9
aap ki mohabataur tovajo ke liay ehsan'mand
hoon. nhain is ka ta'alaq PhD ke moqala waghera se
koee nahain. woh to lisan-ghalib se mota'alaq hai
waiay hi ahbaab ki dilchaspi ke liay likh raha hoon
zobanoon ka tazkara reh giya hai. os ke baad agar
Allah ne chaha to arbi ka silsala shuro karoon ga
eak baar baar phir shukarriya ada karata hoon
Allah aap ko shad-o-shadab rakhay.
Maqsood hasni
http://www.bazm.urduanjuman.com/index.php?topic=8047.0
31
piyar se piyareRaz sahib
itni dhaiar sari malomaat farahum karnay par ehsan'mand
hoon.
Allah aap ko salamat rakhe
mein qamar naqvi sb ko zati tour par nahain janta haan abid
ansari sb se molaqaat rehti thi. onhoon ne kitabain ata ki thein.
eak din iqbal sahar ambalvi marhoon ka khat parh raha tha to
abid sahib yaad aa gay socha daiar baad sahi kuch likh daita
hoon so mein ne likh diya. mein ne jo samnay tha ossi ke
motabiq zehan baya tha. pas e diwar ko daikh na saka
mein mohtarama shireen zaad se mota'aluq notes le chuka
hoon. oon ka moqala kitab main shamil hai. agar aap oon ke
baray main kuch jantay hain to zaroor agah karain.
Maqsood hasni
50
amman hawa aurbaba-ji adam ke hawala se mairi eak
tehreer www.scribd.com par daikhain agar ho sake to os
ka motala bhi farma lain. kya adam pehla insan tha.
bawar rahe adam yaeni hawa wale pehle insan nahain
thay. oon ko to seraf 6500 ya 7200 saal howay hain. oon
se pehle 70 ya is se bhi ziyada insan ho gozre hain.
pehle adam se pehle lusifar zamein ka badshah tha. sura
younis ki 12, 13, 14 ayaat bhi daikh lain. khalifa ka
mafhoom samne aa ja'ay ga. adam Allah ke khalifa
nahain thay. kisi tara bhi. aisa samjhne aur sochne se bhi
paap lage ga.issi tara oon ki dou nahain taqriban 120
ouladain thein. haan habeel aur qabeel maroof howay.
ouj bin anaq bin adam ka to zikar hi nahain howa. Allah
ne chaha to is hawala se bhi kabhi khuch araz karoon
ga.
Maqsood Hasni
63
aap mohabat aurhosla afzaee farmate hain yah maire
liay bari baat hai. kaee baar socha hai magar..............
in mazamein ki tadaad saikaroon hai kya karoon kuch
samjh main nahain aata. mazah, lisanyaat, iqbaliyaat,
afsanay janay janoon main kya kuch bak gya hoon.
Allah zaroor sabab banay ga. kabi to in ko kitabi shakal
mil hi ja'ay gi. her damagh aur dil karobari ho gya hai.
pakistan main retirement ke baat kya hota aur banta hai
likh nahain sakta. khair mein phir se tovajo ke liay
ehsan'mand hoon.
khudi ke mota'alaqq eak aur mazmoon arsal hai. is ko
parhnay ke baad hi bata sakain ge kah kitabi shakal
doon ya na doon.
http://www.bazm.urduanjuman.com/index.php?topic=8642.0