SlideShare a Scribd company logo
1 of 7
HRELATE.COM
Causes of Kidney Failure in Hindi:
Rahe inn Karano se Satark
• Swasth kidney hamare sharir ke vikas ke liye aavshyak hoti hai. Bhale hi hamari kidney
(gurde) chhote hote ho, par hamari sehat ko banaye rakhne mai yeh ek mahatvpurn
bhumika nibhate hai, iske sath hi hamare rakt mai se apshisht aur taral padarth bhi nikal
dete hai. Iske alawa bhi gurde ki kuch pramukh bhumika hoti hai.
• Yeh sharir se bekar (waste) padarth ko nikal dete hai aur sharir mai khanij ya electrolytes
aur taral padarth ke star ko niyamit karti hai. Gurde hormones ka bhi nirman karte hai, jo
sharir ke anya karyo ko niyantrit karte hai, jaise ki- raktchaap ko niyantrit karna aur laal
rakt koshikayo ko utpann karna aadi.
• Har din hamare sharir mai dono gurde 1 se 2 liters urine ka nirman karne ke liye lagbhag 110
se 120 litres rakt ko filter karte hai, jisme waste aur atirikt taral padarth bhi shamil hote hai.
Gurde bahut hi mahatvapurn hote hai, kyunki yeh rakt ka sanchar aur stability ko banaye
rakhte he, jo ki hamare sharir ko karya karne ke liye jaruri hota hai.
• Gurde ki ek gambhir bimari gurde ko puri tarah fail kar sakti hai, isliye aesi sthiti mai
dialysis upchar ki jarurat hoti hai, aur kuch serious cases mai mareej ko jinda rakhne ke liye
gurde ka pratyaropan bhi karna pad jata hai. Aaiye jante hai Causes of Kidney Failure in
Hindi.
hrelate.com
hrelate.com
Causes of Kidney Failure in Hindi: Gurde Kharab hone
ke Mukhya Karan
Kidney problems in hindi agar jane to yeh mukhya roop se tab hota hai, jab kuch
halat aur paristhiti ki wajah se gurde mai dabav padne lagta hai. Aaiye jante hai
gurde failure ke kya karan ho sakte hai.
hrelate.com
• Uccha Raktchaap – Blood Pressure
Uccha raktchaap pratyek naadi ke sath
dhamaniyo mai utpanna hone wale dil ke
dabav (pressure) ka maap hota hai. Jyada
dabav aapke sharir ke ango ko nuksaan
pahucha sakta hai, iske sath hi hriday-
rog, stroke ya kidney ke karya mai
rukawat ka karan bhi ho sakta hai. 90%
cases mai uccha raktchaap ke karan agyat
hote hai. Vyakti ka swasth, bhojan aur
jivan-sheli iske karak ho sakte hai.
Waise uchha raktchaap ke kuch jokhim
karak ho sakte hai jaise ki:
 Umra
 Motapa
 Dhoomrpan
 Vyayam na karna
 High-fat wala khana
 Atyadhik sharab ka sevan karna
 Uccharaktchaap ka parivar mai itihas
 Aahar mai adhik matra mai namak lena
 Tanav, aadi
Uccha Raktchaap gurde mai chhoti rakt
koshikayo mai dabav dal kar use kshati
pahucha sakta hai aur gurde ki filtering-
process ke karya mai bhadha dalta hai.
hrelate.com
• Madhumeh – Diabetes
 Madhumeh ek aesi bimari hoti hai, jisme sharir ya to insulin nahi utpanna karta ya fir bilkul
thoda sa insulin utpanna karta hai, ise Type 1 Diabetes kehte hai aur yadi sharir insulin ka upyog
bhi karne mai asamrth ho jata hai to use Type 2 Diabetes kehte hai. Insulin ki jarurat rakt mai
glucose ke star ko niyantrit karne ke liye hoti hai, aur bhojan karne ke bad iss star ke bahut upar
jaane aur bhojan karte samay star ke bahut kam hone ko rokne mai insulin upyogi hota hai.
 Agar madhumeh ko thik se niyantrit na kiya jaye, to yeh rakt mai jarurat se kayi jyada glucose
nirman kar sakta hai. Glucose ki adhik matra gurde ke chhote filters ko kharab kar sakti hai, jo
gurde ke apshisht aur taral padartho ko filter karke bahar karne ki kshamta ko bahut prabhavit
kar dete hai.
 Yeh anuman lagaya gaya hai ki 20 se 40% log jinhe Type-1 Diabetes hoti hai, unme gurde ki
bimari 50 saal ki umra se pehle ho jati hai. Type-2 Diabetes wale lagbhag 30% log mai gurde ke
damage hone ke lakshan dikhai dene lagta hai. Madhumeh ke rogiyo mai urine mai protein ka
star kam hona gurde ke bigadne ka sanket ho sakta hai. Isliye ho sakta hai aapke doctor aapko
annual urine-test karane ko kahe, taki agar aapke gurde mai koi samasya ho to jald se jald iska
pata lagaya ja sake.
 Har madhumeh se pidit vyakti ko saal mai ek bar gurde check jarur hona chahiye. Madhumeh ki
bimari ke chalte gurde failure ka jaldi pata chal jana mahatvpurn hota hai, kyunki isse vyakti
mai hone wali risk, jaise ki-aankho ki samasya aur sexual-dysfunction ki pehchan ki ja sake.
hrelate.com
• Kidney Failure Causes – Anya Karan Inhe Bhi Janiye
Upar diye pramukh karano ke alawa bhi anya Reasons for Kidney Failure hote hai, par yeh
jyada prabhavi nahi hote hai.
 Gurde mai Soojan (Glomerulonephritis)
 Gurde mai sankraman (Pyelonephritis)
 Anuvanshik karan, jisme alsar ke mass ke badne se dono gurde ka aakar samanya se jyada
bada ho jata hai, ise angreji mai Polycystic Gurde Disease kehte hain.
 Garbh (Womb) mai ajanme shishu ke vikas ke dauran gurde ke samanya vikas mai failure
hona.
 Immune system ki dasha, jab sharir videshi uttako (Foreign Tissues) ki tarah gurde par attack
karne lagta hai. (Systemic Lupus Erythematosus)
hrelate.com
 Niyamit ya lambe samay tak lithium aur Non Steroidal Anti-inflammatory Drugs (NSAIDs)
jaise dawao ka sevan karna. Udaharan ke liye- Aspirin aur Ibuprofen.
 Gurde Stones ya Prostate ki bimari ke karan Blockage hona.
 Poisons aur Trauma gurdo ko seedhe aur ugrata ke sath aghaat pahuchate hain, jisse gurde ki
samasya ho sakti hai.
Upar aapne jana Causes of Kidney Failure in Hindi. Ham ummed karte hai ki agar aap gurde mai
hone wali samasyao aur bimaari se bachna chahte hai, to niyam se check-up karate rahenge
aur diye gaye karano par gaur karenge.

More Related Content

Featured

How Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental Health
How Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental HealthHow Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental Health
How Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental HealthThinkNow
 
AI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdf
AI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdfAI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdf
AI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdfmarketingartwork
 
PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024
PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024
PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024Neil Kimberley
 
Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)
Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)
Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)contently
 
How to Prepare For a Successful Job Search for 2024
How to Prepare For a Successful Job Search for 2024How to Prepare For a Successful Job Search for 2024
How to Prepare For a Successful Job Search for 2024Albert Qian
 
Social Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie Insights
Social Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie InsightsSocial Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie Insights
Social Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie InsightsKurio // The Social Media Age(ncy)
 
Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024
Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024
Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024Search Engine Journal
 
5 Public speaking tips from TED - Visualized summary
5 Public speaking tips from TED - Visualized summary5 Public speaking tips from TED - Visualized summary
5 Public speaking tips from TED - Visualized summarySpeakerHub
 
ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd
ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd
ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd Clark Boyd
 
Getting into the tech field. what next
Getting into the tech field. what next Getting into the tech field. what next
Getting into the tech field. what next Tessa Mero
 
Google's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search Intent
Google's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search IntentGoogle's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search Intent
Google's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search IntentLily Ray
 
Time Management & Productivity - Best Practices
Time Management & Productivity -  Best PracticesTime Management & Productivity -  Best Practices
Time Management & Productivity - Best PracticesVit Horky
 
The six step guide to practical project management
The six step guide to practical project managementThe six step guide to practical project management
The six step guide to practical project managementMindGenius
 
Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...
Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...
Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...RachelPearson36
 
Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...
Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...
Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...Applitools
 
12 Ways to Increase Your Influence at Work
12 Ways to Increase Your Influence at Work12 Ways to Increase Your Influence at Work
12 Ways to Increase Your Influence at WorkGetSmarter
 

Featured (20)

How Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental Health
How Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental HealthHow Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental Health
How Race, Age and Gender Shape Attitudes Towards Mental Health
 
AI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdf
AI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdfAI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdf
AI Trends in Creative Operations 2024 by Artwork Flow.pdf
 
Skeleton Culture Code
Skeleton Culture CodeSkeleton Culture Code
Skeleton Culture Code
 
PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024
PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024
PEPSICO Presentation to CAGNY Conference Feb 2024
 
Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)
Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)
Content Methodology: A Best Practices Report (Webinar)
 
How to Prepare For a Successful Job Search for 2024
How to Prepare For a Successful Job Search for 2024How to Prepare For a Successful Job Search for 2024
How to Prepare For a Successful Job Search for 2024
 
Social Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie Insights
Social Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie InsightsSocial Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie Insights
Social Media Marketing Trends 2024 // The Global Indie Insights
 
Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024
Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024
Trends In Paid Search: Navigating The Digital Landscape In 2024
 
5 Public speaking tips from TED - Visualized summary
5 Public speaking tips from TED - Visualized summary5 Public speaking tips from TED - Visualized summary
5 Public speaking tips from TED - Visualized summary
 
ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd
ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd
ChatGPT and the Future of Work - Clark Boyd
 
Getting into the tech field. what next
Getting into the tech field. what next Getting into the tech field. what next
Getting into the tech field. what next
 
Google's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search Intent
Google's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search IntentGoogle's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search Intent
Google's Just Not That Into You: Understanding Core Updates & Search Intent
 
How to have difficult conversations
How to have difficult conversations How to have difficult conversations
How to have difficult conversations
 
Introduction to Data Science
Introduction to Data ScienceIntroduction to Data Science
Introduction to Data Science
 
Time Management & Productivity - Best Practices
Time Management & Productivity -  Best PracticesTime Management & Productivity -  Best Practices
Time Management & Productivity - Best Practices
 
The six step guide to practical project management
The six step guide to practical project managementThe six step guide to practical project management
The six step guide to practical project management
 
Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...
Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...
Beginners Guide to TikTok for Search - Rachel Pearson - We are Tilt __ Bright...
 
Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...
Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...
Unlocking the Power of ChatGPT and AI in Testing - A Real-World Look, present...
 
12 Ways to Increase Your Influence at Work
12 Ways to Increase Your Influence at Work12 Ways to Increase Your Influence at Work
12 Ways to Increase Your Influence at Work
 
ChatGPT webinar slides
ChatGPT webinar slidesChatGPT webinar slides
ChatGPT webinar slides
 

Causes of Kidney Failure in Hindi: Gurde Kharab Hone ke Pramukh Karan

  • 1. HRELATE.COM Causes of Kidney Failure in Hindi: Rahe inn Karano se Satark
  • 2. • Swasth kidney hamare sharir ke vikas ke liye aavshyak hoti hai. Bhale hi hamari kidney (gurde) chhote hote ho, par hamari sehat ko banaye rakhne mai yeh ek mahatvpurn bhumika nibhate hai, iske sath hi hamare rakt mai se apshisht aur taral padarth bhi nikal dete hai. Iske alawa bhi gurde ki kuch pramukh bhumika hoti hai. • Yeh sharir se bekar (waste) padarth ko nikal dete hai aur sharir mai khanij ya electrolytes aur taral padarth ke star ko niyamit karti hai. Gurde hormones ka bhi nirman karte hai, jo sharir ke anya karyo ko niyantrit karte hai, jaise ki- raktchaap ko niyantrit karna aur laal rakt koshikayo ko utpann karna aadi. • Har din hamare sharir mai dono gurde 1 se 2 liters urine ka nirman karne ke liye lagbhag 110 se 120 litres rakt ko filter karte hai, jisme waste aur atirikt taral padarth bhi shamil hote hai. Gurde bahut hi mahatvapurn hote hai, kyunki yeh rakt ka sanchar aur stability ko banaye rakhte he, jo ki hamare sharir ko karya karne ke liye jaruri hota hai. • Gurde ki ek gambhir bimari gurde ko puri tarah fail kar sakti hai, isliye aesi sthiti mai dialysis upchar ki jarurat hoti hai, aur kuch serious cases mai mareej ko jinda rakhne ke liye gurde ka pratyaropan bhi karna pad jata hai. Aaiye jante hai Causes of Kidney Failure in Hindi. hrelate.com
  • 3. hrelate.com Causes of Kidney Failure in Hindi: Gurde Kharab hone ke Mukhya Karan Kidney problems in hindi agar jane to yeh mukhya roop se tab hota hai, jab kuch halat aur paristhiti ki wajah se gurde mai dabav padne lagta hai. Aaiye jante hai gurde failure ke kya karan ho sakte hai.
  • 4. hrelate.com • Uccha Raktchaap – Blood Pressure Uccha raktchaap pratyek naadi ke sath dhamaniyo mai utpanna hone wale dil ke dabav (pressure) ka maap hota hai. Jyada dabav aapke sharir ke ango ko nuksaan pahucha sakta hai, iske sath hi hriday- rog, stroke ya kidney ke karya mai rukawat ka karan bhi ho sakta hai. 90% cases mai uccha raktchaap ke karan agyat hote hai. Vyakti ka swasth, bhojan aur jivan-sheli iske karak ho sakte hai. Waise uchha raktchaap ke kuch jokhim karak ho sakte hai jaise ki:  Umra  Motapa  Dhoomrpan  Vyayam na karna  High-fat wala khana  Atyadhik sharab ka sevan karna  Uccharaktchaap ka parivar mai itihas  Aahar mai adhik matra mai namak lena  Tanav, aadi Uccha Raktchaap gurde mai chhoti rakt koshikayo mai dabav dal kar use kshati pahucha sakta hai aur gurde ki filtering- process ke karya mai bhadha dalta hai.
  • 5. hrelate.com • Madhumeh – Diabetes  Madhumeh ek aesi bimari hoti hai, jisme sharir ya to insulin nahi utpanna karta ya fir bilkul thoda sa insulin utpanna karta hai, ise Type 1 Diabetes kehte hai aur yadi sharir insulin ka upyog bhi karne mai asamrth ho jata hai to use Type 2 Diabetes kehte hai. Insulin ki jarurat rakt mai glucose ke star ko niyantrit karne ke liye hoti hai, aur bhojan karne ke bad iss star ke bahut upar jaane aur bhojan karte samay star ke bahut kam hone ko rokne mai insulin upyogi hota hai.  Agar madhumeh ko thik se niyantrit na kiya jaye, to yeh rakt mai jarurat se kayi jyada glucose nirman kar sakta hai. Glucose ki adhik matra gurde ke chhote filters ko kharab kar sakti hai, jo gurde ke apshisht aur taral padartho ko filter karke bahar karne ki kshamta ko bahut prabhavit kar dete hai.  Yeh anuman lagaya gaya hai ki 20 se 40% log jinhe Type-1 Diabetes hoti hai, unme gurde ki bimari 50 saal ki umra se pehle ho jati hai. Type-2 Diabetes wale lagbhag 30% log mai gurde ke damage hone ke lakshan dikhai dene lagta hai. Madhumeh ke rogiyo mai urine mai protein ka star kam hona gurde ke bigadne ka sanket ho sakta hai. Isliye ho sakta hai aapke doctor aapko annual urine-test karane ko kahe, taki agar aapke gurde mai koi samasya ho to jald se jald iska pata lagaya ja sake.  Har madhumeh se pidit vyakti ko saal mai ek bar gurde check jarur hona chahiye. Madhumeh ki bimari ke chalte gurde failure ka jaldi pata chal jana mahatvpurn hota hai, kyunki isse vyakti mai hone wali risk, jaise ki-aankho ki samasya aur sexual-dysfunction ki pehchan ki ja sake.
  • 6. hrelate.com • Kidney Failure Causes – Anya Karan Inhe Bhi Janiye Upar diye pramukh karano ke alawa bhi anya Reasons for Kidney Failure hote hai, par yeh jyada prabhavi nahi hote hai.  Gurde mai Soojan (Glomerulonephritis)  Gurde mai sankraman (Pyelonephritis)  Anuvanshik karan, jisme alsar ke mass ke badne se dono gurde ka aakar samanya se jyada bada ho jata hai, ise angreji mai Polycystic Gurde Disease kehte hain.  Garbh (Womb) mai ajanme shishu ke vikas ke dauran gurde ke samanya vikas mai failure hona.  Immune system ki dasha, jab sharir videshi uttako (Foreign Tissues) ki tarah gurde par attack karne lagta hai. (Systemic Lupus Erythematosus)
  • 7. hrelate.com  Niyamit ya lambe samay tak lithium aur Non Steroidal Anti-inflammatory Drugs (NSAIDs) jaise dawao ka sevan karna. Udaharan ke liye- Aspirin aur Ibuprofen.  Gurde Stones ya Prostate ki bimari ke karan Blockage hona.  Poisons aur Trauma gurdo ko seedhe aur ugrata ke sath aghaat pahuchate hain, jisse gurde ki samasya ho sakti hai. Upar aapne jana Causes of Kidney Failure in Hindi. Ham ummed karte hai ki agar aap gurde mai hone wali samasyao aur bimaari se bachna chahte hai, to niyam se check-up karate rahenge aur diye gaye karano par gaur karenge.