SlideShare a Scribd company logo
1 of 47
Name Kitaab ------------------------------- Eid Mubarak Ho
Name Writer------Qazi Ul Quzzat masihemillat M Anwar Alam
Waldiyat----------Muhammad Abbas Aliashrafi (Marhum)
Watan------Ajmeri Chauk Chakla Ghaat Kishanganj Bihar,
Kitabat-----Janashine Huzur Masihemillat Allama M Shamshad Alam
Nazre Sani--------------------------Maulana Munimul Qadri
Typing-------------------------------------------A M S ALAM
Minjanib--Darul Uloom Faizan E Mustafa Education Trust
Rehaish------------------------Rashmi Park Sheetal Nagar
MTNL,Road Mira Road East,thane, Maharashtra(india)
INTESAB
Main Apni Is Mehnat Ko Nabi,e Akhiruzzaman Kul
Ambiya Wa Rasool (A.S) Jumla Sahaba Sahabiyat
Tabaee, Tabiaat Radi Allahu Anhum Ajmaeen, Muslimeen
Wa Muslimaat Ko Mansub Karne Ki Sa,adat Hasil Kar
Raha Hun
NAZAR
Auliya,e, Izaam (R.A) Wa Ashaab-e-Karaam Wa
Mere Mohsin Waldain Karimain Marhumain Ki Baargah
Me Nazar Hai !
Allah Ta,ala Jannatul Firdos Me Jagah Ataa Farmaye
Ameen Bahaqqe Sayyadul Mursaleen
HUSNE ITTAFAQ
Tamaam Tarif Us MaliKe Haqeeqi Ki Jo Sare Jahan
Ka Khaliq Hai Aur Jo Tamaam Ibadaton Ke Layak Hai,
Durood Wa Salam Ho Piyare Habib Hazrat Muhammad
Sallallahu Alaihi Wasallam Par Aur Uske Tamaam Aal Wa
Ashaab Par Ke Jisne Mujh Jaise Nacheez Ko Is Kam Ke
Liye Chuna Ek Din Mein Soch Va Fikr Mein Tha Ki Ab Tak
To Maine (huzoor Aine Noor Hai ) (bismillah Hir
Rahmannir Raheem Ke Char Chashme)urdu Hindi,
(faizan,e,mime Muhammad) (taufa,e,masihe Millat),
(maut Qabar Hashar) (faizan,e,namaz) (talaaq Ya Azaab)
(tahriqe Imame Hussain) (faizan,e,islam Ke So 100
Sawalaat) Ke Tasneef Va Taleef Ke Baad Kis Mozu Par
Kalm Uthaya Jaaye, Jo Millat Islamia Ke Liye Faydemand
Ho Achanak Meri Noor E Nazar Jo Abhi Sirf Panch Saal
Ki Hai, Daudti Hui Aayi Aur Chipakkar Kahne Lagi Eid
Mubarak Ho Fir Khelne Mein Masroof Ho Gayi, Tab Jakar
Maine Socha Ki Ye To Husne Ittafaaq Hai Ki Ab Tak Is
Mozu Par Jisme Sirf Eidain Ke Masaile Aur Uska Bayaan
Ho Aisi Koi Kitaab Meri Nazar Se Nahin Guzri Hai, Isliye
Maine Is Kitaab Ko Eiadain Ke Mozu Par Tarteeb Diya Aur
Uska Name Eid Mubarak Ho Rakha Ummid Karta Hun Ki
Maula Tabarak Va Ta,ala Is Kitaab Ke Zariye Ummate
Muslima Ko Sahi Eid Aur Uski Khushiyan Aata Farmaye
Qari,een Ko Is Par Amal Karke Duniyan Va Aakhirat Mein
Surkhurui Hasil Ho Aur Uske Rasool Ki Khushnudi Hasil
Ho Aur Khatema,Bil,Imaan Ho….......Ameen
Talib e Dua...............................Muhammed Anwar Alam
(Arabic)Surah Duha Tarjuma Aur Apne Rab Ki
Niyamaton Ka Khoob Charcha Karo
Tafseer, Nematon Se Muraad Va Nemat Hai Jo Allah Ne
Apne Habib Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Aata Farmaya
Aur Va Bhi Jiska Huzur Se Wada Farmaya Teri Ummaton
Ke Zikr Ka Isliye Hukm Farmaya Ke.nemato Ka Bayaan
Karna Shukr Guzari Hai, Khush Kismati Ki Shukriya Ada
Karna Har Hal Mein Nek Banduon Ki Nishani Hai
Samawaat Aur Uske Andar Ki Sari Cheezen Allah Ta,ala
Ki Nishani Hai.
Har Qadam Har Saans Har Lamha Beqaide Hayat Rahna
Uski Niyamaten Hai Hawa Pani Anaaj Ped Paudhe Dariya
Samander Zameen Aasman Zameen Mein Paida Hone
Wali Tamaam Cheezen Aasman Par Chand Suraj Sitare
Bilasutoon Aasman Ka Samiyana Hamare Liye Niyamat
Hai
(Fabi Aiyye Aala-e-Rabbikuma Tukazzeban)
Surah Rehman Para (27) Tarjuma Tum Apne Rab Ki
Koun Si Niyamat Jhthlaoge Allah Ta,ala Ki Neyamaton Ko
Uske Nek Bande Jhoothla Nahin Sakte Balki Uski
Niyamaton Ka Charcha Karte Hai Apne Rab Ka Shukr
Guzaar Bante Hain Allah Ta,ala Ki Niyamate Hamari Aqal
Va Faham se Balatar Hai Aayate Qurani
(wa in Taadao inaamahu Allahu la Tahsao Ha)
Bas Hamara Kam Allah Ta,ala Ki Ibadat Karna Uski
Bandagi Karna Aur Uske Piyare Habib Alaihissalam Ki
Pairvi Karna Arkane Islaam Par Amal Paira Hona
Islaam Se Vasta Hone Ke Bad Jin Umoor Par Amal Zaruri
Hai Va Ye Hai Naman-roza-haj- Zakaat- Eiadain Ki
Namaz Mein In (4) Arkanon Ke Ada Karne Ka Imaan Hai,
Eidulfitr Namaz Roza Zakat Teenon Cheezon Ko Ada Kar
Lene Ke Bad Ina,ame Khuda Wandi Se Malamal Hone Ke
Liye Log Eidgaah Jaate Hain, Aur 2 Rakaat Namze Eid
Ada Karke Uski Niyamaton Ka Charcha Karte Hain Aur
Ek Dusre Ko Mubarak Baad Pesh Karke Musafa Va
Muanika Karke Khushiyan Ko Do Bala Karte Hain,
Eid Ul Azha Ki Namaz Hajiyon Ke Liye Haj Karke Sahebe
Istata,at Ke Liye Qurbani Karke Aur Gair Malike Nisaab Ke
Liye Us Mahine Ka Chand Dekhna Wajib Hai Zilhijjah Ki
1,Ek Tarikh Se Lekar Das Tak Hajaamat Na Banwakar
Nakhun Na Katwa Kar Is Mubarak Mahine Ka Ehtram
Karke Navvi Ke Fazar Se Lekar Teharwin Ke Asar Tak
Namaze Panj Gana Mein Takbeere Tashreeq Ada Karke
Apne Rab Ka Shukr Ada Karna Aur Uski Bandagi Ke In
Ina,amat Ko Pakar Ek Dusre Ko Khushiyan Batna Ye Sab
Isliye Hota Hai Ki Allah Ta,ala Ke Diye Hue Islaam Ke
Charon Arkanon Ki Adaigi Ki Taufeeqae. Di Isse Ziyadah
Aur Kya Khushi Ho Sakti Hai Aatishbaji Karna Khurafaat
Karna Wahiyat Tarike Par Khushi Manana Eid Nahin
Balki Allah Ta,ala Ki Niyamaton Ko Jhutlana Hai,
Ek Dusre Ke Liye Magfirat Ki Dua Karna Uski Ranjish
Khatam Karna Dili Qudurat Dur Karna Aapas Mein Ek
Hokar Nek Hona Allah Aur Uske Rasool Ki Raza Hasil
Karna Asal Eid Hai Aur Islaam Ki Sabse Badi Eid Hai
Eid Miladun Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hai Aur Isse
Bhi Badi Eid To Tab Hai Ki Imaan Par Maut Ho Aur
Amaale Hasana Ke Sath Ho Aur Qabar Mein Sarkare Do
Aalam Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Didar Ka Sharf
Hasil Ho Ek Insaan Ke Liye Isse Badi Eid Aur Kya Ho
Sakti Hai,ghar Se Janibe Taiba Hoga Jab Safar Apna Eid
Se Kahin Ziyadah Ham Khushi Manayenge Isliye Ab
Chand Raat Se Lekar Sadqae Fitr Tak Aur Sadqae Fitr Se
Lekar Eid Aur Uske Ahkam Ka Bayaan Aage Tahrir Kiye
Jaate Hain Usko Padhen Aur Us Par Amal Karen Allah
Ta,ala Ham Sabko Amal Ki Taufeeqae Ataa Farmaye
Aur Apne Piyare Nabi Sallallahu Ta,ala Alaihi Wa Sallam
Ke Sadqe Va Tufail Ham Sab Ke Amale Hasna Ko Qubul
Farmaya Aur Eid Ki Sacchi Khushiyan Ata Farmaye Aur
Khatma Bilkhair Ho Qabar Me Didare Mahbub Sallu Alaihi
Va Sallam Se Sarfaraz Kare ..............................Ameen
Meri Qabar Ki Raat Kya Raat Hogi Wahin Unse Pahli
Mulakat Hogi Nakeerain Markad Me Aate Ho Aso Wahan
Honge Aaqa To Kya Baat Hogi
Chand Raat Aur Uski Fazilat
Panch Mahine Ka Chand Dekhna Wajibe Kifaya Hai
Shaban Ramzan Shawwal Zilqadah Zilhijjah (fatawaye
Rizviya) Shaban Ki (29) Ki Sham Ke Waqt Chand Dekhe
Dikhai De To kal Roza Rakhkhen Varna Shaban Ki (30)
Din Pure Karke Ramzan Ka Mahina Shuru Karen (hidayah
Alamgiri Bahar) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne Farmaya Ki Chand Dekhkar Roza Rakhna Shuru Karo
Aur Chand Dekhkar Iftar Aur Eid Karo Aur Agar Abar Ho
To Shaban Ki Ginti 30 Puri Karlo Aur Farmaya Raza Na
Rakhkho Jab Tak Chand Na Dekhlo Aur Iftar Va Eid Na
Karo Jab Tak Chand Na Dekhlo Aur Agar Abar Ho To 30
Ki Miqdar Puri Karlo (bukhari Va Muslim) Naya Chand
Dekhkar Kalmaye Shahadat Padhna Afzal Hai Aisa Karne
Se Pura Saal Amno Aman Ke Sath Guzarta Hai Aur Allah
Ta,ala Afate Duniyavi Se Mahfooz Rakhta Hai
Matla Saaf Na Hone Ki Surat Mein Yani Badal Ya
Gubar.shirf Ramzan Ka Suboot Ek Musalman Aaqil Balig
Mastur Ya Adil Ki Gawahi Se Ho Jata Hai Chahe Mard Ho
Ya Aurat Ki Aur Ramzan Ke Siwa Baki Tamaam Mahinon
Ke Chand Ke Liye Do Mard Ya Ek Mard Do Aurate
Gawahi De Aur Sab Aadil Ho Aur Ye Kahen Ke Gawahi
Detahoon Ke Maine Khud Chand Dekha Tab Chand Ka
Suboot Hoga
Adil Ki Tareef
Adil Hone Ke Ye Mana Hai Ki Gunahe Kabira Se Bachta
Ho Aur Sahirah Par Asrar Na Karta Ho Aur Aisa Kam Na
Karta Ho Jo Muravvat Ke Khilaf Mastur Ki Tarif - Mastur
Se Murad Ye Hai Ki Jiska Zahir Haal Shara Ke Mutabiq
Ho Magar Batin Ka Hal Maloom Na Ho Mas,ala , Jis Aadil
Aadami Ne Chand Dekha (Ramzan Ka)
Us Par Wajib Hai Ki Usi Raat Shahadat Ada
Kare
.
Mas,ala Gaon Mein Chand Dekha Aur Wahan Koi Sharai
Qazi Va Haqim Nahin Jiske Pass Gavahi De To Gaon
Walon Ko Jama Karke Shahadat Ada Karen Aur Agar
Shadat Aadil Hai To Logon Par Roza Rakhna Lazim Hai
Mas,ala Jab Mat,ala Saaf Ho To Eid Ke Chand Ka Suboot
Aqil Balig Aadil Do Mard Ya Ek Mard Aur Do Auraton Ki
Shahadat Se Hoga,
Matla Saaf Hone Ki Surat
Me Chand Ka Suboot
Agar Matla Saaf Ho To Jab Tak Bahoot Se Log
Shahadat Na De Chand Ka Suboot Nahin Ho Sakta Chahe
Ramzan Sharif Ka Ho Ya Eid Ka Ya Aur Kisi Mahine Ka
Raha Yeh Ki Uske Liye Kitne Log Hone Chahiye To Ye
Qazi Ki Soch Par Munahsir Hai Jitne Logon Ki Gawahi Se
Qazi Ko Guman Ho Jaaye Itno Ki Shahadat Se Chand
Hone Ka Elaan Kare Agar Kisi Unchi Jagah Se Dekha Tha
To Ek Mastur Ka Bhi Qaul Sirf Ramzan Ke Chand Mein
Man Liya jayega,
(Maulana Shamshuddin,Musannif Bahare Shari,at Likhate
Hain Ki )
Main Ye Kahta Hun Ki Chand Dekhne Mein Logon Ki Jo
Susti Va La Parwahi Ka Haal Hai Iske Etabaar Se Matla
Saaf Hone Ki Halat Me Eid Ke Siva Aur Dinon Me Bhi
Bajaye Bahoot Aadmiyon Ke Do Gawahon Ki Gawahi Kafi
Honi Chahiye Aur Mera Bhi Khayal Yahi Hai
Chand Ki Gawahi
Shahadat Me Ye Kahna Zaruri Hai Ki Main Gawahi
Deta Hoon Bagair is Lafz Ke Gawahi Nahin Magar Abr
mai Ramzan Ke Chand Ki Gawahi Mein Itna Bhi Kafi Hai
Ki Maine Apni Aakhon Se Is Ramzan Ka Chand Aaj Ya
Kal Ya Falan Din Dekha Hai Ek Jagah Chand Huwa To Va
Sirf Vahin Ke Liye Nahin Balke Dusri Jagahon Ke Liye Bhi
Wahi Hukm Hai Dusri Jagah Walon Par Us Din Tarikh
Mein Chand Hona Sharai Suboot Se Sabit Ho Jaaye Yani
Chand Dekhne Ki Gavahi Guzre Ya Baqi Ke Hukm Ki
Gawahi Guzre Ya Motadad Jama,ate Vahan Se Aakar
Khabar De Ki Falan Jagah Chand Huwa Hai Aur Wahan
Logon Ne Roza Rakha Ya Eid Ki
Mas,ala Taar Teliphone Radio Se Chand Dekhna Sabit
Nahin Ho Sakta is Liye Ki Agar Inhon Ne Har Tarah Sahi
Maan Bhi Liya Jaaye Tab Bhi Ye Mahez Ek Khabar Hai,
Shahadat Nahin Mahez Ek Khabar Se Chand Ka Suboot
Nahin Hota Isi Tarah Bazaari Afwah Se Jantariyan Aur
Akhbaron Me Chhapne Se Bhi Chand Hona Sabit Nahin
Ho Sakta
Mas,ala Chand Dekhakar Uski Taraf Ungli se Ishara
Karna Makrooh Hai Agar Ya Dusre Ko Batane Ke Liye Ho
(alamgiri Bahar,e, Shariyat)
Izhar,e, Khushi
Chand Dekhkar Khushi Ka Izhaar Karna Ek
Dusre Ko Mubarak Baad Pesh Karna Duaaen Dena
Na Tofe Dena Man Baap Ki Duaaen Lena Aur Jaise
Tarikho Se Khushi Manana Afzal Magar Aaj Kal Jis
Tarike Par Ham Chand Dekhte Hi Patakhe
Fuljhadiyan Wagaira Se Musarrat Karte Hain Ye
Sarasar Galat Hai Kyunki Aatishbazi Haram Hai Aur
Haram Se Bachana Bahoot Zaroori Hai
Sadqa,e, Fitr Ka Bayaan
Huzoor Sarware Kayinaat Sallallahu Ta,ala Alaihi
Wasallam Ne Farmaya Banda Ka Roza Aasman Aur
Zameen Ke Beech Ruka Rahta Hai Jab Tak Sadqaye Fitr
Ada Na Kare (ibne Asakar Rautib)
Mas,ala Sadqaye Fitr Wajib Hai Umar Bhar Uska Waqt
Hai Yani Ada Na Kiya Ho To Ab Ada Karden Ada Karne
Se Sakit Hoga Ab Ada Karna Qazaa Nahin Hai Balke Ab
Bhi Ada Hoga Agarche Sunnat Eid Ki Namaz Se Pahle
Ada Kar Dena Hai (Durre Mukhtar)
Mas,ala Eid Ke Din Subah Sadiq Shuru Hote Hi Sabqaye
Fitr Wajib Ho Jata Hai Lehaza Jo Subah Sadiq Se Pahle
Mar Gaya Faqeer Ho Gaya To Us Par Sadqaye Fitr Wajib
Na Huwa (Alamgiri)
Mas,ala Subah Sadiq Shuru Hone Ke Baad Jo Baccha
Paida Hua Ya Jo Faqeer Musalman Huwa Ya Faqeer
Gani Huwa Us Par Sadqaye Fitr Wajib Huwa (Alamgiri)
Mas,ala Subah Sadiq Shuru Hone Se Pahle Kafir
Musalman Ho Gaya Ya Bachana Paida Hua Ya Faqeer
Tha Gani Ho Gaya To Sadqaye Fitr Wajib Hai (Alamgiri)
Mas,ala Jo Subah Sadiq Shuru Hone Ke Baad Mara Us
Par Sadqaye Fitr Wajib Hai
Mas,ala Sadqaye Fitr Har Musalman Azad Malike Nisaab
Par Jiske Nisaab Hajate Asliya Ke ilawa Ho Wajib Hai
Usme Aaqil, Baalig, Aur Maal Nami Honi Ki Shart Nahin
Yani Maal Par Saal Guzarna Shart Nahin (Alamgiri)
Sadqaye Fitr Kis Kis Par Wajib Hai Mard Malike Nisaab
Par Apni Taraf Se Aur Apne Chhote Bacche Ki Taraf Se
Sadqaye Fitr Hai Jab Ke Baccha Khud Nisaab Ka Malik
Na Ho Aur Agar Baccha Nisaab Ka Malik Ho To Uska
Sadqaye Fitr Usi Ke Mal Se Diya Jayega Aur Majnoon
(Pagal) Aulad Agarche Balig Ho Jabke Maaldar Na Ho To
Usaka Sadqaye Fitr Uske Baap Par Wajib Hai Aur
Maaldar Ho To Khud Uske Mal Se Diya Jaaye Mas,ala
Sadqaye Fitr Wajib Hone Ke Liye Roza Rakhna Shart
Nahin Agar Kisi Ujre Sharai Safar Bimari Ya Budhape Ki
Wajah Se Ya (Mazallah) Bila Uzar Roza Na Rakha Jab Bhi
Sadqaye Fitr Wajib Hai,
Mas,ala Baap Na Ho To Dada Baap Ki Jagah Hai Yani
Apne Faqeer, Yateem, Pota, Poti, Ki Taraf Se Uspar
Sadqaye Fitr Dena Wajib Hai
Mas,ala Apni Aurat Aur Aaqil Balig Aulad Ka Sadqaye Fitr
Uske Zimme Nahin Agar woh Apahij Ho Agarche Unka
Nafkaah Uske Zimma Ho (Durre Mukhtar)
Sadqaye Fitr Ki Miqdar : Sadqaye Fitr Ki Miqdar Ye Hai
Gehun Hoya Uska Aata Ya Sattu Eksa (Hidayah)
Mas,Ala - Gehun Aur Jon Ke Dane Se Unka Aata Dena
Afzal Hai Aur Usse Afzal Ye Hai Ki Kimat De ! Chahe
Gehun Ki Kimat Den ya Jon Ki Ya Khajur Ki Magar Girani
Me Khud Un Cheezon Ka Dena Qimat Dene Se Afzal Hai
Aur Agar Kharab Gehun Ya Jon Ki Qeemat di To Acche Ki
Qeemat Jon Kam Padewoh Puri Kare (Durrul Mukhtar)
Lihaza Hindustan Me Jo Raej Hai Ke Gehun 2 Kilo 45
Garam Fix Ada Karte Hain Bilkul Durust Hai Ek Sa Char
Ser Saba 6 Chatank Ka Hota Hai Aur Aadha Sa 2 Ser
Sab 3 Chatank Ka Hota Hai Asani Aur Ziyadah Ehtiyaat
Hai Ki Gehun Saba Do Ser Fix Ada Kare Jin Jin Ko Zakat
De Sakte Hain Unko Sadqaye Fitr De Sakte Hain Siwaye
Aamil Ke Unko Zakat De Sakte Hain Fitra Nahin (durre
Mukhtar)
Eid Kya Hai ?
Eid Name Hai Mahe Shawwal Ke Pahle Din Ka Aur
Zilhijjah Ke Daswen Din Ka In Dinon Ko Eid Isliye Kahate
Hain Ki Log Ata,ate ilahi Yani Mahe Ramzan Ke Roze Aur
Haj Se Farig Huwe Aur Ata, ate, Nabwi Sallallahu Alayhi
Wa Sallam Ki Taraf Laute Yani Unhone Shawwal Ke 6
Roze Rakhe Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki
Ziyarat Ki Taiyari Ki Ya Inhen Eid Isliye Kaha Jata Hai Ki
Ye Din Har Saal Laut Aate Hain Ya Isliye Ki Isme Allah
Ta,ala Baar Baar Fazl.wa Karam Farmata Hai Ya Isliye Ki
Inke Aane Se Khushiyan Laut Aati Hai Behrehaal
Tamaam Tauji Haat Me Auda Ka Man Liya Jata Hai
Eid Ki Pahli Namaz
Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Pahli Namaz,e,Eid
(2) Hijri Me Ada Ki Fir Ise Kabhi Tark Nahin Farmaya,
Lehaza Ye Sunnat,e,mu,aqqida Hai,
Fazilat,e, Eidulfitr
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Ta,ala Anhu Se
Marwi Hai Ki Sarkare Do Alam Salam Ta,ala Alaihi Wa
Sallam Ne Iarshad Farmaya Ke Apni Eidon Ko Takveer Se
Zeenat Bakhshon Aapne Farmaya Ke Jisne Eid Ke Din
300 Martaba Subhanallahi Wa Bi Hamdihi Padhi Aur
Musalman Mautaon Ki Ruhon Ko Uska Sawaab Hadiya
Kiya To Har Musalman Ki Qabar Me Ek Hazaar Anwaar
Dakhil Hote Hain, Aur Jab woh Marega Allah Ta,ala ka
Kahna hai Uski Qabar Me
1000 Anwaar Dakhil Farmayega Aur Jab woh
Marega Allah Ta,ala Ka Kahna Hai Ki Shaitan Har Eid Par
Naho Wa Zaari Karta Hai Aur Tamaam Shayateen Uske
Irdgird Jama Ho kar Puchte Hain Ki Ae Aaqa Aap Kiyun
Udaas Hai, Jawaab Me woh Kahta Hai Allah Ta,ala Ne
Aaj Ke Din Ummat,e,mohammedi Sallallahu Alaihi Wa
Sallam Ko Bakhsh Diya Hai Lehaza Tum Inko Lazzat Aur
Khawahishate Nafsi Me Mashgul Karo
Hazrat Wahab Bin Mimbaah Radi Allau Ta,ala Anhu
Se Marwi Hai Ke Allah Ta,ala Ne Eidul Fitr Ke Din Jannat
Ko Paida Farmaya, Aur Darakhte Tuba Ko Eidul Fitr Ke
Din Goya Jibraeel e Ameen Ka Intekhab Wahin Ke Liye
Eidul fitr ke Din Kiya Aur Firaon Ke Jadugaron Ki Tauba
Bhi Allah Ta,ala Ne Eidul fitr Ke Din Qubool Farmaya
Huzoor,e,Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ka Farman
Hai Ki Jisne Eid Razt Klbe Sawaab Ke Liye Qayaam Ki
Uska Dil Nahin Marega Jis Din Sab Ke Dil Marjaenge
(Hikayat)
Hazrat Farooq,e,azam Ne Eid Ke Din Apne Bete Ko Purani
Kameez Pahne Dekha To Ro Pade Unhone Kaha Ki Aap
Kiyun Ro Rahe Ho Aapne Farmaya Ki Mujhe Andesha Hai
Ki Aaj Eid Ke Din Jab Ladke Tujhe Is Fate Purane Kapde
Me Dekhenge To Tera Dil Tut Jayega Bete Ne Jawaab
Diya Dil To Uska Tutega Jo Raza,e, ilahi Ko Na Pasaka
Usne Apne Maan Baap Ki Nafarmani Ki Aur Mujhe
Ummid Hai Ke Aapki Razamandi Ke Tufail Allah Ta,ala
Bhi Mujse Razi Hoga Ye Sunkar Hazrat Umar Ro Pade
Bete Ko Gale Lagaya Aur Uske Liye Dua Ki Kisi Shayar
Ne Kya Khoob Kaha Hai
Jiska Tarjma Ye Hai
(1) Unhone Kaha Kal Eid Hai Tum Kya Pahnoge Maine
Kaha Aise Pushak Jisme Bande Ko Rafta Rafta Bahoot
Kuch Diya
(2) Fikar Aur Sabar Do Kapde Hain Aur Uske Darmiyan
Dil Hai Jisko Uska Malike Eidon Aur Jummon Me Dikhata
Hai
(3) Tab Meri Eid Nahin Hogi Eai Ummid Agar Tu
Mujhse Gayab Ho Jaye Aur Agar Tum Mere Samne Aur
Kano Ki Qareeb Hoti To Fir Meri Eid Hai
In,Aame Azeem
Eid Ki Subah Hoti Hai To Allah Ta,,ala Farishton Ko
Bhejta Hai Jo Zameen Par Utar Te Hain Vah Gali Kuchon
Aur Easton Me Khade Ho Jate Hain Aur Buland Awaaz Se
Kahte Hain Jise Jin Aur Insaan Ke Siwaa Tamaam
Makhlooq Sunti Hai Vah Kahte Hain Aei Muhammad
Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Ummat Apne Rab Ki taraf
Aao, Vah Tumhen In,ame Azeem Ata Farmayega Aur
Tuhare Bade Gunah Maanf Farmayega Aur Jab Log Eid
Gaahon. Me Aa jate. Hain To Allah Ta,ala Farishton Se
Farmata Hai Mazduri Ka Badla Kya Hai ?
Jab Vah Apna Kaam Mukammal Karle Farishte
Kahte Hain Uska Badla Ye Hai Ke Use Pura Ajar Diya
Jaye Tab Allah Ta,ala Farmata Hai Main Tumhen Gawaah
Banata Hun Ki Maine Un Logo Ke Liye Apni Bakhshish
Aur Raza Ko Unka Ajar Banaya Hai,
Maloom Huwa Allah Ta,ala Eid Ke Din Apne Bandon Ko
Ajar Ata Farmata Hai Aamaante Rab Se Malamal Kiya
Jata Hai Is Azeem Din Se Insaan Ko Ataye Rabbi Pakar
Shukar Guzari Karni Chahiye Aur Khud Ko Yade Khuda
Me Mashgool Rakhna Chahiye,
Magar Aaj Uska Bar,akas Hota Hai Eid Ki Namaz
Se Farig Bhi Nahin Ho Pate Hain Ke Insaan Buraiyon Ke
Raste Bana Lete Hain, Dil Me Palan Banana Shuru Kar
Dete Hain Namaaz Se Farig Hote Hi Log Film Juwa
Sharab Jaise Kaamon Me Mashgool Ho Jate Hain Mano
Ab Inko Namaz Ke Jhamele Se Mimi Hai Maan Baap Ki
Raza Ka Khayal Bhi Nahin Rakhte Hain Mohalla Pados Ya
Gaon Samaj Me Agar Koi Naraaz Ho To Usko Razi Karne
Ke Bajaye Unhen Air Pareshan Karne Ki Thaan Lete Hain,
Eid Tamaam Tar Khusyon Ko Apne Daman Me Samet
Lene Ka Kaam Hai,
Khushi Pane Se Ziyadah Musarrat Khushiyan Batne
Me Hoti Hai, Tamami Bhaiyon Se. Mera Araz Hai Ki
Shariat,e, Muhammadi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par
Amal Kare Ahkaame Khuda Baja Laye Aur Khalqe Khuda
Ki Khidmat Karke Khuda Ki Raza Hasil Kare Allah Ta,ala
Jumla Momineen Mominaat Ko Rab Ki Sachchi Khushi
Ata Farmaye Aur Dunyan Va Aakhirat Me Sur Khuru Ata
Farmaye Ameen,
Auraton Ke Liye Eid Ki Namaz Jaez Nahin,
Nawafil Padh Sakti Hai Uska Sawaab Mardon Ki Namaz
Ke Barabar hai
Eidain Ke Masail
Eid Aur Baqra Eid Ki Namaz Wajib Hai Magar Sab
Par Nahin Balke Sirf Unhi Par Jin Par Juma Wajib Hai Aur
Uski Ada Ki Vahi Sharte Hain Jo Jumma Ke Liye Hain Sirf
Itna Fark Hai Ki Jumma Main Khutba Shart Hai Aur Eidain
Mein Sunnat Hai Agar Jumma Mein Khutba Na Padha
To Jumma Na Hua Aur Eidain Mein Na Padha To Ho
Gaya Magar Bura Kiya.
Dusra Fakr Yah Hai Ki Jumma Ka Khutba Namaz
Se Pahle Hai Aur Eidain Ka Khutba Namaz Ke Baad Agar
Eidain Ka Khutba Namaz Se Pahle Padha To Bura Kiya.
Magar Namaz Ho Gai Lautayi Nahin Jayegi (Alamgiri)
(masail) Bina Vajah Eid Ki Namaz Chhodna Gumrah Hi
Va Bid,at Hai (bahar,e,sharyat)2 Gaon Mein Eid Ki Namaz
Padhna Makruhe Tahrimi Hai (bahar,e, Shariyat)
(3). Buland Awaz Se Raste Mein Takbeer Kahna Sunnat
Hai Idgah Sawari Per Jaane Mein Harj Nahin Magar Jisko
Paidal Jaane Mein Qudrat Ho Uske Liye Paidal Jana
Behtar Hai Aur Wapsi Mein Sawari Per Aane Mein Harj
Nahin Eidain Ki Namaz Ka Waqt Use Waqt Se Shuru Hota
Hai Jab Ke Suraj Ek Neje Ke Barabar Ho Jaaye Aur Jaae
Cobra Yani Nisfurnihar Tak Rahata Hai Lekin Eidulfitr
Mein Dher Karna Aur Eid Ul Adha Mein Jald Padh Lena
Chahiye Aur Salam Pherne Se Pahle Zawal Ho Gaya To
Namaz Jaati Rahi Hidayah Vah. Jawal Se Murad
Nisfurnihar Shart Hai Jis Ka Byaan Waqt Ke Byan Mein
Guzar Chuka Hai Iske Mustahibaat Hajamat Banvana
Nakhun Katwana Gusl Karna Miswak Karna Acche Kapde
Pehna Naya Ho To Naya Varna Dhulawa Anguthi
Pahnana Khushbu Lagana Fajar Ki Namaz Mohalle Ki
Masjid Mein Padhna Eidgah Jald Chala Jana Namaz Se
Pahle Sadqaye Fitr Ada Karna Eidgah Ko Paidal Jana
Dusre Raste Wapas Aana Namaz Ko Jaane Se Pahle A
Chand Khajuren khawa Lena 3/ 5 /7 Yah Kamo Besh
Magar Be Jod Na Ho Khajur Na Ho To Koi Meethi Cheez
Kha Le Namaz Se Pahle Kuchh Na Khaya To Gunagaar
Na Hua Lekin Isha Tak Na Khaya To Itab Kiya Jayeg,
Khushi Ka Izhaar Karna Zyada Se Zyada Sadqah Dena
Eid Gah Ko Itminaan Wo Waqaar Se Nichee Negah Kiye
Jana Aapas Mein Mubarak Baad Dena Yah Sab Baten
Mustahab Hai
Namaz,e, Eid Ki Tarkeeb
Niyyat Ki Maine Do Rakaat Namaz Wajib Eidulfitr Ki
Ya (eidul Adha) Ki Zayid Chhe Takbiron Ke Saath Waste
Allah Ta,ala Ke Munh Mera Ka,aba Sharif Ki Taraf Allah
Hu Akbar.
Ya Imaam Ho To Imaam Ki Niyat Kare Takbeere Tahrima
Allah Hu Akbar Kahte Huwe Apne Hatho Ko Kano Tak
Lejaye Aur Allah Hu Akbar Kahta Huwa Chod De Fir
Haath Uthaye Aur Allah Hu Akbar Kahte Huwe Haath
bandle Jab Haath Bandle To tawuz Aur Tasmiya Ahista
Padkar Zor Se Alhamd Shareef Padkar Koyi Aur Surat
Padhe Aur Muqtadi Khamosh Rahe Aur Ruku Wa Sujood
Karke Ek Rakaat Puri Kare Jab Dusri Rakaat Ke Liye
Khade Ho To Pahle Alhamdu Shareef Padhe Aur Koyi
Surat Padhe Fir Allah Hu Akbar Kahte Huwe Teen Baar
Hathon Ko Kano Tak Lejaye Aur Apni Halat Par Chor De
Aur Chaunthi Takbeer Me Allah Hu Akbar Kahte Huwe
Ruku Me Jaye Aur Namaz Puri Kare
Maloom Huwa Ki Eid Me Zayed Chhe Takbeeren
Hai Pahli Rakaat Me Takbeer Kahne Se Pahle Dusri
Rakaat Me Teen Takbeeren Kahne Ke Baad Rakaat Se
Pahle Zayed Takbeeron Me Haath Uthaye Jayenge Aur
Har Do Tak Beeron Ke Darmiyaan enTe Tasbeeh Padne
Ke Barabar Waqfah Kare Pahli Rakaat Me Alhamd Ke
Baad Surah Jumma Aur Dusri Rakaat Me Surah
Munafiqoon Ya Pahli Me Sabbe Hisma Aur Duri Me Hal
Ataaka Padhna Mustahab Hainn(bahar,e, Shariyat)
Namaz Ke Baad Imaam Do Khutbe Padhe Aur Juma Ke
Khutbe Me Jo Niche Sunnat Hai Vah Eidain Ke Khutbe
Me Bhi Sunnat Hai Aur Jo Baaten Jume Ke Khutbe Me
Makrooh Hai Vah Baaten. Eidain Ke Khutbe Me Bhi
Makrooh Hai Sirf Do Baton Me Farq Hai
(1) Jumma Ke Khutbe Se Pahle Khateeb Ka Mimber
Par Baithna Sunnat Hai Aur Eidain Me
Na Baithna Sunnat Hai (2)
Eidain Ke Khutba Se Pahle (1) Aur Khutba Sani Se Pahle
(7) Aur Mimber Se Utarne Se Pahle(14) Baar Allah Hu
Akbar Kahna Sunnat Hai Aur Jumma Me Nahin(alamgiri)
Jamat Khadi Hone Ke Baad Aane Walon Ke Liye Chand
Zaruri Masail Pahli Rakaat Me Imaam Ke Takbeer Kahne
Ke Baad Koyi Shamil Huwa To Usi Waqt Teen Takbeer
Kahle Agarche Imaam Be Qeerat Shuru Kar Di Ho(2)
Imaam Ko.ruku Me Paya To Pahle Khade Hokar
Takbeere Tahreemi Kahe Fir Dekhe Agar Eid Ki Takbeer
Kah Kar Imaam Ko Ruku Me Pa Lega To Eid Ki
Takbeeren Bhi Kahen Tab Ruku Me Shamil Ho Agar Ye
Samjhe Ke Eid Ki Takbeer Kahte Kahte Imaan Ruku ke
Sat Uthane lege To Allah Hu Akbar Kah Kar Ruku Me
Sharik Ho Jaye Aur Ruku Me Bila Hath Uthaye Eid
Takbeer Kahe Fir Agar Usne Ruku Me Pure Takbeeren Na
Kahi Thi Ke Imaam ne Sar Utha Liya To Imaam Ke Sath
Sat Uthaye Aur Baaqi Takbeeren Chod Den Ke Sakit Ho
Gayi (alamgiri)
(3) Dusri Rakaat Me Shamil Huwa To Pahli Rakaat Ki
Takbeer Us Waqt Kahe Jab Apni Chuti Huwi Rakaat Puri
Karne Khada Ho (Alamgiri)
(4) Imaam Ke Ruku Se Uthne Ke Baad Shamil Huwa
To Ab Takbeer Na Kahe Balke Jab Apni Chuti Huwi
Rakaat Padhe Us Waqt Kahen.
(alamgiri)
(5) Aakhri Rakaat Me Salam Karne Se Pahle Sharik
Huwa To Apni Dono Rakaaten Takbeer Ke Sath Puri
Karen (Alamgiri)
Eidain Ki Namaz Ka Waqt Aur
Muddat
Eidain Ki Namaz Ka Waqt Ek Nyza Aftab Buland Hona Se
Lakar Nisfurnihar Shari Tak
Kisi Arza Ki Waza Se Chand Nahi Dakaha Gay Aur Gavahi
Ase Wakat Guzri Ke Namaz Na Ho Saki Ya Badal Tha Aur
Namaz Aise Wakat Khatma Hoyi Ke Zawal Ho Chuka Tha
To Dousera Din Pahari Gaya Aur Dusara Din Bhi Na Ho
To Eidulfitr Ki Namaz Tisara Din Ho Sakati Ho Aur Dusara
Din Namaz Ka Wohi Wakat Ho Zo Pahle Din Tha Aur Agar
Bila Araz Eidulfitr Ki Namaz Pahle Din Na Pahari To
Dusara Din Nahin Pard sakata (kajirwan Alam Giree)
Eid Aur Baqarh Eid Me Fark
Baqrah Eid Ke Tamam Masail Va Ahkaam Eid Ki
Tarah Hai Sirf Chand Baton Ka Fark Hai Bakra Eid Me
Mustahab Ye Hai Ki Namaz Se Pahle Kuchh Na Khaye
Agarche Qurbani Na Kare Agar Kha Liya To Karahat
Nahin Aur Raste Me Buland Awaaz Se Takdeer Kahta
Jaaye Qurbani Karne Wale Yani Jin Ke Name Qurbani
Dene Wala Hai Pahle Se Dasvin Tak Na Hajamat Banae
Na Nakhun Kate Eid Ki Namaz Uzr Ki Bahaz Se Barhavin
Tak Bila Karahat Mu,akkhkhar Kar Sakte Hai Baharvin Ke
Bad Fir Mua,akhihar Nahin Kar Sakte Hain Barhavin Ke
Bad Fir Nahin Ho Sakti Hai Aur Bila Uzar Tehar Vin Ke
Baad Makrooh Hai,
Takbeere Tashreeq
Takbeere Tashreeq Navi Zilhijjah Ki Fazar Se
Terharvin Ke Asar Tak Pancho Waqt Ki Har Farz Namaz
Ke Baad Jo Jama,te Mustahibaat Ke Sath Ada Ki Gayi
Ho Ek Bar Buland Awaaz Se Takbeer Kahna Wajib Hai
Aur Teen Bar Kahna Afzal Hai
Teen Baar Kahna Afzal Hai
Takbir Tashreeq Yah Hai Allah Hu Akbar Allah Hu
Akbar La elaha illallah Hu wallahu Akbar Allah Hu Akbar
Allah Hu Akbar Wa Lillah Hil Hamd !
Takbeere Tashreeq Salam Ferne Ke Bad Foran
Wajib Hai Yani Jab Tak Koyi Aisa kaam Na Kiya Ke
Namaz Par Bena Na Kar Sake Agar Masjid Se Bahar Ho
Gya Qasdan Vazu Tod Diya Ya Baat Ki Agar Yah Sabhan
Ho Takbeer Sakit Ho Gayi Aur Bila Qasad Wazu Tut Gaya
To Takbeer Kahle (bahar,e,sharyat)
Takbeere Tashreeq Kis Par
Wajib Hai
Takbeere Tashreeq Us Par Wajib Hai Jo Shahar Me
Muqeem Ho Ya Jisne Muqeem Ki Iqteda Ki Agar Va
Iqteda Karne Aurat Ya Musafir Ya Gaon Ka Rahne Wala
Ho Aur Agar Yah Log Muqeem Ki Iqteda Kare To Un Par
Wajib Nahin Takbeere Tashreeq Un Dinon Me Jumma Ke
Bad Bhi Wajib Hai Aur Nafal Sunnat Wa Vitr Ke Bad
Nahin Namaz,e,eid Ke Bad Bhi Kahle (durre Mukhtar)
Musafa Wa Muanaqa
Baad Namaz e Eid Musafa Karna Jaise Ke
Musalmanon Mein Raij Hai Behtar Hai
(bahare Shariyat)
Fazilat,e,musafa Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Farmaya Jab Musalman Milkar Musafa Karte Hain To
Judaa Hone Se Pahle Unki Magfirat Ho Jaati Hai Aur Ek
Riwayat Me Hai Jab Do Musalman Aapas Me Musafa
Kare Aur Allah Ki Hamd Karen Aur Istegfaar Kare To
Donon Ki Magfirat Ho Jayegi (Ahmad Tirmizi)
Musafa Sunnat Hai Aur Uska Suboot Se Aur Ahadees Me
Uski Badi Fazilat Aee Hai Ek Hadees Me Yah Hai Ki Jisne
Apne Musalman Bhai Se Musafa Kiya Aur Hathon Ko
Harkat Dee Uske Tamam Gunah Gir Jayenge Jitni Baar
Mulakat Ho Har Bar Musafa Karna Mustahab Hai Musafa
Karte Waqt Donon Ye Dua Padhe
(yagfirullah Ha Lana Wa Lakum,)
Musafa Ka Tariqa Ye Hai Ke Ek Aadami Apne Hatheli
Dusre Ki Hatheli Se Milate Waqt Ungliyon Ke Chhune Ka
Naam Musafa Nahin Hai Sunnat Ye Hai Ki Donon Hathon
Se Musafa Kiya Jaaye Aur Donon Hathon Ke Darmiyaan
Kapda Hayal Na Ho
(Raddul Mukhtar)
Muanaqa Ki Sharten
Muanaqa Yani Gale Milna Bhi Jayiz Hai Jab Ke
Fitna Ka Khauf Aur Sahwat Ka Andesha Na Ho Chahe Ke
Jis Se Munaiqa Kiya Jaaye Vah Sirf Tahwand Ya Pajama
Pehne Na Ho Kurta Achkan Phne Ho Ya Chadar Odhe Ho
Yani Kapda Hayal Ho Hadees Paak Se Sabit Hai Ki Sarkar
Ne Munaiqa Farmaya, Hazrat Abu Hurairah Radi Ta,ala
Anhu Kahte Hain Ki Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi
Wasallam Ke Sath , Hazrat,e,fatima Radi Allahu Ta,ala
Unh Ke Ghar Gaya Huzoor Ne Hazrat,e,hasan Ko Daryaft
Farmaya Ke Vah Kahan Hai Thodi Der Baat Va Daudte
Hue Aaye Aur Huzur Ne Unhen Gale Lagaya Aur Vah Bhi
Chipat Gaye Fir Farmaya Ae Allah Mein Ise Mahboob
Rakhta Hun Tu Bhi Ise Mahbub Banaa Jo Ise Mehboob
Rakhe
(Bukhari Was Muslim)
Nabi Kareem Sallallahu Ta,ala Alaihi Wasallam Ne Jafar
Bin Abi Talib Radi Allahu Anahon Ka Istikikbal Farmaya
Aur Un Se Muanaka Farmaya Aur Fir Donon Aankhon Ke
Darmiyaan Bosa Diya
(Abu Dawood)
Baad Namaze Eidain Musalmanon Me Main Muaniqa Ka
Riwaz Hai Aur Izhare Khushi Ka Ek Tariqa Hai Munaqa
Bhi Jayez Hai Jabke Mohalle Fitna Na Ho
Buzurgon Ke Hath Paun Chumne Ke
Ahkaam
Bosa Dena Agar Ba Shahwat Na Ho To Jayez Hai.
Aur Agar Tazeem Ke Liye Ho To de Sakta Hai Peshani
Par Bosa Bhi Inhi Sharayat Par Jayez Hai,Huzoor
Sallallahu Alaihi Vasllam Ke Donon Aankhon Ke Bich
Bossa Diya Sahaba Wa Tabaee Se Bhi Bosa Dena Sabit
Hai Baaz Log Musafa Karne Ke Bad Khud Apna Hath
Chum Lete Hain Ye Makrooh Hai
Aisa Nahin Karna Chahiye Alime Din Aur Badshah Aadil
Ka Hath Chumna Jayez Hai Bal Ke Uske Qadam Chumna
Bhi Jayez Hai Balke Kisi Ne Agar Dil Se Khwahish Zahir
Ki Kya Aap Apna Qadam Mujhe Dijye Ki Bosa Lun Uske
Kahne Ke Mutabik Vah Alime Din Apna Hath Paon Bosa
Ke Liye Uski Taraf Badha Sakta Hai (durre Mukhtar)
Badon Ki Tazeem Ka Tariqah
Mulakat Ke Waqt Bataur Ikram Kisi Ko Sajda Karna
Haram Hai Aur Ibadat Ka Irada Ho To Sajda Karne Wala
Kafir Hai,
gairullah Ki Ibadat Kufr Hai (alam Giri) Mulakat Ke Waqt
Jhukna Mana Hai Yani Itna Jhukna Ke Hade Ruku Ko
Pahonch Jayen Aane Wale Ke Liye Khada Hona Jaiz Hai
Balke Man Doob Hai Jab Ke Aise Ki Tazeem Ke Liye
Khada Ho Jo Mustahike Tazim Ho Maslan Alime Din Ke
Liye Khada Hona Koi Aadami Masjid Mai Baitha Hai Ya
Quraan Majid Padh Raha Hai Aur Aisa Shakhs Aagya
Jiski Tazeem Karni Chahiyye To Us Halat Mai Us ki
Tazeem Ko Khada Ho Sakta Hai In Tamam Ahadis Aur
Wa Masail Aur Rawayaat Ki Roshni se Malum Huwa Ki
Apnose Se Piyar Badoki Tazeem Aapas Mai Muhabbat
Karne Ya Ek Bahtareen Tariqa Hai Eid Ki Namaz Padhkar
Aapas Mai Gale Milna Musafa Karna
Man, Bahan , Bade Bhai, Bap, Dada,dadi,
Nana,nani, Aur Apne Chote Bachchonki Peshani Ka Bosa
Dena Unke Hath Chumna Ustaz , Peer,Man, Bap,ke Pair
Chumna Achcha Hai Badon Ki Tazeem Karke Unki
Duawaen Lena Bahoot Achcha Hai Dilon Se Nafrat
Qudurat Wagerah Sab Chod Kar Hath Mila E Gale Mile Ek
Dusre ko Khushi Bate Jo Khushi Dusron ko Khush Karke
Milti Hai Us Se Badhkar Aur Koi Khushi Nahin Ho Sakti
Hai.
Nazme Eid Mubarak
Har Gam Ko Bhula Dena Namaze Eid Se Pahle
Dilon Ko Saaf Kar Lena Namaz Eid Se Pahle
Na Socho Ki Kis Kisne Tumhara Dil Dukhaya Hai
Ke Sab Ko Maaf Kar Dena Namaz Eid Se Pahle
Namaz Eid Na Hogi Qabul Ae Musalmanon
Ada Kar Dena Shadka E Fitra Namaze Eid Se Pahle
Milega Allah Ka Inam Sabhi Rozadaro Ko
Zara Sa Muskura Dena Namaz Eid Se Pahle
Gunaho Se Karo Toba Mana Lo Apne Aaqa Ko
Darudo Se Salamon Se Namaz Eid Se Pahle
Dilon Se Dil Mila Lena Hathon Se Hath Mila Lena
Deta Hai Sabak Anwar Namaz Eid Se Pahle
Ek Paigam Aapke Naam
Aaj Ke Daur Mein Logon Ka Yah Hal Hai Ke Theek
Se Ramzan Sharif Ko Alvida Bhi Nahin Kahate Hain Ke
Tarah Tarah Ki Planning Shuru Ho Jaati Hain Aur Yaar Is
Bar Eid Ke Mauke Per Kaun Si Film A Rahi Hai Hero Kaun
Hai Heroine Kaun Hai Ismein Kapde Kahan Tak Pahne
Hain ? Kaun Se Cinema Hall Mein Jana Hai,?
Aur Bhai Housefull Ho Jaega Chand Raat Ko Hi Ticket Le
Leni Hai | Tarah Tarah Ke Khayalat Ki Mahfil Sajate
Rahte Hain Aur Auraten Apne Shohar Aur Bete Ke Liye
Tarif Karte Hue Bolati Hain Mera Shohar Mashallah Bhale
Hi Kitne Bhi Sharabi Ho Yaar Joari Ho Magar Ramzan
Sharif Mein Sharab Aur Jowa Ko Hath Tak Nahi Lagate
Fir Eid Padhte Hi Tabhi Peete Hain Ya Jowa Khelte Hain
Dusri Aurat Bole Padati Hai Aur Bahana Bilkul Yahi Hal
Mere Bete Ka Hai Ramzan Bhar To Koi Burai Nahin Karte
Eid Ki Namaj Padhte Hi Fir Shuru Ho Jaate Hain Isi Tarah
Na Jaane Samaj Mein Kitne Kism Ke Khurafat Hote Hain
Allah Ki Panah.
Farman E Ilahi Hai Maine Tum Per Roze Farz Kiye
Jaisa Ki Tumse Agale Per Farz Kiye The Taki Tum
Muttafiq Ho Jao Magar Hamara Hal Yah Hai Ki Baje
Muttaqi Hone Ke Ham Burai Ki Taraf Mael Ho Jate Hai
Yah Nahin Sochte Ke Vo Rehmatein Vah Nematen Voh
Allah Tala Ki Be Shumar Inayat Ek Farz Par 70 Ka Swaab
Wajibaat Me Faraez Ka Swaab Sunte
Mai Wajibaat Ka Swaab Nava Fil Mein Sunnaton
Kasawaab | Aftaar Ki Ronaken Taraweeh Ki Roh Parvar
Nazren Siriki Lazzaten Laylatul Kadr Ki Shabbedari Ek
Raat Mein Ek Hazar Raat Ki Ibadat Ka Sawab Alvida
Jumma Ki Rohani Khushi O Musarrat Chand Raat Ki Vah
Dil Kakash Mahool Eid Ki Taiyyariyan .
Kahan Se Laen Ramzan Ke Vah Dilkash Najaren
Kaon Padega Namaz Aur Quraan Ke Pade
( Mohammed Anwar Alam)
Man, Baap, Bhai, Bahan, Biwi, Bacche, Nana, Nani,
Dada, Dadi, Ke Chahre Par Khushi Wa Musarrat Ka Noor
Unka Sine Se Laga Kar Duaaen Dena Fir Eid Gah Jakar
Apne Begane Dost Aur Dushmano Sabhise Musafa Aur
Muaaaneqa Karke Allah Ke Inamat Ko Hasil Karna Uski
Rahmaton Ko Mahsusu Karke Hameshah Ke Liye Taoba
Karna Aur Fir Kabhi Woh Gunah Nahi Karna ,
Qabr Mein Jab Nabi Ki Didar Hoti Hai
Tabhi Momin Ki Asali Eid Hoti Hai
Jo Zindagi Ko Ramzan Jaisa Bana Leta Hai
Uski Maut Maut Nahin Eid Hoti Hai
(Mohammed Anwar Alam)
Huzoor Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki
Sacchi Pairvi Karna Hi Asali Eid Hai Ae Mere Pyare
Bhaiyon Aur Bahanon Burai Se Bacho Aur Jaise Tum
Ramzan Sharif Mein Paheli Gar Bar Ke Rehte Ho Vaise Hi
Parhez Gar Bane Raho To Duniya Vah Aakhirat Behtar
Hogi Aur Khatma Imaan Per Hoga ,
Eid Ke Din Sab Milenge Apne Apne Parivar Se
Ham Rote Rahenge Sajde Mein Parwar Digar Se
Roza Gaye Barkat Aa Gai Nemat Aa Gai
Kyon Na Ham Roye Anwar Apne Laga Musafir Se
(Mohammed Anwar Alam)
Ajjke Naojawaan Ladke Ladkiyaan
Mahange Se Mahanga Kapda Khareedte Hain
Magar Fir Bhi Nange Nazar Aate Hain ,
Bibiyon Bahare Husn Ki Khubi Parde Mein Hai
Parda Acchi Chiz Hai Husn Badi Parde Mein Hai
Vah Bhi Dikhlata Nahin Har Ek Ko Apna Jamal
Dekho Chashme Gaurse To Allah Bhi Parde Mein Hai
Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak
Rimjhim Rimjhim Rimjhim Rimjhim Rimjhim
Rimjhim Rehmat Ki Barsat Hai Aai
Sath Mein Apne Khushiyan Hai Lie Ramzan Teri Bidai
Bolo Buddhe Bacchon Aurat Eid Mubarak Eid Mubarak
Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak
Bade Saba Ne Jhoom Ke Gaya Kaliyon ne Yun
Muskuraya
Phulon Ne Khushbu Se Mahkaya Bulbul Ne Jhoom Ke
Yun Gaya
Kahane Lage Jinn O Malaika Eid Mubarak Eid Mubarak
Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak
Baap Ne Bete Ko Bhai Ne Bhai Ko Gale Lagaya
Acche Kapde Mein Khushboo Aankhon Mein Surma
Lagaya
Anwar Alam Ki Baton Ko Yad Rakh Eid Mubarak
Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak
(Mohammed Anwar Alam)
Darul,Uloom,Faizan,Mustafa
Education,Trust,KeTahat Chalne Wali Shakhen
(1) Darul Uloom Faizane Sayyad Bahauddin-:
(2) Faizan,e, Ashraf Darul Qalam
Rashmi Park, A Wing 204, Mira Road (east). Thane
Maharashtra ,jisme Fatwa Nikaah Talaaq Taslifaat Ka
Kaam Hota Hai
(3) Masihe Millat Computer Class
Jisme Bachchon Ko Muft Taleem Di Jati Hai
(4) Faizan,e, Mustafa Academy
Jisme Kitabe Streets Wagairah Ke Chapayi Ka Kaam
Hota
(5) Darul Uloom Faizan,e,mustafa
Ka Bandh Kaam Ek Gunta Zameen Par Lokhandi Pada
Baisar (east) Thane Maharashtra Me Chalu Hai
(6) Tafseere Qura,an
Har Jumeraat Baad Namaze Isha 2 Saal Se Chalu Hai
Rashmi Park, A1,B-Wing-204, MTNL Road, Mira Road
Thane, Mmbai, Me
Taleemate Idara
(Hifz Wa Qirat) - (Diniyat) - (Hindi - (Angrezi) (Marathi)
- (Ganeet) - (Computer Class)
janashine Huzur Masihe Millat Allama Mohammed
Shamshad Alm
Maulana Munim
Maolana Shamshad Noori
Sufi Ali Akbar Sultanpuri
Hafiz Akbar Ali
Muhammad Fardeen
Maulana Hashimul Qadri
Muhammad Javed Khan
Muhammad Firoz Khan
javvad ali Ansari
Masihe Millat Computer Class
Aapko Ye Jaankar Bahoot Khushi Hogi Ke Darul
Uloom Faizan,e,mustafa Education Trust Ke Tahat Chalne
Wala Idara Darul Uloom Faizan,e,mustafa Bahauddin Me
(30)
Bacchon Ke Khane Peene Va Dini Talim Aur Tamam
Akhrajat Ke Sath Sath Computer Cours Bhi Shuru Kiya
Gaya Hai Is Class Me Deeni Taleem Ke Sath Sath
Duniyabi Taleem Bhi Bahoot Acche Teacher Ki Nigrani
Me Ja Rahi Hai Madrasa Ke Bacchon Ke Alava Makami
Wa Shaharke Bacchon Ko Bhi Sikhaya Jayega Lehaza
Tamam Musalman Bhaiyon Se Guzarish Hai Ki Ziyadah
Se Ziyadah Taun Kare !
Rashan Kapde Wagairah Aur Computer Bhi De Sakte
Hain,Rabta Kare :
+91- 9322116509 / 8451030343 / 7506165707
8090825923
Eid Mubarak Ho Enghlish Book.pdf

More Related Content

Similar to Eid Mubarak Ho Enghlish Book.pdf

Geet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor LyricsGeet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor LyricsMasihi Web
 
Kala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se Toor
Kala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se ToorKala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se Toor
Kala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se Toorguestd540b1
 
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farqJamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farqAzaz Khan
 
Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala maqsood hasni
 
Infra surkh shayars (freelance talents)
Infra surkh shayars (freelance talents)Infra surkh shayars (freelance talents)
Infra surkh shayars (freelance talents)Mohit Sharma
 
Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)
Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)
Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)Mohit Sharma
 
Hanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplifiedHanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplifiedRajkumar Reddy
 
Hanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplifiedHanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplifiedRajkumar Reddy
 
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...Aale Rasool Ahmad
 
Jinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdf
Jinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdfJinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdf
Jinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdfMIYA SAHIB
 
Kala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se Toor
Kala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se ToorKala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se Toor
Kala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se Toorguestd540b1
 
Kala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.Pdf
Kala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.PdfKala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.Pdf
Kala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.Pdfguestd540b1
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoMuhammadAhsanProfile
 

Similar to Eid Mubarak Ho Enghlish Book.pdf (20)

Asaramayan english
Asaramayan englishAsaramayan english
Asaramayan english
 
english_asaramayan
english_asaramayanenglish_asaramayan
english_asaramayan
 
Geet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor LyricsGeet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor Lyrics
 
Kala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se Toor
Kala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se ToorKala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se Toor
Kala Jado Sehar Kamol (Kaheli Wa Susti Wa Khaloot Pasandi) Ka Quaran Pak Se Toor
 
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farqJamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
 
Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala
 
Infra surkh shayars (freelance talents)
Infra surkh shayars (freelance talents)Infra surkh shayars (freelance talents)
Infra surkh shayars (freelance talents)
 
Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)
Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)
Infra-surkh Shayars (Freelance Talents)
 
LOVE SHAYARI
LOVE SHAYARILOVE SHAYARI
LOVE SHAYARI
 
Hanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplifiedHanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplified
 
Hanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplifiedHanuman chalisa simplified
Hanuman chalisa simplified
 
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
Aala hazrat aur radd e bid'at By Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al - Al Qadri ...
 
A'la hazrat ka kalaam
A'la hazrat ka kalaamA'la hazrat ka kalaam
A'la hazrat ka kalaam
 
Dua sms
Dua smsDua sms
Dua sms
 
Jinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdf
Jinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdfJinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdf
Jinn Ka Wazifa Karne Ka Tarika.pdf
 
Nusrat fateh ali khan lyrics
Nusrat fateh ali khan lyricsNusrat fateh ali khan lyrics
Nusrat fateh ali khan lyrics
 
Kala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se Toor
Kala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se ToorKala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se Toor
Kala Jado Khodkashe Ka Quran Pak Se Toor
 
Bad Naseeb
Bad NaseebBad Naseeb
Bad Naseeb
 
Kala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.Pdf
Kala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.PdfKala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.Pdf
Kala Jado Sehar Palede (Mela Jado ) Ka Quran Pak Se Toor.Pdf
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
 

More from DUFM Educational & Charitable Trust

More from DUFM Educational & Charitable Trust (20)

Muaarefatul insan Urdu Book Ko Hasil Kar
Muaarefatul insan Urdu Book Ko Hasil KarMuaarefatul insan Urdu Book Ko Hasil Kar
Muaarefatul insan Urdu Book Ko Hasil Kar
 
Lailaha Illallah Jild-3 Urdu Book.pdf
Lailaha Illallah Jild-3 Urdu Book.pdfLailaha Illallah Jild-3 Urdu Book.pdf
Lailaha Illallah Jild-3 Urdu Book.pdf
 
Lailaha Illallah Jild-2 Urdu Book.pdf
Lailaha Illallah Jild-2 Urdu Book.pdfLailaha Illallah Jild-2 Urdu Book.pdf
Lailaha Illallah Jild-2 Urdu Book.pdf
 
Lailaha Illallah Jild-1 Urdu Book.pdf
Lailaha Illallah Jild-1 Urdu Book.pdfLailaha Illallah Jild-1 Urdu Book.pdf
Lailaha Illallah Jild-1 Urdu Book.pdf
 
Islam jild-4 Hindi.pdf
Islam jild-4 Hindi.pdfIslam jild-4 Hindi.pdf
Islam jild-4 Hindi.pdf
 
Islam jild-3 Hindi.pdf
Islam jild-3 Hindi.pdfIslam jild-3 Hindi.pdf
Islam jild-3 Hindi.pdf
 
Islam jild-2 hindi.pdf
Islam jild-2 hindi.pdfIslam jild-2 hindi.pdf
Islam jild-2 hindi.pdf
 
Islam jild-1 hindi.pdf
Islam jild-1 hindi.pdfIslam jild-1 hindi.pdf
Islam jild-1 hindi.pdf
 
Lailaha Illallah Jild-4 Hindi Book clour.pdf
Lailaha Illallah Jild-4 Hindi Book clour.pdfLailaha Illallah Jild-4 Hindi Book clour.pdf
Lailaha Illallah Jild-4 Hindi Book clour.pdf
 
Lailaha Illallah Jild-3 Hindi Book clour.pdf
Lailaha Illallah Jild-3 Hindi Book clour.pdfLailaha Illallah Jild-3 Hindi Book clour.pdf
Lailaha Illallah Jild-3 Hindi Book clour.pdf
 
Lailaha Illallah Jild-2 Hindi Book clour.pdf
Lailaha Illallah Jild-2 Hindi Book clour.pdfLailaha Illallah Jild-2 Hindi Book clour.pdf
Lailaha Illallah Jild-2 Hindi Book clour.pdf
 
Lailaha Illallah Jild-1 Hindi Book colour.pdf
Lailaha Illallah Jild-1 Hindi Book colour.pdfLailaha Illallah Jild-1 Hindi Book colour.pdf
Lailaha Illallah Jild-1 Hindi Book colour.pdf
 
Sajdae Ishaq Urdu Book.pdf
Sajdae Ishaq Urdu Book.pdfSajdae Ishaq Urdu Book.pdf
Sajdae Ishaq Urdu Book.pdf
 
Gaosul Azam Urdu Book.pdf
Gaosul Azam Urdu Book.pdfGaosul Azam Urdu Book.pdf
Gaosul Azam Urdu Book.pdf
 
Shahadate Hazrat Ameer Hamza Urdu Book.pdf
Shahadate Hazrat Ameer Hamza Urdu Book.pdfShahadate Hazrat Ameer Hamza Urdu Book.pdf
Shahadate Hazrat Ameer Hamza Urdu Book.pdf
 
Talaqe Salasah Aur Hukumate Hind Urdu Book.pdf
Talaqe Salasah Aur Hukumate Hind Urdu Book.pdfTalaqe Salasah Aur Hukumate Hind Urdu Book.pdf
Talaqe Salasah Aur Hukumate Hind Urdu Book.pdf
 
Watan se Muhabbat Iman Ka Hissa Hai Urdu Book.pdf
Watan se Muhabbat Iman Ka Hissa Hai Urdu Book.pdfWatan se Muhabbat Iman Ka Hissa Hai Urdu Book.pdf
Watan se Muhabbat Iman Ka Hissa Hai Urdu Book.pdf
 
Rahbar Urdu Book.pdf
Rahbar Urdu Book.pdfRahbar Urdu Book.pdf
Rahbar Urdu Book.pdf
 
Samaj Aur Ham Urdu Book.pdf
Samaj Aur Ham Urdu Book.pdfSamaj Aur Ham Urdu Book.pdf
Samaj Aur Ham Urdu Book.pdf
 
Tayammum Urdu Book.pdf
Tayammum Urdu Book.pdfTayammum Urdu Book.pdf
Tayammum Urdu Book.pdf
 

Recently uploaded

Gas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptx
Gas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptxGas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptx
Gas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptxDr.Ibrahim Hassaan
 
Keynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-design
Keynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-designKeynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-design
Keynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-designMIPLM
 
What is Model Inheritance in Odoo 17 ERP
What is Model Inheritance in Odoo 17 ERPWhat is Model Inheritance in Odoo 17 ERP
What is Model Inheritance in Odoo 17 ERPCeline George
 
Planning a health career 4th Quarter.pptx
Planning a health career 4th Quarter.pptxPlanning a health career 4th Quarter.pptx
Planning a health career 4th Quarter.pptxLigayaBacuel1
 
How to Configure Email Server in Odoo 17
How to Configure Email Server in Odoo 17How to Configure Email Server in Odoo 17
How to Configure Email Server in Odoo 17Celine George
 
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptxSolving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptxOH TEIK BIN
 
Romantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptx
Romantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptxRomantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptx
Romantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptxsqpmdrvczh
 
Grade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptx
Grade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptxGrade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptx
Grade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptxChelloAnnAsuncion2
 
ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...
ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...
ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...JhezDiaz1
 
ECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPT
ECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPTECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPT
ECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPTiammrhaywood
 
DATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginners
DATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginnersDATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginners
DATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginnersSabitha Banu
 
Framing an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdf
Framing an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdfFraming an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdf
Framing an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdfUjwalaBharambe
 
HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...
HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...
HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...Nguyen Thanh Tu Collection
 
EPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptx
EPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptxEPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptx
EPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptxRaymartEstabillo3
 
call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️
call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️
call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️9953056974 Low Rate Call Girls In Saket, Delhi NCR
 
ECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptx
ECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptxECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptx
ECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptxiammrhaywood
 
Alper Gobel In Media Res Media Component
Alper Gobel In Media Res Media ComponentAlper Gobel In Media Res Media Component
Alper Gobel In Media Res Media ComponentInMediaRes1
 

Recently uploaded (20)

Gas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptx
Gas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptxGas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptx
Gas measurement O2,Co2,& ph) 04/2024.pptx
 
9953330565 Low Rate Call Girls In Rohini Delhi NCR
9953330565 Low Rate Call Girls In Rohini  Delhi NCR9953330565 Low Rate Call Girls In Rohini  Delhi NCR
9953330565 Low Rate Call Girls In Rohini Delhi NCR
 
Keynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-design
Keynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-designKeynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-design
Keynote by Prof. Wurzer at Nordex about IP-design
 
What is Model Inheritance in Odoo 17 ERP
What is Model Inheritance in Odoo 17 ERPWhat is Model Inheritance in Odoo 17 ERP
What is Model Inheritance in Odoo 17 ERP
 
Planning a health career 4th Quarter.pptx
Planning a health career 4th Quarter.pptxPlanning a health career 4th Quarter.pptx
Planning a health career 4th Quarter.pptx
 
How to Configure Email Server in Odoo 17
How to Configure Email Server in Odoo 17How to Configure Email Server in Odoo 17
How to Configure Email Server in Odoo 17
 
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptxSolving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
Solving Puzzles Benefits Everyone (English).pptx
 
Model Call Girl in Tilak Nagar Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝
Model Call Girl in Tilak Nagar Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝Model Call Girl in Tilak Nagar Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝
Model Call Girl in Tilak Nagar Delhi reach out to us at 🔝9953056974🔝
 
Romantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptx
Romantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptxRomantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptx
Romantic Opera MUSIC FOR GRADE NINE pptx
 
Grade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptx
Grade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptxGrade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptx
Grade 9 Q4-MELC1-Active and Passive Voice.pptx
 
ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...
ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...
ENGLISH 7_Q4_LESSON 2_ Employing a Variety of Strategies for Effective Interp...
 
ECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPT
ECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPTECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPT
ECONOMIC CONTEXT - LONG FORM TV DRAMA - PPT
 
DATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginners
DATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginnersDATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginners
DATA STRUCTURE AND ALGORITHM for beginners
 
Framing an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdf
Framing an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdfFraming an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdf
Framing an Appropriate Research Question 6b9b26d93da94caf993c038d9efcdedb.pdf
 
HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...
HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...
HỌC TỐT TIẾNG ANH 11 THEO CHƯƠNG TRÌNH GLOBAL SUCCESS ĐÁP ÁN CHI TIẾT - CẢ NĂ...
 
EPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptx
EPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptxEPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptx
EPANDING THE CONTENT OF AN OUTLINE using notes.pptx
 
call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️
call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️
call girls in Kamla Market (DELHI) 🔝 >༒9953330565🔝 genuine Escort Service 🔝✔️✔️
 
ECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptx
ECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptxECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptx
ECONOMIC CONTEXT - PAPER 1 Q3: NEWSPAPERS.pptx
 
Alper Gobel In Media Res Media Component
Alper Gobel In Media Res Media ComponentAlper Gobel In Media Res Media Component
Alper Gobel In Media Res Media Component
 
Rapple "Scholarly Communications and the Sustainable Development Goals"
Rapple "Scholarly Communications and the Sustainable Development Goals"Rapple "Scholarly Communications and the Sustainable Development Goals"
Rapple "Scholarly Communications and the Sustainable Development Goals"
 

Eid Mubarak Ho Enghlish Book.pdf

  • 1.
  • 2.
  • 3. Name Kitaab ------------------------------- Eid Mubarak Ho Name Writer------Qazi Ul Quzzat masihemillat M Anwar Alam Waldiyat----------Muhammad Abbas Aliashrafi (Marhum) Watan------Ajmeri Chauk Chakla Ghaat Kishanganj Bihar, Kitabat-----Janashine Huzur Masihemillat Allama M Shamshad Alam Nazre Sani--------------------------Maulana Munimul Qadri Typing-------------------------------------------A M S ALAM Minjanib--Darul Uloom Faizan E Mustafa Education Trust Rehaish------------------------Rashmi Park Sheetal Nagar MTNL,Road Mira Road East,thane, Maharashtra(india)
  • 4. INTESAB Main Apni Is Mehnat Ko Nabi,e Akhiruzzaman Kul Ambiya Wa Rasool (A.S) Jumla Sahaba Sahabiyat Tabaee, Tabiaat Radi Allahu Anhum Ajmaeen, Muslimeen Wa Muslimaat Ko Mansub Karne Ki Sa,adat Hasil Kar Raha Hun NAZAR Auliya,e, Izaam (R.A) Wa Ashaab-e-Karaam Wa Mere Mohsin Waldain Karimain Marhumain Ki Baargah Me Nazar Hai ! Allah Ta,ala Jannatul Firdos Me Jagah Ataa Farmaye Ameen Bahaqqe Sayyadul Mursaleen
  • 5. HUSNE ITTAFAQ Tamaam Tarif Us MaliKe Haqeeqi Ki Jo Sare Jahan Ka Khaliq Hai Aur Jo Tamaam Ibadaton Ke Layak Hai, Durood Wa Salam Ho Piyare Habib Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Par Aur Uske Tamaam Aal Wa Ashaab Par Ke Jisne Mujh Jaise Nacheez Ko Is Kam Ke Liye Chuna Ek Din Mein Soch Va Fikr Mein Tha Ki Ab Tak To Maine (huzoor Aine Noor Hai ) (bismillah Hir Rahmannir Raheem Ke Char Chashme)urdu Hindi, (faizan,e,mime Muhammad) (taufa,e,masihe Millat), (maut Qabar Hashar) (faizan,e,namaz) (talaaq Ya Azaab) (tahriqe Imame Hussain) (faizan,e,islam Ke So 100 Sawalaat) Ke Tasneef Va Taleef Ke Baad Kis Mozu Par Kalm Uthaya Jaaye, Jo Millat Islamia Ke Liye Faydemand Ho Achanak Meri Noor E Nazar Jo Abhi Sirf Panch Saal Ki Hai, Daudti Hui Aayi Aur Chipakkar Kahne Lagi Eid Mubarak Ho Fir Khelne Mein Masroof Ho Gayi, Tab Jakar Maine Socha Ki Ye To Husne Ittafaaq Hai Ki Ab Tak Is Mozu Par Jisme Sirf Eidain Ke Masaile Aur Uska Bayaan Ho Aisi Koi Kitaab Meri Nazar Se Nahin Guzri Hai, Isliye Maine Is Kitaab Ko Eiadain Ke Mozu Par Tarteeb Diya Aur Uska Name Eid Mubarak Ho Rakha Ummid Karta Hun Ki
  • 6. Maula Tabarak Va Ta,ala Is Kitaab Ke Zariye Ummate Muslima Ko Sahi Eid Aur Uski Khushiyan Aata Farmaye Qari,een Ko Is Par Amal Karke Duniyan Va Aakhirat Mein Surkhurui Hasil Ho Aur Uske Rasool Ki Khushnudi Hasil Ho Aur Khatema,Bil,Imaan Ho….......Ameen Talib e Dua...............................Muhammed Anwar Alam (Arabic)Surah Duha Tarjuma Aur Apne Rab Ki Niyamaton Ka Khoob Charcha Karo Tafseer, Nematon Se Muraad Va Nemat Hai Jo Allah Ne Apne Habib Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Aata Farmaya Aur Va Bhi Jiska Huzur Se Wada Farmaya Teri Ummaton Ke Zikr Ka Isliye Hukm Farmaya Ke.nemato Ka Bayaan Karna Shukr Guzari Hai, Khush Kismati Ki Shukriya Ada Karna Har Hal Mein Nek Banduon Ki Nishani Hai Samawaat Aur Uske Andar Ki Sari Cheezen Allah Ta,ala Ki Nishani Hai. Har Qadam Har Saans Har Lamha Beqaide Hayat Rahna Uski Niyamaten Hai Hawa Pani Anaaj Ped Paudhe Dariya Samander Zameen Aasman Zameen Mein Paida Hone Wali Tamaam Cheezen Aasman Par Chand Suraj Sitare
  • 7. Bilasutoon Aasman Ka Samiyana Hamare Liye Niyamat Hai (Fabi Aiyye Aala-e-Rabbikuma Tukazzeban) Surah Rehman Para (27) Tarjuma Tum Apne Rab Ki Koun Si Niyamat Jhthlaoge Allah Ta,ala Ki Neyamaton Ko Uske Nek Bande Jhoothla Nahin Sakte Balki Uski Niyamaton Ka Charcha Karte Hai Apne Rab Ka Shukr Guzaar Bante Hain Allah Ta,ala Ki Niyamate Hamari Aqal Va Faham se Balatar Hai Aayate Qurani (wa in Taadao inaamahu Allahu la Tahsao Ha) Bas Hamara Kam Allah Ta,ala Ki Ibadat Karna Uski Bandagi Karna Aur Uske Piyare Habib Alaihissalam Ki Pairvi Karna Arkane Islaam Par Amal Paira Hona Islaam Se Vasta Hone Ke Bad Jin Umoor Par Amal Zaruri Hai Va Ye Hai Naman-roza-haj- Zakaat- Eiadain Ki Namaz Mein In (4) Arkanon Ke Ada Karne Ka Imaan Hai, Eidulfitr Namaz Roza Zakat Teenon Cheezon Ko Ada Kar Lene Ke Bad Ina,ame Khuda Wandi Se Malamal Hone Ke Liye Log Eidgaah Jaate Hain, Aur 2 Rakaat Namze Eid Ada Karke Uski Niyamaton Ka Charcha Karte Hain Aur
  • 8. Ek Dusre Ko Mubarak Baad Pesh Karke Musafa Va Muanika Karke Khushiyan Ko Do Bala Karte Hain, Eid Ul Azha Ki Namaz Hajiyon Ke Liye Haj Karke Sahebe Istata,at Ke Liye Qurbani Karke Aur Gair Malike Nisaab Ke Liye Us Mahine Ka Chand Dekhna Wajib Hai Zilhijjah Ki 1,Ek Tarikh Se Lekar Das Tak Hajaamat Na Banwakar Nakhun Na Katwa Kar Is Mubarak Mahine Ka Ehtram Karke Navvi Ke Fazar Se Lekar Teharwin Ke Asar Tak Namaze Panj Gana Mein Takbeere Tashreeq Ada Karke Apne Rab Ka Shukr Ada Karna Aur Uski Bandagi Ke In Ina,amat Ko Pakar Ek Dusre Ko Khushiyan Batna Ye Sab Isliye Hota Hai Ki Allah Ta,ala Ke Diye Hue Islaam Ke Charon Arkanon Ki Adaigi Ki Taufeeqae. Di Isse Ziyadah Aur Kya Khushi Ho Sakti Hai Aatishbaji Karna Khurafaat Karna Wahiyat Tarike Par Khushi Manana Eid Nahin Balki Allah Ta,ala Ki Niyamaton Ko Jhutlana Hai, Ek Dusre Ke Liye Magfirat Ki Dua Karna Uski Ranjish Khatam Karna Dili Qudurat Dur Karna Aapas Mein Ek Hokar Nek Hona Allah Aur Uske Rasool Ki Raza Hasil Karna Asal Eid Hai Aur Islaam Ki Sabse Badi Eid Hai
  • 9. Eid Miladun Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hai Aur Isse Bhi Badi Eid To Tab Hai Ki Imaan Par Maut Ho Aur Amaale Hasana Ke Sath Ho Aur Qabar Mein Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Didar Ka Sharf Hasil Ho Ek Insaan Ke Liye Isse Badi Eid Aur Kya Ho Sakti Hai,ghar Se Janibe Taiba Hoga Jab Safar Apna Eid Se Kahin Ziyadah Ham Khushi Manayenge Isliye Ab Chand Raat Se Lekar Sadqae Fitr Tak Aur Sadqae Fitr Se Lekar Eid Aur Uske Ahkam Ka Bayaan Aage Tahrir Kiye Jaate Hain Usko Padhen Aur Us Par Amal Karen Allah Ta,ala Ham Sabko Amal Ki Taufeeqae Ataa Farmaye Aur Apne Piyare Nabi Sallallahu Ta,ala Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Va Tufail Ham Sab Ke Amale Hasna Ko Qubul Farmaya Aur Eid Ki Sacchi Khushiyan Ata Farmaye Aur Khatma Bilkhair Ho Qabar Me Didare Mahbub Sallu Alaihi Va Sallam Se Sarfaraz Kare ..............................Ameen Meri Qabar Ki Raat Kya Raat Hogi Wahin Unse Pahli Mulakat Hogi Nakeerain Markad Me Aate Ho Aso Wahan Honge Aaqa To Kya Baat Hogi
  • 10. Chand Raat Aur Uski Fazilat Panch Mahine Ka Chand Dekhna Wajibe Kifaya Hai Shaban Ramzan Shawwal Zilqadah Zilhijjah (fatawaye Rizviya) Shaban Ki (29) Ki Sham Ke Waqt Chand Dekhe Dikhai De To kal Roza Rakhkhen Varna Shaban Ki (30) Din Pure Karke Ramzan Ka Mahina Shuru Karen (hidayah Alamgiri Bahar) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Chand Dekhkar Roza Rakhna Shuru Karo Aur Chand Dekhkar Iftar Aur Eid Karo Aur Agar Abar Ho To Shaban Ki Ginti 30 Puri Karlo Aur Farmaya Raza Na Rakhkho Jab Tak Chand Na Dekhlo Aur Iftar Va Eid Na Karo Jab Tak Chand Na Dekhlo Aur Agar Abar Ho To 30 Ki Miqdar Puri Karlo (bukhari Va Muslim) Naya Chand Dekhkar Kalmaye Shahadat Padhna Afzal Hai Aisa Karne Se Pura Saal Amno Aman Ke Sath Guzarta Hai Aur Allah Ta,ala Afate Duniyavi Se Mahfooz Rakhta Hai Matla Saaf Na Hone Ki Surat Mein Yani Badal Ya Gubar.shirf Ramzan Ka Suboot Ek Musalman Aaqil Balig Mastur Ya Adil Ki Gawahi Se Ho Jata Hai Chahe Mard Ho Ya Aurat Ki Aur Ramzan Ke Siwa Baki Tamaam Mahinon Ke Chand Ke Liye Do Mard Ya Ek Mard Do Aurate Gawahi De Aur Sab Aadil Ho Aur Ye Kahen Ke Gawahi Detahoon Ke Maine Khud Chand Dekha Tab Chand Ka Suboot Hoga
  • 11. Adil Ki Tareef Adil Hone Ke Ye Mana Hai Ki Gunahe Kabira Se Bachta Ho Aur Sahirah Par Asrar Na Karta Ho Aur Aisa Kam Na Karta Ho Jo Muravvat Ke Khilaf Mastur Ki Tarif - Mastur Se Murad Ye Hai Ki Jiska Zahir Haal Shara Ke Mutabiq Ho Magar Batin Ka Hal Maloom Na Ho Mas,ala , Jis Aadil Aadami Ne Chand Dekha (Ramzan Ka) Us Par Wajib Hai Ki Usi Raat Shahadat Ada Kare . Mas,ala Gaon Mein Chand Dekha Aur Wahan Koi Sharai Qazi Va Haqim Nahin Jiske Pass Gavahi De To Gaon Walon Ko Jama Karke Shahadat Ada Karen Aur Agar Shadat Aadil Hai To Logon Par Roza Rakhna Lazim Hai Mas,ala Jab Mat,ala Saaf Ho To Eid Ke Chand Ka Suboot Aqil Balig Aadil Do Mard Ya Ek Mard Aur Do Auraton Ki Shahadat Se Hoga,
  • 12. Matla Saaf Hone Ki Surat Me Chand Ka Suboot Agar Matla Saaf Ho To Jab Tak Bahoot Se Log Shahadat Na De Chand Ka Suboot Nahin Ho Sakta Chahe Ramzan Sharif Ka Ho Ya Eid Ka Ya Aur Kisi Mahine Ka Raha Yeh Ki Uske Liye Kitne Log Hone Chahiye To Ye Qazi Ki Soch Par Munahsir Hai Jitne Logon Ki Gawahi Se Qazi Ko Guman Ho Jaaye Itno Ki Shahadat Se Chand Hone Ka Elaan Kare Agar Kisi Unchi Jagah Se Dekha Tha To Ek Mastur Ka Bhi Qaul Sirf Ramzan Ke Chand Mein Man Liya jayega, (Maulana Shamshuddin,Musannif Bahare Shari,at Likhate Hain Ki ) Main Ye Kahta Hun Ki Chand Dekhne Mein Logon Ki Jo Susti Va La Parwahi Ka Haal Hai Iske Etabaar Se Matla Saaf Hone Ki Halat Me Eid Ke Siva Aur Dinon Me Bhi Bajaye Bahoot Aadmiyon Ke Do Gawahon Ki Gawahi Kafi Honi Chahiye Aur Mera Bhi Khayal Yahi Hai
  • 13. Chand Ki Gawahi Shahadat Me Ye Kahna Zaruri Hai Ki Main Gawahi Deta Hoon Bagair is Lafz Ke Gawahi Nahin Magar Abr mai Ramzan Ke Chand Ki Gawahi Mein Itna Bhi Kafi Hai Ki Maine Apni Aakhon Se Is Ramzan Ka Chand Aaj Ya Kal Ya Falan Din Dekha Hai Ek Jagah Chand Huwa To Va Sirf Vahin Ke Liye Nahin Balke Dusri Jagahon Ke Liye Bhi Wahi Hukm Hai Dusri Jagah Walon Par Us Din Tarikh Mein Chand Hona Sharai Suboot Se Sabit Ho Jaaye Yani Chand Dekhne Ki Gavahi Guzre Ya Baqi Ke Hukm Ki Gawahi Guzre Ya Motadad Jama,ate Vahan Se Aakar Khabar De Ki Falan Jagah Chand Huwa Hai Aur Wahan Logon Ne Roza Rakha Ya Eid Ki Mas,ala Taar Teliphone Radio Se Chand Dekhna Sabit Nahin Ho Sakta is Liye Ki Agar Inhon Ne Har Tarah Sahi Maan Bhi Liya Jaaye Tab Bhi Ye Mahez Ek Khabar Hai, Shahadat Nahin Mahez Ek Khabar Se Chand Ka Suboot Nahin Hota Isi Tarah Bazaari Afwah Se Jantariyan Aur Akhbaron Me Chhapne Se Bhi Chand Hona Sabit Nahin Ho Sakta Mas,ala Chand Dekhakar Uski Taraf Ungli se Ishara Karna Makrooh Hai Agar Ya Dusre Ko Batane Ke Liye Ho (alamgiri Bahar,e, Shariyat)
  • 14. Izhar,e, Khushi Chand Dekhkar Khushi Ka Izhaar Karna Ek Dusre Ko Mubarak Baad Pesh Karna Duaaen Dena Na Tofe Dena Man Baap Ki Duaaen Lena Aur Jaise Tarikho Se Khushi Manana Afzal Magar Aaj Kal Jis Tarike Par Ham Chand Dekhte Hi Patakhe Fuljhadiyan Wagaira Se Musarrat Karte Hain Ye Sarasar Galat Hai Kyunki Aatishbazi Haram Hai Aur Haram Se Bachana Bahoot Zaroori Hai
  • 15. Sadqa,e, Fitr Ka Bayaan Huzoor Sarware Kayinaat Sallallahu Ta,ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Banda Ka Roza Aasman Aur Zameen Ke Beech Ruka Rahta Hai Jab Tak Sadqaye Fitr Ada Na Kare (ibne Asakar Rautib) Mas,ala Sadqaye Fitr Wajib Hai Umar Bhar Uska Waqt Hai Yani Ada Na Kiya Ho To Ab Ada Karden Ada Karne Se Sakit Hoga Ab Ada Karna Qazaa Nahin Hai Balke Ab Bhi Ada Hoga Agarche Sunnat Eid Ki Namaz Se Pahle Ada Kar Dena Hai (Durre Mukhtar) Mas,ala Eid Ke Din Subah Sadiq Shuru Hote Hi Sabqaye Fitr Wajib Ho Jata Hai Lehaza Jo Subah Sadiq Se Pahle Mar Gaya Faqeer Ho Gaya To Us Par Sadqaye Fitr Wajib Na Huwa (Alamgiri) Mas,ala Subah Sadiq Shuru Hone Ke Baad Jo Baccha Paida Hua Ya Jo Faqeer Musalman Huwa Ya Faqeer Gani Huwa Us Par Sadqaye Fitr Wajib Huwa (Alamgiri) Mas,ala Subah Sadiq Shuru Hone Se Pahle Kafir Musalman Ho Gaya Ya Bachana Paida Hua Ya Faqeer Tha Gani Ho Gaya To Sadqaye Fitr Wajib Hai (Alamgiri)
  • 16. Mas,ala Jo Subah Sadiq Shuru Hone Ke Baad Mara Us Par Sadqaye Fitr Wajib Hai Mas,ala Sadqaye Fitr Har Musalman Azad Malike Nisaab Par Jiske Nisaab Hajate Asliya Ke ilawa Ho Wajib Hai Usme Aaqil, Baalig, Aur Maal Nami Honi Ki Shart Nahin Yani Maal Par Saal Guzarna Shart Nahin (Alamgiri) Sadqaye Fitr Kis Kis Par Wajib Hai Mard Malike Nisaab Par Apni Taraf Se Aur Apne Chhote Bacche Ki Taraf Se Sadqaye Fitr Hai Jab Ke Baccha Khud Nisaab Ka Malik Na Ho Aur Agar Baccha Nisaab Ka Malik Ho To Uska Sadqaye Fitr Usi Ke Mal Se Diya Jayega Aur Majnoon (Pagal) Aulad Agarche Balig Ho Jabke Maaldar Na Ho To Usaka Sadqaye Fitr Uske Baap Par Wajib Hai Aur Maaldar Ho To Khud Uske Mal Se Diya Jaaye Mas,ala Sadqaye Fitr Wajib Hone Ke Liye Roza Rakhna Shart Nahin Agar Kisi Ujre Sharai Safar Bimari Ya Budhape Ki Wajah Se Ya (Mazallah) Bila Uzar Roza Na Rakha Jab Bhi Sadqaye Fitr Wajib Hai, Mas,ala Baap Na Ho To Dada Baap Ki Jagah Hai Yani Apne Faqeer, Yateem, Pota, Poti, Ki Taraf Se Uspar Sadqaye Fitr Dena Wajib Hai
  • 17. Mas,ala Apni Aurat Aur Aaqil Balig Aulad Ka Sadqaye Fitr Uske Zimme Nahin Agar woh Apahij Ho Agarche Unka Nafkaah Uske Zimma Ho (Durre Mukhtar) Sadqaye Fitr Ki Miqdar : Sadqaye Fitr Ki Miqdar Ye Hai Gehun Hoya Uska Aata Ya Sattu Eksa (Hidayah) Mas,Ala - Gehun Aur Jon Ke Dane Se Unka Aata Dena Afzal Hai Aur Usse Afzal Ye Hai Ki Kimat De ! Chahe Gehun Ki Kimat Den ya Jon Ki Ya Khajur Ki Magar Girani Me Khud Un Cheezon Ka Dena Qimat Dene Se Afzal Hai Aur Agar Kharab Gehun Ya Jon Ki Qeemat di To Acche Ki Qeemat Jon Kam Padewoh Puri Kare (Durrul Mukhtar) Lihaza Hindustan Me Jo Raej Hai Ke Gehun 2 Kilo 45 Garam Fix Ada Karte Hain Bilkul Durust Hai Ek Sa Char Ser Saba 6 Chatank Ka Hota Hai Aur Aadha Sa 2 Ser Sab 3 Chatank Ka Hota Hai Asani Aur Ziyadah Ehtiyaat Hai Ki Gehun Saba Do Ser Fix Ada Kare Jin Jin Ko Zakat De Sakte Hain Unko Sadqaye Fitr De Sakte Hain Siwaye Aamil Ke Unko Zakat De Sakte Hain Fitra Nahin (durre Mukhtar)
  • 18. Eid Kya Hai ? Eid Name Hai Mahe Shawwal Ke Pahle Din Ka Aur Zilhijjah Ke Daswen Din Ka In Dinon Ko Eid Isliye Kahate Hain Ki Log Ata,ate ilahi Yani Mahe Ramzan Ke Roze Aur Haj Se Farig Huwe Aur Ata, ate, Nabwi Sallallahu Alayhi Wa Sallam Ki Taraf Laute Yani Unhone Shawwal Ke 6 Roze Rakhe Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Ziyarat Ki Taiyari Ki Ya Inhen Eid Isliye Kaha Jata Hai Ki Ye Din Har Saal Laut Aate Hain Ya Isliye Ki Isme Allah Ta,ala Baar Baar Fazl.wa Karam Farmata Hai Ya Isliye Ki Inke Aane Se Khushiyan Laut Aati Hai Behrehaal Tamaam Tauji Haat Me Auda Ka Man Liya Jata Hai Eid Ki Pahli Namaz Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Pahli Namaz,e,Eid (2) Hijri Me Ada Ki Fir Ise Kabhi Tark Nahin Farmaya, Lehaza Ye Sunnat,e,mu,aqqida Hai,
  • 19. Fazilat,e, Eidulfitr Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Ta,ala Anhu Se Marwi Hai Ki Sarkare Do Alam Salam Ta,ala Alaihi Wa Sallam Ne Iarshad Farmaya Ke Apni Eidon Ko Takveer Se Zeenat Bakhshon Aapne Farmaya Ke Jisne Eid Ke Din 300 Martaba Subhanallahi Wa Bi Hamdihi Padhi Aur Musalman Mautaon Ki Ruhon Ko Uska Sawaab Hadiya Kiya To Har Musalman Ki Qabar Me Ek Hazaar Anwaar Dakhil Hote Hain, Aur Jab woh Marega Allah Ta,ala ka Kahna hai Uski Qabar Me 1000 Anwaar Dakhil Farmayega Aur Jab woh Marega Allah Ta,ala Ka Kahna Hai Ki Shaitan Har Eid Par Naho Wa Zaari Karta Hai Aur Tamaam Shayateen Uske Irdgird Jama Ho kar Puchte Hain Ki Ae Aaqa Aap Kiyun Udaas Hai, Jawaab Me woh Kahta Hai Allah Ta,ala Ne Aaj Ke Din Ummat,e,mohammedi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ko Bakhsh Diya Hai Lehaza Tum Inko Lazzat Aur Khawahishate Nafsi Me Mashgul Karo Hazrat Wahab Bin Mimbaah Radi Allau Ta,ala Anhu Se Marwi Hai Ke Allah Ta,ala Ne Eidul Fitr Ke Din Jannat Ko Paida Farmaya, Aur Darakhte Tuba Ko Eidul Fitr Ke
  • 20. Din Goya Jibraeel e Ameen Ka Intekhab Wahin Ke Liye Eidul fitr ke Din Kiya Aur Firaon Ke Jadugaron Ki Tauba Bhi Allah Ta,ala Ne Eidul fitr Ke Din Qubool Farmaya Huzoor,e,Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ka Farman Hai Ki Jisne Eid Razt Klbe Sawaab Ke Liye Qayaam Ki Uska Dil Nahin Marega Jis Din Sab Ke Dil Marjaenge (Hikayat) Hazrat Farooq,e,azam Ne Eid Ke Din Apne Bete Ko Purani Kameez Pahne Dekha To Ro Pade Unhone Kaha Ki Aap Kiyun Ro Rahe Ho Aapne Farmaya Ki Mujhe Andesha Hai Ki Aaj Eid Ke Din Jab Ladke Tujhe Is Fate Purane Kapde Me Dekhenge To Tera Dil Tut Jayega Bete Ne Jawaab Diya Dil To Uska Tutega Jo Raza,e, ilahi Ko Na Pasaka Usne Apne Maan Baap Ki Nafarmani Ki Aur Mujhe Ummid Hai Ke Aapki Razamandi Ke Tufail Allah Ta,ala Bhi Mujse Razi Hoga Ye Sunkar Hazrat Umar Ro Pade Bete Ko Gale Lagaya Aur Uske Liye Dua Ki Kisi Shayar Ne Kya Khoob Kaha Hai
  • 21. Jiska Tarjma Ye Hai (1) Unhone Kaha Kal Eid Hai Tum Kya Pahnoge Maine Kaha Aise Pushak Jisme Bande Ko Rafta Rafta Bahoot Kuch Diya (2) Fikar Aur Sabar Do Kapde Hain Aur Uske Darmiyan Dil Hai Jisko Uska Malike Eidon Aur Jummon Me Dikhata Hai (3) Tab Meri Eid Nahin Hogi Eai Ummid Agar Tu Mujhse Gayab Ho Jaye Aur Agar Tum Mere Samne Aur Kano Ki Qareeb Hoti To Fir Meri Eid Hai
  • 22. In,Aame Azeem Eid Ki Subah Hoti Hai To Allah Ta,,ala Farishton Ko Bhejta Hai Jo Zameen Par Utar Te Hain Vah Gali Kuchon Aur Easton Me Khade Ho Jate Hain Aur Buland Awaaz Se Kahte Hain Jise Jin Aur Insaan Ke Siwaa Tamaam Makhlooq Sunti Hai Vah Kahte Hain Aei Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Ummat Apne Rab Ki taraf Aao, Vah Tumhen In,ame Azeem Ata Farmayega Aur Tuhare Bade Gunah Maanf Farmayega Aur Jab Log Eid Gaahon. Me Aa jate. Hain To Allah Ta,ala Farishton Se Farmata Hai Mazduri Ka Badla Kya Hai ? Jab Vah Apna Kaam Mukammal Karle Farishte Kahte Hain Uska Badla Ye Hai Ke Use Pura Ajar Diya Jaye Tab Allah Ta,ala Farmata Hai Main Tumhen Gawaah Banata Hun Ki Maine Un Logo Ke Liye Apni Bakhshish Aur Raza Ko Unka Ajar Banaya Hai, Maloom Huwa Allah Ta,ala Eid Ke Din Apne Bandon Ko Ajar Ata Farmata Hai Aamaante Rab Se Malamal Kiya Jata Hai Is Azeem Din Se Insaan Ko Ataye Rabbi Pakar Shukar Guzari Karni Chahiye Aur Khud Ko Yade Khuda Me Mashgool Rakhna Chahiye,
  • 23. Magar Aaj Uska Bar,akas Hota Hai Eid Ki Namaz Se Farig Bhi Nahin Ho Pate Hain Ke Insaan Buraiyon Ke Raste Bana Lete Hain, Dil Me Palan Banana Shuru Kar Dete Hain Namaaz Se Farig Hote Hi Log Film Juwa Sharab Jaise Kaamon Me Mashgool Ho Jate Hain Mano Ab Inko Namaz Ke Jhamele Se Mimi Hai Maan Baap Ki Raza Ka Khayal Bhi Nahin Rakhte Hain Mohalla Pados Ya Gaon Samaj Me Agar Koi Naraaz Ho To Usko Razi Karne Ke Bajaye Unhen Air Pareshan Karne Ki Thaan Lete Hain, Eid Tamaam Tar Khusyon Ko Apne Daman Me Samet Lene Ka Kaam Hai, Khushi Pane Se Ziyadah Musarrat Khushiyan Batne Me Hoti Hai, Tamami Bhaiyon Se. Mera Araz Hai Ki Shariat,e, Muhammadi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Amal Kare Ahkaame Khuda Baja Laye Aur Khalqe Khuda Ki Khidmat Karke Khuda Ki Raza Hasil Kare Allah Ta,ala Jumla Momineen Mominaat Ko Rab Ki Sachchi Khushi Ata Farmaye Aur Dunyan Va Aakhirat Me Sur Khuru Ata Farmaye Ameen, Auraton Ke Liye Eid Ki Namaz Jaez Nahin, Nawafil Padh Sakti Hai Uska Sawaab Mardon Ki Namaz Ke Barabar hai
  • 24. Eidain Ke Masail Eid Aur Baqra Eid Ki Namaz Wajib Hai Magar Sab Par Nahin Balke Sirf Unhi Par Jin Par Juma Wajib Hai Aur Uski Ada Ki Vahi Sharte Hain Jo Jumma Ke Liye Hain Sirf Itna Fark Hai Ki Jumma Main Khutba Shart Hai Aur Eidain Mein Sunnat Hai Agar Jumma Mein Khutba Na Padha To Jumma Na Hua Aur Eidain Mein Na Padha To Ho Gaya Magar Bura Kiya. Dusra Fakr Yah Hai Ki Jumma Ka Khutba Namaz Se Pahle Hai Aur Eidain Ka Khutba Namaz Ke Baad Agar Eidain Ka Khutba Namaz Se Pahle Padha To Bura Kiya. Magar Namaz Ho Gai Lautayi Nahin Jayegi (Alamgiri) (masail) Bina Vajah Eid Ki Namaz Chhodna Gumrah Hi Va Bid,at Hai (bahar,e,sharyat)2 Gaon Mein Eid Ki Namaz Padhna Makruhe Tahrimi Hai (bahar,e, Shariyat) (3). Buland Awaz Se Raste Mein Takbeer Kahna Sunnat Hai Idgah Sawari Per Jaane Mein Harj Nahin Magar Jisko Paidal Jaane Mein Qudrat Ho Uske Liye Paidal Jana Behtar Hai Aur Wapsi Mein Sawari Per Aane Mein Harj
  • 25. Nahin Eidain Ki Namaz Ka Waqt Use Waqt Se Shuru Hota Hai Jab Ke Suraj Ek Neje Ke Barabar Ho Jaaye Aur Jaae Cobra Yani Nisfurnihar Tak Rahata Hai Lekin Eidulfitr Mein Dher Karna Aur Eid Ul Adha Mein Jald Padh Lena Chahiye Aur Salam Pherne Se Pahle Zawal Ho Gaya To Namaz Jaati Rahi Hidayah Vah. Jawal Se Murad Nisfurnihar Shart Hai Jis Ka Byaan Waqt Ke Byan Mein Guzar Chuka Hai Iske Mustahibaat Hajamat Banvana Nakhun Katwana Gusl Karna Miswak Karna Acche Kapde Pehna Naya Ho To Naya Varna Dhulawa Anguthi Pahnana Khushbu Lagana Fajar Ki Namaz Mohalle Ki Masjid Mein Padhna Eidgah Jald Chala Jana Namaz Se Pahle Sadqaye Fitr Ada Karna Eidgah Ko Paidal Jana Dusre Raste Wapas Aana Namaz Ko Jaane Se Pahle A Chand Khajuren khawa Lena 3/ 5 /7 Yah Kamo Besh Magar Be Jod Na Ho Khajur Na Ho To Koi Meethi Cheez Kha Le Namaz Se Pahle Kuchh Na Khaya To Gunagaar Na Hua Lekin Isha Tak Na Khaya To Itab Kiya Jayeg, Khushi Ka Izhaar Karna Zyada Se Zyada Sadqah Dena Eid Gah Ko Itminaan Wo Waqaar Se Nichee Negah Kiye Jana Aapas Mein Mubarak Baad Dena Yah Sab Baten Mustahab Hai
  • 26. Namaz,e, Eid Ki Tarkeeb Niyyat Ki Maine Do Rakaat Namaz Wajib Eidulfitr Ki Ya (eidul Adha) Ki Zayid Chhe Takbiron Ke Saath Waste Allah Ta,ala Ke Munh Mera Ka,aba Sharif Ki Taraf Allah Hu Akbar. Ya Imaam Ho To Imaam Ki Niyat Kare Takbeere Tahrima Allah Hu Akbar Kahte Huwe Apne Hatho Ko Kano Tak Lejaye Aur Allah Hu Akbar Kahta Huwa Chod De Fir Haath Uthaye Aur Allah Hu Akbar Kahte Huwe Haath bandle Jab Haath Bandle To tawuz Aur Tasmiya Ahista Padkar Zor Se Alhamd Shareef Padkar Koyi Aur Surat Padhe Aur Muqtadi Khamosh Rahe Aur Ruku Wa Sujood Karke Ek Rakaat Puri Kare Jab Dusri Rakaat Ke Liye Khade Ho To Pahle Alhamdu Shareef Padhe Aur Koyi Surat Padhe Fir Allah Hu Akbar Kahte Huwe Teen Baar Hathon Ko Kano Tak Lejaye Aur Apni Halat Par Chor De Aur Chaunthi Takbeer Me Allah Hu Akbar Kahte Huwe Ruku Me Jaye Aur Namaz Puri Kare Maloom Huwa Ki Eid Me Zayed Chhe Takbeeren Hai Pahli Rakaat Me Takbeer Kahne Se Pahle Dusri
  • 27. Rakaat Me Teen Takbeeren Kahne Ke Baad Rakaat Se Pahle Zayed Takbeeron Me Haath Uthaye Jayenge Aur Har Do Tak Beeron Ke Darmiyaan enTe Tasbeeh Padne Ke Barabar Waqfah Kare Pahli Rakaat Me Alhamd Ke Baad Surah Jumma Aur Dusri Rakaat Me Surah Munafiqoon Ya Pahli Me Sabbe Hisma Aur Duri Me Hal Ataaka Padhna Mustahab Hainn(bahar,e, Shariyat) Namaz Ke Baad Imaam Do Khutbe Padhe Aur Juma Ke Khutbe Me Jo Niche Sunnat Hai Vah Eidain Ke Khutbe Me Bhi Sunnat Hai Aur Jo Baaten Jume Ke Khutbe Me Makrooh Hai Vah Baaten. Eidain Ke Khutbe Me Bhi Makrooh Hai Sirf Do Baton Me Farq Hai (1) Jumma Ke Khutbe Se Pahle Khateeb Ka Mimber Par Baithna Sunnat Hai Aur Eidain Me Na Baithna Sunnat Hai (2) Eidain Ke Khutba Se Pahle (1) Aur Khutba Sani Se Pahle (7) Aur Mimber Se Utarne Se Pahle(14) Baar Allah Hu Akbar Kahna Sunnat Hai Aur Jumma Me Nahin(alamgiri) Jamat Khadi Hone Ke Baad Aane Walon Ke Liye Chand Zaruri Masail Pahli Rakaat Me Imaam Ke Takbeer Kahne Ke Baad Koyi Shamil Huwa To Usi Waqt Teen Takbeer Kahle Agarche Imaam Be Qeerat Shuru Kar Di Ho(2)
  • 28. Imaam Ko.ruku Me Paya To Pahle Khade Hokar Takbeere Tahreemi Kahe Fir Dekhe Agar Eid Ki Takbeer Kah Kar Imaam Ko Ruku Me Pa Lega To Eid Ki Takbeeren Bhi Kahen Tab Ruku Me Shamil Ho Agar Ye Samjhe Ke Eid Ki Takbeer Kahte Kahte Imaan Ruku ke Sat Uthane lege To Allah Hu Akbar Kah Kar Ruku Me Sharik Ho Jaye Aur Ruku Me Bila Hath Uthaye Eid Takbeer Kahe Fir Agar Usne Ruku Me Pure Takbeeren Na Kahi Thi Ke Imaam ne Sar Utha Liya To Imaam Ke Sath Sat Uthaye Aur Baaqi Takbeeren Chod Den Ke Sakit Ho Gayi (alamgiri) (3) Dusri Rakaat Me Shamil Huwa To Pahli Rakaat Ki Takbeer Us Waqt Kahe Jab Apni Chuti Huwi Rakaat Puri Karne Khada Ho (Alamgiri) (4) Imaam Ke Ruku Se Uthne Ke Baad Shamil Huwa To Ab Takbeer Na Kahe Balke Jab Apni Chuti Huwi Rakaat Padhe Us Waqt Kahen. (alamgiri) (5) Aakhri Rakaat Me Salam Karne Se Pahle Sharik Huwa To Apni Dono Rakaaten Takbeer Ke Sath Puri Karen (Alamgiri)
  • 29. Eidain Ki Namaz Ka Waqt Aur Muddat Eidain Ki Namaz Ka Waqt Ek Nyza Aftab Buland Hona Se Lakar Nisfurnihar Shari Tak Kisi Arza Ki Waza Se Chand Nahi Dakaha Gay Aur Gavahi Ase Wakat Guzri Ke Namaz Na Ho Saki Ya Badal Tha Aur Namaz Aise Wakat Khatma Hoyi Ke Zawal Ho Chuka Tha To Dousera Din Pahari Gaya Aur Dusara Din Bhi Na Ho To Eidulfitr Ki Namaz Tisara Din Ho Sakati Ho Aur Dusara Din Namaz Ka Wohi Wakat Ho Zo Pahle Din Tha Aur Agar Bila Araz Eidulfitr Ki Namaz Pahle Din Na Pahari To Dusara Din Nahin Pard sakata (kajirwan Alam Giree) Eid Aur Baqarh Eid Me Fark Baqrah Eid Ke Tamam Masail Va Ahkaam Eid Ki Tarah Hai Sirf Chand Baton Ka Fark Hai Bakra Eid Me Mustahab Ye Hai Ki Namaz Se Pahle Kuchh Na Khaye Agarche Qurbani Na Kare Agar Kha Liya To Karahat Nahin Aur Raste Me Buland Awaaz Se Takdeer Kahta Jaaye Qurbani Karne Wale Yani Jin Ke Name Qurbani Dene Wala Hai Pahle Se Dasvin Tak Na Hajamat Banae
  • 30. Na Nakhun Kate Eid Ki Namaz Uzr Ki Bahaz Se Barhavin Tak Bila Karahat Mu,akkhkhar Kar Sakte Hai Baharvin Ke Bad Fir Mua,akhihar Nahin Kar Sakte Hain Barhavin Ke Bad Fir Nahin Ho Sakti Hai Aur Bila Uzar Tehar Vin Ke Baad Makrooh Hai, Takbeere Tashreeq Takbeere Tashreeq Navi Zilhijjah Ki Fazar Se Terharvin Ke Asar Tak Pancho Waqt Ki Har Farz Namaz Ke Baad Jo Jama,te Mustahibaat Ke Sath Ada Ki Gayi Ho Ek Bar Buland Awaaz Se Takbeer Kahna Wajib Hai Aur Teen Bar Kahna Afzal Hai
  • 31. Teen Baar Kahna Afzal Hai Takbir Tashreeq Yah Hai Allah Hu Akbar Allah Hu Akbar La elaha illallah Hu wallahu Akbar Allah Hu Akbar Allah Hu Akbar Wa Lillah Hil Hamd ! Takbeere Tashreeq Salam Ferne Ke Bad Foran Wajib Hai Yani Jab Tak Koyi Aisa kaam Na Kiya Ke Namaz Par Bena Na Kar Sake Agar Masjid Se Bahar Ho Gya Qasdan Vazu Tod Diya Ya Baat Ki Agar Yah Sabhan Ho Takbeer Sakit Ho Gayi Aur Bila Qasad Wazu Tut Gaya To Takbeer Kahle (bahar,e,sharyat) Takbeere Tashreeq Kis Par Wajib Hai Takbeere Tashreeq Us Par Wajib Hai Jo Shahar Me Muqeem Ho Ya Jisne Muqeem Ki Iqteda Ki Agar Va Iqteda Karne Aurat Ya Musafir Ya Gaon Ka Rahne Wala Ho Aur Agar Yah Log Muqeem Ki Iqteda Kare To Un Par Wajib Nahin Takbeere Tashreeq Un Dinon Me Jumma Ke Bad Bhi Wajib Hai Aur Nafal Sunnat Wa Vitr Ke Bad Nahin Namaz,e,eid Ke Bad Bhi Kahle (durre Mukhtar)
  • 32. Musafa Wa Muanaqa Baad Namaz e Eid Musafa Karna Jaise Ke Musalmanon Mein Raij Hai Behtar Hai (bahare Shariyat) Fazilat,e,musafa Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Musalman Milkar Musafa Karte Hain To Judaa Hone Se Pahle Unki Magfirat Ho Jaati Hai Aur Ek Riwayat Me Hai Jab Do Musalman Aapas Me Musafa Kare Aur Allah Ki Hamd Karen Aur Istegfaar Kare To Donon Ki Magfirat Ho Jayegi (Ahmad Tirmizi) Musafa Sunnat Hai Aur Uska Suboot Se Aur Ahadees Me Uski Badi Fazilat Aee Hai Ek Hadees Me Yah Hai Ki Jisne Apne Musalman Bhai Se Musafa Kiya Aur Hathon Ko Harkat Dee Uske Tamam Gunah Gir Jayenge Jitni Baar Mulakat Ho Har Bar Musafa Karna Mustahab Hai Musafa Karte Waqt Donon Ye Dua Padhe (yagfirullah Ha Lana Wa Lakum,) Musafa Ka Tariqa Ye Hai Ke Ek Aadami Apne Hatheli Dusre Ki Hatheli Se Milate Waqt Ungliyon Ke Chhune Ka Naam Musafa Nahin Hai Sunnat Ye Hai Ki Donon Hathon Se Musafa Kiya Jaaye Aur Donon Hathon Ke Darmiyaan Kapda Hayal Na Ho (Raddul Mukhtar)
  • 33. Muanaqa Ki Sharten Muanaqa Yani Gale Milna Bhi Jayiz Hai Jab Ke Fitna Ka Khauf Aur Sahwat Ka Andesha Na Ho Chahe Ke Jis Se Munaiqa Kiya Jaaye Vah Sirf Tahwand Ya Pajama Pehne Na Ho Kurta Achkan Phne Ho Ya Chadar Odhe Ho Yani Kapda Hayal Ho Hadees Paak Se Sabit Hai Ki Sarkar Ne Munaiqa Farmaya, Hazrat Abu Hurairah Radi Ta,ala Anhu Kahte Hain Ki Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sath , Hazrat,e,fatima Radi Allahu Ta,ala Unh Ke Ghar Gaya Huzoor Ne Hazrat,e,hasan Ko Daryaft Farmaya Ke Vah Kahan Hai Thodi Der Baat Va Daudte Hue Aaye Aur Huzur Ne Unhen Gale Lagaya Aur Vah Bhi Chipat Gaye Fir Farmaya Ae Allah Mein Ise Mahboob Rakhta Hun Tu Bhi Ise Mahbub Banaa Jo Ise Mehboob Rakhe (Bukhari Was Muslim) Nabi Kareem Sallallahu Ta,ala Alaihi Wasallam Ne Jafar Bin Abi Talib Radi Allahu Anahon Ka Istikikbal Farmaya Aur Un Se Muanaka Farmaya Aur Fir Donon Aankhon Ke Darmiyaan Bosa Diya
  • 34. (Abu Dawood) Baad Namaze Eidain Musalmanon Me Main Muaniqa Ka Riwaz Hai Aur Izhare Khushi Ka Ek Tariqa Hai Munaqa Bhi Jayez Hai Jabke Mohalle Fitna Na Ho Buzurgon Ke Hath Paun Chumne Ke Ahkaam Bosa Dena Agar Ba Shahwat Na Ho To Jayez Hai. Aur Agar Tazeem Ke Liye Ho To de Sakta Hai Peshani Par Bosa Bhi Inhi Sharayat Par Jayez Hai,Huzoor Sallallahu Alaihi Vasllam Ke Donon Aankhon Ke Bich Bossa Diya Sahaba Wa Tabaee Se Bhi Bosa Dena Sabit Hai Baaz Log Musafa Karne Ke Bad Khud Apna Hath Chum Lete Hain Ye Makrooh Hai Aisa Nahin Karna Chahiye Alime Din Aur Badshah Aadil Ka Hath Chumna Jayez Hai Bal Ke Uske Qadam Chumna Bhi Jayez Hai Balke Kisi Ne Agar Dil Se Khwahish Zahir Ki Kya Aap Apna Qadam Mujhe Dijye Ki Bosa Lun Uske Kahne Ke Mutabik Vah Alime Din Apna Hath Paon Bosa Ke Liye Uski Taraf Badha Sakta Hai (durre Mukhtar)
  • 35. Badon Ki Tazeem Ka Tariqah Mulakat Ke Waqt Bataur Ikram Kisi Ko Sajda Karna Haram Hai Aur Ibadat Ka Irada Ho To Sajda Karne Wala Kafir Hai, gairullah Ki Ibadat Kufr Hai (alam Giri) Mulakat Ke Waqt Jhukna Mana Hai Yani Itna Jhukna Ke Hade Ruku Ko Pahonch Jayen Aane Wale Ke Liye Khada Hona Jaiz Hai Balke Man Doob Hai Jab Ke Aise Ki Tazeem Ke Liye Khada Ho Jo Mustahike Tazim Ho Maslan Alime Din Ke Liye Khada Hona Koi Aadami Masjid Mai Baitha Hai Ya Quraan Majid Padh Raha Hai Aur Aisa Shakhs Aagya Jiski Tazeem Karni Chahiyye To Us Halat Mai Us ki Tazeem Ko Khada Ho Sakta Hai In Tamam Ahadis Aur Wa Masail Aur Rawayaat Ki Roshni se Malum Huwa Ki Apnose Se Piyar Badoki Tazeem Aapas Mai Muhabbat Karne Ya Ek Bahtareen Tariqa Hai Eid Ki Namaz Padhkar Aapas Mai Gale Milna Musafa Karna Man, Bahan , Bade Bhai, Bap, Dada,dadi, Nana,nani, Aur Apne Chote Bachchonki Peshani Ka Bosa Dena Unke Hath Chumna Ustaz , Peer,Man, Bap,ke Pair Chumna Achcha Hai Badon Ki Tazeem Karke Unki
  • 36. Duawaen Lena Bahoot Achcha Hai Dilon Se Nafrat Qudurat Wagerah Sab Chod Kar Hath Mila E Gale Mile Ek Dusre ko Khushi Bate Jo Khushi Dusron ko Khush Karke Milti Hai Us Se Badhkar Aur Koi Khushi Nahin Ho Sakti Hai.
  • 37. Nazme Eid Mubarak Har Gam Ko Bhula Dena Namaze Eid Se Pahle Dilon Ko Saaf Kar Lena Namaz Eid Se Pahle Na Socho Ki Kis Kisne Tumhara Dil Dukhaya Hai Ke Sab Ko Maaf Kar Dena Namaz Eid Se Pahle Namaz Eid Na Hogi Qabul Ae Musalmanon Ada Kar Dena Shadka E Fitra Namaze Eid Se Pahle Milega Allah Ka Inam Sabhi Rozadaro Ko Zara Sa Muskura Dena Namaz Eid Se Pahle Gunaho Se Karo Toba Mana Lo Apne Aaqa Ko Darudo Se Salamon Se Namaz Eid Se Pahle Dilon Se Dil Mila Lena Hathon Se Hath Mila Lena Deta Hai Sabak Anwar Namaz Eid Se Pahle
  • 38. Ek Paigam Aapke Naam Aaj Ke Daur Mein Logon Ka Yah Hal Hai Ke Theek Se Ramzan Sharif Ko Alvida Bhi Nahin Kahate Hain Ke Tarah Tarah Ki Planning Shuru Ho Jaati Hain Aur Yaar Is Bar Eid Ke Mauke Per Kaun Si Film A Rahi Hai Hero Kaun Hai Heroine Kaun Hai Ismein Kapde Kahan Tak Pahne Hain ? Kaun Se Cinema Hall Mein Jana Hai,? Aur Bhai Housefull Ho Jaega Chand Raat Ko Hi Ticket Le Leni Hai | Tarah Tarah Ke Khayalat Ki Mahfil Sajate Rahte Hain Aur Auraten Apne Shohar Aur Bete Ke Liye Tarif Karte Hue Bolati Hain Mera Shohar Mashallah Bhale Hi Kitne Bhi Sharabi Ho Yaar Joari Ho Magar Ramzan Sharif Mein Sharab Aur Jowa Ko Hath Tak Nahi Lagate Fir Eid Padhte Hi Tabhi Peete Hain Ya Jowa Khelte Hain Dusri Aurat Bole Padati Hai Aur Bahana Bilkul Yahi Hal Mere Bete Ka Hai Ramzan Bhar To Koi Burai Nahin Karte Eid Ki Namaj Padhte Hi Fir Shuru Ho Jaate Hain Isi Tarah Na Jaane Samaj Mein Kitne Kism Ke Khurafat Hote Hain Allah Ki Panah.
  • 39. Farman E Ilahi Hai Maine Tum Per Roze Farz Kiye Jaisa Ki Tumse Agale Per Farz Kiye The Taki Tum Muttafiq Ho Jao Magar Hamara Hal Yah Hai Ki Baje Muttaqi Hone Ke Ham Burai Ki Taraf Mael Ho Jate Hai Yah Nahin Sochte Ke Vo Rehmatein Vah Nematen Voh Allah Tala Ki Be Shumar Inayat Ek Farz Par 70 Ka Swaab Wajibaat Me Faraez Ka Swaab Sunte Mai Wajibaat Ka Swaab Nava Fil Mein Sunnaton Kasawaab | Aftaar Ki Ronaken Taraweeh Ki Roh Parvar Nazren Siriki Lazzaten Laylatul Kadr Ki Shabbedari Ek Raat Mein Ek Hazar Raat Ki Ibadat Ka Sawab Alvida Jumma Ki Rohani Khushi O Musarrat Chand Raat Ki Vah Dil Kakash Mahool Eid Ki Taiyyariyan . Kahan Se Laen Ramzan Ke Vah Dilkash Najaren Kaon Padega Namaz Aur Quraan Ke Pade ( Mohammed Anwar Alam)
  • 40. Man, Baap, Bhai, Bahan, Biwi, Bacche, Nana, Nani, Dada, Dadi, Ke Chahre Par Khushi Wa Musarrat Ka Noor Unka Sine Se Laga Kar Duaaen Dena Fir Eid Gah Jakar Apne Begane Dost Aur Dushmano Sabhise Musafa Aur Muaaaneqa Karke Allah Ke Inamat Ko Hasil Karna Uski Rahmaton Ko Mahsusu Karke Hameshah Ke Liye Taoba Karna Aur Fir Kabhi Woh Gunah Nahi Karna , Qabr Mein Jab Nabi Ki Didar Hoti Hai Tabhi Momin Ki Asali Eid Hoti Hai Jo Zindagi Ko Ramzan Jaisa Bana Leta Hai Uski Maut Maut Nahin Eid Hoti Hai (Mohammed Anwar Alam) Huzoor Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sacchi Pairvi Karna Hi Asali Eid Hai Ae Mere Pyare Bhaiyon Aur Bahanon Burai Se Bacho Aur Jaise Tum Ramzan Sharif Mein Paheli Gar Bar Ke Rehte Ho Vaise Hi
  • 41. Parhez Gar Bane Raho To Duniya Vah Aakhirat Behtar Hogi Aur Khatma Imaan Per Hoga , Eid Ke Din Sab Milenge Apne Apne Parivar Se Ham Rote Rahenge Sajde Mein Parwar Digar Se Roza Gaye Barkat Aa Gai Nemat Aa Gai Kyon Na Ham Roye Anwar Apne Laga Musafir Se (Mohammed Anwar Alam)
  • 42. Ajjke Naojawaan Ladke Ladkiyaan Mahange Se Mahanga Kapda Khareedte Hain Magar Fir Bhi Nange Nazar Aate Hain , Bibiyon Bahare Husn Ki Khubi Parde Mein Hai Parda Acchi Chiz Hai Husn Badi Parde Mein Hai Vah Bhi Dikhlata Nahin Har Ek Ko Apna Jamal Dekho Chashme Gaurse To Allah Bhi Parde Mein Hai Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Rimjhim Rimjhim Rimjhim Rimjhim Rimjhim Rimjhim Rehmat Ki Barsat Hai Aai Sath Mein Apne Khushiyan Hai Lie Ramzan Teri Bidai Bolo Buddhe Bacchon Aurat Eid Mubarak Eid Mubarak
  • 43. Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Bade Saba Ne Jhoom Ke Gaya Kaliyon ne Yun Muskuraya Phulon Ne Khushbu Se Mahkaya Bulbul Ne Jhoom Ke Yun Gaya Kahane Lage Jinn O Malaika Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Baap Ne Bete Ko Bhai Ne Bhai Ko Gale Lagaya Acche Kapde Mein Khushboo Aankhon Mein Surma Lagaya Anwar Alam Ki Baton Ko Yad Rakh Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak (Mohammed Anwar Alam)
  • 44. Darul,Uloom,Faizan,Mustafa Education,Trust,KeTahat Chalne Wali Shakhen (1) Darul Uloom Faizane Sayyad Bahauddin-: (2) Faizan,e, Ashraf Darul Qalam Rashmi Park, A Wing 204, Mira Road (east). Thane Maharashtra ,jisme Fatwa Nikaah Talaaq Taslifaat Ka Kaam Hota Hai (3) Masihe Millat Computer Class Jisme Bachchon Ko Muft Taleem Di Jati Hai (4) Faizan,e, Mustafa Academy Jisme Kitabe Streets Wagairah Ke Chapayi Ka Kaam Hota (5) Darul Uloom Faizan,e,mustafa Ka Bandh Kaam Ek Gunta Zameen Par Lokhandi Pada Baisar (east) Thane Maharashtra Me Chalu Hai (6) Tafseere Qura,an Har Jumeraat Baad Namaze Isha 2 Saal Se Chalu Hai Rashmi Park, A1,B-Wing-204, MTNL Road, Mira Road Thane, Mmbai, Me
  • 45. Taleemate Idara (Hifz Wa Qirat) - (Diniyat) - (Hindi - (Angrezi) (Marathi) - (Ganeet) - (Computer Class) janashine Huzur Masihe Millat Allama Mohammed Shamshad Alm Maulana Munim Maolana Shamshad Noori Sufi Ali Akbar Sultanpuri Hafiz Akbar Ali Muhammad Fardeen Maulana Hashimul Qadri Muhammad Javed Khan Muhammad Firoz Khan javvad ali Ansari
  • 46. Masihe Millat Computer Class Aapko Ye Jaankar Bahoot Khushi Hogi Ke Darul Uloom Faizan,e,mustafa Education Trust Ke Tahat Chalne Wala Idara Darul Uloom Faizan,e,mustafa Bahauddin Me (30) Bacchon Ke Khane Peene Va Dini Talim Aur Tamam Akhrajat Ke Sath Sath Computer Cours Bhi Shuru Kiya Gaya Hai Is Class Me Deeni Taleem Ke Sath Sath Duniyabi Taleem Bhi Bahoot Acche Teacher Ki Nigrani Me Ja Rahi Hai Madrasa Ke Bacchon Ke Alava Makami Wa Shaharke Bacchon Ko Bhi Sikhaya Jayega Lehaza Tamam Musalman Bhaiyon Se Guzarish Hai Ki Ziyadah Se Ziyadah Taun Kare ! Rashan Kapde Wagairah Aur Computer Bhi De Sakte Hain,Rabta Kare : +91- 9322116509 / 8451030343 / 7506165707 8090825923