Mujahedaey Karbala - Part 01 Iss kitab ko ' Shaheed e Insaniyat' ka khulasa samjha ja sakta hai. Yeh kitab majmooa hai 3 kitaboN aur 3 risalon ka. 1) Kitab 'Mujahedaey Karbala' 2) Kitab 'Ma'rkaey Karbala' 3) Kitab 'Muharbaey Karbala' 4) Risala 'Hussain* aur Karbala' 5) Risala 'Aseeriye Ahle Haram*' 6) Risala 'Ahle Haram* ki rehaai' Sarkar Syedul Ulema ne tasalsul ke liye bahot se ahem izafoN ke saath 'Hussain*aur Islam' ke bhi ahem ajza' ko iss kitab meiN dakhil farma diya. 'Aseeriye Ahle Haram*' ki saakht aur tarze tahreer ke bilkul alaheda honEy ki wajah se unka iss kitab ke ander dakhil karna mumkin nahiN ma'loom hua to usey ba'taur Zameema aakhir meiN shamil kiya ja raha hai. Takmeel e faidah ke liye eik risala 'Ahle Haram* ki rihaai' jo Allama Kamanpuri Sahab ka tahreer karda hai, zameema doem ke taur par mulhiq kiya ja raha hai, jiske baad waqaey Karbala ki tamaam kadiyaN yakja ho jaati haiN"