SlideShare a Scribd company logo
ِ‫ْم‬‫ي‬ ِ‫ح‬َّ‫الر‬ ِ‫ن‬ ٰ‫م‬ْ‫ح‬َّ‫الر‬ ِ‫هللا‬ ِ‫ْم‬‫س‬ِ‫ب‬
(Bismillah-hir-rehman-nir-raheem)
1. Allah Subhanawatallah ne makhlooq me sabse pehle kis cheez ki
takhleek ki
Ans. Nabi e kareem ‫ﷺ‬ ke noore mubarak ko
2. Hadees e qudsi hai[ALLAH ne farmaya hai] ‘’mai khazanae
makhfi[chupa hua] tha to maine chaha ki pehchana jau to maine ---------
- ko paida kiya
Ans. Noore MUHAMMAD ‫ﷺ‬
3. Tirmizi ki ek riwayat hai ki ek roz sahabae karam ne pucha ki ya
Rasulallah ‫ﷺ‬ aapko khilat e nabuwat se kab sarfaraz farmaya gaya toh
huzoor ‫ﷺ‬ ne kya jawab diya
Ans. Mujhe us waqt nabuwat se sarfaraz kiya gaya jab adam ‫السالم‬ ‫عليه‬ ki naa
abhi rooh bani thi na jism
4. Jab nabi ‫ﷺ‬ ne jibraeel ‫السالم‬ ‫عليه‬ se pucha tumhari umar kitni hai to
unhone kya jawab diya
Ans. Unhone arz kiya ki ya rasulallah iske siwa mai kuch nhi jaanta ki chauthe
hijaab me har 70,000 saal baad ek sitara chamakta tha usko maine 72,000 baar
dekha hai
5. Ye jawab sunke huzoor ‫ﷺ‬ ne kya farmaya
Ans. Aap ‫ﷺ‬ ne farmaya mujhe apne rab ki izzat o jalaal ki kasam who sitaara
mai hi tha .
6. Noore mustafa ‫ﷺ‬ sabse pehle kiski pusht me muntakhil hua
Ans. Hazrat adam ‫السالم‬ ‫عليه‬
7. Aap ‫ﷺ‬ jab jhule me the tab kaunsa mojeza hua
Ans. Aapke ishare par chand gardisht karta tha
8. chand 2 tukde kaise hua
Ans. Aap ‫ﷺ‬ ki ungli ka ishara paakar chand 2 tukde ho gaya
9. Hazrat ali RadiAllahu-ta'ala-anhu ki namaze asr kaza ho jaane par aap
‫ﷺ‬ ne sooraj ko wapas bulaya, ye mojeza kaha hua
Ans. Mukaam e sehba me jang e khaibar ke mauke par
10.Gazwa e khandak ki khudai ke mauke par aap ‫ﷺ‬ ke chamakdaar aur
safed pathar todne se kaisi roshni namudar hui
Ans. Aisi chamak jisse saara madina roshan hua
11.Us kuwe[well] ka naam batao jiske paani se ghusl karna wala beemar
shifa pa jaata tha
Ans. Baire bad’a jisme huzoor s.a.w ne apne lohab e dehen daala tha
12.Huzoor ‫ﷺ‬ ne kis sahabi ki nikli hui aankh lohab e dehen lagakar hamesha
k liye durust farmayi
Ans. Hazrat qataada RadiAllahu-ta'ala-anhu ki
13.Huzoor ‫ﷺ‬ ke paas kitne zaati ghode[horses] the
Ans. 4 ghode the
14.Aap ‫ﷺ‬ ki kitni uthniya thi
Ans. 3 --- qaswa, jad’a , ghazba
15.Huzoor ‫ﷺ‬ ki us uthni ka naam bataye jisne aap saw ke wisaal ke baad
khana peena chod diya tha yaha tak ki who sadme se mar gayi
Ans- Ghazba
16.Woh kaunse moazzin the jinhe moazzine rasool kaha jaata hai
ANS- Hazrat bilal RadiAllahu-tala-anhu
17.Ghulamo me sabse pehle islam ki daulat se musharraf hone wale sahabi
ka isme giraani bataye
ANS- Hazrat bilal RadiAllahu-tala-anhu
18. Hazrat bilal RadiAllah-tala-anhu kaha ke rehne wale the
ANS- Habsha iran ke
19. Huzoor ‫ﷺ‬ ke noor ke allah ne kitne hisse kiye hai
ANS- 3 hisse
20. Unse kya kya banaya
ANS- Ek se lauh, dusre se kalam, teesre se saari qainat.
21. Huzoor akram ‫ﷺ‬ ki wiladat (paidaish) kis din hui ?
ANS- Peer ke din ( monday)
22. Huzoor ‫ﷺ‬ ki wiladat kis mahine me hui ?
ANS- Rabiul Awwal ( 22 April)
23. Us waqt iswee tariq ( A.D.) kya thi ?
ANS- 22 april , 571 A.D
24. Huzoor ‫ﷺ‬ ki paidaish ke waqt konsa mausam tha ?
ANS- MAusam E Bahar
25. Huzoor ‫ﷺ‬ ki wiladat ka sheher konsa hai ?
ANS- Makkah mukarrama
26. AAPKI wiladat ke waqt kya chand waqiyat hue ?
ANS- Aatish kada faras ki aag bujh gayi , kaabe ke tamam budh aundhe ho gaye.
27. Jis saal Huzoor ‫ﷺ‬ paida hue us saal ko aam taur par kya pukara jata
hai?
ANS- Aamul Feel
28. Wiladat ke waqt aapke waalida majida ne kya dekha?
ANS- Dekha ke unse eik noor nikla jiski roshni me unhone shaam ke mehelaat
dekh liye.
29. AAPke ‫ﷺ‬ ne aapki wiladat ke mauke par kya dekha ?
ANS- Khaana e kaaba unke ghar ki taraf jhuk raha hai .
30. Aapke ‫ﷺ‬ walid majid , AApke viladat se kitna arsa pehle faut (inteqal)
hue .
ANS- Chand Mahine pehle AAPKE walid ka inteqal hogaya tha .
31. AAPKE walid kis kabile se talluq rakhte the ?
ANS- Banu hashim
32. AAPKE walida kis kabile se talluq rakhte the ?
ANS- Banu Zahea
33. AAPKE naniyal kis ilaqe me rehte the ?
ANS- Madina Tul Munawwara .
34. AAPKE walid kitni umar me faut hue ?
ANS- 24 years
35. AAP ‫ﷺ‬ ki jab viladat hui tab aap kis halat me the ?
ANS- Naaf barida saaf sutre the aur jism e athar se khushbu aa rahi thi .
36. Duniya me raunaq afroz hote hi AAPki zubane mubarak par konse
alfaz the ?
ANS- AAP ka sir e mubarak sajdah me tha aur ye alfaz zuban par the ki
khudaya meri ummat ko baqsh de.
37. AAPKE kis chacha ne AAPke wiladat ke khushi me laundi ko aazad kiya
?
ANS- Abu lahab
38. Us laundi ka naam bataiye ?
ANS- Suwaibah
39. AAPKE wiladat ke kitne din baad AAPka Aqiqa mubarak kiya gaya
ANS- 7 din baad
40. AAPKE dada janab Abdul mutallib ne is mauqe par AAPKA naam kya
rakha tha ?
ANS- MUHAMMAD ‫ﷺ‬
41. Is naam ke kya maine hai ?
ANS- tareef kiya gaya
42. Huzoor ‫ﷺ‬ ka dusra naam AHMED bhi tha , ye kisne rakha tha ?
ANS- AAPKE walida majida ne
43. Is naam ke kya maine hai ?
AND- Bohat zyada tareef kiya gaya
44. AAPKE walida ko khwab me is naam ki basharat kisne di thi ?
ANS- HAzrat jibraeel Alayehissalam ne
45. Wiladat ke baad aap kitne din apne walida ke pas rahe ?
ANS- Eik hafta
46. Aap ‫ﷺ‬ apne roz e wiladat ko kis tarah manaya karte the?
ANS- Roza rakhte the
47. Huzoor ‫ﷺ‬ ko sabse zyada arse tak doodh pilane ki
sa’adat kisey hasil hui thi ?
ANS- Hazrat halima Sadiya[r.a]
48. Unka talluq kis kabile se tha ?
ANS- Khandan banu sa’ad se
49. Hazrat halima sadiya ke siwa baki daiyon ne Huzoor ‫ﷺ‬
ko doodh pilane ke liye kyun muntakhib naa kiya tha?
ANS- unka khayal tha ke bacha yateem hai isliye inke
gharse zyada maali fayeda hone ki umeed nhi hai aur
mazdoori bhi kam milegi .
50. Hazrat halima sadiya ne kyun Huzoor ‫ﷺ‬ ko raza’at
ke liye qubool karliya tha ?
ANS- Us waqt tak dusre tamam bacche dusri daayiyan
hasil kar chuki thi aur Huzoor ‫ﷺ‬ ki yateemi ke wajah se kisi
ne AAPki taraf rujoo na kiya tha lekin Halima Sadiya ne
khali hath wapas jaane se behtar samja ke is durre
yateem ko hi hasil karliya jaye .
51. Hazrat halima ne ghar pohachte hi AAPki kya
barkat dekhi ?
ANS- bakriyo ne khoob doodh diya
52. Hazrat Halima ke yahan aap kitna arsa rahe ?
ANS- Taqriban 4 saal
53. Hazrat halima ke yaha rehte hue AAP ke sath
konsa waqia pesh aaya ?
ANS- Shakke sadar (yaani seena mubarak chak hua tha)
54. AAP apke razayi bhaiyo ke sath kya karte the ?
ANS- Bakriya charaya karte the .
55. Bistar par lete hue AAPKI nigah aur ungli kis taraf
hoti thi ?
ANS- AAPKi nigah asman ki taraf hoti aur ungli mubarak
chand ki taraf hoti thi .
56. Hazrat halima sadiya ki konsi sahebzadi aapko god
me khilaya karti thi
ANS- hazrat sheema[r.a]
57. Huzoor ‫ﷺ‬ hazrat haleema sadiya ke paas kitne arse
rahe
Ans- takreeban 4 saal
58. Huzoor ‫ﷺ‬ ki walida hazrat amina [r.a] ke walid ka
naam bataye
ANS- wahab bin abde manaf
59. Hazrat amina [r.a] ki walida ka naam kya tha
ANS- barrah binte abdul uzzah
60. Hazrat amina[r.a] ka jab wisal hua tab aap ‫ﷺ‬ ki
umre mubarak kya thi
ANS- 6 saal
61. Hazrat amina[r.a] ka inteqal kis muqam par hua
ANS- mukame abwa
62. Walida ke inteqal ke baad aapki parwarish kisne ki
ANS- Aapke dada hazrat abdul mutallib ne
63. Aapke dada ki jab wafa’at hui toh us waqt aap ‫ﷺ‬ ki
umre mubarak kitni thi
ANS- 8 saal
64. Dada ki wafa’at ki baad aapki parwarish ka zimma
kisne liya
ANS- aap ‫ﷺ‬ ke chacha hazrat abu talib ne
65. Apne chacha ke sath aapne pehla safar kahan kiya
ANS- mulke shaam ki taraf
66. Pehle safar ke waqt aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni
thi
ANS- 12 saal
67. Ye safar kis liye kiya tha
ANS- Tijarat ke liye kiya tha
68. Daurane safar kaunsi baat aapko sabse
mumtaz[different] kar rahi thi
ANS- aap ‫ﷺ‬ ka chehra e mubarak door se hi chamakta
hua dikhayi deta tha
69. Is safar me aapki mulaqat kis raahib se huwi thi
ANS- bahira naami raahib se
70. Aap ‫ﷺ‬ ko dekhkar us raahib ne aapke chacha ko
kya kaha
ANS- ‘’inme aakhri nabi hone ki tamam nishaniya
maujood hai inhe wapas le jaao aur yahood ke shar se
bachao’’
71. Aap ‫ﷺ‬ ke chacha ne raahib ki baate sunke kya
amal kiya
ANS- Aapko wapas makkah bhej diya
72. Apne chacha ke gharme aap kis tarah rehte the
ANS- Bade itmenan ke sath aur kisi ko tang nhi karte the
73. Bachpan me jab aap ‫ﷺ‬ uthte to kis kaifiyat me hote
ANS- Aise hota tha jaise mooh pehle hi dhula hua hai
74. Bachpan me aap ‫ﷺ‬ din kis tarah guzarte the
ANS- aksar haram shareef me baithte the
75. Aap ‫ﷺ‬ jab dastarkhwan par khana khaane baithte
to aapki wajah se kya hota
ANS- Aapki wajah se khaane me barqat hoti thi
76. Jab aap ‫ﷺ‬ dhoop me chalte toh aap par kis cheez
ka saaya hota
ANS- aap par baadal ka saya hota
77. Kya bachpan me aapne kabhi aam bacho ki tarah
zid ki
ANS- Kabhi nhi ki
78. Aapke bachpan me gehre dost kaun the
ANS- Hazrat abu bakr siddique[r.a]
79. Aapke bachpan ke kuch khaas waqiyat likhiye
ANS- shakke sadar hua, shaam ki taraf safar kiya, isaayi
raahib ne aapke aakhri nabi hone ke baare me bataya
80. Shakke sadar ka pehla wakiya kitni umar me pesh
aaya
ANS- 4 saal ki umar me
81. Aap ‫ﷺ‬ us waqt kaha the
ANS- apne razayi bhai ke sath bakriya chara rahe the
82. Bachpan me jab aap ‫ﷺ‬ aksar logo ko booth parasti
me mubtila dekhte toh aapka radde amal kya hota
ANS- aapko karahat mehsoos hoti thi
83. Jawani me aap ‫ﷺ‬ kis tarah ke the
ANS- bade wajih aur ba waqar the
84. Kuffare makkah aapko kis naam se pukarte the
ANS- SAADIQ aur AMEEN
85. Tamam ahle makkah ka aapki kis baat par ittefaq
tha
ANS- sadaqat, dayanat aur sharafat par
86. Khwaja hasan basri rahmatullah alaih ne Ka’ab ahbaar se
riwayat ki hai ke huzoor ‫ﷺ‬ ke isme mubarak hai
• Ahle jannat ke nazdeek------ Abdul Kareem
• Dozakhiyon ki zuban par----Abdul Jabbar
• Arsh walo ki zubaan par-----Abdul Majeed
• Baqi tamam farishto ki zubaan par---Abdul Hameed
• Sare nabiyo ke yahan-----Abdul Wahaab.
• Jinnat ki zubaan par-----Abdur Rehman
• Asmaan par----Ahmed
• Zameen per Muhammad , ‫ﷺ‬ zameen ke niche Mehmood
,
• Allah swt ke yaha---- Taha aur Muhammad ‫ﷺ‬
87. Quran e kareem me isme muhammad ‫ﷺ‬ aur isme ahmed
kitni dafa aaya hai
ANS. Isme muhammad ‫ﷺ‬ chaar[4] dafa aur isme ahmed 1 dafa
aaya hai
88. La ilaha ilallahu me aur muhammadur rasulullah me kitne
huroof hai[alphabets]
ANS. La ilaha illah me 12 huroof aur muhammadur rasulullah
me bhi 12 huroof hai
89. Jab nabi e kareem ‫ﷺ‬ ne shehad ki makkhi se pucha ki
shehad me meethas kaha se aati hai to usne kya jawab diya
ANS. Shehad ki makkhi ne kaha chaman[garden] se chatton tak
raaste bhar hum durood padhte hue jate hai jiski wajah se
shehad me lazzat aur meethas aa jati hai
90. Ek israeli 100 saal ka gunahgar tha maut par logo ne use
aise hi fek diya tha, rabbe ta ala ne hazrat musa a.s ko wahi ki
, bataiye who wahi kya thi
ANS. Allah swt ne musa a.s ko wahi ki mere is bande ko ghusl,
kafan aur namaz ke baad dafan karo, usne ek baar taurait me
Muhammad ‫ﷺ‬ naam dekh kar use bosa diya tha aankho se
lagaya tha humne uske gunah baksh diye
91. Quran e kareem me huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke kitne naam
bayan hue hai
ANS. 102
92. Quran e kareem me huzoor e akram ‫ﷺ‬ ko 11 dafa kya
kehkar khitab kiya gaya
ANS. Ya ayyuhan nabiyyu
93. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ka shakke sadar kitni baar hua yaani
seena mubarak kitni baar chaak kiya gaya
ANS. 4 dafa shakke sadar hua
• 1- jab aap hazrat haleema ke ghar the
• 2-10 baras ki umar me hua
• 3-gaare hira me hua
• 4-shab e meraj me aapka mubarak seena chaak kiya gaya
94. Allah swt ne huzoor ‫ﷺ‬ ko quran e paak me muta’addad
zeeshan alkabat[titles] se yaad farmaya hai, inme se kuch
bayan farmaye
ANS. An Noor
Assirajul Muneer
An Nazeer
Al Mubasshir
Al Basheer
Ash Shahid
Ash Shaheed
Al Haqqul Mubeen
Khatamun Nabiyyeen
Ar Raufu Raheem
Al Ameen
Rehmatullil Alameen
Nyamatullah
Al urwatul wusqa
As siratul mustaqeem
An najmus saqib
Al kareem
An nabiyyul ummi
Da i allah
95. Hashar ke din allah swt huzoor ‫ﷺ‬ ko makhsus nyamato se
nawazega , woh kaunsi nyamate hai
ANS. Waseela, darja e rafee a , kausar, fazeela
96. Quran e majeed me allah swt ne apne mehboob ko bade
mohabbat bhare andaz aur alqab se khitab farmaya hai, kya
aap unme se chand alqab bata sakte hai
ANS. Yaseen , ya ayyuhal muzzamil, ya ayyuhal mudassir, ya
ayyuhan nabi, etc......
97. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ne pehli dafa kis jang me shirkat ki thi
ANS. Jange fijaar me
98. Us waqt nabi e kareem ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kya thi
ANS. 15 saal
99. Is jang ki wajah kya thi
ANS. Baaz haram kaamo ko halal karar de diya gaya tha
100. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ is jang me kya karte the
ANS. Aap ‫ﷺ‬ chachao ko teer utha kar dete the
101. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke ehde shabab me jo muhaida hua
tha use kya kehte hai
ANS. Hilfal fuzool
102. Is muhaide ka kya maqsad kya tha
ANS. Aman o amaan kayam rakhna
103. Jab quraish ne khana e kaba ki tameer shuru ki thi us
waqt nabi e kareem ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi
ANS. 35 years
104. Kaabe ko azsarenau tameer karne ka maqsad kya tha
ANS. Purani imarat me shagaaf[hole] padh gaya tha isliye naye
seere se tameer ki gayi
105. Tameere kaaba ke dauran arab sardaro ka kis baat par
jhagda hua tha
ANS. Hijre aswad ke lagane par
106. Ye ikhtelaf kitne din jaari raha
ANS. 5 din
107. Is jhagde ka hal kisne nikala
ANS. Nabi e kareem ‫ﷺ‬ ne
108. Hajre aswad ko us jagah kisne apne hatho se rakha
ANS. Nabi e kareem ‫ﷺ‬ ne
109. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ne is jhagde ka khatema kaise kiya
ANS. Aap ‫ﷺ‬ ne hajre aswad ko ek chadar me rakha aur qabeele
ke sardaro se kaha ki woh use kinaaro se pakad le, is tarah
aapne jhagde ka khatema kiya
110. Aap ‫ﷺ‬ ne pehla niqah kis umar me kiya
ANS. 25 saal ki umar me
111. Aap ‫ﷺ‬ ka pehla niqah kisse hua
ANS. Hazrat bibi khadijatul kubra r.a se
112. Us waqt hazrat khadija r.a ki umar kitni thi
ANS. 40 saal
113. Hazrat khadija r.a ka laqab kya tha
ANS. Tahera
114. Hazrat khadija r.a ka shumaar makkah ki kin aurto me
hota tha
ANS. Shareef aur maaldaar
115. Hazrat khadija r.a ko huzoor ‫ﷺ‬ kis naam se yaad farmaya
karte the
ANS. Khairun nisa[behtar aurat]
116. Kya hazrat khadija r.a ne huzoor ‫ﷺ‬ se niqah ke pehle bhi
niqah kiye the
ANS. Ji haa, 2 dafa
117. Hazrat khadija r.a kis kisam ki khatun thi
ANS. Badi hi nek seerat , ba ikhlaq, aur paak baaz khatun thi
118. Kya ye sahi ke hazrat ibrahim r.a ke alawa rasool e
kareem ‫ﷺ‬ki tamaam aulad hazrat khadija r.a ke batan se thi
ANS. Ji haa
119. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke sahabzada aur sahabzadiya jo
hazrat khadija r.a se the unke naam bataye
ANS. Who sab 6 the, unke naam ye hai
1.Hazrat zainab r.a
2.Hazrat rukayyah r.a
3.Hazrat umme kulsum r.a
4.Hazrat fatema r.a
5.Hazrat qasim r.a
6.Hazrat abdullah r.a jinko tahir aur tayyab bhi kaha jaata hai
120. Hazrat khadija r.a ke sath huzoor ‫ﷺ‬ ki kitna arsa rafaqat
rahi
ANS. 25 saal
121. Hazrat khadija r.a ka sane wafa’at [year of death]
ANS. 10 nabwi
122. Kya hazrat khadija r.a ki maujudgi me huzoor ‫ﷺ‬ ne dusra
niqah kiya
ANS. Ji nahi
123. Fill in the blanks
• Ek din hazrat khadija r.a huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke liye khana
laa rahi thi ke hazrat [a]------------ ne khidmate akaddas
me haazir hokar arz kiya ki jab khadija aaye to aap unko
allah swt ki taraf se aur meri taraf se [b] ---------- pohcha
dijiye aur jannat me ek [c] -------------ki basharat dijiye.
ANS. [a] hazrat jibraeel a.s
[b] salam
[c] motiyo wale mehal
124. Aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi jab aapne gaare hira
me jana shuru kiya
ANS. 37 ya 38 years
125. Elane nabuwat se pehle huzoor e akram ‫ﷺ‬ki zindagi
kaisi thi
ANS. Behtareen ikhlaq aur adaat ka khazana thi
126. Huzoor ‫ﷺ‬ ki chand khaslato[characteristics] ka zikr
kijiye
ANS. Sachai rehmo sakhawat
Dayanat daari doston se humdardi
Wafadaari azizo ki gamkhwari
Ehad ki pabandi gareebo aur mufliso ki -
Buzurgo ki azmat - khabargiri
Choto par shafaqqat dushmano ke sath nek -
Rishtedaro se mohabbat - bartav
Kaum ki khidmat
Kam bolna , fuzool baato se nafrat karna
Makhluqe khuda ki khair khwai , garz tamam nek khaslato
aur achi achi baato me aap itni buland manzil par pohche hue
the ki duniya ke bade se bade insaano k liye waha tak rasai to
kya? Iska tasawwur bhi mumkin nahi hai
127. Gaare hira makkah se kitni door hai
ANS. 3 meel[miles] ke faasle par
128. Gaare hira me jaakar aap kya karte the
ANS. Allah swt ki zaat o sifa’at me gaur o fikr kiya karte the
129. Aap ‫ﷺ‬ ki nabuwat ka agaz kaise hua
ANS. Sache khwabo se [unki muddat 6 mahine rahi]
130. Aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi jab allah ke taraf
farishta wahi lekar aaya
ANS. 40 saal
131. Wahi laane wale farishte ka naam
ANS. Hazrat jibraeel a.s
132. Jab Nuzoole wahi ki mubarak ghadi aa pohchi, hazrat
jibraeel a.s ne sabse pehle huzoor ‫ﷺ‬ se kya kaha tha
ANS. Iqra [padho]
133. Pehli wahi me surah alaq ki jo aayaat naazil hui woh fill in
the blanks me likhiye
• Padho. Apne rab paida karne wale ka [a]----------- lekar
jisne insaan ko [b]----------- se paida kiya. Haa padho ki
tumhara rab nihayat [c]---------- hai jisne [d]--------- ke
zariye insaan ko aisa ilm sikhaya jise woh pehle naa
jaanta tha.
ANS. [a] naam
[b] jame hue khoon
[c] nihayat kareem
[d] kalam
134. Surah alaq ki kul kitni aayaat padhai
ANS. 5
135. Jab jibraeel a.s chale gaye to aapki kya kefiyat thi
ANS. Tabiyat mubarak par bohat khauf taari tha
136. Ghar aakar aap ‫ﷺ‬ne hazrat khadija r.a se kya farmaya
ANS. Mujhe kambal udha do
137. Kuch der baad sukoon aa jane par hazrat khadija r.a se
saari baat kahi to unhone kya kaha
ANS. Ba khuda aapko allah swt ruswa na karega, aap sila
rehmi karte hai, dusro ka bojh uthate hai, gareebo ki madad
karte hai, mehman ki mezbaani karte hai
138. Jab huzoor ‫ﷺ‬ nabuwat se sarfaraz kiye gaye to tareekh
kya thi
ANS. Agarcha isme ikhtelaf hai lekin zyada tar 21 ramzanul
mubarak baroz peer par muttafiq hai
139. Hazrat khadija r.a apne kis chachere bhai ke paas
huzoor ‫ﷺ‬ ko le gayi thi
ANS. Warqa bin naufil
140. Warqa bin naufil ne aapse baat sunkar kya kaha
ANS. Unhone kaha ye wahi naamoos[ farishta] hai jo hazrat
moosa r.a par wahi lekar aata tha
141. Pehli wahi ke kitna arsa baad dusri wahi aayi
ANS. Takreeban 2 ½ saal baad
142. Dusri wahi me aap par kaunsi surah utri
ANS. Surah mudassir
143. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ki paigambarana [nabuwat wali]
zindagi ko kitne hisso me takseem kiya jaa sakta hai
ANS. 2 hisso me :-
a. makki daur – 13 yrs
b. madani daur - 10 yrs
144. Makkah me huzoor e akram ‫ﷺ‬ ne kitna arsa zindagi
basar ki
ANS. 53 saal, paidaish se hijrat tak
145. Elane nabuwat ke baad huzoor e akram ‫ﷺ‬ kitna arsa
makkah me rahe
ANS. 13 saal
146. Hijrat ke baad huzoor e akram ‫ﷺ‬ kitni baar makkah
tashreef laaye
ANS. 3 baar
147. Makkah me kis jagah huzoor namaz adaa kiya karte the
ANS. Daarul arkam aur khana e kaaba me
148. Hijrate habsha ka aapne kab hukm diya
ANS. 5 nabwi me
149. Hijrate habsha kitne logo ne ki
ANS. 12[11] mard aur 4 aurte
150. Hijrate habsha me aapki kaunsi beti aur damaad bhi the
ANS. Hazrat Rukayyah r.a aur unke shauhar hazrat Usman r.a
151. Habsha me kis badshah ne musalmano ko ehsan aur
sukoon se rehne ki ijazat di
ANS. Najjashi ne
152. Sha'ab abi taalib me kitna arsa qayam raha
ANS. 3 saal
153. Sha'ab abi taalib ka wakiya kab pesh aaya
ANS. Nabuwat ke 7th saal
154. Quraish ne jo muhaida banu haashim se liya tha uski
dastawiz ko kaha rakha
ANS. Khana e kaaba ke pardo me
155. Us muhaide ki dastawiz ke sath kya hua
ANS. Usko deemak kha gayi [siwaye allah ke naam ke]
156. Kis saal huzoor e akram ‫ﷺ‬ aur aapke ruf’a sha’ab abi
taalib se bahar aaye
ANS. Nabuwat ke 10th saal
157. “Aamul huzan” se kya muraad hai
ANS. Gam ka saal
158. Aamul huzan kis saal ko kaha jaata hai
ANS. Nabuwat ke 10th saal ko
159. Aamul huzan me kya hua tha
ANS. Huzoor ‫ﷺ‬ ke chacha hazrat abu taalib r.a aur aapki zohja
hazrat khadija r.a ka inteqal hua
160. Wakiye meraj kis san [year] me hua
ANS. Nabuwat ke 12th saal
161. Meraj ka matlab kya hai
ANS. Bulandi
162. Meraj me huzoor e akram ‫ﷺ‬ kaha kaha tashreef le gaye
ANS. La maka [yaani zamano makan ki hadood aur kuyood se
aage ]
163. Meraj me kaunse farishte aapke sath the
ANS. Hazrat jibraeel a.s
164. Safare meraj me aap kispar sawar the
ANS. Buraaq par
165. Meraj ka tohfa kise kaha jata hai
ANS. Namaz ko
166. Meraj ka zikr quran ki kin do surato me hai
ANS. Surah bani israeel aur surah najam
167. Meraj kis mahine me hui
ANS. Rajjab
168. Meraj kis waqt hui
ANS. Raat ke waqt
169. Meraj ki tasdeek sabse pehle kisne ki
ANS. Hazrat Abu bakar siddique r.a ne
170. aap ‫ﷺ‬ko kaunse rang pasand the
ANS. Safed, sabz [green] aur siyah[black]
171. Sabziyo me aapko kya pasand tha
ANS. Kaddu [dudiya]
172. Phalo me aapko kya pasand tha
ANS. Khajoor
173. Gosht aap kis janwar ka khana pasand farmate the
ANS. Bakri ka
174. Fajar ke baad aap kya karte the
ANS. Zikr o azkaar aur waaz o nasihat farmate the
175. Zohar ke baad aap kya karte the
ANS. Mukhtalif wafud se mulakat karte the aur qailulla karte
the
176. Asar ke baad aap kya karte the
ANS. Islami intezami umoor ke baare me mashware farmaya
karte the
177. Maghrib ke baad aap kya karte the
ANS. Nawafil ada karte the aur baadme kisi zohja ke ghar
tashreef le jaakar khana tanabul farmate
178. Isha ke baad aap kya karte the
ANS. So jaate the
179. Aap ‫ﷺ‬ guftagu kis tarah karte the
ANS. Theher theher kar ek ek lafz, Ki sunne wale ko samajh aa
jati thi , na zyada tez bolte na aahista
180. Aap ‫ﷺ‬ chalte kis tarah the
ANS. Tez tez kadam uthate the aisa lagta upar se neeche ki
taraf aa rahe hai
181. Aap ‫ﷺ‬ baithte kis tarah the
ANS. Do zaanu hokar
182. Aap khate kis tarah the
ANS. Daaye[ seedhe] hath se, jo apne aage rakha hota waha se
khaate
183. Aap ‫ﷺ‬ har kaam kis tarah shuru karte the
ANS. Daaye hath se bismillah bolkar shuru karte the
184. Aap ‫ﷺ‬ muskuraya kis tarah karte the
ANS. Sirf aapke dandane mubarak zaahir hote yaani chehra
mutabassum hota
185. Aap ‫ﷺ‬ bacho se kis tarah baat karte the
ANS. Badi shafaqqat aur pyaar se
186. Aap ‫ﷺ‬ aurton se kis tarah baat karte the
ANS. Bade adab aur tehzeeb se
187. Aap ‫ﷺ‬ buzurgo se kis tarah baat karte the
ANS. Bade ehteraam aur izzat se
188. Aap ‫ﷺ‬ naujawano se kis tarah baat karte the
ANS. Bade hi islah aamez andaz se
189. Aap ‫ﷺ‬ gair muslimo se kis tarah baat karte the
ANS. Bade ikhlaq ke sath
190. Aap ‫ﷺ‬ mazak kis tarah farmaya karte the
ANS. Kisi ki dil azaari nhi karte mazak me, aksar mazak me bhi
islah farmate
191. Sahaba ke darmiyan aap jab hote to kis baat ko pasand
karte
ANS. Barabari ko yaani milkar kaam karna
192. Dushman par ghalba ki surat me aap ‫ﷺ‬ kya mamla karte
ANS. Meherbaani aur afu se kaam lete the
193. Aap ‫ﷺ‬ ghusse me kab aate
ANS. Jab koi kaam hukme khudabandi ke khilaf hota
194. Aapka jism kis tarah ka tha
ANS. Na zyada farba na zyada laghar , mutawassat jisme
aqaddas tha
195. Aap ‫ﷺ‬ ka kad kaisa tha
ANS. Aap na bohat daraz kad the na kotah kad balki mayanah
196. Aap ‫ﷺ‬ ki aankhein kaisi thi
ANS. Aap ‫ﷺ‬ ki aankhein badi aur kudrati taur par hi surmageen
aur palken daraz thi, aankhon ki sufaidi me bareek surkh dore
the
197. Aap ‫ﷺ‬ ki naak mubarak kaisi thi
ANS. Aap ‫ﷺ‬ ki naak mubarak khoobsurat daraz thi aur
darmiyaan me ubhrao numaya tha
198. Aap ‫ﷺ‬ ki peshani kaisi thi
ANS. Aap ‫ﷺ‬ ki peshani mubarak kushada thi aur chiragh ki
maanind chamakti thi
199. Aap ‫ﷺ‬ ke dandane mubarak kaise the
ANS. Dandane mubarak kushada aur raushano tabaan the
Jab aap ‫ﷺ‬ kalam farmate to dandane mubarak se noor nikalta
dikhsyi deta
Dandane mubrak ko miswaq se saaf farmate the
200. Aap ‫ﷺ‬ ke mooe [baal] mubarak [baal] kaise the
ANS. Mooe mubarak na to bohat ghungralu aur na bohat
seedhe balki dono ke beechme the
201. Aap ke hath mubarak kaise the
ANS. Aapke hath mubarak pur gosht aur naram the
202. Aapke pair mubarak kaise the
ANS. Pur gosht, naram aur saaf
203. Aap ‫ﷺ‬ ke lab mubarak kaise the
ANS. Gulab ki pattiyon ki tarah surkh aur nazuk the
204. Aap ‫ﷺ‬ ka khana kaisa hota tha
ANS. Aksar sada khurak istemal kerte the
205. Jo aap ‫ﷺ‬ se eik martaba milta uski kiya halat hoti
ANS. Dekhta hi reh jata
206. Aap ‫ﷺ‬ bazar me jate to kiya kerte
ANS. Logon ko mamlaat durust kerne ki talqeen farmate
207. Aap ‫ﷺ‬ ke paas mehmaan aata to kiya kerte
ANS. Uski khidmat farmate
208. Aap ‫ﷺ‬ ka lehja kaisa tha
ANS. Bohat hi mulaimat wala, aur shusta hota
209. Aap ‫ﷺ‬ ne kitne hajj kiye
ANS. Eik
210. Aap ‫ﷺ‬ ne kitne umre kiye
ANS. Teen
211. Aap ‫ﷺ‬ ke ikhlaaq per eik ayat likhen
ANS. ‘wa innaka la ala khulukin azeem’
212. Aap ‫ﷺ‬ ke ikhlaq per eik hadees likhen
ANS. Aap ‫ﷺ‬ ne farmaya ke mai aala ikhlaq ki takmeel ke liye
bheja gaya hoon
213. Quran ne aapko tamam jahano ke liye kiya qarar diya
ANS. Rehmat
214. Aap ‫ﷺ‬ ke kis khadim se bohat zyada hadees marwi hai
ANS. Hazrat anas bin maalik r.a
215. Aap ‫ﷺ‬ ki kis zohja se sabse zyada hadees marwi hai
ANS. Hazrat aisha siddiqa r.a se
216. Aap ‫ﷺ‬ kin kaamo ko dekh kar gusse me aate
ANS. Khilafe shara kaamo ko dekh kar aap gusse me aa jate the
217. Aap ‫ﷺ‬ kaunsi baato aur kaamo par khush hote the
ANS. Allah ke ehkamat par amal karne se
218. Aap ‫ﷺ‬ safar par jaane se pehle kya karte the
ANS. 2 rakat nafil namaz adaa karte the
219. Safar se wapsi pe aap ‫ﷺ‬ kya karte the
ANS. Masjid me jakar 2 rakat namaz ada karte
220. Safar se wapsi par sabse aap ‫ﷺ‬ pehle kisse milte
ANS. Apni beti hazrat fatima r.a se milte the
221. Aap ‫ﷺ‬ par durood padhne ke hukm kis surah me aaya hai
ANS. Surah ahzaab
222. Aap ‫ﷺ‬ ki azwaj musalmano ki kya lagti hai
ANS. Maaen[mothers] lagti hain
223. Aap ‫ﷺ‬ ke kis sahabi ke bare me farmaya tha ke in se
farishte bhi haya kerte hain
ANS. Hazrat usman r.a ke bare me
224. Aap ‫ﷺ‬ ne kis sahabi ke bare me farmaya tha ke mere baad
agar koi nabi hota to ye hote
ANS. Hazrat umar farooq r.a ke bare me
225. Aap ‫ﷺ‬ ne kis sahabi ke bare me farmaya tha ke unko
jannat ke her darwaze se bulaya jaega
ANS. Hazrat abu bakar siddique r.a ke bare me
226. Aap ‫ﷺ‬ ne kin das sahaba ko duniya me jannat ki khush
khabri di
ANS.1] hazrat abu bakar siddique r.a
2] hazrat umare farooque r.a
3] hazrat usman r.a
4] hazrat ali r.a
5] hazrat saad bin abi waqas r.a
6] hazrat zubair r.a
7] hazrat talha r.a
8] hazrat saeed bin zaid r.a
9] hazrat abdur rahman bin auf r.a
10] hazrat abu ubaida aljarah r.a
227. In ashab ko kis naam se yaad kiya jata hai
ANS. Ashra mubbashirra
228. Aap ‫ﷺ‬ jab safar par jaate to kaunsi zaruri cheeze apne
sath rakhte
ANS. Tel, kangi, miswak, talwar, surma, etc...
229. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ witar me kaunsi surato ki tilawat
farmaya karte the
ANS. Pehli raqat me surah al aala
Dusri raqat me surah qafiroon
Teesri raqat me surah ikhlas
230. Huzoor ‫ﷺ‬ tahajjud me kitni nawafil padha karte the
ANS. 8-12

More Related Content

What's hot

Islamic Education Series Grades 6-12
Islamic Education Series Grades 6-12Islamic Education Series Grades 6-12
Islamic Education Series Grades 6-12Children of the Ummah
 
Caliphate of Uthman
Caliphate of UthmanCaliphate of Uthman
Caliphate of UthmanAnis Farhad
 
Hazrat umar (R A)
Hazrat umar (R A)Hazrat umar (R A)
Hazrat umar (R A)Sara Malik
 
Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208
Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208
Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208Shafaq Saleem
 
Life of Holy Prophet (pbuh)
Life of Holy Prophet (pbuh)Life of Holy Prophet (pbuh)
Life of Holy Prophet (pbuh)Mansura Akter
 
The rightly guided caliphs
The rightly guided caliphsThe rightly guided caliphs
The rightly guided caliphsZaky Mfa
 
Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)
Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)
Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)Binte-Shamshad
 
Husne-Akhlaq: Introduction
Husne-Akhlaq: IntroductionHusne-Akhlaq: Introduction
Husne-Akhlaq: IntroductionHamaray Bachchay
 
Introduction to quran lecture01
Introduction to quran lecture01Introduction to quran lecture01
Introduction to quran lecture01Sonia Khan
 
JIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑنا
JIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑناJIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑنا
JIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑناAsra Hameed
 
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashrafShajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashrafAale Rasool Ahmad
 
Excellent Morals of Prophet mohammad,perfect role model
Excellent Morals of Prophet mohammad,perfect role modelExcellent Morals of Prophet mohammad,perfect role model
Excellent Morals of Prophet mohammad,perfect role modelMohammad Yunus, MD, FACP
 
Halal vs haram presentation
Halal vs haram presentationHalal vs haram presentation
Halal vs haram presentationHaziq123456
 
BATTLE OF THE TRENCH.
BATTLE OF THE TRENCH.BATTLE OF THE TRENCH.
BATTLE OF THE TRENCH.saniasiddiqa
 

What's hot (20)

Islamic Education Series Grades 6-12
Islamic Education Series Grades 6-12Islamic Education Series Grades 6-12
Islamic Education Series Grades 6-12
 
Caliphate of Uthman
Caliphate of UthmanCaliphate of Uthman
Caliphate of Uthman
 
Finality of prophethood of mohammad (saw)
Finality of prophethood of mohammad (saw)Finality of prophethood of mohammad (saw)
Finality of prophethood of mohammad (saw)
 
Hazrat umar (R A)
Hazrat umar (R A)Hazrat umar (R A)
Hazrat umar (R A)
 
100 mcqs from al qur an
100 mcqs from al qur an100 mcqs from al qur an
100 mcqs from al qur an
 
Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208
Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208
Mid north east region khulafa-e-rashideen wb-lajna_080208
 
Compilatio of quran
Compilatio of quranCompilatio of quran
Compilatio of quran
 
Life of Holy Prophet (pbuh)
Life of Holy Prophet (pbuh)Life of Holy Prophet (pbuh)
Life of Holy Prophet (pbuh)
 
Surah al Ahzab 2021 JTQ English
Surah al Ahzab 2021 JTQ EnglishSurah al Ahzab 2021 JTQ English
Surah al Ahzab 2021 JTQ English
 
The rightly guided caliphs
The rightly guided caliphsThe rightly guided caliphs
The rightly guided caliphs
 
Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)
Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)
Sunnah of Prophet Muhammad (SWS)
 
Husne-Akhlaq: Introduction
Husne-Akhlaq: IntroductionHusne-Akhlaq: Introduction
Husne-Akhlaq: Introduction
 
Introduction to quran lecture01
Introduction to quran lecture01Introduction to quran lecture01
Introduction to quran lecture01
 
JIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑنا
JIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑناJIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑنا
JIHAD جہاد ۔ اللہ کی راہ میں لڑنا
 
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashrafShajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
 
Excellent Morals of Prophet mohammad,perfect role model
Excellent Morals of Prophet mohammad,perfect role modelExcellent Morals of Prophet mohammad,perfect role model
Excellent Morals of Prophet mohammad,perfect role model
 
Halal vs haram presentation
Halal vs haram presentationHalal vs haram presentation
Halal vs haram presentation
 
Tabook
TabookTabook
Tabook
 
Islam a complete code of life
Islam a complete code of lifeIslam a complete code of life
Islam a complete code of life
 
BATTLE OF THE TRENCH.
BATTLE OF THE TRENCH.BATTLE OF THE TRENCH.
BATTLE OF THE TRENCH.
 

More from Fariya Shaikh

Teaching with internet
Teaching with internetTeaching with internet
Teaching with internetFariya Shaikh
 
Interviewing skills
Interviewing skills Interviewing skills
Interviewing skills Fariya Shaikh
 
Developing creative learning
Developing creative learningDeveloping creative learning
Developing creative learningFariya Shaikh
 
Cell and cell organlles
Cell and cell organllesCell and cell organlles
Cell and cell organllesFariya Shaikh
 

More from Fariya Shaikh (6)

Teaching with internet
Teaching with internetTeaching with internet
Teaching with internet
 
Interviewing skills
Interviewing skills Interviewing skills
Interviewing skills
 
Spectrophotometry
Spectrophotometry Spectrophotometry
Spectrophotometry
 
Developing creative learning
Developing creative learningDeveloping creative learning
Developing creative learning
 
Micro nutrients
Micro nutrientsMicro nutrients
Micro nutrients
 
Cell and cell organlles
Cell and cell organllesCell and cell organlles
Cell and cell organlles
 

Islamic quiz

  • 1. ِ‫ْم‬‫ي‬ ِ‫ح‬َّ‫الر‬ ِ‫ن‬ ٰ‫م‬ْ‫ح‬َّ‫الر‬ ِ‫هللا‬ ِ‫ْم‬‫س‬ِ‫ب‬ (Bismillah-hir-rehman-nir-raheem) 1. Allah Subhanawatallah ne makhlooq me sabse pehle kis cheez ki takhleek ki Ans. Nabi e kareem ‫ﷺ‬ ke noore mubarak ko 2. Hadees e qudsi hai[ALLAH ne farmaya hai] ‘’mai khazanae makhfi[chupa hua] tha to maine chaha ki pehchana jau to maine --------- - ko paida kiya Ans. Noore MUHAMMAD ‫ﷺ‬ 3. Tirmizi ki ek riwayat hai ki ek roz sahabae karam ne pucha ki ya Rasulallah ‫ﷺ‬ aapko khilat e nabuwat se kab sarfaraz farmaya gaya toh huzoor ‫ﷺ‬ ne kya jawab diya Ans. Mujhe us waqt nabuwat se sarfaraz kiya gaya jab adam ‫السالم‬ ‫عليه‬ ki naa abhi rooh bani thi na jism 4. Jab nabi ‫ﷺ‬ ne jibraeel ‫السالم‬ ‫عليه‬ se pucha tumhari umar kitni hai to unhone kya jawab diya Ans. Unhone arz kiya ki ya rasulallah iske siwa mai kuch nhi jaanta ki chauthe hijaab me har 70,000 saal baad ek sitara chamakta tha usko maine 72,000 baar dekha hai 5. Ye jawab sunke huzoor ‫ﷺ‬ ne kya farmaya Ans. Aap ‫ﷺ‬ ne farmaya mujhe apne rab ki izzat o jalaal ki kasam who sitaara mai hi tha . 6. Noore mustafa ‫ﷺ‬ sabse pehle kiski pusht me muntakhil hua
  • 2. Ans. Hazrat adam ‫السالم‬ ‫عليه‬ 7. Aap ‫ﷺ‬ jab jhule me the tab kaunsa mojeza hua Ans. Aapke ishare par chand gardisht karta tha 8. chand 2 tukde kaise hua Ans. Aap ‫ﷺ‬ ki ungli ka ishara paakar chand 2 tukde ho gaya 9. Hazrat ali RadiAllahu-ta'ala-anhu ki namaze asr kaza ho jaane par aap ‫ﷺ‬ ne sooraj ko wapas bulaya, ye mojeza kaha hua Ans. Mukaam e sehba me jang e khaibar ke mauke par 10.Gazwa e khandak ki khudai ke mauke par aap ‫ﷺ‬ ke chamakdaar aur safed pathar todne se kaisi roshni namudar hui Ans. Aisi chamak jisse saara madina roshan hua 11.Us kuwe[well] ka naam batao jiske paani se ghusl karna wala beemar shifa pa jaata tha Ans. Baire bad’a jisme huzoor s.a.w ne apne lohab e dehen daala tha 12.Huzoor ‫ﷺ‬ ne kis sahabi ki nikli hui aankh lohab e dehen lagakar hamesha k liye durust farmayi Ans. Hazrat qataada RadiAllahu-ta'ala-anhu ki 13.Huzoor ‫ﷺ‬ ke paas kitne zaati ghode[horses] the Ans. 4 ghode the 14.Aap ‫ﷺ‬ ki kitni uthniya thi Ans. 3 --- qaswa, jad’a , ghazba
  • 3. 15.Huzoor ‫ﷺ‬ ki us uthni ka naam bataye jisne aap saw ke wisaal ke baad khana peena chod diya tha yaha tak ki who sadme se mar gayi Ans- Ghazba 16.Woh kaunse moazzin the jinhe moazzine rasool kaha jaata hai ANS- Hazrat bilal RadiAllahu-tala-anhu 17.Ghulamo me sabse pehle islam ki daulat se musharraf hone wale sahabi ka isme giraani bataye ANS- Hazrat bilal RadiAllahu-tala-anhu 18. Hazrat bilal RadiAllah-tala-anhu kaha ke rehne wale the ANS- Habsha iran ke 19. Huzoor ‫ﷺ‬ ke noor ke allah ne kitne hisse kiye hai ANS- 3 hisse 20. Unse kya kya banaya ANS- Ek se lauh, dusre se kalam, teesre se saari qainat. 21. Huzoor akram ‫ﷺ‬ ki wiladat (paidaish) kis din hui ? ANS- Peer ke din ( monday) 22. Huzoor ‫ﷺ‬ ki wiladat kis mahine me hui ? ANS- Rabiul Awwal ( 22 April) 23. Us waqt iswee tariq ( A.D.) kya thi ? ANS- 22 april , 571 A.D 24. Huzoor ‫ﷺ‬ ki paidaish ke waqt konsa mausam tha ?
  • 4. ANS- MAusam E Bahar 25. Huzoor ‫ﷺ‬ ki wiladat ka sheher konsa hai ? ANS- Makkah mukarrama 26. AAPKI wiladat ke waqt kya chand waqiyat hue ? ANS- Aatish kada faras ki aag bujh gayi , kaabe ke tamam budh aundhe ho gaye. 27. Jis saal Huzoor ‫ﷺ‬ paida hue us saal ko aam taur par kya pukara jata hai? ANS- Aamul Feel 28. Wiladat ke waqt aapke waalida majida ne kya dekha? ANS- Dekha ke unse eik noor nikla jiski roshni me unhone shaam ke mehelaat dekh liye. 29. AAPke ‫ﷺ‬ ne aapki wiladat ke mauke par kya dekha ? ANS- Khaana e kaaba unke ghar ki taraf jhuk raha hai . 30. Aapke ‫ﷺ‬ walid majid , AApke viladat se kitna arsa pehle faut (inteqal) hue . ANS- Chand Mahine pehle AAPKE walid ka inteqal hogaya tha . 31. AAPKE walid kis kabile se talluq rakhte the ? ANS- Banu hashim 32. AAPKE walida kis kabile se talluq rakhte the ? ANS- Banu Zahea
  • 5. 33. AAPKE naniyal kis ilaqe me rehte the ? ANS- Madina Tul Munawwara . 34. AAPKE walid kitni umar me faut hue ? ANS- 24 years 35. AAP ‫ﷺ‬ ki jab viladat hui tab aap kis halat me the ? ANS- Naaf barida saaf sutre the aur jism e athar se khushbu aa rahi thi . 36. Duniya me raunaq afroz hote hi AAPki zubane mubarak par konse alfaz the ? ANS- AAP ka sir e mubarak sajdah me tha aur ye alfaz zuban par the ki khudaya meri ummat ko baqsh de. 37. AAPKE kis chacha ne AAPke wiladat ke khushi me laundi ko aazad kiya ? ANS- Abu lahab 38. Us laundi ka naam bataiye ? ANS- Suwaibah 39. AAPKE wiladat ke kitne din baad AAPka Aqiqa mubarak kiya gaya ANS- 7 din baad 40. AAPKE dada janab Abdul mutallib ne is mauqe par AAPKA naam kya rakha tha ? ANS- MUHAMMAD ‫ﷺ‬
  • 6. 41. Is naam ke kya maine hai ? ANS- tareef kiya gaya 42. Huzoor ‫ﷺ‬ ka dusra naam AHMED bhi tha , ye kisne rakha tha ? ANS- AAPKE walida majida ne 43. Is naam ke kya maine hai ? AND- Bohat zyada tareef kiya gaya 44. AAPKE walida ko khwab me is naam ki basharat kisne di thi ? ANS- HAzrat jibraeel Alayehissalam ne 45. Wiladat ke baad aap kitne din apne walida ke pas rahe ? ANS- Eik hafta
  • 7. 46. Aap ‫ﷺ‬ apne roz e wiladat ko kis tarah manaya karte the? ANS- Roza rakhte the 47. Huzoor ‫ﷺ‬ ko sabse zyada arse tak doodh pilane ki sa’adat kisey hasil hui thi ? ANS- Hazrat halima Sadiya[r.a] 48. Unka talluq kis kabile se tha ? ANS- Khandan banu sa’ad se 49. Hazrat halima sadiya ke siwa baki daiyon ne Huzoor ‫ﷺ‬ ko doodh pilane ke liye kyun muntakhib naa kiya tha? ANS- unka khayal tha ke bacha yateem hai isliye inke gharse zyada maali fayeda hone ki umeed nhi hai aur mazdoori bhi kam milegi . 50. Hazrat halima sadiya ne kyun Huzoor ‫ﷺ‬ ko raza’at ke liye qubool karliya tha ? ANS- Us waqt tak dusre tamam bacche dusri daayiyan hasil kar chuki thi aur Huzoor ‫ﷺ‬ ki yateemi ke wajah se kisi ne AAPki taraf rujoo na kiya tha lekin Halima Sadiya ne
  • 8. khali hath wapas jaane se behtar samja ke is durre yateem ko hi hasil karliya jaye . 51. Hazrat halima ne ghar pohachte hi AAPki kya barkat dekhi ? ANS- bakriyo ne khoob doodh diya 52. Hazrat Halima ke yahan aap kitna arsa rahe ? ANS- Taqriban 4 saal 53. Hazrat halima ke yaha rehte hue AAP ke sath konsa waqia pesh aaya ? ANS- Shakke sadar (yaani seena mubarak chak hua tha) 54. AAP apke razayi bhaiyo ke sath kya karte the ? ANS- Bakriya charaya karte the . 55. Bistar par lete hue AAPKI nigah aur ungli kis taraf hoti thi ? ANS- AAPKi nigah asman ki taraf hoti aur ungli mubarak chand ki taraf hoti thi . 56. Hazrat halima sadiya ki konsi sahebzadi aapko god me khilaya karti thi
  • 9. ANS- hazrat sheema[r.a] 57. Huzoor ‫ﷺ‬ hazrat haleema sadiya ke paas kitne arse rahe Ans- takreeban 4 saal 58. Huzoor ‫ﷺ‬ ki walida hazrat amina [r.a] ke walid ka naam bataye ANS- wahab bin abde manaf 59. Hazrat amina [r.a] ki walida ka naam kya tha ANS- barrah binte abdul uzzah 60. Hazrat amina[r.a] ka jab wisal hua tab aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kya thi ANS- 6 saal 61. Hazrat amina[r.a] ka inteqal kis muqam par hua ANS- mukame abwa 62. Walida ke inteqal ke baad aapki parwarish kisne ki ANS- Aapke dada hazrat abdul mutallib ne
  • 10. 63. Aapke dada ki jab wafa’at hui toh us waqt aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi ANS- 8 saal 64. Dada ki wafa’at ki baad aapki parwarish ka zimma kisne liya ANS- aap ‫ﷺ‬ ke chacha hazrat abu talib ne 65. Apne chacha ke sath aapne pehla safar kahan kiya ANS- mulke shaam ki taraf 66. Pehle safar ke waqt aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi ANS- 12 saal 67. Ye safar kis liye kiya tha ANS- Tijarat ke liye kiya tha 68. Daurane safar kaunsi baat aapko sabse mumtaz[different] kar rahi thi ANS- aap ‫ﷺ‬ ka chehra e mubarak door se hi chamakta hua dikhayi deta tha 69. Is safar me aapki mulaqat kis raahib se huwi thi
  • 11. ANS- bahira naami raahib se 70. Aap ‫ﷺ‬ ko dekhkar us raahib ne aapke chacha ko kya kaha ANS- ‘’inme aakhri nabi hone ki tamam nishaniya maujood hai inhe wapas le jaao aur yahood ke shar se bachao’’ 71. Aap ‫ﷺ‬ ke chacha ne raahib ki baate sunke kya amal kiya ANS- Aapko wapas makkah bhej diya 72. Apne chacha ke gharme aap kis tarah rehte the ANS- Bade itmenan ke sath aur kisi ko tang nhi karte the 73. Bachpan me jab aap ‫ﷺ‬ uthte to kis kaifiyat me hote ANS- Aise hota tha jaise mooh pehle hi dhula hua hai 74. Bachpan me aap ‫ﷺ‬ din kis tarah guzarte the ANS- aksar haram shareef me baithte the 75. Aap ‫ﷺ‬ jab dastarkhwan par khana khaane baithte to aapki wajah se kya hota ANS- Aapki wajah se khaane me barqat hoti thi
  • 12. 76. Jab aap ‫ﷺ‬ dhoop me chalte toh aap par kis cheez ka saaya hota ANS- aap par baadal ka saya hota 77. Kya bachpan me aapne kabhi aam bacho ki tarah zid ki ANS- Kabhi nhi ki 78. Aapke bachpan me gehre dost kaun the ANS- Hazrat abu bakr siddique[r.a] 79. Aapke bachpan ke kuch khaas waqiyat likhiye ANS- shakke sadar hua, shaam ki taraf safar kiya, isaayi raahib ne aapke aakhri nabi hone ke baare me bataya 80. Shakke sadar ka pehla wakiya kitni umar me pesh aaya ANS- 4 saal ki umar me 81. Aap ‫ﷺ‬ us waqt kaha the ANS- apne razayi bhai ke sath bakriya chara rahe the 82. Bachpan me jab aap ‫ﷺ‬ aksar logo ko booth parasti me mubtila dekhte toh aapka radde amal kya hota
  • 13. ANS- aapko karahat mehsoos hoti thi 83. Jawani me aap ‫ﷺ‬ kis tarah ke the ANS- bade wajih aur ba waqar the 84. Kuffare makkah aapko kis naam se pukarte the ANS- SAADIQ aur AMEEN 85. Tamam ahle makkah ka aapki kis baat par ittefaq tha ANS- sadaqat, dayanat aur sharafat par
  • 14. 86. Khwaja hasan basri rahmatullah alaih ne Ka’ab ahbaar se riwayat ki hai ke huzoor ‫ﷺ‬ ke isme mubarak hai • Ahle jannat ke nazdeek------ Abdul Kareem • Dozakhiyon ki zuban par----Abdul Jabbar • Arsh walo ki zubaan par-----Abdul Majeed • Baqi tamam farishto ki zubaan par---Abdul Hameed • Sare nabiyo ke yahan-----Abdul Wahaab. • Jinnat ki zubaan par-----Abdur Rehman • Asmaan par----Ahmed • Zameen per Muhammad , ‫ﷺ‬ zameen ke niche Mehmood , • Allah swt ke yaha---- Taha aur Muhammad ‫ﷺ‬ 87. Quran e kareem me isme muhammad ‫ﷺ‬ aur isme ahmed kitni dafa aaya hai ANS. Isme muhammad ‫ﷺ‬ chaar[4] dafa aur isme ahmed 1 dafa aaya hai 88. La ilaha ilallahu me aur muhammadur rasulullah me kitne huroof hai[alphabets] ANS. La ilaha illah me 12 huroof aur muhammadur rasulullah me bhi 12 huroof hai 89. Jab nabi e kareem ‫ﷺ‬ ne shehad ki makkhi se pucha ki shehad me meethas kaha se aati hai to usne kya jawab diya
  • 15. ANS. Shehad ki makkhi ne kaha chaman[garden] se chatton tak raaste bhar hum durood padhte hue jate hai jiski wajah se shehad me lazzat aur meethas aa jati hai 90. Ek israeli 100 saal ka gunahgar tha maut par logo ne use aise hi fek diya tha, rabbe ta ala ne hazrat musa a.s ko wahi ki , bataiye who wahi kya thi ANS. Allah swt ne musa a.s ko wahi ki mere is bande ko ghusl, kafan aur namaz ke baad dafan karo, usne ek baar taurait me Muhammad ‫ﷺ‬ naam dekh kar use bosa diya tha aankho se lagaya tha humne uske gunah baksh diye 91. Quran e kareem me huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke kitne naam bayan hue hai ANS. 102 92. Quran e kareem me huzoor e akram ‫ﷺ‬ ko 11 dafa kya kehkar khitab kiya gaya ANS. Ya ayyuhan nabiyyu 93. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ka shakke sadar kitni baar hua yaani seena mubarak kitni baar chaak kiya gaya ANS. 4 dafa shakke sadar hua • 1- jab aap hazrat haleema ke ghar the • 2-10 baras ki umar me hua • 3-gaare hira me hua • 4-shab e meraj me aapka mubarak seena chaak kiya gaya
  • 16. 94. Allah swt ne huzoor ‫ﷺ‬ ko quran e paak me muta’addad zeeshan alkabat[titles] se yaad farmaya hai, inme se kuch bayan farmaye ANS. An Noor Assirajul Muneer An Nazeer Al Mubasshir Al Basheer Ash Shahid Ash Shaheed Al Haqqul Mubeen Khatamun Nabiyyeen Ar Raufu Raheem Al Ameen Rehmatullil Alameen Nyamatullah Al urwatul wusqa As siratul mustaqeem An najmus saqib Al kareem An nabiyyul ummi
  • 17. Da i allah 95. Hashar ke din allah swt huzoor ‫ﷺ‬ ko makhsus nyamato se nawazega , woh kaunsi nyamate hai ANS. Waseela, darja e rafee a , kausar, fazeela 96. Quran e majeed me allah swt ne apne mehboob ko bade mohabbat bhare andaz aur alqab se khitab farmaya hai, kya aap unme se chand alqab bata sakte hai ANS. Yaseen , ya ayyuhal muzzamil, ya ayyuhal mudassir, ya ayyuhan nabi, etc......
  • 18. 97. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ne pehli dafa kis jang me shirkat ki thi ANS. Jange fijaar me 98. Us waqt nabi e kareem ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kya thi ANS. 15 saal 99. Is jang ki wajah kya thi ANS. Baaz haram kaamo ko halal karar de diya gaya tha 100. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ is jang me kya karte the ANS. Aap ‫ﷺ‬ chachao ko teer utha kar dete the 101. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke ehde shabab me jo muhaida hua tha use kya kehte hai ANS. Hilfal fuzool 102. Is muhaide ka kya maqsad kya tha ANS. Aman o amaan kayam rakhna 103. Jab quraish ne khana e kaba ki tameer shuru ki thi us waqt nabi e kareem ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi ANS. 35 years 104. Kaabe ko azsarenau tameer karne ka maqsad kya tha ANS. Purani imarat me shagaaf[hole] padh gaya tha isliye naye seere se tameer ki gayi 105. Tameere kaaba ke dauran arab sardaro ka kis baat par jhagda hua tha
  • 19. ANS. Hijre aswad ke lagane par 106. Ye ikhtelaf kitne din jaari raha ANS. 5 din 107. Is jhagde ka hal kisne nikala ANS. Nabi e kareem ‫ﷺ‬ ne 108. Hajre aswad ko us jagah kisne apne hatho se rakha ANS. Nabi e kareem ‫ﷺ‬ ne 109. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ne is jhagde ka khatema kaise kiya ANS. Aap ‫ﷺ‬ ne hajre aswad ko ek chadar me rakha aur qabeele ke sardaro se kaha ki woh use kinaaro se pakad le, is tarah aapne jhagde ka khatema kiya
  • 20. 110. Aap ‫ﷺ‬ ne pehla niqah kis umar me kiya ANS. 25 saal ki umar me 111. Aap ‫ﷺ‬ ka pehla niqah kisse hua ANS. Hazrat bibi khadijatul kubra r.a se 112. Us waqt hazrat khadija r.a ki umar kitni thi ANS. 40 saal 113. Hazrat khadija r.a ka laqab kya tha ANS. Tahera 114. Hazrat khadija r.a ka shumaar makkah ki kin aurto me hota tha ANS. Shareef aur maaldaar 115. Hazrat khadija r.a ko huzoor ‫ﷺ‬ kis naam se yaad farmaya karte the ANS. Khairun nisa[behtar aurat] 116. Kya hazrat khadija r.a ne huzoor ‫ﷺ‬ se niqah ke pehle bhi niqah kiye the ANS. Ji haa, 2 dafa 117. Hazrat khadija r.a kis kisam ki khatun thi ANS. Badi hi nek seerat , ba ikhlaq, aur paak baaz khatun thi 118. Kya ye sahi ke hazrat ibrahim r.a ke alawa rasool e kareem ‫ﷺ‬ki tamaam aulad hazrat khadija r.a ke batan se thi
  • 21. ANS. Ji haa 119. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke sahabzada aur sahabzadiya jo hazrat khadija r.a se the unke naam bataye ANS. Who sab 6 the, unke naam ye hai 1.Hazrat zainab r.a 2.Hazrat rukayyah r.a 3.Hazrat umme kulsum r.a 4.Hazrat fatema r.a 5.Hazrat qasim r.a 6.Hazrat abdullah r.a jinko tahir aur tayyab bhi kaha jaata hai 120. Hazrat khadija r.a ke sath huzoor ‫ﷺ‬ ki kitna arsa rafaqat rahi ANS. 25 saal 121. Hazrat khadija r.a ka sane wafa’at [year of death] ANS. 10 nabwi 122. Kya hazrat khadija r.a ki maujudgi me huzoor ‫ﷺ‬ ne dusra niqah kiya ANS. Ji nahi 123. Fill in the blanks • Ek din hazrat khadija r.a huzoor e akram ‫ﷺ‬ ke liye khana laa rahi thi ke hazrat [a]------------ ne khidmate akaddas
  • 22. me haazir hokar arz kiya ki jab khadija aaye to aap unko allah swt ki taraf se aur meri taraf se [b] ---------- pohcha dijiye aur jannat me ek [c] -------------ki basharat dijiye. ANS. [a] hazrat jibraeel a.s [b] salam [c] motiyo wale mehal 124. Aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi jab aapne gaare hira me jana shuru kiya ANS. 37 ya 38 years 125. Elane nabuwat se pehle huzoor e akram ‫ﷺ‬ki zindagi kaisi thi ANS. Behtareen ikhlaq aur adaat ka khazana thi 126. Huzoor ‫ﷺ‬ ki chand khaslato[characteristics] ka zikr kijiye ANS. Sachai rehmo sakhawat Dayanat daari doston se humdardi Wafadaari azizo ki gamkhwari Ehad ki pabandi gareebo aur mufliso ki - Buzurgo ki azmat - khabargiri Choto par shafaqqat dushmano ke sath nek - Rishtedaro se mohabbat - bartav Kaum ki khidmat
  • 23. Kam bolna , fuzool baato se nafrat karna Makhluqe khuda ki khair khwai , garz tamam nek khaslato aur achi achi baato me aap itni buland manzil par pohche hue the ki duniya ke bade se bade insaano k liye waha tak rasai to kya? Iska tasawwur bhi mumkin nahi hai
  • 24. 127. Gaare hira makkah se kitni door hai ANS. 3 meel[miles] ke faasle par 128. Gaare hira me jaakar aap kya karte the ANS. Allah swt ki zaat o sifa’at me gaur o fikr kiya karte the 129. Aap ‫ﷺ‬ ki nabuwat ka agaz kaise hua ANS. Sache khwabo se [unki muddat 6 mahine rahi] 130. Aap ‫ﷺ‬ ki umre mubarak kitni thi jab allah ke taraf farishta wahi lekar aaya ANS. 40 saal 131. Wahi laane wale farishte ka naam ANS. Hazrat jibraeel a.s 132. Jab Nuzoole wahi ki mubarak ghadi aa pohchi, hazrat jibraeel a.s ne sabse pehle huzoor ‫ﷺ‬ se kya kaha tha ANS. Iqra [padho] 133. Pehli wahi me surah alaq ki jo aayaat naazil hui woh fill in the blanks me likhiye • Padho. Apne rab paida karne wale ka [a]----------- lekar jisne insaan ko [b]----------- se paida kiya. Haa padho ki tumhara rab nihayat [c]---------- hai jisne [d]--------- ke zariye insaan ko aisa ilm sikhaya jise woh pehle naa jaanta tha. ANS. [a] naam
  • 25. [b] jame hue khoon [c] nihayat kareem [d] kalam 134. Surah alaq ki kul kitni aayaat padhai ANS. 5 135. Jab jibraeel a.s chale gaye to aapki kya kefiyat thi ANS. Tabiyat mubarak par bohat khauf taari tha 136. Ghar aakar aap ‫ﷺ‬ne hazrat khadija r.a se kya farmaya ANS. Mujhe kambal udha do 137. Kuch der baad sukoon aa jane par hazrat khadija r.a se saari baat kahi to unhone kya kaha ANS. Ba khuda aapko allah swt ruswa na karega, aap sila rehmi karte hai, dusro ka bojh uthate hai, gareebo ki madad karte hai, mehman ki mezbaani karte hai 138. Jab huzoor ‫ﷺ‬ nabuwat se sarfaraz kiye gaye to tareekh kya thi ANS. Agarcha isme ikhtelaf hai lekin zyada tar 21 ramzanul mubarak baroz peer par muttafiq hai 139. Hazrat khadija r.a apne kis chachere bhai ke paas huzoor ‫ﷺ‬ ko le gayi thi ANS. Warqa bin naufil 140. Warqa bin naufil ne aapse baat sunkar kya kaha
  • 26. ANS. Unhone kaha ye wahi naamoos[ farishta] hai jo hazrat moosa r.a par wahi lekar aata tha 141. Pehli wahi ke kitna arsa baad dusri wahi aayi ANS. Takreeban 2 ½ saal baad 142. Dusri wahi me aap par kaunsi surah utri ANS. Surah mudassir 143. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ ki paigambarana [nabuwat wali] zindagi ko kitne hisso me takseem kiya jaa sakta hai ANS. 2 hisso me :- a. makki daur – 13 yrs b. madani daur - 10 yrs
  • 27. 144. Makkah me huzoor e akram ‫ﷺ‬ ne kitna arsa zindagi basar ki ANS. 53 saal, paidaish se hijrat tak 145. Elane nabuwat ke baad huzoor e akram ‫ﷺ‬ kitna arsa makkah me rahe ANS. 13 saal 146. Hijrat ke baad huzoor e akram ‫ﷺ‬ kitni baar makkah tashreef laaye ANS. 3 baar 147. Makkah me kis jagah huzoor namaz adaa kiya karte the ANS. Daarul arkam aur khana e kaaba me 148. Hijrate habsha ka aapne kab hukm diya ANS. 5 nabwi me 149. Hijrate habsha kitne logo ne ki ANS. 12[11] mard aur 4 aurte 150. Hijrate habsha me aapki kaunsi beti aur damaad bhi the ANS. Hazrat Rukayyah r.a aur unke shauhar hazrat Usman r.a 151. Habsha me kis badshah ne musalmano ko ehsan aur sukoon se rehne ki ijazat di ANS. Najjashi ne 152. Sha'ab abi taalib me kitna arsa qayam raha
  • 28. ANS. 3 saal 153. Sha'ab abi taalib ka wakiya kab pesh aaya ANS. Nabuwat ke 7th saal 154. Quraish ne jo muhaida banu haashim se liya tha uski dastawiz ko kaha rakha ANS. Khana e kaaba ke pardo me 155. Us muhaide ki dastawiz ke sath kya hua ANS. Usko deemak kha gayi [siwaye allah ke naam ke] 156. Kis saal huzoor e akram ‫ﷺ‬ aur aapke ruf’a sha’ab abi taalib se bahar aaye ANS. Nabuwat ke 10th saal 157. “Aamul huzan” se kya muraad hai ANS. Gam ka saal 158. Aamul huzan kis saal ko kaha jaata hai ANS. Nabuwat ke 10th saal ko 159. Aamul huzan me kya hua tha ANS. Huzoor ‫ﷺ‬ ke chacha hazrat abu taalib r.a aur aapki zohja hazrat khadija r.a ka inteqal hua 160. Wakiye meraj kis san [year] me hua ANS. Nabuwat ke 12th saal 161. Meraj ka matlab kya hai
  • 29. ANS. Bulandi 162. Meraj me huzoor e akram ‫ﷺ‬ kaha kaha tashreef le gaye ANS. La maka [yaani zamano makan ki hadood aur kuyood se aage ] 163. Meraj me kaunse farishte aapke sath the ANS. Hazrat jibraeel a.s 164. Safare meraj me aap kispar sawar the ANS. Buraaq par 165. Meraj ka tohfa kise kaha jata hai ANS. Namaz ko 166. Meraj ka zikr quran ki kin do surato me hai ANS. Surah bani israeel aur surah najam 167. Meraj kis mahine me hui ANS. Rajjab 168. Meraj kis waqt hui ANS. Raat ke waqt 169. Meraj ki tasdeek sabse pehle kisne ki ANS. Hazrat Abu bakar siddique r.a ne 170. aap ‫ﷺ‬ko kaunse rang pasand the ANS. Safed, sabz [green] aur siyah[black]
  • 30. 171. Sabziyo me aapko kya pasand tha ANS. Kaddu [dudiya] 172. Phalo me aapko kya pasand tha ANS. Khajoor 173. Gosht aap kis janwar ka khana pasand farmate the ANS. Bakri ka 174. Fajar ke baad aap kya karte the ANS. Zikr o azkaar aur waaz o nasihat farmate the 175. Zohar ke baad aap kya karte the ANS. Mukhtalif wafud se mulakat karte the aur qailulla karte the 176. Asar ke baad aap kya karte the ANS. Islami intezami umoor ke baare me mashware farmaya karte the 177. Maghrib ke baad aap kya karte the ANS. Nawafil ada karte the aur baadme kisi zohja ke ghar tashreef le jaakar khana tanabul farmate 178. Isha ke baad aap kya karte the ANS. So jaate the 179. Aap ‫ﷺ‬ guftagu kis tarah karte the
  • 31. ANS. Theher theher kar ek ek lafz, Ki sunne wale ko samajh aa jati thi , na zyada tez bolte na aahista 180. Aap ‫ﷺ‬ chalte kis tarah the ANS. Tez tez kadam uthate the aisa lagta upar se neeche ki taraf aa rahe hai 181. Aap ‫ﷺ‬ baithte kis tarah the ANS. Do zaanu hokar 182. Aap khate kis tarah the ANS. Daaye[ seedhe] hath se, jo apne aage rakha hota waha se khaate 183. Aap ‫ﷺ‬ har kaam kis tarah shuru karte the ANS. Daaye hath se bismillah bolkar shuru karte the 184. Aap ‫ﷺ‬ muskuraya kis tarah karte the ANS. Sirf aapke dandane mubarak zaahir hote yaani chehra mutabassum hota 185. Aap ‫ﷺ‬ bacho se kis tarah baat karte the ANS. Badi shafaqqat aur pyaar se 186. Aap ‫ﷺ‬ aurton se kis tarah baat karte the ANS. Bade adab aur tehzeeb se 187. Aap ‫ﷺ‬ buzurgo se kis tarah baat karte the ANS. Bade ehteraam aur izzat se
  • 32. 188. Aap ‫ﷺ‬ naujawano se kis tarah baat karte the ANS. Bade hi islah aamez andaz se 189. Aap ‫ﷺ‬ gair muslimo se kis tarah baat karte the ANS. Bade ikhlaq ke sath 190. Aap ‫ﷺ‬ mazak kis tarah farmaya karte the ANS. Kisi ki dil azaari nhi karte mazak me, aksar mazak me bhi islah farmate 191. Sahaba ke darmiyan aap jab hote to kis baat ko pasand karte ANS. Barabari ko yaani milkar kaam karna 192. Dushman par ghalba ki surat me aap ‫ﷺ‬ kya mamla karte ANS. Meherbaani aur afu se kaam lete the 193. Aap ‫ﷺ‬ ghusse me kab aate ANS. Jab koi kaam hukme khudabandi ke khilaf hota 194. Aapka jism kis tarah ka tha ANS. Na zyada farba na zyada laghar , mutawassat jisme aqaddas tha 195. Aap ‫ﷺ‬ ka kad kaisa tha ANS. Aap na bohat daraz kad the na kotah kad balki mayanah 196. Aap ‫ﷺ‬ ki aankhein kaisi thi
  • 33. ANS. Aap ‫ﷺ‬ ki aankhein badi aur kudrati taur par hi surmageen aur palken daraz thi, aankhon ki sufaidi me bareek surkh dore the 197. Aap ‫ﷺ‬ ki naak mubarak kaisi thi ANS. Aap ‫ﷺ‬ ki naak mubarak khoobsurat daraz thi aur darmiyaan me ubhrao numaya tha 198. Aap ‫ﷺ‬ ki peshani kaisi thi ANS. Aap ‫ﷺ‬ ki peshani mubarak kushada thi aur chiragh ki maanind chamakti thi 199. Aap ‫ﷺ‬ ke dandane mubarak kaise the ANS. Dandane mubarak kushada aur raushano tabaan the Jab aap ‫ﷺ‬ kalam farmate to dandane mubarak se noor nikalta dikhsyi deta Dandane mubrak ko miswaq se saaf farmate the 200. Aap ‫ﷺ‬ ke mooe [baal] mubarak [baal] kaise the ANS. Mooe mubarak na to bohat ghungralu aur na bohat seedhe balki dono ke beechme the 201. Aap ke hath mubarak kaise the ANS. Aapke hath mubarak pur gosht aur naram the 202. Aapke pair mubarak kaise the ANS. Pur gosht, naram aur saaf 203. Aap ‫ﷺ‬ ke lab mubarak kaise the
  • 34. ANS. Gulab ki pattiyon ki tarah surkh aur nazuk the 204. Aap ‫ﷺ‬ ka khana kaisa hota tha ANS. Aksar sada khurak istemal kerte the 205. Jo aap ‫ﷺ‬ se eik martaba milta uski kiya halat hoti ANS. Dekhta hi reh jata 206. Aap ‫ﷺ‬ bazar me jate to kiya kerte ANS. Logon ko mamlaat durust kerne ki talqeen farmate 207. Aap ‫ﷺ‬ ke paas mehmaan aata to kiya kerte ANS. Uski khidmat farmate 208. Aap ‫ﷺ‬ ka lehja kaisa tha ANS. Bohat hi mulaimat wala, aur shusta hota 209. Aap ‫ﷺ‬ ne kitne hajj kiye ANS. Eik 210. Aap ‫ﷺ‬ ne kitne umre kiye ANS. Teen 211. Aap ‫ﷺ‬ ke ikhlaaq per eik ayat likhen ANS. ‘wa innaka la ala khulukin azeem’ 212. Aap ‫ﷺ‬ ke ikhlaq per eik hadees likhen ANS. Aap ‫ﷺ‬ ne farmaya ke mai aala ikhlaq ki takmeel ke liye bheja gaya hoon
  • 35. 213. Quran ne aapko tamam jahano ke liye kiya qarar diya ANS. Rehmat 214. Aap ‫ﷺ‬ ke kis khadim se bohat zyada hadees marwi hai ANS. Hazrat anas bin maalik r.a 215. Aap ‫ﷺ‬ ki kis zohja se sabse zyada hadees marwi hai ANS. Hazrat aisha siddiqa r.a se 216. Aap ‫ﷺ‬ kin kaamo ko dekh kar gusse me aate ANS. Khilafe shara kaamo ko dekh kar aap gusse me aa jate the 217. Aap ‫ﷺ‬ kaunsi baato aur kaamo par khush hote the ANS. Allah ke ehkamat par amal karne se 218. Aap ‫ﷺ‬ safar par jaane se pehle kya karte the ANS. 2 rakat nafil namaz adaa karte the 219. Safar se wapsi pe aap ‫ﷺ‬ kya karte the ANS. Masjid me jakar 2 rakat namaz ada karte 220. Safar se wapsi par sabse aap ‫ﷺ‬ pehle kisse milte ANS. Apni beti hazrat fatima r.a se milte the 221. Aap ‫ﷺ‬ par durood padhne ke hukm kis surah me aaya hai ANS. Surah ahzaab 222. Aap ‫ﷺ‬ ki azwaj musalmano ki kya lagti hai ANS. Maaen[mothers] lagti hain
  • 36. 223. Aap ‫ﷺ‬ ke kis sahabi ke bare me farmaya tha ke in se farishte bhi haya kerte hain ANS. Hazrat usman r.a ke bare me 224. Aap ‫ﷺ‬ ne kis sahabi ke bare me farmaya tha ke mere baad agar koi nabi hota to ye hote ANS. Hazrat umar farooq r.a ke bare me 225. Aap ‫ﷺ‬ ne kis sahabi ke bare me farmaya tha ke unko jannat ke her darwaze se bulaya jaega ANS. Hazrat abu bakar siddique r.a ke bare me 226. Aap ‫ﷺ‬ ne kin das sahaba ko duniya me jannat ki khush khabri di ANS.1] hazrat abu bakar siddique r.a 2] hazrat umare farooque r.a 3] hazrat usman r.a 4] hazrat ali r.a 5] hazrat saad bin abi waqas r.a 6] hazrat zubair r.a 7] hazrat talha r.a 8] hazrat saeed bin zaid r.a 9] hazrat abdur rahman bin auf r.a 10] hazrat abu ubaida aljarah r.a
  • 37. 227. In ashab ko kis naam se yaad kiya jata hai ANS. Ashra mubbashirra 228. Aap ‫ﷺ‬ jab safar par jaate to kaunsi zaruri cheeze apne sath rakhte ANS. Tel, kangi, miswak, talwar, surma, etc... 229. Huzoor e akram ‫ﷺ‬ witar me kaunsi surato ki tilawat farmaya karte the ANS. Pehli raqat me surah al aala Dusri raqat me surah qafiroon Teesri raqat me surah ikhlas 230. Huzoor ‫ﷺ‬ tahajjud me kitni nawafil padha karte the ANS. 8-12