VIP Call Girls Service Bandlaguda Hyderabad Call +91-8250192130
آٹھ انچ کا پروں والا انسان
1. Aath inch ka paroun wala insan
Paish’kaar: Maqsood Hasni
2. Aath inch ka paroun wala insan
Saens aur arts ko mukhtalif shoboun main bant diya
giya hai ta’kah tehqiqi moamlaat main kisi qisam ki
diqat na ho. Kaenaat main mojoud insani aur gher
insani makhuqaat ko aur oon ki kar’kardgi, haiat
waghera kay hawala say bai’haad koshashain ki gae
hain aur ki ja rahi hain. En intahae aur sanjida
koshashoun kay bavajoud makhloqaat ko daryaft
nahain kiya ja saka. Yahaan tak kah maloum
makhloqaat ko puri tara say jana aur jancha nahain ja
saka. Haad darja ki sae-o-johad kay bavajoud insani
DNA kay kodz daryaft nahain ho sakay. Es liay insani
aur gher insani makhloqaat kay ta’alqaat ko daryafat
kay daeray main nahain laya ja saka. Ghalibun ya
daryaat mokamal bhi na ho sakay gi. Agar insan sab
kuch daryaft kar laita hai to woh Allah jo kaenaat ka
aisa poshida magar wazay aur khula raz hai, daikhnay
ki pozishan main ho ja’ay ga. Es tara Aallah, Allah to
na raha jo shakhas kay soch kay hisaar main aa ja’ay.
Yah aath inch ki insan’nama makhlouq daryaft hoe
hai. Daryaft konida ka kehna hai kah os nay eaay
bagh ki teh say nikala hai. Yah intahae mokhtasar
paroun wala insan hai. Es ka jomla aza insan say
mamasil hain. Daryaft’konda nay essy pari ka naam
diya hai. Aap sab ki nazar main chotay baray
darminay waghera qaad kay log to aa’ay to houn gay.
Ab yah Aath inch ka paroun wala insan malahza
farmaein essay daikh kar yaqinun aap ko hairat to
hoe ho gi likin hiran honay ki zarorat nahain. Hum
insan aakhri dam tak Allah aur os kay poshida razoun
ko puri tara jan na sakain gay. Haan her aglay roaz
eak nae daryaft ka silsala ta’qiyamat jari rahay ga.