis ka pechla, kalaktar ka day, aspeach ka honar, aspeach ka sur, taitar ka sama, hukam English ka, english ka bojh, yorap ka qafiya, council ka vote, masjid ka
  • 8. 8 notice, shahi ka charage, kalaktar ka didar, university ka maslah, bikit ka choor, biskit ka joor, lecture ka sabaq, enlish ka door dorah, beaf ka chaska, patloon ka paich, astation kay sadqay, fesion kay sadqay, fasion kay khalaf, fasion kay sath, bangloon kay moqeem, college kay kiray, college kay mufti, putloon kay batan, yorap kay log, English kay falait, parh kay angraizi, government kay daftar, nito kay wastay ezzat ki history, yorap ki taraf, boot ki char char, wahdat ki mistari, history ki basti, aspatal ki dawa, deputation ki sar sabzi, college ki bakvas, league ki government, nito chacha, yorap ki dastan, rail ki patri, nito ki ghis ghis, maiz ki varaity, leader ki raqasi, nito ki tunkhah, London ki masjid, aschool ki garaimar, shitan ki sectary bangloon par tarkay, paraid par qoaed, paraid par laid, chahray par gilat, moter par sawar, stage par dunyaan, committee aur resolution, tajarat aur politics, December ho ya augest, history ko bhool stage ko
  • 9. 9 sanwar, votoon main mukhtalif, bangloon se namaz, bangloon main namaz, government to kush hai, angraizi hi ko, bari mistake, government hi responsible, league se keh do, choor literature ko, majoon nay kot pehna, munchi kah kalarak, government ki policy, kilisa main angraizi, resolation kay seva, yorap nay kaha, bai’tekat fareshtay, madam diyana • Sabqoon lahqoon ka bhi bari khoobi se estamal hot rehta hai. Maslan Bay’tekat, khushnama dinner, dilkosha sciene, bay’harm, bila’gilt, bila’colour, bila’operation, miss na’shanas, pension yaftah, banglah nasheen, science dan, kalark baadshah, kalark baadshahi, mumkinilty, trarablaat wagherah • Urdu masadar kay sath angraizi alfaz ka estamal aam se baat hai. Baz aisay marakbaat hain jo mohavray kay darjay par faez ho gay hain. Maslan Aspatali ho rehna, operation karna, operation hona,
  • 10. 10 operation ho chukna, editor banna, edit karna, advance daina, advance laina, bag sambhalna, batan kholna, putloon charhana, patloon dhili hona, reject hona, reject karna, rail par charna, teckt katna, select hona, select karna, sciene dekhana, science bunna, science banana, sciene daikhna, photo chatna, photo dikhana, photo laina, photo daikhana, photo khichna, college ki rah laina, life likhna, life raqam karna, life banna, life banana, life bigarna, life tabah hona, mistar hona, wish karna, land hona, land karna, motor pakarna, waqt pass hona, waqt pass karna, history likhna, history parhna, nation banana, defance hona, defance karna, copy karna, copy hona, botal se pina, report likhna, report likhwana, report daina, lecturer sonna, lecturer daina, lecture hona, lecture jharna, lecture pilana, tekat katna, tekat katwana, tekat milna, committee milna, committee dalna, committee dalna • Angraizi alfaz ki jamein Urdu kay apnay lisani nizam
  • 11. 11 kay zair-e-asar tarkeeb pati hain. Maslan Bangloon, calljoon, kalarkoon, laidioon, misooon, membroon, votoon, voteroon, biloon, bankoon, universitoon, scholoon, motoroon, sportroon, teacheroon, doctoroon, professoroon, Misain, busain, carain, calain Commiteaan scocitiaan, veritiaan waghera • Bohat se angraizi alfaz ki Urdu main aawazain barhaee ghataee gaee hain. Maslan School se ascool, scheme se askeem, steam se asteam, sacutar se askotar • Yay aur ee ki barhoti se alfaz bananay ka ravaj aam hai. Maslan Aspatali, ministry, ragistari, daktari, mastari, kalactari, clerki, leaderi, aishiae wagherah • Moanas bananay kay liay daisi toor ekhtayar kiay
  • 12. 12 jatay hain. Maslan Daktarni, masterni, membarni, afsarni, ledarrni waghera • Bohat se alfaz tabdili-e-mafaheem kay sath Urdu main dakhal ho gay hain. Maslan Blade, break, discharge, taxi, copy, glass, circle, carkat, school, tube, lead, plate jug waghera • Baz jamein Urdu main wahad mustamal hain. Maslan Media, bictairia • Mutbadal aawazoon kay sath bohat se alfaz parnay sonnay ko mil jatay hain. Masan cd se ct, praid se parait, wagherah • Alfaz gharnay ki adadt tamam zobanoon main bari hai. Maslan Baek, tuch, lakat chain, pilshun, gainsa (gass), tony blade, bursh (buch), Chain step (change step), tuochun, rapat waghera
  • 13. 13 • Talafaz ki tabdili aur tabdili-e-ashkaal ka aam ravaj hai. Maslan Marbal, garaemar, maral, bursh, such, batal, banglah, varaeti wagherah • Bohat sari ashya kay naam, omomi bool chal main dakhal ho gay hain. Maslan Cooler, farej, desh, fish, glass, matan, beaf, wall clock, washing machine, wash room, bath room, kitchen, television, telephone, baisan, blade, ovan, bed, shampoo, bed sheet, chair, table, boot, coat, iron, cooker, shirt, vcr, shameiz, cup, soop, book, copy, pencil, pen, modal paper, medical wagherah • Bohat sari adviyaat aur medical se motalqaat kay naam aam bool chaal main dakhal ho gay hain. Maslan Brufen, septran, ponestone, paracetamol, disprine, needal, nurs, surjan, ms, medical store, blood group, medical offcer, emergency delivery, care, ward waghera
  • 14. 14 • Foji ohdoon aur foj se motalqaat kay naam Urdu zoban ka hessah ban gay hain. Maslan Captain, karnal, major, wing commander, wing head quarter, field officer, gun, tank, machine gun, brain gun, praid ground wagherah wagherah • Dafatar kay naam Urdu main dakhal ho gay hain. Maslan President house, Prime minister house, Assembly hall/chamber, governor house, subae secretariate, dc office, sp office, post office, sdo office, edo office, deo office, wapda house, inspectorate, doctorate, ag office, account office, police station, railway station, booking office, wagherah • Un’gint civil ohdoon kay naan Urdu main ravaj pa gay hain. Maslan Metar redar, driver, post man, lungar commandar, line man, clerk, head clerk, accountant, controller, principal,
  • 15. 15 head master, judge, session judge, barester, dg, economist, accountant garnal, dean, counciler, manager, casher, gate keeper director wagherah • Bohat saray niji adaroon kay naam angraizi amaiz hain. Maslan • City view high school, pakistn modal high school, garden town college ofscience, alkhair university, Irha postgraduate college, Lahore college of sciences, shiba delivery house, raza health service, saeeda health centre, qamar health calinic, noshabah beauty clinak, nikhar beauty parlar, nitasha beauty centre, jaded book house, ezhar sons, ferooz sons, taj compney, Ahmad cloth house, sajid landry, kasur landry, shizan baikery, nazir anaetullah transport compney, zaki transport compney, chenab transport services wagherah • Bohat saray purzoon kay naan Urdu main mustamal ho gay hain. Maslan Ring pistan, liver, break, bell, haran, ranch, sacru,
  • 16. 16 handle, stayring, madguard, tyr, tube, carboraitar, axsal, chain, carrier, plug wagherah • “Un” donoon zabanoon ka mushtarkah sabqah hai. Maslan Un’parh, un’gint, un’haad, un’jan, un’daikha, un’mit, un’data wagherah