SlideShare a Scribd company logo
1 of 18
Download to read offline
**^TAWHEED^**
... sab se badi Daolath - sab se badi Ne'math...
2
1
 ASSALAMUALAIKUM WA REHMATULLAHI WA BARAKATUHU!
 Har qism ki ta’reef, hamd-o-sana, badae-o-buzrugi ALLAH (wah dahu la
shareek lahu) ke liye layaq aur zeba hai jo RAB hai sare A’alameen ka, jo
parvardigaar hai, jo paalanhaar hai... aur be-shumaar, la mehdood, un-ginath
darood-o-salaam ki barish ho pyare nabi-e-rehmath, shaafi-e-mehshar,
saaqi-e-kauser, imaam-e-aazam, imaam-ul-ambiya, khaatam-un-nabiyyeen
janaab-e-Muhammed rasool-Allah(sallallahu alaihi wa sallam) ki zaat-e-aqdas
par ke jinki itteba aur pairvi may hamari najaat aur kaamiyaabi rakhi gae…
 Is kitaabche (booklet) may in-sha-Allah duniya-o-aakhirath ke sabse ehem maozu(topic) yane
aqeedah-e-tawheed ko muqtasaran (briefly) samjhaya jaega aur channd ehem baatien
bataejaengi, umeed aur guzarish hai ke aap is kitaabche (booklet) ko poora(complete) aur
ba-ghor padien……
 Lehaza! Maozu (topic) shuru karne se pehle meri aap se adaban guzarish hai ke aap sab
se pehle sachchey dil se Allah (rab-ul-izzath) se dua kijiye ke Allah hamey ye maozu sahih
taor par samajhne ki taofeeq de aur Allah hamey haq ko pehchaan kar usey qabool
karne ki aur batil ko pehchaan kar ussey bachne ki taofeeq de aur hamey siraat-e-
mustaqeem naseeb farmakar uspar hamesha Jamey rehne ki taofeeq de… Aameen…
 Insaan ki wiladat (yane paidaesh) se wafaat (yane maot) tak saari zindagi ka mehwar
Aqeedah-e-tawheed hai, jis ki tableegh ke liye Allah(swt) ne Ambiya aur Rasoolon ko
bheja, aur un par aasmani Kitaabien bhi nazil ki. Har nabi aur har rasool ki dawath ka
awwaleen maqsad yahi *Aqeedah-e-Tawheed* tha… magar afsoos ke jis dawath ko har
daor may har nabi ne aam kiya us-hi Dawath-e-Tawheed se aaj ummat-e-muhammadiya ki
aksariyath mehroom hai… toh aaeye! hum jaantey hain ke tawheed kya hai…???...
 * >> Muqtasar toh ye ke: “ALLAH (subhanAllahu wa ta'ala) ko: uski zaat
(existence), uske af’aal/uske kaamon (works), uske asma wa sifaat
(names & attributes), uske iqtiyaraat (powers), uske huqooq (rights),
aur uske ilm (knowledge) may sirf Ek (akela, tanha) ma'anne,
(aur har qism ki I’badath sirf aur sirf Allah(wah dahu la shareek) ke liye
baja lane) ko tawheed kehte hai”…
 >>Tawheed ki teen qisme hain : jo ye hain ::
1). Tawheed-e-Ruboobiyat (existence & lordship),
2). Tawheed-e-Uloohiyat (worships),
3). Tawheed-e-Asma wa Sifaat (names & attributes).
>>Tawheed ki in qismaon ko jaanne aur samajhne se pehle hamey tawheed ki ehmiyath
aur uski fazilath ko jaanna aur samajhna bhi behad zaroori hai…
2
>>>***Tawheed ki ehmiyath***
** >>Hamesha Yaad rakhien ke: Tawheed ek aisi azeem ne’math hai jis ko apnane aur
uske taqazon ko poora karne ki wajah se insaan ke saare ke saare gunah muaf hojate hain
aur usey hameshgi wali jannath naseeb hoti hai aur tawheed ki zid (opposite) shirk hai
aur shirk ek aisi la’nath, ek aisa badttareen gunah hai ke jiske karne ki wajah se insaan
jahannam may daal diya jata hai…
** >>Allah(swt) ne aalam arwah mein hi hum se tawheed ka ehad liya hai, aur sab ne is ka
iqraar kiya hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah a’raaf: ayath no.172]:
“aur jab aap ke Rabb ne aulaad aadam ki pusht se un ki aulaad ko nikala, aur un se un ke
muta’lliq iqraar liya ke: kya mein tumhara Rabb nahi hun? sab ne jawab diya, kyun nahi!
hum sab ne gawahi di hai. Taakey tum qayamat ke din ye na kaho kay hum to is (tawheed)
ke iqraar se be khabar they”…
Wazahat:- yane hamsab ne (sare insanon ne) is duniya may aaney se pehle hi tawheed ka
iqraar aur ehed kiya hai, toh qyamath ke din koi ye nahi kehsakta ke mujhe tawheed ke bare
may kuch pata hi nahi tha: lehaza insaan ko chahiye ke wo tawheed ko samjhien aur uska
behtareen tareekha yahi hai ke wo Qur’an aur ahadees pardien/samjhien aur khud apni aur
is azeem kaenaat ki aur ismey pae jane wale maqlooqaat ki taqliiq (yane paidaesh/banawat)
par ghaor-o-fikr karien kyun ke Allah ne ismay apni tawheed ki be-shumaar nishaaniyaan
(signs) rakhi hain…
** >> Allah(swt) ne tamaam Jinnat aur insanon ko sirf apni ibadat (yane tawheed) hi ke
liye paida kiya hai: Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah az-Zariyat: ayath no. 56]:
“aur hum ne jinnaat aur insanon ko sirff aur sirff apni ibadat hi ke liye paida kya hai”…
Wazahat:- ibadath tawheed hi ki ek qism aur hissa hai, lehaza hamare paida hone ka asal
maqsad sirf Allah(wah dahu la shareek) hi ki ibadath (bandagi) karna hai, yane tawheed hai…
** >>Tamam ambiya(a.s) ne sab se pehle apni qaomon ko tawheed hi ki dawat di hai:
Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah an Nahl: ayath no. 36]:
“aur hum ne aap se pehle jo bhi Rasool bheja un ki taraf is baat hi ki wahi ki ke ‘mere siwa
koi bhi ibadat ke Laaeq nahi’ lehaza tum meri ibadat karo”…
** >>namaaz, zakaat, jaise azeem faraiz se pehle tawheed ka hukm hai: jaisa ke Rasool
Allah(saws) ne farmaya:
>[Sahih Bukhari wa Sahih Muslim ba’riwayat Ibn Abbas (rz)]:
“…tumhe sab se pehle Allah(swt) ki tawheed ki dawath Deni chahiye, jab woh is
(tawheed) ko jaanlien to unhein batlao ke Allah(swt) ne un par un ke din aur raat mein
paanch namazien farz ki hain, to jab woh namaz padhlien to unhein batlao ke Allah(swt)
ne un par un ke maalon mein zakat farz ki hai…”
>>Insaan bhale kitne bhi nek aamaal kyun na karle agar uske paas tawheed nahi hogi ya uski
tawheed sahih nahi hogi toh koi bhi amal qabool nahi hoga bhale wo kitna bhi achcha kyun na ho…
3
>>>***Tawheed ki fazeelath***
** >>Tawheed, emaan ka sab se afzal shoba (hissa, darja, martaba, darwaaza, Qism, Juz,
aur Shaaq) hai: jaisa ke Rasool Allah(saws) ne farmaya:
>[Sahih Muslim ba’riwayat Abu-Huraira(rz)]:
“ emaan ke sattar se ziyada shobay hain, jin mein sab se afzal shoba ‘LA ILAHA ILLALLAH’
kehna hai…”…
Wazahat:- ‘LA ILAHA ILLALLAH’ yani: Allah(swt) ke siwa koi sachcha ma’bood nahi (yane
uske siwa koi ibadat ke Laeq nahi)… ye samajhna aqeeda-e-tawheed hai, jis ka dil-o-zubaan
se tasdeeq-o-iqraar karna sab se afzal emaan hai aur emaan may amal bhi dakhil hai, jaisa
ke (ooper digae) isi hadees ke akheer may nabi-e-kareem(saws) ne farmaya ke “(emaan ka)
sab se adna shoba, raastey se takleef deh cheez ka hata dena hai” jo ke ek amal hai jise ham
apne jism ke kisi aza se karte hain…
** >>Shirk se bachtay hue Aqeeda-e-tawheed par rehne ki wajah se zameen bhar ke
qataon (gunahon) ki bhi maghfirat ho sakti hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Jam’i at’Tirmidhi ba’riwayat Anas(rz) ba’sanad Sahih' (hadees-e-Qudsi)]:
“aae aadam ke bete! yaqeenan agar tu mere paas zameen barabar qataaien (gunah) le
kar aye, phir tu mere saath kuch bhi shirk na karte hue mile toh mein un (zameen bhar
qataon) ke barabar maghfirat liye tere paas aunga”…
Wazahat:- is hadees hi ki tarah quran majeed ki kae aayaath may aur doosri kae ahadees
may ye shart rakhi gae hai, ye shart batlae gae hai ke, sirf us shaqs hi ki maghfirath mumkin
hai jo apne aap ko tawheed par mazbooti se jama lien aur shirk se hamesha paak rahe…
** >> Allah(swt) ne tawheed ki wajah se ahle tawheed ko (Jahannum ki) aag par haraam
kar diya hai: jaisa ke Rasool Allah(saws) ne farmaya:
>[Sahih Bukhari wa Sahih Muslim ba’riwayat Utbaa bin Maalik(rz)]:
“yaqeenan Allah(swt) ne jahannum ki aag par us shakhs ko haraam kar diya hai jis ne
Allah(swt) ki razaa ki qatir ‘LA ILAHA ILLALLAH’ kaha”…
Wazahat:- doosri kae aayaath aur ahadees se ye pata chalta hai ke LA ILAHA ILLALLAH ka dil-
o-zubaan se emaan-o-iqraar ke saath saath uske doosre shurooth ko bhi pura karna lazim
hai, zaroori hai, yane us-hi ke mutabiq amal-o-ibadath karna zaroori hai…
** >> Allah(swt) tawheed ki wajah se ahle tawheed ko (amal chahe jaisa bhi ho aur jitna
bhi ho) jannat mein daakhil farmaenge: jaisa ke Rasool Allah(saws) ne farmaya:
>[Sahih Bukhari wa Sahih Muslim ba’riwayat Ubadah bin Samat (rz)]:
“jo is baat ki gawahi de ke sirff Allah(swt) ke siwa koi bhi ibadat ke Laeq hi nahi, aur ye kahe ke
Mohammad (saws) us (Allah(swt)) ke bande aur us ke Rasool hain, aur ye kahe ke eesa(a.s)
Allah(swt) ke bande aur us ke Rasool hain, aur us ka kalma (‘kun’ se paida shuda) hai, jise maryam
alaih salam ki taraf daal diya tha, aur us (Allah(swt)) ki janib se (khusoosi taor par bheji gayi) rooh
hai, aur jannat haq hai, aur jahannum haq hai, to is ka amal jaisa bhi ho aur jitna bhi ho to
Allah(swt) usay jannat mein daakhil kar denge”...
Wazahat:- isi hadees ke deegar alfaaz yeh hain kay woh jannat ke aathon darwazon mein se
jis darwaze se daakhil ho na chahe daakhil ho jaye...
*>>Toh lehaza ye thi tawheed ki mukhtasar ehmiyath aur fazeelath… ab aaeye jaante hain
ki tawheed ke aqsaam (types) kya hain aur unka sahih matlab (maena-o-mafhoom) kya hai…
4
>>>***Tawheed-e-Ruboobiyat***
 >>Ye tawheed ki pehli qism hai jiska matlab ye hai ke: Allah(swt) ko
uski zaat may aur uske ke kaamon may ek (akela, tanha) maanna aur
un kaamon mein kisi bhi makhlooq(creature) ka kisi bhi tarah ka amal
dakhal nahi samjhna...
*>Aur ye tawheed ki wo qism hai jis par mushrikeen-e-makkah ka bhi emaan tha: jaisa ke
Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah Zukhruf: ayath no. 87]:
“aur agar aap un (mushrikeen) se poochien ke inhey kisne paida kiya hai to woh zaroor
ba’zaroor jawaab denge ke Allah(swt) (ne inhien paida kiya hai)”…
>[surah younus: ayath no. 31-33]:
“aap kahiye ke wo kaun hai jo tum ko asman aur zameen se rizkh pahunchata hai, ya wo
kaun hai jo kano aur aankho par poora eqtiyar rakhta hai aur wo kaun hai jo zindey ko
murdey se nikalta hai aur murdey ko zindey se nikalta hai aur wo kaun hai jo tamam
kaamon ki tadbeer (planning) karta hai? zaroor wo (mushrikeen-e-makkah) yahi kahenge
ke “Allah!”, toh un se kahiye ke phir darte kyun nahi?… so ye hai Allah ta’la jo tumhara
haqiqi rabb hai, phir haq ke baadh aur kya reh gaya bajuz gumrahi ke, phir kahan phire
jateho?... isi tarah aap ke rabb ki ye baat ke ye emaan na laenge tamam fasiq logo ke haq
mein sabith ho chuki hai”…
>[surah luqman: ayat no. 32]:
“aur jab un(mushrikeen-e-makkah) par maujhien (sea waves) saayebaano ki tarah
chaa jaati hai to wo (nihaayath) quloos ke saath eteqaadh (poora bharosa) karke sirf
Allah ta’ala hee ko pukaarte hain, phir jab wo baari ta’ala unhe najaath de kar
khushki ki taraf pahunchata hai, to kuch un mein se etedaal par rehte hain aur
hamaari aayaton ka inkaar sirf wahi karte hain jo ahad shukn aur na-shukre ho”…
 Allahu’akber! Ghour karien ke mushrikeen-e-makkah ka ye aqeedah tha ke wo
Allah ko rabb (paalne wala), raziq (rizq ata karne wala), maalik (eqtiyar rakhne
wala), khaliq (paida karne wala), qadeer (khudrath rakhne wala) , mudabbir-ul-amr
(har kaam ki tadbeer(planning) karne wala), mushkil kusha (museebath door karne
wala), mukhtaar-e-kul, maout-o-hayaat ka maalik waghaira waghaira maannte the
jo ke tawheed-e-ruboobiyath may shamil hai, magar phir bhi wo log mushrik
kehlae aur Allah ne unhe fasiq qaraar diya… kyun?... kyun ke unhone tawheed-e-
ruboobiyath ko to maann liya tha magar tawheed-e-uloohiyath aur tawheed-e-
asma wa sifaat ka inkaar kardiya tha jis ki daleelien(proofs) qur’an aur ahadees
may maojood hain [aur afsoos ke aaj ke naam nehaad musalmaano ka bhi yahi
haal hai (mai toh kahun ke isse bhi bura haal hai) kyun ke wo bhi Allah ko rabb
maannte hain magar ibadath doosron ki karte hain aur Allah ke asma wa sifaat
doosron ke liye istemaal karte hain]…
5
Toh yahan pata ye chala ke sirf tawheed ki kisi ek qism par emaan rakhne aur
doosraon ko chohrd dene se bhi insaan mushrik hojata hai aur uska emaan
na-qabil-e-qabool hojata hai, yane hamey tawheed ki teeno (3) qismon par emaan
laakar uske saare taqazon ko pura karna aur uspar amal karna behad zaroori aur
lazim hai (jinka bayaan agey ke hisse may aaega)… (inshaAllah)…
 >> aaeye ham tawheed ki doosri qismon ko janney se pehle
tawheed-e-ruboobiyath hi ko achche se samajhte hain…
jaisa ke tawheed-e-ruboobiyath ka ta’lluq Allah(swt) ke kaamon se hai toh ab
ham pata karte hain ke wo kaunse kaam hain jinhein Allah(swt) ke ilawa koi
nahi karsakta hai… un may se baaz ye hain:
** >>Allah(swt) khaaliq-O-Raziq (yane paida karne wale aur aulaad dene
wale -O- banda Nawaz aur ghareeb Nawaz) hain aur wahi mout aur hayaat ke
maalik hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah ar-Room: ayath no. 40]:
“Allah(swt) hi hai jisne tumhe paida kiya, phir tumhey nawaza, phir mout dega, phir
zindagi dega, (batao) tumharey Shareekon mein se koi bhi aisa hai jo inmein se kuch bhi
karsakta hai? Allah(swt) ke liye paaki aur bartari hai har us shareek se jo yeh log muqarrar
karte hain”…
>[surah shu’ra: ayath no. 49-50]:
“asmaano ki aur zameen ki saltanath Allah ta’ala hee ke liye hai, wo jo chahta hai paida
karta hai, jis ko chahta hai betiyaan deta hai aur jise chahta hai bete deta hai.. ya unhe
jama kar deta hai, bete bhi aur betiyaan bhi aur jise chaahe baanjh kar deta hai, wo bade
ilm waala aur kaamil khudrath waala hai”…
>[surah fatir: ayath no. 15]:
“aye logo! tum Allah ke dar ke faqeer (mohtaaj) ho aur Allah ghani wa hameed (be niyaaz
aur qoobiyon waala) hai”…
>[surah Aa’l-imran: ayath no. 37]:
“…beshak Allah ta’ala jise chaahe be-hisaab rozi (rizq) deta hai”…
** >>Allah(swt) hi haajat rawaan' aur mushkil kusha hain: Jaisa ke
Allah(swt) ne farmaya:
>[surah Iqlas: ayath no. 2]: “Allah(swt) Samad hai”…
Wazahat:- Ibne Abbas(rz) ne farmaya ke Samad us ko kehtay hain jis ki taraf makhluqaat
apni zaruriyat aur masael mein (haajat rawai yani zaruriyat poori karne aur mushkil kushayi
yani mushkilaat door karne) ke liye rukh karte hain, pukaarte hain aur ussey dua karte hain.
[Tafseer Ibne kaseer]…
6
>[surah an’aam: ayath no. 17-18]:
“aur agar tum ko Allah ta’ala koi takleef (nuksaan) pahunchae to us ko door karne waala
siwae Allah ta’ala ke aur koi nahi aur agar tum ko Allah ta’ala koi nafa (bhalae) pahunchae
to wo har cheez par poori khudrath rakhne waala hai... aur wahi Allah apne bandon ke
upar ghaalib hai bartar hai aur wahi badi hikmath waala aur poori khabar rakhne waala
hai”…
** >>Allah(swt) hi ghouse-e-azam (yane sabse bade faryaad/dua sunne
wale) hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah namal: ayath no. 62]:
“kaun hai jo beqaraar ki dua sunta hai jabke wo usey pukare Aur kaun uski takleef ko door
karta hai Aur kaun hai jo tumhey zameen ka qaleefa banata hai?, kya Allah ke saath aur
koi ma’bood hai? Tum bahot kam naseehath-wa-ibrath hasil karte ho”…
{ Guzarish:- surah namal: ayath no. 59-93 zaroor padien}…
** >>Allah(swt) hi Dastageer (yane museebath ke waqt haat thaamne wale)
hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah younus: ayath no. 12]:
“aur jab insaan ko koi takleef pahunchti hai toh wo hum ko pukarta hai: letey hue bhi,
baite hue bhi, khade hue bhi, phir jab hum us ki takleef us se hata dete hai toh wo aisa
ho jata hai ke goya us ne apni takleef ke liye jo usey pahunchi thi kabhi hamein pukara
hee na tha, un hadh se guzarne walo ke amaal ko un ke liye usi tarah khush numa bana
diya gaya hai”…
** >>Allah(swt) hi DATA (yane sab kuch dene wale, ata karne wale) hain:
jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah baqara: ayath no. 201]:
“…aye hamaare rab! hamein dunya mein bhalae (neki) ata farma aur aaqirath mein bhi
bhalae ata farma aur hamein jahannam ke azaab se najaath de”…
>[surah Aa’l-imran: ayath no. 26]:
“aap keh dijiye, aye Allah! aye tamam jahaan ke maalik (baadshahi ke maalik)! Tu jise
chaahe baadshahi de aur jissey chaahe baadshahi cheen le, aur tu jise chaahe izzath de
aur jise chaahe zillath de, tere hee haath mein har tarah ki bhalae hai, beshak tu har cheez
par qaadir hai”…
>[surah baqara: ayath no. 284]:
“asmaano aur zameen ki har cheez Allah ta’ala hee ki milkiyat hai (wahi un sab ka maalik
hai), tumhaare dilon mein jo kuch hai usey tum zaaher karo ya chupaao Allah ta’ala us ka
hisaab tum se zaroor lega, phir jise chaahe baqshe aur jise chaahe sazaa de aur Allah ta’ala
har cheez par qaadir hai”…
7
** >>Allah(swt) hi Ganj-baqsh (khazaane baqshne wale) hain: jaisa ke
Allah(swt) ne farmaya:
>[surah munafiqoon: ayath no. 7]:
“…halaan ke zameen aur aasmaan ke khazaane Allah hi ke hain lekin munafiq nahi
samajhte”
** >>Allah(swt) hi sahet aur shifa ataa karne wale hain: jaisa ke Allah(swt) ne
farmaya:
>[surah Shu’ra: ayath no. 80]:
“Aur jab mein bemaar ho jaun to woh (Allah ta’ala) mujhe shifa a’taa farmate hain”…
Guzarish:- surah shu’ra ayath no. 69 se zaroor padien…
** >>Allah(swt) ke haath mein har shae’e (har cheez) ki baadshahat hai aur
woh har cheez par khudrat rakhne wale hain: jaisa ke Allah(swt) ne
farmaya:
>[surah al-Mulk: ayath no. 1-2]:
“Ba-barkat hai woh (Allah(swt)) ki zaat jis ke haath mein (har cheez ki) baadshahi hai, aur
woh har cheez par khudrath rakhne wala hai. jis ne mauth aur hayaath ko is liye paida kiya
ke, tumhey azmaae, ke tum mein se kaun acche kaam karta hai aur wo ghaalib (aur)
baqshne waala hai”…
** >>Shafa’at Allah(swt) hi ke ekhtiyaar mein hai: jaisa ke Allah(swt) ne
farmaya:
>[Surah az-Zumar: ayath no. 44]:
“aap keh dejiye ke tamam Shafa’at (Sifaarish) ka ikhtiyaar Allah(swt) hi ke liye hai”…
>[surah saba: ayath no. 23]:
“ALLAH ke paas kisi ki bhi sifarish kaam NAHI AAEGI siwae unke jinko (Allah) ijazath de...”...
>[surah baqara: ayath no. 255 (ayat al-kursi)]:
“Allah ta’ala hee ma’boodh e bar-haq hai jis ke siva koi (sachcha) maboodh nahi jo (hamesha se)
zinda aur sabka thaamne waala hai, jise na oong aaye na neend, us ki milkiyath mein zameen aur
asmaano ki tamaam cheezien hain, kaun hai jo us ki ijaazath ke baghair us ke saamne shafa’ath kar
sake, wo jaanta hai jo unke saamne hai aur jo unke piche hai, aur wo uske ilm mein se kisi cheez ka
ehaata nahi kar sakte magar (utna hi) jitna wo (khud Allah) chaahe, us ki kursi ki wus-ath ne
zameen aur asmaan ko gher rakha hai aur Allah ta’ala un ki hifaazath se na thakta hai aur na
uktaata hai, wo toh bahoth buland aur bahoth bada hai”…
8
** >> Allah(swt) hi Barkat dene wale hain: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne
farmaya:
>[Sahih Bukhari ba’riwayat ibn Mas’ood (rz)]:
“Barkat Allah(swt) hi ki janib se haasil hoti hai”…
** >>Ghaib ki mukammal baatein Allah(swt) ke siwa koi nahi jaanta hai:
Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah an-Namal: ayath no. 65]:
“aap keh dejiye ke aasmano aur zameen walon mein ghaib ki baatein Allah(swt) ke siwa
koi nahi jaanta hai…”…
>[surah hood: ayath no. 123]
“zameeno aur aasmaano ka ilme ghaib Allah ta’ala hee ko hai, tamaam kaamon
(maamlaath) ka ruju bhi us-hi ki janib hai, pas! Us-hi ki ibadath karni chahiye aur usi par
bharosa rakhna chahiye aur tum jo kuch karte ho us-se Allah ta’ala be qabar nahi”
>[surah luqman: ayath no. 34]:
“beshak Allah ta’ala hee ke paas qayaamath ka ilm hai, wahi baarish naazil
farmaata hai aur maa ke pet mein jo hai usey jaanta hai, koi (bhi) nahi jaanta ke kal
kya kuch karega? na kisi ko ye maloom hai ke wo kis zameen may marega (yaad
rakho) Allah ta’ala hee poore ilm waala aur sahih khabron waala hai”…
>[surah A’raaf: ayath no. 188]:
“aap farma di jiye ke main khud apni zaat e qaas ke liye kisi nafe ka eqtiyaar nahi rakhta
aur na kisi zarar ka magar utna hee, ke jitna Allah ne chaaha ho, aur agar mein ghayb ki
baatein jaanta hota to main bahuth se munaafe haasil kar leta aur koyi nuqsaan mujh ko
na pahonchta, main to mahez daraane waala aur bashaarath dene waala hoon, un logo
ko jo imaan rakhte hain”…
>>Is-hi tarah…>[surah An’aam: ayath no. 49-51, aur surah hood: ayath no. 31] bhi zaroor padien…
** >>Allah(swt) hi sarkaar e do-aalam aur sarwar e do-aalam hain (yani wahi
har kaam ki tadbeer (planning) karte hain aur saari duniya ke nizaam ko chalate hain):
jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah Younus: ayath no. 3]:
“bila shuba tumhara rab Allah hee hai jis ne asmano aur zameen ko che (6) din mein paida
kar diya phir arsh par mustawi/qaem hogaya, WO HAR KAAM KI TADBEER KARTA HAI, us
ki ijazath ke baghair koi us ke paas sifarish karne wala nahi, yahi Allah tumhara rab hai, so
tum us-hi ki ibadath karo, bhala tum ghaor kyun nahi karte?”…
>>Ye they channd mukhtasar kaam jo sirf Allah(swt) hi karsakte/karte hain, jo uske liye
khaas hain… ab aaye jaante hain ke tawheed ki doosri qism kya hai…
9
>>>***Tawheed-e-Uloohiyat***
 >>Har tarah ki, har qism ki I’badat sirff aur sirff Allah(wah dahu la
shareek) ke liye baja lana tawheed-e-Uloohiyat kehlata hai... har wo
amal, har wo ibadath jisko Allah(rab-ul-izzath) ne apne liye ya apni
kisi shae (apni kisi cheez) keliye khaas kar rakha hai usko us-hi ke
liye aur jaisa hukm diya gaya hai waisa hi aur jitna hukm diya gaya
hai utna hi baja lana chahiye, waisa hi aur utna hi karna chahiye…
aur I’badat zahiri ya baatini, baat ya kaam ko kehtay hain, jissey
Allah(rab-ul-izzath) raazi hote hain aur pasand karte hain…
>>Tawheed ke baab mein ibadat ki paanch qismien hain: jo ye hai –
1). Qalbi (dil ki) ibaadatien,
2). Zabani (zabaan ki) ibaadatien,
3). Badni (badan/jism ki) ibaadatien,
4). Maali (paison ki) ibaadatien,
5). Badni wa Maali (jism aur paison ki) ibaadatien.
>Qalbi ibaadaat jaise:- Allah(swt) se mohabbat, Allah(swt) ka darr/khauf,
Allah(swt) ke fazl wa Karam ki ummeed, Allah(swt) par etmaad (bharosa),
Allah(swt) se sharm-o-haya, waghaira waghaira hain…
>Zabani ibaadaat jaise:- Allah(swt) ki Hamd-o-sana, zikr-o-azkaar, tawbah-
o-isteghfaar (takbeer, tasbeeh, tahmeed, tahleel), tilawat e quran,
Allah(swt) ki Qasam khana, waghaira waghaira hain…
>Badani ibaadaat jaise:- namaz padhna, roza rakhna, dua maangna, madad
talab karna, Nazar-o-Mannat maanna, Sajda karna, qiyaam karna, ruku
karna, Allah(swt) ke ghar (yane khana-e-kaba) ka tawaaf karna, Allah ki rah
may jihaad karna, waghaira waghaira hain…
>Maali ibaadaat jaise:- sadqaat wa khairaat karna, zakat ada karna, waghaira
waghaira hain...
>Badani wa Maali ibaadaat jaise:- hajj karna, jaanwar zubah karna, waghaira
waghaira hain...
>>Zikr kardah aur issey deegar har qism ki ibadatien (wo aamaal jo Allah ne apne liye khaas
karrakhe hain aur jinka shumaar ibadat may kiya jata hai wo tamaam aamaal) sirff aur sirff
Allah(swt) ke liye baja lana tawheed al-Uloohiyat kehlata hai…
10
*^ Ibaadaat ki baaz qismien/misaalien ^*
** >>Allah(swt) hi se Dua karni chahiye, kyun ke Allah(swt) duaon ko suntey
hain aur qabool karte hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah al-Momin: #60]:
“aur tumhare Rabb ne kaha ke tum mujhse dua karo mein tumhari dua qabool karunga'
yaqeenan jo log meri ibadat (dua) se takabbur karte hain woh anqareeb jahannum may
zaleel ho kar daakhil honge”…..
Wazahat:- Qur’an Majeed mein muta’adid (various) maqamaat par Allah(swt) ne apni ibadat
ke liye lafz dua (pukarna/maangna) istemaal kya hai' aur is aayat mein bhi yeh baat batlae
gayi hai ke jis ne museebat wa raahat mein Allah(swt) ko puraka us ne Allah(swt) ki ibadat ki'
aur jis ne Allah(swt) ke ilawa kisi aur ko puraka toh us ne Allah(swt) ke ilawa us ko apna
ma’bood bana liya hai… (ma’bood usko kehte hain jiske liye ibadath ki jati hai), aur yahan ek
baat wazeh rahe ke baaz logon ka ye aqeedah hai ke “Allah hamari nahi sunta hai kyun ke
ham gunah gaar hain, Allah toh sirf nek logon ki sunta hai”… ye batil
(ghalath/jhoota/gumrah) aqeedah hai aur Allah(rab-ul-izzath) par ilzaam lagana hai, kyun
ke Allah(swt) ne toh shaitaan iblees mal’oon (jissey bada gunah gaar koi nahi) us ki bhi dua
ko qabool kiya tha jab usney qayamath ke din tak keliye Allah se mahulath maangi thi (aur
usney toh kisi ka bhi waseela nahi liya tha) aur is-hi tarah Allah(swt) ne nooh(a.s) (jo ke
Allah ke nabi they) un ki dua ko radd kiya tha jab unhone apne bete keliye dua ki thi ke usey
paani may doobne se bacha liya jae…
[zaroor dekhien: surah araaf: 11-18, surah hud: 45-46]…
** >>Jin kaamon mein Allah(swt) ne makhlooq ko qudrat nahi di hai un
kaamon mein madad sirf Allah(swt) se maangni chahiye: jaisa ke Allah(swt)
ne farmaya:
>[Surah Fatiha: #5]:
“hum teri hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad maangte hain”...
>[Surah Aal e imran: #160]:
“agar Allah ta’ala tumhari madad kare to tum par koyi ghaalib nahi aasakta aur agar wo
tumhe chohrd de, to us ke baadh kaun hai jo tumhaari madad kare? imaan waalo ko Allah
ta’ala hee par bharosa rakhna chaahiye”…
Wazahat:- jin kaamon mein Allah(swt) ne maqlooq ko ikhtiyaar wa qudrat diya hai un jaiz
kaamon mein ‘zindah’ maqlooq se madad lenemay koi harj nahi, kyun ke yeh neki ke kaam
may haat batana hai… jaisa ke khud Rasool-Allah(saws) ne Anas(rz) se das saal qidmat li thi,
aur yahan ye baat hamesha yaad rahe ke ham jab bhi kisi maqlooq se koi madad talab karte
hain jis ka eqtiyar Allah ne usey diya hai toh uske saath hamara ye aqeedah hota hai ke
haqeeqi madad toh Allah hi ki janib se hoti hai aur ye sab toh sirf zariye hotien hain aur jis
maqlooq se mai aaj madad talab karraha hun wo khud kal mujhse ya kisi aur se madad talab
karsakti/karsakta hai kyun ke sirf wahed Allah(rab-ul-izzath) hi ki wo zaat hai jo hamesha se
beniyaaz hai aur hamesha beniyaaz rahega, kisi aur ki ye shaan hargiz nahi…
11
** >>Allah(swt) ka Jaanwar Allah(swt) ke liye zubah hona chahiye: jaisa ke
Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah al-Kausar: #2]:
“toh aap (sirf) apne Rabb ke liye namaz padhein aur jaanwar zubah Karien”…
>[Surah an’aam: #162]:
“aap farma di jiye ke be-shak, meri namaaz aur meri qurbani (meri saari ibadatien) aur
mera jeena aur mera marna, ye sab qaalis Allah hee ke liye hai jo saare jahaan ka maalik
hai”
** >>Aqeedat wa Ta’zeem ke saath sirf Allah(swt) ke liye qiyaam karna
(thaerna), sir ko jhukana aur sajda karna, darna aur rehmath ki umeed
rakhna chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah as-Sajda: #37]:
“tum Suraj ko sajda na karo aur naa hi chaand ko' aur us Allah(swt) ko sajda karo jis ne
unhein paida kya hai agar tum us (Allah) ki ibadat karte ho”…
>[Surah az-zumar: #9]:
“bhala jo shaqs raat ke auqaath, sajde (yane zameen par sir rakhne) aur qayaam (yane
ta’zeem se khade hone) ki haalath mein (yane ibaadath mein) guzaarta ho, aaqirath se
darta ho aur apne rab ki rehmath ki ummeed rakhta ho (wo uske baraabar ho sakta hai jo
ye sab nahi karta ho?) bataao toh bhala kya ilm waale aur be ilm wale baraabar hosakte
hain? Yaqeenan naseehath wahi haasil karte hain, jo aqal mandh ho”…
Wazahat:- in dono aayaton se maloom huwa ke agar koi Allah(swt) ke liye qiyaam kare
(ta’zeem se thaere), sajda kare (uske liye sir ko jhukae), ussey darey, ussey rehmath ki
umeed rakhe to us ne Allah(swt) ki ibadat ki, aur agar koi Allah(swt) ke ilawa kisi aur ke liye
ye sab kare to usne usey apna ma’bood bana liya, yane usne uski ibadath ki…
** >>Allah(swt) ki itaat wa farmabardaari ki Nazar(Mannat) maanna jaiz hai,
lekin Shirkiya, kufriya, bid'at aur Gunahon par mushtamil Nazar manaa hai:
jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya:
>[Sahih Bukhari ba’riwayat Ayesha(rz)]:
“jis ne Allah(swt) ki itaat ki Nazar maani to usey(Nazar puri karte huwe) us (Allah) ki ita’at
karni chahiye' aur jis ne us ( Allah) ki nafarmani ki Nazar maani to usey (Nazar puri karte
huwe) us (Allah) ki nafarmani nahi karni chahiye”…
12
** >>Qasam sirf Allah(swt) ki ya Allah(swt) ke naam/sifaat ki khaani chahiye:
jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya:
>[Jaam’I at-Tirmizi ba’riwayat Ibn Umar(rz) ba’sanad sahih]:
“jis ne ghairullah ki itaa’at ki (yane Allah(swt) ke ilawa doosron) ki qasam khae to
yaqeenan us ne khula kufar kya, ya shirk kya”…
** >>Kisi bhi sharr wale ke sharr se sirf Allah(swt) ki panah talab karni
chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surat as-Sajdah: #36]:
“aur agar shaitan ki taraf se koi waswasa aae to Allah(swt) ki panah talab karo' yaqeenan
woh (Allah(swt) bandon ki faryadon ko) sunne wala (aur bandon ke halaat ko) jaanne wala
hai”...
** >>Aqeedat wa Tazeem ki niyat se sirff kaabatullah ka tawaaf karna
chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah Al-Hajj: #29]:
“phir wo (haaji) apna mael kuchael door karien aur apni nazrien poori karien aur qadeem
ghar (Baitullah/khaana-e-kaba) ka tawaaf karien”…
** >>Ruqayyah (Shifa ki niyat se padh kar phoonkne) mein ghair sharai kaam,
baat ya amal nahi hone chahiye: jaisa ke RasoolAllah(saws) ne farmaya:
>[Sahih Muslim ba’riwayat Auf bin Maalik as-shajiee(rz)]:
“Ruqayyah mein jab tak shirk na ho, koi harj wa muzaaiqa nahi”…
** >>kisi bhi niyat se, kisi bhi shakal may, kisi bhi qism ka taweez latkana
(baandhna/pehennana) shirk hai: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya:
>[Musnad Ahmad ba’riwayat Uqbaa bin Aamir al-Juhaiyni(rz) ba’sanad sahih]:
“….jis ne taweez latkae toh yaqeenan us ne shirk kya”…
Wazahat:- insaan taweez is aqeedath (bharose/yaqeen/emaan) se pehenta hai ke wo usey
shifa degi ya koi nukhsaan se bachaegi ya koi bhalaae ata karegi aur uska tawakkal
(bharosa/emaan) Allah se hat kar us taweez par lagjata hai, jabke in saare kaamon par sirf
Allah(wah dahu la shareek) ka ekhtiyaar hota hai aur us-hi ki marzi se sab kuch hota hai…
13
** >> Sab se ziyada Allah(swt) par bharosa karna chahiye: jaisa ke Allah(swt)
ne farmaya:
>[Surah Yunus: #84]:
“…Agar tum Allah par emaan rakhte ho to us-hi (Allah) par bharosa (tawakkul) karo agar
tum musalman ho”…
** >>Sab se ziyada Ummeed Allah(swt) se rakhni chahiye: jaisa ke Rasool-
Allah(saw) ne farmaya:
>[Sunan abi Dawood ba’riwayat Abu Bakr(rz) ba’sanad Hasan]:
“aae Allah(swt)! mujhe tere hi reham wa karam ki aas (umeed) hai”…
** >> Sab se ziyada Allah(swt) hi se darna chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne
farmaya:
>[Surah Al-Imran: #175]:
“…agar tum momin ho to un (makhloqaat) se mat daro' balke mera (Allah(swt) ka) khauf
rakho”…
** >>Sabse ziyada mohabbat Allah(swt) se honi chahiye: jaisa ke Allah(swt)
ne farmaya:
>[Surah Baqrah: #165]:
“…Aur jo log emaan laae woh Allah(swt) se be panah mohabbat rakhtay hain…”...
Wazahat:- emaan ke taqazaon may ye bhi hai ke ek momin, (Allah ke baad) apni jaan, apne
maa baap, apni azwaaj, apni aulaad, aur apne maal se kae ziyada nabi-e-kareem(saws) se
mohabbat kare aur Aap(saws) se mohabbat ka dawa us-hi waqt poora hota hai jab haqiqi
maenon may aap ki seerat aur sunnath ko apni zindagi may laya jae… is-hi tarah emaan ke
taqazaon may ye bhi hai ke ek momin, (Allah aur uske Rasool(saws) ke baad) sabse ziyada
sahaba(rizwaanullahi ajmaeen), (ahle-bait) se mohabbat kare aur sahaba(rz) se mohabbat ka
dawa us-hi waqt poora hota hai jab haqiqi maenon may ham unke manhaj ko apnae…
** >> Sabse ziyada Allah(swt) se sharam karni chahiye: jaisa ke Rasool-
Allah(saws) ne farmaya:
>[Sahih Muslim ba’riwayat Abu Huraira (rz)]:
“…sharm wa Hayaa emaan ka ek hissa hai”…
Toh! Ye thi mukhtasar tawheed-e-uloohiyath… ab jaante aur samajhtien hain ke tawheed ki
teesri aur aakhri qism kya hai…
14
>>>***Tawheed-e-asma wa sifaat***
 >>Quran aur Ahadees mein jis tarha Allah(swt) ke naam aur uske sifaat
saabit hain un par Tamseel, Tak’yeef, Ta’teel, aur Tehreef ke baghair
emaan laana Tawheed e Asma wa Sifaat kehlata hai…
Yane Allah(swt) ke asma(naam) aur sifaat (qoobiyan/qususiyath) par
bina kisi qism ki koi kami ya zyadati ke min-wa-ann (jaisa aur jitna
batladiya hai waisa hi) emaan lana chahiye…
Lehaza Allah(swt) ke asma wa sifaat may Tamseel, Tak’yeef, Ta’teel,
aur Tehreef karna haraam hai… aaye jaante hain ke ye sab kya hai…
* >>Tamseel :- yane Allah(swt) ko kisi ke jaisa qaraar dena ya uski koi misaal
bayaan karna hai: jo ke haraam hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah as-Shura: #11]:
“…Allah(swt) ke jaisi koi cheez nahi…”… [Yane uski koi misaal (example) nahi]…
* >>Tak’yeef:- yane Allah(swt) ki kisi sifat ki hayyat, kaifiyat, aur haalat
bayaan karna hai (jaisa ke wo kaisi hai, kitni hai aur uski haalat kya hai): jo ke
haraam hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[Surah Taha: #110]:
“aur logon ko(Us) Allah(swt) ke baray mein mukammal maloomaat (ilm) nahi hai”...
Wazahat:- jab Allah(swt) ke baare mein kisi ko bhi mukammal maloomaat hi nahi hai jiski
gawahi khud Allah(swt) is ayath may derahe hain toh Allah(swt) se muta’liq jo maloomaat
hamey nahi pata hai jo hamey nahi batlaegae hain unpar behes nahi karni chahiye aur jo
maloomath hamey hasil hain yane jo maloomath hamey batlaegae hain jo saabit hai un par
sirf mukammal emaan lana chahiye aur kisi bhi sifat ki hayyat, kaifiyat ya haalat bayan nahi
karni chahiye…
* >>Ta’teel :- yane Allah(swt) ke Asma aur sifaat ka inkaar karna ya un ko
sahih (asal) mae’no (real meaning) se khaali qaraar dena hai: jo ke haraam
hai…
Wazahat:- Ta’teel se is liye bachna lazim hai kyun ke Allah(swt) ka kalaam(yane quran) aur
Rasool-Allah(saws) ke farmaan(yane ahadees) be-mae’ny (meaning less) nahi balke ba-
mae’ny (meaning full) aur waazeh (clear) hai, toh lehaza ham par lazim hai ke ham
Allah(swt) ke jo asma aur sifaat qur’an aur ahadees may batae gae hain un par emaan rakhe
aur waisa hi emaan rakhe: jitna aur jaisa batlaya gaya hai...
15
* >>Teh’reef :- yane Allah(swt) ke Asma-o-sifaat ke alfaaz (words) ya
mae’non (meanings) may tabdeeli (changes) karna hai: jo ke haraam hai:
Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya:
>[surah nisa: #46]:
“woh (yahood) (Allah(swt) ke) kalmaat ko un ki (theek) jagah se hair pher kardete hain”…
Wazahat:- Allah(swt) ne jab tehreef ki wajah se yahood ki buraiee bayan ki hai', toh
Allah(swt) ke naam mein lafzi ho ya maa’nwi kisi bhi qism ki tehreef se bachna zaroori hai...
 Lehaza hamey Allah(swt) ke asma(naam) aur sifaat (qoobiyon) par bina
kisi qism ki koi kami ya zyadati ke min-wa-ann (jaisa aur jitna batladiya
hai waisa hi) emaan lana chahiye, jo ke Qur’an aur sahih ahadees se sabit
ho. [Jaisa ke: Allah(swt) ka cehra-e-mubarak hai (jisey sirf jannati jannat
may dekhenge), Allah(swt) ke Haat Mubarak hai, pindli mubarak hai,
Allah(swt) arsh par mustawi hai, Allah(swt) har raat ke aakhri peher may
pehle (duniyawi) aasmaan par naazil hote hain, waghaira waghaira]…
hamey sirf in par poora emaan lana chahiye aur inki hayyat, kaifiyath ya
haalath bayaan nahi karni chahiye, kyun ke na toh hamney khud unka
mushaheda kiya hai, na toh hamey iski koi khabar mili hai ya digae hai,
na hamey iske bare may (kuch tafseel) batlaegae hai, aur na hi hamare
paas unki koi misaal maojood hai… lehaza hamara ye emaan hona
chahiye ke: “Haan! Allah(rab-ul-izzath) ka chehra hai, uske haat hain, uski pindli
hai, wo arsh par mustawi hai aur har raat ko pehle aasmaan par naazil bhi hota hai,
aur ye sab waise hi mumkin hai jaise ke uski zaat aur uski shaan ko layaq-o-zeba
hai”... (ye sirf channd misaalien thi)…
>Aur yahan ye baat bhi wazeh rahe ke: ham Allah(rab ul izzath) ke jism ke qael nahi hai, yane ham ye
maantey hain hamara ye aqeedah hai ke Allah (rab ul izzath) ka koi jism nahi. Kyun ke ye toh hamney
insaano aur haewano ko dekha aur unpar ghaor kiya ke jinko haat, pair hote hain unka jism bhi hota
hai, lekin ham ne toh Allah ko dekha hi nahi, naa hi uske jism ki koi daleel quran o ahadees may
hamey milti hai aur naa hi uski koi misaal maojood hai, lehaza ham insaano aur haewano se Allah ki ya
Allah ke jism ki tashbeeh (comparision) hargiz nahi desakte aur aisa karna tamseel hoga jo haram hai…
** >> Allah(swt) ke naam aur uske sifaat ko seekhna, Allah(swt) ko sahih se
jaanne ka wahed zariya hai, aur isi tarha jannat may le jaane wale raaston
may se ek raasta hai: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya:
>[sahih muslim ba riwayath abu-huraira(rz)]:
“Allah(swt) ke ninanway(99) aise naam hain jinhein agar koi yaad rakhega toh jannat may
daakhil ho jayega”…
Wazahat:- arabi lughat(language) aur is mazmoon ki deegar riwayaat (ahadees) se pata
chalta hai ke Allah(swt) ke naamon ko yaad rakhne ke alawa unhein samjhna, unke zariye
dua karna, aur unke taqazon ko pura karna bhi zaroori hai. Aur Allah(swt) ke sirf 99 naam hi
nahi hai balke aur bhi kae naam hain jin may se kuch qur’an aur ahadees may maojood hain
aur kuch Allah ne apne paas hi rakhe hain…
16
** >>Allah(swt) ke naam aur sifaat par haqeeqi emaan se mua’shray (society)
ke tamaam juraim(crimes) ka khaatma ho sakta hai:- kyun ke gunah karte
waqt insaan aam taurpar Allah(swt) ke – ILAAH (haqeeqi ma’bood), AS-
SAMI’ (sunne wala), AL-BASEER (dekhne wala), AL-ALEEM (har qism ka ilm
rakhne wala), AL-QADEER (har tarah ki qudrath rakhne wala), AL-JABBAR (zor-
awar/zabardast), AL-QAHHAAR (ghalbe wala), AL-HALEEM (burdbaar), AL-
QAABIZ (tangi dene wala), AL-BAASIT (khushadgi ata karne wala), AL-
JAWAAD (khoob dene wala), AL-FATTAAH (bigdi banane wala), AL-MALIK
(baadshah), AN-NASEER (bahot madad karne wala), AL-GHAFFAAR (bada
baqshane wala) …waghaira waghaira... hone ko bhool jata hai…. Aur is-hi
tarah ye bhi bhool jata hai ke: beshak! Allah(swt) apni zaat se aasmaano ki
bulandiyon may Arsh par mustawi hai [surah taha: ayath no. 5] Lekin! Allah(swt)
ke ilm aur uski qudrath ne har jagah aur har cheez ko ghera hua hai…
>>Bade afsoos se kehna padta hai ke aaj hamey apne matlab ki baatien aur
bade bade answers (jawaabaat) badi asani se yaad hojate hain, lekin agar
kuch yaad nahi hota toh wo ye Allah ke naam aur uske sifaat hi hain jo
hamey yaad nahi hote, jiski wajah se aaj ummat ki aksariyath Allah (rab-ul-
izzath) se na-waqif hai aur is-hi na-waqifiyath ki wajah se insaan Allah ka haq
sahih taor par ada nahi karta aur shirk jaisa bada aur badttareen gunah kar
guzarta hai… toh ehed karien ke hum Allah(swt) ke asma-e-husna aur uske
sifaat ka sahih ilm zaroor hasil karenge (in-sha-Allah!)…
>> Ye thi mukhtasar tawheed al - asma wa sifaat…
 JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERA :::
 itne sabr-o-etmenaan se is kitaabche (booklet) ko padne ka bahot bahot shukriya...
Umeed hai ke ye aap ke liye faedemand saabit hua ho....
 >> Allah! hum sub ko sahih mae’no may uski tawheed ko samajhne aur
uspar sahih emaan laakar amal karne wala banade… aur ALLAH! HUM SAB KO
DEEN (Qur’an aur sahih ahadees) KI SAHIH SAMAJH ATA FARMA KAR HIDAYATH DE
AUR SIRAT-E-MUSTAQEEN ATA FARMAE, hamari saari zindagi Allah aur uske rasool
(saws) ki I’taat wa farma-bardari sahaba(rz) ke raastey/manhaj/tareeke par karte hue
guzarjae... AaMEEN ya Rab-ul-Aalameen…
 Guzarish:- Is paighaam ko aam karien…
 Khadim wa Taalib-e-dua:- Md. Jåffêr. Khâñ (JK)
17
***YAAD RAKHIEN***
 Wo zindagi kisi kaam ki nahi jo uske asal maqsad ke liye istemaal
naho...
 ZINDAGI KA MAQSAD = QALIS ALLAH (WAH DAHU LA SHAREEK)
HI KI I'BADATH KARNA {yane *TAWHEED* hai}. [surah zariyath: #56]…
 I’BADATH KA TAREEKHA = DEEN [qur’an aur sahih ahadees jo
sahaba (rizwanullahi alaihi ajmaeen) ke manhaj (samajh/tareekhe)
par samjhien gae hon] uska sahih ilm hasil karna…
 ilm hasil karne ke 3 usool = ALLAH (subhan Allahu wa ta’ala) ko
pehchaanna, Nabi-e-kareem (sallallahu alaihi wa sallam) ko
jaanna, zaruri deen seekh-kar us par amal karna aur doosron tak
pahunchane ki koshish karna...
 aur in-hi 3 usool par mabni (based) qabar may 3 sawaal honge:
aur qabar, aakhirath ki sabse pehli manzil hai, jo ismay
kaamiyaab hogaya uske liye aagey ki manzilien aasaan hojaengi
(in-sha-Allah)…
 isi fikr ko lekar, isi maqsad ko lekar: pesh hai ek chota sa online
islamic course…
 * A SHORT ISLAMIC COURSE *
 Alhamdulillah! is course may sahih deen (qur’an aur sahih ahadees) ko
sahaba(rz) ke manhaj par samjhaya gaya hai… Lehaza, aap se adaban
guzarish hai ke aap ye course zaroor poora karien aur apni zindagi ke
asal maqsad ki ek nae aur sahih shurwaat karien…
 Course ke liye website www.youtube.com par search bar may
“ A SHORT ISLAMIC COURSE BY SADA E HAQ ” type karien aur jo
sab se pehla result aaega wahi ye course hoga (in-sha-Allah)…
 Ya phir: Youtube channel “SADA-E-HAQ paigham-e-aman” par jaen
[ www.youtube.com/user/sadaehaqpaigham ] Aur “playlists”
option par click karien, wahan aap ko ye course zaroor miljaega
(in-sha-Allah)…
 Apne dost ehbaab ke sath share karna na bhoolien…
 Jazakallahu khair…

More Related Content

What's hot

Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...
Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...
Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...Mohammad Hidir Baharudin
 
Pendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafah
Pendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafahPendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafah
Pendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafahAnas Wibowo
 
Khutbah fitri 2021
Khutbah fitri 2021Khutbah fitri 2021
Khutbah fitri 2021Surono9
 
جوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغ
جوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغجوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغ
جوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغDR. NAJEEB ALREFAE
 
Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...
Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...
Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...Mohammad Hidir Baharudin
 
Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...
Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...
Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...Islamic Invitation
 
Adab dan tata cara arbain husaini
Adab dan tata cara arbain husainiAdab dan tata cara arbain husaini
Adab dan tata cara arbain husainimatsaleh
 
Quran Chart (Arabic Presentation)
Quran Chart (Arabic Presentation)Quran Chart (Arabic Presentation)
Quran Chart (Arabic Presentation)Ahmed Alarafi
 
Weekly tibbi tehqeeqat 11-17 november 2019 vol 3,issue 46
Weekly tibbi tehqeeqat  11-17 november 2019 vol 3,issue 46Weekly tibbi tehqeeqat  11-17 november 2019 vol 3,issue 46
Weekly tibbi tehqeeqat 11-17 november 2019 vol 3,issue 46MyWritings
 
شعب الإيمان بحث جديد
شعب الإيمان بحث جديدشعب الإيمان بحث جديد
شعب الإيمان بحث جديدGeorges Dibeh
 
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...Mohammad Hidir Baharudin
 
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...Mohammad Hidir Baharudin
 
Arabic bible study search for truth
Arabic bible study  search for truthArabic bible study  search for truth
Arabic bible study search for truthArabBibles
 
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...Mohammad Hidir Baharudin
 
Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19
Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19
Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19MyWritings
 

What's hot (20)

Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...
Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...
Kuliah Selepas Maghrib Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti_10 April...
 
Pendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafah
Pendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafahPendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafah
Pendapat pendapat ulama mengenai wajibnya khilafah
 
Khutbah fitri 2021
Khutbah fitri 2021Khutbah fitri 2021
Khutbah fitri 2021
 
جوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغ
جوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغجوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغ
جوامع الدعاء من اعداد و جمع توفيق بن سعيد الصايغ
 
Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...
Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...
Kuliah Selepas Maghrib_Surau Al-Ittifaq_Imam Dijadikan Untuk Diikuti 2_8 Mei ...
 
Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...
Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...
Qhuraanak elle Cabo Sidiica juzih tafsiiri (qhadsamiq kee tabaarak kee qammi ...
 
HUNDEE AFRAN
HUNDEE AFRANHUNDEE AFRAN
HUNDEE AFRAN
 
Adab dan tata cara arbain husaini
Adab dan tata cara arbain husainiAdab dan tata cara arbain husaini
Adab dan tata cara arbain husaini
 
Quran Chart (Arabic Presentation)
Quran Chart (Arabic Presentation)Quran Chart (Arabic Presentation)
Quran Chart (Arabic Presentation)
 
Weekly tibbi tehqeeqat 11-17 november 2019 vol 3,issue 46
Weekly tibbi tehqeeqat  11-17 november 2019 vol 3,issue 46Weekly tibbi tehqeeqat  11-17 november 2019 vol 3,issue 46
Weekly tibbi tehqeeqat 11-17 november 2019 vol 3,issue 46
 
شعب الإيمان بحث جديد
شعب الإيمان بحث جديدشعب الإيمان بحث جديد
شعب الإيمان بحث جديد
 
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_21 Oktober 2016_Tentang Saf & Sutrah_Masjid Al...
 
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_19 Ogos 2016_Masjid Al-Hidayah Taman Melawati_...
 
Summary of Quran Part 3
Summary of Quran Part 3Summary of Quran Part 3
Summary of Quran Part 3
 
Arabic bible study search for truth
Arabic bible study  search for truthArabic bible study  search for truth
Arabic bible study search for truth
 
Islm 2 g p1
Islm 2 g p1Islm 2 g p1
Islm 2 g p1
 
4029
40294029
4029
 
أسباب المغفرة
أسباب المغفرةأسباب المغفرة
أسباب المغفرة
 
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...
Kuliah 30 Minit Sebelum Jumaat_16 September 2016_Kanak-Kanak & Solat Berjemaa...
 
Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19
Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19
Weekly tibbi tehqeeqat 6 may 12 may 2019-vol 3_issue 19
 

Viewers also liked

مرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisi
مرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisiمرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisi
مرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisiQuran Juz (Para)
 
مسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hain
مسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hainمسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hain
مسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hainCaller To Islam / الداعية الإسلامي
 
Tafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عم
Tafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عمTafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عم
Tafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عمQuran Juz (Para)
 
Enfoque final 16
Enfoque final 16Enfoque final 16
Enfoque final 16RLandaverry
 
Media Evaluation Emilia Bradshaw
Media Evaluation Emilia BradshawMedia Evaluation Emilia Bradshaw
Media Evaluation Emilia BradshawEmmy Bradshaw
 
Curriculum teaching of english baou
Curriculum teaching of english baouCurriculum teaching of english baou
Curriculum teaching of english baoumbpc2014
 
Bamburgh - Northumberland
Bamburgh - NorthumberlandBamburgh - Northumberland
Bamburgh - NorthumberlandJohn *
 
Rgoska banjica Knjazevac
Rgoska banjica Knjazevac Rgoska banjica Knjazevac
Rgoska banjica Knjazevac Knjazevac
 
Baniszewski john
Baniszewski johnBaniszewski john
Baniszewski johnNASAPMC
 
Day con-lam-giau-tap-6
Day con-lam-giau-tap-6Day con-lam-giau-tap-6
Day con-lam-giau-tap-6Hung Duong
 
Viatge Per ItàLia
Viatge Per ItàLiaViatge Per ItàLia
Viatge Per ItàLiabanzais
 
Banderillero satelital-completo
Banderillero satelital-completoBanderillero satelital-completo
Banderillero satelital-completosenarap
 

Viewers also liked (19)

مرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisi
مرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisiمرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisi
مرجہ العصر | Murjiat ul asr maqdisi
 
مسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hain
مسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hainمسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hain
مسلمان کن باتوں سے کافر ہو جاتا ھے ؟ ┇Musalman kin batun se kafir ho jata hain
 
Tafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عم
Tafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عمTafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عم
Tafsir Ahsan-ul-Bayan┇Para 30┇عم
 
Enfoque final 16
Enfoque final 16Enfoque final 16
Enfoque final 16
 
Media Evaluation Emilia Bradshaw
Media Evaluation Emilia BradshawMedia Evaluation Emilia Bradshaw
Media Evaluation Emilia Bradshaw
 
Jessica Bankston's Resume
Jessica Bankston's ResumeJessica Bankston's Resume
Jessica Bankston's Resume
 
Our Message Hasan Al Banna
Our Message Hasan Al BannaOur Message Hasan Al Banna
Our Message Hasan Al Banna
 
Curriculum teaching of english baou
Curriculum teaching of english baouCurriculum teaching of english baou
Curriculum teaching of english baou
 
Bamburgh - Northumberland
Bamburgh - NorthumberlandBamburgh - Northumberland
Bamburgh - Northumberland
 
Rgoska banjica Knjazevac
Rgoska banjica Knjazevac Rgoska banjica Knjazevac
Rgoska banjica Knjazevac
 
Powerpoint
PowerpointPowerpoint
Powerpoint
 
Baniszewski john
Baniszewski johnBaniszewski john
Baniszewski john
 
Day con-lam-giau-tap-6
Day con-lam-giau-tap-6Day con-lam-giau-tap-6
Day con-lam-giau-tap-6
 
Benjamin Banneker
Benjamin BannekerBenjamin Banneker
Benjamin Banneker
 
Banksy
BanksyBanksy
Banksy
 
Viatge Per ItàLia
Viatge Per ItàLiaViatge Per ItàLia
Viatge Per ItàLia
 
9781405876926 sample
9781405876926 sample9781405876926 sample
9781405876926 sample
 
Barok
BarokBarok
Barok
 
Banderillero satelital-completo
Banderillero satelital-completoBanderillero satelital-completo
Banderillero satelital-completo
 

Tawheed - sab se badi nemath

  • 1. **^TAWHEED^** ... sab se badi Daolath - sab se badi Ne'math... 2
  • 2. 1  ASSALAMUALAIKUM WA REHMATULLAHI WA BARAKATUHU!  Har qism ki ta’reef, hamd-o-sana, badae-o-buzrugi ALLAH (wah dahu la shareek lahu) ke liye layaq aur zeba hai jo RAB hai sare A’alameen ka, jo parvardigaar hai, jo paalanhaar hai... aur be-shumaar, la mehdood, un-ginath darood-o-salaam ki barish ho pyare nabi-e-rehmath, shaafi-e-mehshar, saaqi-e-kauser, imaam-e-aazam, imaam-ul-ambiya, khaatam-un-nabiyyeen janaab-e-Muhammed rasool-Allah(sallallahu alaihi wa sallam) ki zaat-e-aqdas par ke jinki itteba aur pairvi may hamari najaat aur kaamiyaabi rakhi gae…  Is kitaabche (booklet) may in-sha-Allah duniya-o-aakhirath ke sabse ehem maozu(topic) yane aqeedah-e-tawheed ko muqtasaran (briefly) samjhaya jaega aur channd ehem baatien bataejaengi, umeed aur guzarish hai ke aap is kitaabche (booklet) ko poora(complete) aur ba-ghor padien……  Lehaza! Maozu (topic) shuru karne se pehle meri aap se adaban guzarish hai ke aap sab se pehle sachchey dil se Allah (rab-ul-izzath) se dua kijiye ke Allah hamey ye maozu sahih taor par samajhne ki taofeeq de aur Allah hamey haq ko pehchaan kar usey qabool karne ki aur batil ko pehchaan kar ussey bachne ki taofeeq de aur hamey siraat-e- mustaqeem naseeb farmakar uspar hamesha Jamey rehne ki taofeeq de… Aameen…  Insaan ki wiladat (yane paidaesh) se wafaat (yane maot) tak saari zindagi ka mehwar Aqeedah-e-tawheed hai, jis ki tableegh ke liye Allah(swt) ne Ambiya aur Rasoolon ko bheja, aur un par aasmani Kitaabien bhi nazil ki. Har nabi aur har rasool ki dawath ka awwaleen maqsad yahi *Aqeedah-e-Tawheed* tha… magar afsoos ke jis dawath ko har daor may har nabi ne aam kiya us-hi Dawath-e-Tawheed se aaj ummat-e-muhammadiya ki aksariyath mehroom hai… toh aaeye! hum jaantey hain ke tawheed kya hai…???...  * >> Muqtasar toh ye ke: “ALLAH (subhanAllahu wa ta'ala) ko: uski zaat (existence), uske af’aal/uske kaamon (works), uske asma wa sifaat (names & attributes), uske iqtiyaraat (powers), uske huqooq (rights), aur uske ilm (knowledge) may sirf Ek (akela, tanha) ma'anne, (aur har qism ki I’badath sirf aur sirf Allah(wah dahu la shareek) ke liye baja lane) ko tawheed kehte hai”…  >>Tawheed ki teen qisme hain : jo ye hain :: 1). Tawheed-e-Ruboobiyat (existence & lordship), 2). Tawheed-e-Uloohiyat (worships), 3). Tawheed-e-Asma wa Sifaat (names & attributes). >>Tawheed ki in qismaon ko jaanne aur samajhne se pehle hamey tawheed ki ehmiyath aur uski fazilath ko jaanna aur samajhna bhi behad zaroori hai…
  • 3. 2 >>>***Tawheed ki ehmiyath*** ** >>Hamesha Yaad rakhien ke: Tawheed ek aisi azeem ne’math hai jis ko apnane aur uske taqazon ko poora karne ki wajah se insaan ke saare ke saare gunah muaf hojate hain aur usey hameshgi wali jannath naseeb hoti hai aur tawheed ki zid (opposite) shirk hai aur shirk ek aisi la’nath, ek aisa badttareen gunah hai ke jiske karne ki wajah se insaan jahannam may daal diya jata hai… ** >>Allah(swt) ne aalam arwah mein hi hum se tawheed ka ehad liya hai, aur sab ne is ka iqraar kiya hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah a’raaf: ayath no.172]: “aur jab aap ke Rabb ne aulaad aadam ki pusht se un ki aulaad ko nikala, aur un se un ke muta’lliq iqraar liya ke: kya mein tumhara Rabb nahi hun? sab ne jawab diya, kyun nahi! hum sab ne gawahi di hai. Taakey tum qayamat ke din ye na kaho kay hum to is (tawheed) ke iqraar se be khabar they”… Wazahat:- yane hamsab ne (sare insanon ne) is duniya may aaney se pehle hi tawheed ka iqraar aur ehed kiya hai, toh qyamath ke din koi ye nahi kehsakta ke mujhe tawheed ke bare may kuch pata hi nahi tha: lehaza insaan ko chahiye ke wo tawheed ko samjhien aur uska behtareen tareekha yahi hai ke wo Qur’an aur ahadees pardien/samjhien aur khud apni aur is azeem kaenaat ki aur ismey pae jane wale maqlooqaat ki taqliiq (yane paidaesh/banawat) par ghaor-o-fikr karien kyun ke Allah ne ismay apni tawheed ki be-shumaar nishaaniyaan (signs) rakhi hain… ** >> Allah(swt) ne tamaam Jinnat aur insanon ko sirf apni ibadat (yane tawheed) hi ke liye paida kiya hai: Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah az-Zariyat: ayath no. 56]: “aur hum ne jinnaat aur insanon ko sirff aur sirff apni ibadat hi ke liye paida kya hai”… Wazahat:- ibadath tawheed hi ki ek qism aur hissa hai, lehaza hamare paida hone ka asal maqsad sirf Allah(wah dahu la shareek) hi ki ibadath (bandagi) karna hai, yane tawheed hai… ** >>Tamam ambiya(a.s) ne sab se pehle apni qaomon ko tawheed hi ki dawat di hai: Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah an Nahl: ayath no. 36]: “aur hum ne aap se pehle jo bhi Rasool bheja un ki taraf is baat hi ki wahi ki ke ‘mere siwa koi bhi ibadat ke Laaeq nahi’ lehaza tum meri ibadat karo”… ** >>namaaz, zakaat, jaise azeem faraiz se pehle tawheed ka hukm hai: jaisa ke Rasool Allah(saws) ne farmaya: >[Sahih Bukhari wa Sahih Muslim ba’riwayat Ibn Abbas (rz)]: “…tumhe sab se pehle Allah(swt) ki tawheed ki dawath Deni chahiye, jab woh is (tawheed) ko jaanlien to unhein batlao ke Allah(swt) ne un par un ke din aur raat mein paanch namazien farz ki hain, to jab woh namaz padhlien to unhein batlao ke Allah(swt) ne un par un ke maalon mein zakat farz ki hai…” >>Insaan bhale kitne bhi nek aamaal kyun na karle agar uske paas tawheed nahi hogi ya uski tawheed sahih nahi hogi toh koi bhi amal qabool nahi hoga bhale wo kitna bhi achcha kyun na ho…
  • 4. 3 >>>***Tawheed ki fazeelath*** ** >>Tawheed, emaan ka sab se afzal shoba (hissa, darja, martaba, darwaaza, Qism, Juz, aur Shaaq) hai: jaisa ke Rasool Allah(saws) ne farmaya: >[Sahih Muslim ba’riwayat Abu-Huraira(rz)]: “ emaan ke sattar se ziyada shobay hain, jin mein sab se afzal shoba ‘LA ILAHA ILLALLAH’ kehna hai…”… Wazahat:- ‘LA ILAHA ILLALLAH’ yani: Allah(swt) ke siwa koi sachcha ma’bood nahi (yane uske siwa koi ibadat ke Laeq nahi)… ye samajhna aqeeda-e-tawheed hai, jis ka dil-o-zubaan se tasdeeq-o-iqraar karna sab se afzal emaan hai aur emaan may amal bhi dakhil hai, jaisa ke (ooper digae) isi hadees ke akheer may nabi-e-kareem(saws) ne farmaya ke “(emaan ka) sab se adna shoba, raastey se takleef deh cheez ka hata dena hai” jo ke ek amal hai jise ham apne jism ke kisi aza se karte hain… ** >>Shirk se bachtay hue Aqeeda-e-tawheed par rehne ki wajah se zameen bhar ke qataon (gunahon) ki bhi maghfirat ho sakti hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Jam’i at’Tirmidhi ba’riwayat Anas(rz) ba’sanad Sahih' (hadees-e-Qudsi)]: “aae aadam ke bete! yaqeenan agar tu mere paas zameen barabar qataaien (gunah) le kar aye, phir tu mere saath kuch bhi shirk na karte hue mile toh mein un (zameen bhar qataon) ke barabar maghfirat liye tere paas aunga”… Wazahat:- is hadees hi ki tarah quran majeed ki kae aayaath may aur doosri kae ahadees may ye shart rakhi gae hai, ye shart batlae gae hai ke, sirf us shaqs hi ki maghfirath mumkin hai jo apne aap ko tawheed par mazbooti se jama lien aur shirk se hamesha paak rahe… ** >> Allah(swt) ne tawheed ki wajah se ahle tawheed ko (Jahannum ki) aag par haraam kar diya hai: jaisa ke Rasool Allah(saws) ne farmaya: >[Sahih Bukhari wa Sahih Muslim ba’riwayat Utbaa bin Maalik(rz)]: “yaqeenan Allah(swt) ne jahannum ki aag par us shakhs ko haraam kar diya hai jis ne Allah(swt) ki razaa ki qatir ‘LA ILAHA ILLALLAH’ kaha”… Wazahat:- doosri kae aayaath aur ahadees se ye pata chalta hai ke LA ILAHA ILLALLAH ka dil- o-zubaan se emaan-o-iqraar ke saath saath uske doosre shurooth ko bhi pura karna lazim hai, zaroori hai, yane us-hi ke mutabiq amal-o-ibadath karna zaroori hai… ** >> Allah(swt) tawheed ki wajah se ahle tawheed ko (amal chahe jaisa bhi ho aur jitna bhi ho) jannat mein daakhil farmaenge: jaisa ke Rasool Allah(saws) ne farmaya: >[Sahih Bukhari wa Sahih Muslim ba’riwayat Ubadah bin Samat (rz)]: “jo is baat ki gawahi de ke sirff Allah(swt) ke siwa koi bhi ibadat ke Laeq hi nahi, aur ye kahe ke Mohammad (saws) us (Allah(swt)) ke bande aur us ke Rasool hain, aur ye kahe ke eesa(a.s) Allah(swt) ke bande aur us ke Rasool hain, aur us ka kalma (‘kun’ se paida shuda) hai, jise maryam alaih salam ki taraf daal diya tha, aur us (Allah(swt)) ki janib se (khusoosi taor par bheji gayi) rooh hai, aur jannat haq hai, aur jahannum haq hai, to is ka amal jaisa bhi ho aur jitna bhi ho to Allah(swt) usay jannat mein daakhil kar denge”... Wazahat:- isi hadees ke deegar alfaaz yeh hain kay woh jannat ke aathon darwazon mein se jis darwaze se daakhil ho na chahe daakhil ho jaye... *>>Toh lehaza ye thi tawheed ki mukhtasar ehmiyath aur fazeelath… ab aaeye jaante hain ki tawheed ke aqsaam (types) kya hain aur unka sahih matlab (maena-o-mafhoom) kya hai…
  • 5. 4 >>>***Tawheed-e-Ruboobiyat***  >>Ye tawheed ki pehli qism hai jiska matlab ye hai ke: Allah(swt) ko uski zaat may aur uske ke kaamon may ek (akela, tanha) maanna aur un kaamon mein kisi bhi makhlooq(creature) ka kisi bhi tarah ka amal dakhal nahi samjhna... *>Aur ye tawheed ki wo qism hai jis par mushrikeen-e-makkah ka bhi emaan tha: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah Zukhruf: ayath no. 87]: “aur agar aap un (mushrikeen) se poochien ke inhey kisne paida kiya hai to woh zaroor ba’zaroor jawaab denge ke Allah(swt) (ne inhien paida kiya hai)”… >[surah younus: ayath no. 31-33]: “aap kahiye ke wo kaun hai jo tum ko asman aur zameen se rizkh pahunchata hai, ya wo kaun hai jo kano aur aankho par poora eqtiyar rakhta hai aur wo kaun hai jo zindey ko murdey se nikalta hai aur murdey ko zindey se nikalta hai aur wo kaun hai jo tamam kaamon ki tadbeer (planning) karta hai? zaroor wo (mushrikeen-e-makkah) yahi kahenge ke “Allah!”, toh un se kahiye ke phir darte kyun nahi?… so ye hai Allah ta’la jo tumhara haqiqi rabb hai, phir haq ke baadh aur kya reh gaya bajuz gumrahi ke, phir kahan phire jateho?... isi tarah aap ke rabb ki ye baat ke ye emaan na laenge tamam fasiq logo ke haq mein sabith ho chuki hai”… >[surah luqman: ayat no. 32]: “aur jab un(mushrikeen-e-makkah) par maujhien (sea waves) saayebaano ki tarah chaa jaati hai to wo (nihaayath) quloos ke saath eteqaadh (poora bharosa) karke sirf Allah ta’ala hee ko pukaarte hain, phir jab wo baari ta’ala unhe najaath de kar khushki ki taraf pahunchata hai, to kuch un mein se etedaal par rehte hain aur hamaari aayaton ka inkaar sirf wahi karte hain jo ahad shukn aur na-shukre ho”…  Allahu’akber! Ghour karien ke mushrikeen-e-makkah ka ye aqeedah tha ke wo Allah ko rabb (paalne wala), raziq (rizq ata karne wala), maalik (eqtiyar rakhne wala), khaliq (paida karne wala), qadeer (khudrath rakhne wala) , mudabbir-ul-amr (har kaam ki tadbeer(planning) karne wala), mushkil kusha (museebath door karne wala), mukhtaar-e-kul, maout-o-hayaat ka maalik waghaira waghaira maannte the jo ke tawheed-e-ruboobiyath may shamil hai, magar phir bhi wo log mushrik kehlae aur Allah ne unhe fasiq qaraar diya… kyun?... kyun ke unhone tawheed-e- ruboobiyath ko to maann liya tha magar tawheed-e-uloohiyath aur tawheed-e- asma wa sifaat ka inkaar kardiya tha jis ki daleelien(proofs) qur’an aur ahadees may maojood hain [aur afsoos ke aaj ke naam nehaad musalmaano ka bhi yahi haal hai (mai toh kahun ke isse bhi bura haal hai) kyun ke wo bhi Allah ko rabb maannte hain magar ibadath doosron ki karte hain aur Allah ke asma wa sifaat doosron ke liye istemaal karte hain]…
  • 6. 5 Toh yahan pata ye chala ke sirf tawheed ki kisi ek qism par emaan rakhne aur doosraon ko chohrd dene se bhi insaan mushrik hojata hai aur uska emaan na-qabil-e-qabool hojata hai, yane hamey tawheed ki teeno (3) qismon par emaan laakar uske saare taqazon ko pura karna aur uspar amal karna behad zaroori aur lazim hai (jinka bayaan agey ke hisse may aaega)… (inshaAllah)…  >> aaeye ham tawheed ki doosri qismon ko janney se pehle tawheed-e-ruboobiyath hi ko achche se samajhte hain… jaisa ke tawheed-e-ruboobiyath ka ta’lluq Allah(swt) ke kaamon se hai toh ab ham pata karte hain ke wo kaunse kaam hain jinhein Allah(swt) ke ilawa koi nahi karsakta hai… un may se baaz ye hain: ** >>Allah(swt) khaaliq-O-Raziq (yane paida karne wale aur aulaad dene wale -O- banda Nawaz aur ghareeb Nawaz) hain aur wahi mout aur hayaat ke maalik hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah ar-Room: ayath no. 40]: “Allah(swt) hi hai jisne tumhe paida kiya, phir tumhey nawaza, phir mout dega, phir zindagi dega, (batao) tumharey Shareekon mein se koi bhi aisa hai jo inmein se kuch bhi karsakta hai? Allah(swt) ke liye paaki aur bartari hai har us shareek se jo yeh log muqarrar karte hain”… >[surah shu’ra: ayath no. 49-50]: “asmaano ki aur zameen ki saltanath Allah ta’ala hee ke liye hai, wo jo chahta hai paida karta hai, jis ko chahta hai betiyaan deta hai aur jise chahta hai bete deta hai.. ya unhe jama kar deta hai, bete bhi aur betiyaan bhi aur jise chaahe baanjh kar deta hai, wo bade ilm waala aur kaamil khudrath waala hai”… >[surah fatir: ayath no. 15]: “aye logo! tum Allah ke dar ke faqeer (mohtaaj) ho aur Allah ghani wa hameed (be niyaaz aur qoobiyon waala) hai”… >[surah Aa’l-imran: ayath no. 37]: “…beshak Allah ta’ala jise chaahe be-hisaab rozi (rizq) deta hai”… ** >>Allah(swt) hi haajat rawaan' aur mushkil kusha hain: Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah Iqlas: ayath no. 2]: “Allah(swt) Samad hai”… Wazahat:- Ibne Abbas(rz) ne farmaya ke Samad us ko kehtay hain jis ki taraf makhluqaat apni zaruriyat aur masael mein (haajat rawai yani zaruriyat poori karne aur mushkil kushayi yani mushkilaat door karne) ke liye rukh karte hain, pukaarte hain aur ussey dua karte hain. [Tafseer Ibne kaseer]…
  • 7. 6 >[surah an’aam: ayath no. 17-18]: “aur agar tum ko Allah ta’ala koi takleef (nuksaan) pahunchae to us ko door karne waala siwae Allah ta’ala ke aur koi nahi aur agar tum ko Allah ta’ala koi nafa (bhalae) pahunchae to wo har cheez par poori khudrath rakhne waala hai... aur wahi Allah apne bandon ke upar ghaalib hai bartar hai aur wahi badi hikmath waala aur poori khabar rakhne waala hai”… ** >>Allah(swt) hi ghouse-e-azam (yane sabse bade faryaad/dua sunne wale) hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah namal: ayath no. 62]: “kaun hai jo beqaraar ki dua sunta hai jabke wo usey pukare Aur kaun uski takleef ko door karta hai Aur kaun hai jo tumhey zameen ka qaleefa banata hai?, kya Allah ke saath aur koi ma’bood hai? Tum bahot kam naseehath-wa-ibrath hasil karte ho”… { Guzarish:- surah namal: ayath no. 59-93 zaroor padien}… ** >>Allah(swt) hi Dastageer (yane museebath ke waqt haat thaamne wale) hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah younus: ayath no. 12]: “aur jab insaan ko koi takleef pahunchti hai toh wo hum ko pukarta hai: letey hue bhi, baite hue bhi, khade hue bhi, phir jab hum us ki takleef us se hata dete hai toh wo aisa ho jata hai ke goya us ne apni takleef ke liye jo usey pahunchi thi kabhi hamein pukara hee na tha, un hadh se guzarne walo ke amaal ko un ke liye usi tarah khush numa bana diya gaya hai”… ** >>Allah(swt) hi DATA (yane sab kuch dene wale, ata karne wale) hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah baqara: ayath no. 201]: “…aye hamaare rab! hamein dunya mein bhalae (neki) ata farma aur aaqirath mein bhi bhalae ata farma aur hamein jahannam ke azaab se najaath de”… >[surah Aa’l-imran: ayath no. 26]: “aap keh dijiye, aye Allah! aye tamam jahaan ke maalik (baadshahi ke maalik)! Tu jise chaahe baadshahi de aur jissey chaahe baadshahi cheen le, aur tu jise chaahe izzath de aur jise chaahe zillath de, tere hee haath mein har tarah ki bhalae hai, beshak tu har cheez par qaadir hai”… >[surah baqara: ayath no. 284]: “asmaano aur zameen ki har cheez Allah ta’ala hee ki milkiyat hai (wahi un sab ka maalik hai), tumhaare dilon mein jo kuch hai usey tum zaaher karo ya chupaao Allah ta’ala us ka hisaab tum se zaroor lega, phir jise chaahe baqshe aur jise chaahe sazaa de aur Allah ta’ala har cheez par qaadir hai”…
  • 8. 7 ** >>Allah(swt) hi Ganj-baqsh (khazaane baqshne wale) hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah munafiqoon: ayath no. 7]: “…halaan ke zameen aur aasmaan ke khazaane Allah hi ke hain lekin munafiq nahi samajhte” ** >>Allah(swt) hi sahet aur shifa ataa karne wale hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah Shu’ra: ayath no. 80]: “Aur jab mein bemaar ho jaun to woh (Allah ta’ala) mujhe shifa a’taa farmate hain”… Guzarish:- surah shu’ra ayath no. 69 se zaroor padien… ** >>Allah(swt) ke haath mein har shae’e (har cheez) ki baadshahat hai aur woh har cheez par khudrat rakhne wale hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah al-Mulk: ayath no. 1-2]: “Ba-barkat hai woh (Allah(swt)) ki zaat jis ke haath mein (har cheez ki) baadshahi hai, aur woh har cheez par khudrath rakhne wala hai. jis ne mauth aur hayaath ko is liye paida kiya ke, tumhey azmaae, ke tum mein se kaun acche kaam karta hai aur wo ghaalib (aur) baqshne waala hai”… ** >>Shafa’at Allah(swt) hi ke ekhtiyaar mein hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah az-Zumar: ayath no. 44]: “aap keh dejiye ke tamam Shafa’at (Sifaarish) ka ikhtiyaar Allah(swt) hi ke liye hai”… >[surah saba: ayath no. 23]: “ALLAH ke paas kisi ki bhi sifarish kaam NAHI AAEGI siwae unke jinko (Allah) ijazath de...”... >[surah baqara: ayath no. 255 (ayat al-kursi)]: “Allah ta’ala hee ma’boodh e bar-haq hai jis ke siva koi (sachcha) maboodh nahi jo (hamesha se) zinda aur sabka thaamne waala hai, jise na oong aaye na neend, us ki milkiyath mein zameen aur asmaano ki tamaam cheezien hain, kaun hai jo us ki ijaazath ke baghair us ke saamne shafa’ath kar sake, wo jaanta hai jo unke saamne hai aur jo unke piche hai, aur wo uske ilm mein se kisi cheez ka ehaata nahi kar sakte magar (utna hi) jitna wo (khud Allah) chaahe, us ki kursi ki wus-ath ne zameen aur asmaan ko gher rakha hai aur Allah ta’ala un ki hifaazath se na thakta hai aur na uktaata hai, wo toh bahoth buland aur bahoth bada hai”…
  • 9. 8 ** >> Allah(swt) hi Barkat dene wale hain: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya: >[Sahih Bukhari ba’riwayat ibn Mas’ood (rz)]: “Barkat Allah(swt) hi ki janib se haasil hoti hai”… ** >>Ghaib ki mukammal baatein Allah(swt) ke siwa koi nahi jaanta hai: Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah an-Namal: ayath no. 65]: “aap keh dejiye ke aasmano aur zameen walon mein ghaib ki baatein Allah(swt) ke siwa koi nahi jaanta hai…”… >[surah hood: ayath no. 123] “zameeno aur aasmaano ka ilme ghaib Allah ta’ala hee ko hai, tamaam kaamon (maamlaath) ka ruju bhi us-hi ki janib hai, pas! Us-hi ki ibadath karni chahiye aur usi par bharosa rakhna chahiye aur tum jo kuch karte ho us-se Allah ta’ala be qabar nahi” >[surah luqman: ayath no. 34]: “beshak Allah ta’ala hee ke paas qayaamath ka ilm hai, wahi baarish naazil farmaata hai aur maa ke pet mein jo hai usey jaanta hai, koi (bhi) nahi jaanta ke kal kya kuch karega? na kisi ko ye maloom hai ke wo kis zameen may marega (yaad rakho) Allah ta’ala hee poore ilm waala aur sahih khabron waala hai”… >[surah A’raaf: ayath no. 188]: “aap farma di jiye ke main khud apni zaat e qaas ke liye kisi nafe ka eqtiyaar nahi rakhta aur na kisi zarar ka magar utna hee, ke jitna Allah ne chaaha ho, aur agar mein ghayb ki baatein jaanta hota to main bahuth se munaafe haasil kar leta aur koyi nuqsaan mujh ko na pahonchta, main to mahez daraane waala aur bashaarath dene waala hoon, un logo ko jo imaan rakhte hain”… >>Is-hi tarah…>[surah An’aam: ayath no. 49-51, aur surah hood: ayath no. 31] bhi zaroor padien… ** >>Allah(swt) hi sarkaar e do-aalam aur sarwar e do-aalam hain (yani wahi har kaam ki tadbeer (planning) karte hain aur saari duniya ke nizaam ko chalate hain): jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah Younus: ayath no. 3]: “bila shuba tumhara rab Allah hee hai jis ne asmano aur zameen ko che (6) din mein paida kar diya phir arsh par mustawi/qaem hogaya, WO HAR KAAM KI TADBEER KARTA HAI, us ki ijazath ke baghair koi us ke paas sifarish karne wala nahi, yahi Allah tumhara rab hai, so tum us-hi ki ibadath karo, bhala tum ghaor kyun nahi karte?”… >>Ye they channd mukhtasar kaam jo sirf Allah(swt) hi karsakte/karte hain, jo uske liye khaas hain… ab aaye jaante hain ke tawheed ki doosri qism kya hai…
  • 10. 9 >>>***Tawheed-e-Uloohiyat***  >>Har tarah ki, har qism ki I’badat sirff aur sirff Allah(wah dahu la shareek) ke liye baja lana tawheed-e-Uloohiyat kehlata hai... har wo amal, har wo ibadath jisko Allah(rab-ul-izzath) ne apne liye ya apni kisi shae (apni kisi cheez) keliye khaas kar rakha hai usko us-hi ke liye aur jaisa hukm diya gaya hai waisa hi aur jitna hukm diya gaya hai utna hi baja lana chahiye, waisa hi aur utna hi karna chahiye… aur I’badat zahiri ya baatini, baat ya kaam ko kehtay hain, jissey Allah(rab-ul-izzath) raazi hote hain aur pasand karte hain… >>Tawheed ke baab mein ibadat ki paanch qismien hain: jo ye hai – 1). Qalbi (dil ki) ibaadatien, 2). Zabani (zabaan ki) ibaadatien, 3). Badni (badan/jism ki) ibaadatien, 4). Maali (paison ki) ibaadatien, 5). Badni wa Maali (jism aur paison ki) ibaadatien. >Qalbi ibaadaat jaise:- Allah(swt) se mohabbat, Allah(swt) ka darr/khauf, Allah(swt) ke fazl wa Karam ki ummeed, Allah(swt) par etmaad (bharosa), Allah(swt) se sharm-o-haya, waghaira waghaira hain… >Zabani ibaadaat jaise:- Allah(swt) ki Hamd-o-sana, zikr-o-azkaar, tawbah- o-isteghfaar (takbeer, tasbeeh, tahmeed, tahleel), tilawat e quran, Allah(swt) ki Qasam khana, waghaira waghaira hain… >Badani ibaadaat jaise:- namaz padhna, roza rakhna, dua maangna, madad talab karna, Nazar-o-Mannat maanna, Sajda karna, qiyaam karna, ruku karna, Allah(swt) ke ghar (yane khana-e-kaba) ka tawaaf karna, Allah ki rah may jihaad karna, waghaira waghaira hain… >Maali ibaadaat jaise:- sadqaat wa khairaat karna, zakat ada karna, waghaira waghaira hain... >Badani wa Maali ibaadaat jaise:- hajj karna, jaanwar zubah karna, waghaira waghaira hain... >>Zikr kardah aur issey deegar har qism ki ibadatien (wo aamaal jo Allah ne apne liye khaas karrakhe hain aur jinka shumaar ibadat may kiya jata hai wo tamaam aamaal) sirff aur sirff Allah(swt) ke liye baja lana tawheed al-Uloohiyat kehlata hai…
  • 11. 10 *^ Ibaadaat ki baaz qismien/misaalien ^* ** >>Allah(swt) hi se Dua karni chahiye, kyun ke Allah(swt) duaon ko suntey hain aur qabool karte hain: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah al-Momin: #60]: “aur tumhare Rabb ne kaha ke tum mujhse dua karo mein tumhari dua qabool karunga' yaqeenan jo log meri ibadat (dua) se takabbur karte hain woh anqareeb jahannum may zaleel ho kar daakhil honge”….. Wazahat:- Qur’an Majeed mein muta’adid (various) maqamaat par Allah(swt) ne apni ibadat ke liye lafz dua (pukarna/maangna) istemaal kya hai' aur is aayat mein bhi yeh baat batlae gayi hai ke jis ne museebat wa raahat mein Allah(swt) ko puraka us ne Allah(swt) ki ibadat ki' aur jis ne Allah(swt) ke ilawa kisi aur ko puraka toh us ne Allah(swt) ke ilawa us ko apna ma’bood bana liya hai… (ma’bood usko kehte hain jiske liye ibadath ki jati hai), aur yahan ek baat wazeh rahe ke baaz logon ka ye aqeedah hai ke “Allah hamari nahi sunta hai kyun ke ham gunah gaar hain, Allah toh sirf nek logon ki sunta hai”… ye batil (ghalath/jhoota/gumrah) aqeedah hai aur Allah(rab-ul-izzath) par ilzaam lagana hai, kyun ke Allah(swt) ne toh shaitaan iblees mal’oon (jissey bada gunah gaar koi nahi) us ki bhi dua ko qabool kiya tha jab usney qayamath ke din tak keliye Allah se mahulath maangi thi (aur usney toh kisi ka bhi waseela nahi liya tha) aur is-hi tarah Allah(swt) ne nooh(a.s) (jo ke Allah ke nabi they) un ki dua ko radd kiya tha jab unhone apne bete keliye dua ki thi ke usey paani may doobne se bacha liya jae… [zaroor dekhien: surah araaf: 11-18, surah hud: 45-46]… ** >>Jin kaamon mein Allah(swt) ne makhlooq ko qudrat nahi di hai un kaamon mein madad sirf Allah(swt) se maangni chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah Fatiha: #5]: “hum teri hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad maangte hain”... >[Surah Aal e imran: #160]: “agar Allah ta’ala tumhari madad kare to tum par koyi ghaalib nahi aasakta aur agar wo tumhe chohrd de, to us ke baadh kaun hai jo tumhaari madad kare? imaan waalo ko Allah ta’ala hee par bharosa rakhna chaahiye”… Wazahat:- jin kaamon mein Allah(swt) ne maqlooq ko ikhtiyaar wa qudrat diya hai un jaiz kaamon mein ‘zindah’ maqlooq se madad lenemay koi harj nahi, kyun ke yeh neki ke kaam may haat batana hai… jaisa ke khud Rasool-Allah(saws) ne Anas(rz) se das saal qidmat li thi, aur yahan ye baat hamesha yaad rahe ke ham jab bhi kisi maqlooq se koi madad talab karte hain jis ka eqtiyar Allah ne usey diya hai toh uske saath hamara ye aqeedah hota hai ke haqeeqi madad toh Allah hi ki janib se hoti hai aur ye sab toh sirf zariye hotien hain aur jis maqlooq se mai aaj madad talab karraha hun wo khud kal mujhse ya kisi aur se madad talab karsakti/karsakta hai kyun ke sirf wahed Allah(rab-ul-izzath) hi ki wo zaat hai jo hamesha se beniyaaz hai aur hamesha beniyaaz rahega, kisi aur ki ye shaan hargiz nahi…
  • 12. 11 ** >>Allah(swt) ka Jaanwar Allah(swt) ke liye zubah hona chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah al-Kausar: #2]: “toh aap (sirf) apne Rabb ke liye namaz padhein aur jaanwar zubah Karien”… >[Surah an’aam: #162]: “aap farma di jiye ke be-shak, meri namaaz aur meri qurbani (meri saari ibadatien) aur mera jeena aur mera marna, ye sab qaalis Allah hee ke liye hai jo saare jahaan ka maalik hai” ** >>Aqeedat wa Ta’zeem ke saath sirf Allah(swt) ke liye qiyaam karna (thaerna), sir ko jhukana aur sajda karna, darna aur rehmath ki umeed rakhna chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah as-Sajda: #37]: “tum Suraj ko sajda na karo aur naa hi chaand ko' aur us Allah(swt) ko sajda karo jis ne unhein paida kya hai agar tum us (Allah) ki ibadat karte ho”… >[Surah az-zumar: #9]: “bhala jo shaqs raat ke auqaath, sajde (yane zameen par sir rakhne) aur qayaam (yane ta’zeem se khade hone) ki haalath mein (yane ibaadath mein) guzaarta ho, aaqirath se darta ho aur apne rab ki rehmath ki ummeed rakhta ho (wo uske baraabar ho sakta hai jo ye sab nahi karta ho?) bataao toh bhala kya ilm waale aur be ilm wale baraabar hosakte hain? Yaqeenan naseehath wahi haasil karte hain, jo aqal mandh ho”… Wazahat:- in dono aayaton se maloom huwa ke agar koi Allah(swt) ke liye qiyaam kare (ta’zeem se thaere), sajda kare (uske liye sir ko jhukae), ussey darey, ussey rehmath ki umeed rakhe to us ne Allah(swt) ki ibadat ki, aur agar koi Allah(swt) ke ilawa kisi aur ke liye ye sab kare to usne usey apna ma’bood bana liya, yane usne uski ibadath ki… ** >>Allah(swt) ki itaat wa farmabardaari ki Nazar(Mannat) maanna jaiz hai, lekin Shirkiya, kufriya, bid'at aur Gunahon par mushtamil Nazar manaa hai: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya: >[Sahih Bukhari ba’riwayat Ayesha(rz)]: “jis ne Allah(swt) ki itaat ki Nazar maani to usey(Nazar puri karte huwe) us (Allah) ki ita’at karni chahiye' aur jis ne us ( Allah) ki nafarmani ki Nazar maani to usey (Nazar puri karte huwe) us (Allah) ki nafarmani nahi karni chahiye”…
  • 13. 12 ** >>Qasam sirf Allah(swt) ki ya Allah(swt) ke naam/sifaat ki khaani chahiye: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya: >[Jaam’I at-Tirmizi ba’riwayat Ibn Umar(rz) ba’sanad sahih]: “jis ne ghairullah ki itaa’at ki (yane Allah(swt) ke ilawa doosron) ki qasam khae to yaqeenan us ne khula kufar kya, ya shirk kya”… ** >>Kisi bhi sharr wale ke sharr se sirf Allah(swt) ki panah talab karni chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surat as-Sajdah: #36]: “aur agar shaitan ki taraf se koi waswasa aae to Allah(swt) ki panah talab karo' yaqeenan woh (Allah(swt) bandon ki faryadon ko) sunne wala (aur bandon ke halaat ko) jaanne wala hai”... ** >>Aqeedat wa Tazeem ki niyat se sirff kaabatullah ka tawaaf karna chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah Al-Hajj: #29]: “phir wo (haaji) apna mael kuchael door karien aur apni nazrien poori karien aur qadeem ghar (Baitullah/khaana-e-kaba) ka tawaaf karien”… ** >>Ruqayyah (Shifa ki niyat se padh kar phoonkne) mein ghair sharai kaam, baat ya amal nahi hone chahiye: jaisa ke RasoolAllah(saws) ne farmaya: >[Sahih Muslim ba’riwayat Auf bin Maalik as-shajiee(rz)]: “Ruqayyah mein jab tak shirk na ho, koi harj wa muzaaiqa nahi”… ** >>kisi bhi niyat se, kisi bhi shakal may, kisi bhi qism ka taweez latkana (baandhna/pehennana) shirk hai: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya: >[Musnad Ahmad ba’riwayat Uqbaa bin Aamir al-Juhaiyni(rz) ba’sanad sahih]: “….jis ne taweez latkae toh yaqeenan us ne shirk kya”… Wazahat:- insaan taweez is aqeedath (bharose/yaqeen/emaan) se pehenta hai ke wo usey shifa degi ya koi nukhsaan se bachaegi ya koi bhalaae ata karegi aur uska tawakkal (bharosa/emaan) Allah se hat kar us taweez par lagjata hai, jabke in saare kaamon par sirf Allah(wah dahu la shareek) ka ekhtiyaar hota hai aur us-hi ki marzi se sab kuch hota hai…
  • 14. 13 ** >> Sab se ziyada Allah(swt) par bharosa karna chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah Yunus: #84]: “…Agar tum Allah par emaan rakhte ho to us-hi (Allah) par bharosa (tawakkul) karo agar tum musalman ho”… ** >>Sab se ziyada Ummeed Allah(swt) se rakhni chahiye: jaisa ke Rasool- Allah(saw) ne farmaya: >[Sunan abi Dawood ba’riwayat Abu Bakr(rz) ba’sanad Hasan]: “aae Allah(swt)! mujhe tere hi reham wa karam ki aas (umeed) hai”… ** >> Sab se ziyada Allah(swt) hi se darna chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah Al-Imran: #175]: “…agar tum momin ho to un (makhloqaat) se mat daro' balke mera (Allah(swt) ka) khauf rakho”… ** >>Sabse ziyada mohabbat Allah(swt) se honi chahiye: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah Baqrah: #165]: “…Aur jo log emaan laae woh Allah(swt) se be panah mohabbat rakhtay hain…”... Wazahat:- emaan ke taqazaon may ye bhi hai ke ek momin, (Allah ke baad) apni jaan, apne maa baap, apni azwaaj, apni aulaad, aur apne maal se kae ziyada nabi-e-kareem(saws) se mohabbat kare aur Aap(saws) se mohabbat ka dawa us-hi waqt poora hota hai jab haqiqi maenon may aap ki seerat aur sunnath ko apni zindagi may laya jae… is-hi tarah emaan ke taqazaon may ye bhi hai ke ek momin, (Allah aur uske Rasool(saws) ke baad) sabse ziyada sahaba(rizwaanullahi ajmaeen), (ahle-bait) se mohabbat kare aur sahaba(rz) se mohabbat ka dawa us-hi waqt poora hota hai jab haqiqi maenon may ham unke manhaj ko apnae… ** >> Sabse ziyada Allah(swt) se sharam karni chahiye: jaisa ke Rasool- Allah(saws) ne farmaya: >[Sahih Muslim ba’riwayat Abu Huraira (rz)]: “…sharm wa Hayaa emaan ka ek hissa hai”… Toh! Ye thi mukhtasar tawheed-e-uloohiyath… ab jaante aur samajhtien hain ke tawheed ki teesri aur aakhri qism kya hai…
  • 15. 14 >>>***Tawheed-e-asma wa sifaat***  >>Quran aur Ahadees mein jis tarha Allah(swt) ke naam aur uske sifaat saabit hain un par Tamseel, Tak’yeef, Ta’teel, aur Tehreef ke baghair emaan laana Tawheed e Asma wa Sifaat kehlata hai… Yane Allah(swt) ke asma(naam) aur sifaat (qoobiyan/qususiyath) par bina kisi qism ki koi kami ya zyadati ke min-wa-ann (jaisa aur jitna batladiya hai waisa hi) emaan lana chahiye… Lehaza Allah(swt) ke asma wa sifaat may Tamseel, Tak’yeef, Ta’teel, aur Tehreef karna haraam hai… aaye jaante hain ke ye sab kya hai… * >>Tamseel :- yane Allah(swt) ko kisi ke jaisa qaraar dena ya uski koi misaal bayaan karna hai: jo ke haraam hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah as-Shura: #11]: “…Allah(swt) ke jaisi koi cheez nahi…”… [Yane uski koi misaal (example) nahi]… * >>Tak’yeef:- yane Allah(swt) ki kisi sifat ki hayyat, kaifiyat, aur haalat bayaan karna hai (jaisa ke wo kaisi hai, kitni hai aur uski haalat kya hai): jo ke haraam hai: jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[Surah Taha: #110]: “aur logon ko(Us) Allah(swt) ke baray mein mukammal maloomaat (ilm) nahi hai”... Wazahat:- jab Allah(swt) ke baare mein kisi ko bhi mukammal maloomaat hi nahi hai jiski gawahi khud Allah(swt) is ayath may derahe hain toh Allah(swt) se muta’liq jo maloomaat hamey nahi pata hai jo hamey nahi batlaegae hain unpar behes nahi karni chahiye aur jo maloomath hamey hasil hain yane jo maloomath hamey batlaegae hain jo saabit hai un par sirf mukammal emaan lana chahiye aur kisi bhi sifat ki hayyat, kaifiyat ya haalat bayan nahi karni chahiye… * >>Ta’teel :- yane Allah(swt) ke Asma aur sifaat ka inkaar karna ya un ko sahih (asal) mae’no (real meaning) se khaali qaraar dena hai: jo ke haraam hai… Wazahat:- Ta’teel se is liye bachna lazim hai kyun ke Allah(swt) ka kalaam(yane quran) aur Rasool-Allah(saws) ke farmaan(yane ahadees) be-mae’ny (meaning less) nahi balke ba- mae’ny (meaning full) aur waazeh (clear) hai, toh lehaza ham par lazim hai ke ham Allah(swt) ke jo asma aur sifaat qur’an aur ahadees may batae gae hain un par emaan rakhe aur waisa hi emaan rakhe: jitna aur jaisa batlaya gaya hai...
  • 16. 15 * >>Teh’reef :- yane Allah(swt) ke Asma-o-sifaat ke alfaaz (words) ya mae’non (meanings) may tabdeeli (changes) karna hai: jo ke haraam hai: Jaisa ke Allah(swt) ne farmaya: >[surah nisa: #46]: “woh (yahood) (Allah(swt) ke) kalmaat ko un ki (theek) jagah se hair pher kardete hain”… Wazahat:- Allah(swt) ne jab tehreef ki wajah se yahood ki buraiee bayan ki hai', toh Allah(swt) ke naam mein lafzi ho ya maa’nwi kisi bhi qism ki tehreef se bachna zaroori hai...  Lehaza hamey Allah(swt) ke asma(naam) aur sifaat (qoobiyon) par bina kisi qism ki koi kami ya zyadati ke min-wa-ann (jaisa aur jitna batladiya hai waisa hi) emaan lana chahiye, jo ke Qur’an aur sahih ahadees se sabit ho. [Jaisa ke: Allah(swt) ka cehra-e-mubarak hai (jisey sirf jannati jannat may dekhenge), Allah(swt) ke Haat Mubarak hai, pindli mubarak hai, Allah(swt) arsh par mustawi hai, Allah(swt) har raat ke aakhri peher may pehle (duniyawi) aasmaan par naazil hote hain, waghaira waghaira]… hamey sirf in par poora emaan lana chahiye aur inki hayyat, kaifiyath ya haalath bayaan nahi karni chahiye, kyun ke na toh hamney khud unka mushaheda kiya hai, na toh hamey iski koi khabar mili hai ya digae hai, na hamey iske bare may (kuch tafseel) batlaegae hai, aur na hi hamare paas unki koi misaal maojood hai… lehaza hamara ye emaan hona chahiye ke: “Haan! Allah(rab-ul-izzath) ka chehra hai, uske haat hain, uski pindli hai, wo arsh par mustawi hai aur har raat ko pehle aasmaan par naazil bhi hota hai, aur ye sab waise hi mumkin hai jaise ke uski zaat aur uski shaan ko layaq-o-zeba hai”... (ye sirf channd misaalien thi)… >Aur yahan ye baat bhi wazeh rahe ke: ham Allah(rab ul izzath) ke jism ke qael nahi hai, yane ham ye maantey hain hamara ye aqeedah hai ke Allah (rab ul izzath) ka koi jism nahi. Kyun ke ye toh hamney insaano aur haewano ko dekha aur unpar ghaor kiya ke jinko haat, pair hote hain unka jism bhi hota hai, lekin ham ne toh Allah ko dekha hi nahi, naa hi uske jism ki koi daleel quran o ahadees may hamey milti hai aur naa hi uski koi misaal maojood hai, lehaza ham insaano aur haewano se Allah ki ya Allah ke jism ki tashbeeh (comparision) hargiz nahi desakte aur aisa karna tamseel hoga jo haram hai… ** >> Allah(swt) ke naam aur uske sifaat ko seekhna, Allah(swt) ko sahih se jaanne ka wahed zariya hai, aur isi tarha jannat may le jaane wale raaston may se ek raasta hai: jaisa ke Rasool-Allah(saws) ne farmaya: >[sahih muslim ba riwayath abu-huraira(rz)]: “Allah(swt) ke ninanway(99) aise naam hain jinhein agar koi yaad rakhega toh jannat may daakhil ho jayega”… Wazahat:- arabi lughat(language) aur is mazmoon ki deegar riwayaat (ahadees) se pata chalta hai ke Allah(swt) ke naamon ko yaad rakhne ke alawa unhein samjhna, unke zariye dua karna, aur unke taqazon ko pura karna bhi zaroori hai. Aur Allah(swt) ke sirf 99 naam hi nahi hai balke aur bhi kae naam hain jin may se kuch qur’an aur ahadees may maojood hain aur kuch Allah ne apne paas hi rakhe hain…
  • 17. 16 ** >>Allah(swt) ke naam aur sifaat par haqeeqi emaan se mua’shray (society) ke tamaam juraim(crimes) ka khaatma ho sakta hai:- kyun ke gunah karte waqt insaan aam taurpar Allah(swt) ke – ILAAH (haqeeqi ma’bood), AS- SAMI’ (sunne wala), AL-BASEER (dekhne wala), AL-ALEEM (har qism ka ilm rakhne wala), AL-QADEER (har tarah ki qudrath rakhne wala), AL-JABBAR (zor- awar/zabardast), AL-QAHHAAR (ghalbe wala), AL-HALEEM (burdbaar), AL- QAABIZ (tangi dene wala), AL-BAASIT (khushadgi ata karne wala), AL- JAWAAD (khoob dene wala), AL-FATTAAH (bigdi banane wala), AL-MALIK (baadshah), AN-NASEER (bahot madad karne wala), AL-GHAFFAAR (bada baqshane wala) …waghaira waghaira... hone ko bhool jata hai…. Aur is-hi tarah ye bhi bhool jata hai ke: beshak! Allah(swt) apni zaat se aasmaano ki bulandiyon may Arsh par mustawi hai [surah taha: ayath no. 5] Lekin! Allah(swt) ke ilm aur uski qudrath ne har jagah aur har cheez ko ghera hua hai… >>Bade afsoos se kehna padta hai ke aaj hamey apne matlab ki baatien aur bade bade answers (jawaabaat) badi asani se yaad hojate hain, lekin agar kuch yaad nahi hota toh wo ye Allah ke naam aur uske sifaat hi hain jo hamey yaad nahi hote, jiski wajah se aaj ummat ki aksariyath Allah (rab-ul- izzath) se na-waqif hai aur is-hi na-waqifiyath ki wajah se insaan Allah ka haq sahih taor par ada nahi karta aur shirk jaisa bada aur badttareen gunah kar guzarta hai… toh ehed karien ke hum Allah(swt) ke asma-e-husna aur uske sifaat ka sahih ilm zaroor hasil karenge (in-sha-Allah!)… >> Ye thi mukhtasar tawheed al - asma wa sifaat…  JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERA :::  itne sabr-o-etmenaan se is kitaabche (booklet) ko padne ka bahot bahot shukriya... Umeed hai ke ye aap ke liye faedemand saabit hua ho....  >> Allah! hum sub ko sahih mae’no may uski tawheed ko samajhne aur uspar sahih emaan laakar amal karne wala banade… aur ALLAH! HUM SAB KO DEEN (Qur’an aur sahih ahadees) KI SAHIH SAMAJH ATA FARMA KAR HIDAYATH DE AUR SIRAT-E-MUSTAQEEN ATA FARMAE, hamari saari zindagi Allah aur uske rasool (saws) ki I’taat wa farma-bardari sahaba(rz) ke raastey/manhaj/tareeke par karte hue guzarjae... AaMEEN ya Rab-ul-Aalameen…  Guzarish:- Is paighaam ko aam karien…  Khadim wa Taalib-e-dua:- Md. Jåffêr. Khâñ (JK)
  • 18. 17 ***YAAD RAKHIEN***  Wo zindagi kisi kaam ki nahi jo uske asal maqsad ke liye istemaal naho...  ZINDAGI KA MAQSAD = QALIS ALLAH (WAH DAHU LA SHAREEK) HI KI I'BADATH KARNA {yane *TAWHEED* hai}. [surah zariyath: #56]…  I’BADATH KA TAREEKHA = DEEN [qur’an aur sahih ahadees jo sahaba (rizwanullahi alaihi ajmaeen) ke manhaj (samajh/tareekhe) par samjhien gae hon] uska sahih ilm hasil karna…  ilm hasil karne ke 3 usool = ALLAH (subhan Allahu wa ta’ala) ko pehchaanna, Nabi-e-kareem (sallallahu alaihi wa sallam) ko jaanna, zaruri deen seekh-kar us par amal karna aur doosron tak pahunchane ki koshish karna...  aur in-hi 3 usool par mabni (based) qabar may 3 sawaal honge: aur qabar, aakhirath ki sabse pehli manzil hai, jo ismay kaamiyaab hogaya uske liye aagey ki manzilien aasaan hojaengi (in-sha-Allah)…  isi fikr ko lekar, isi maqsad ko lekar: pesh hai ek chota sa online islamic course…  * A SHORT ISLAMIC COURSE *  Alhamdulillah! is course may sahih deen (qur’an aur sahih ahadees) ko sahaba(rz) ke manhaj par samjhaya gaya hai… Lehaza, aap se adaban guzarish hai ke aap ye course zaroor poora karien aur apni zindagi ke asal maqsad ki ek nae aur sahih shurwaat karien…  Course ke liye website www.youtube.com par search bar may “ A SHORT ISLAMIC COURSE BY SADA E HAQ ” type karien aur jo sab se pehla result aaega wahi ye course hoga (in-sha-Allah)…  Ya phir: Youtube channel “SADA-E-HAQ paigham-e-aman” par jaen [ www.youtube.com/user/sadaehaqpaigham ] Aur “playlists” option par click karien, wahan aap ko ye course zaroor miljaega (in-sha-Allah)…  Apne dost ehbaab ke sath share karna na bhoolien…  Jazakallahu khair…