SlideShare a Scribd company logo
1 of 8
Download to read offline
Dua e kumail in urdu
Bismillah
Aye allah main tujhse ilteja karta hoon
Aye allah main tujhse ilteja karta hoon
Tujhe teri us rahemath ka wasta jo har cheez ko ghere huve he
teri us khudrath ka wasta jise tu har cheez par ghaleeb he
Aur jiske sabab har cheez tere agge jhuki he
Aur jiske samne har cheez ajeez he
Teri us jabaruth ka wasta jisse tu har cheez par havi he
Teri us izath ka waste jiske agge koi cheez teher(stay) nahi pati
Teri us azmath ka wasta jo har cheez se numaya he
Teri us saltanath ka wasta jo har cheez par khayam he
Teri us zaath ka wasta jo har shae ke pana hojane k baad bhi baki rahegi
Tere un namo ka wasta jinke asrar zarre zarre me tari -o- sari hain
Tere us ilm ka wasta jo har shae ka ahata kiye huve hain
Teri zaath ka us noor ka wasta jise har cheez raushan he
Aye haqeeqi noor
Aye pako pakiza
Aye sub paheloon se pahele
Aye sub pichloon se pichle
Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jo atap ka mustahaik banate hain
Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jinki wajah se balayain ateen hain
Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jo teri nayematoon se maheroomi ka sabab
bante hain
Aye allah mere wo sub gunnah baksh de jo duain khubool nahi hone detain hain
Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jo musibath latain hain
Aye allah meri unn sari khataoon se darguzar kar jo maine jaan buuj kar ay bhule
se ki hain
Aye allah main tujhe yaad karke tere kareeb ana chahata hoon
Teri janaab me tujhi ko apna shifarishi thaherata hoon
Aur tere karam ka wasta de kar tujhse ilteja karta hoon
ke mujhe apna khurb ata kar
Mujhe ada -e- shukr ki taufeeq de aur apni yaad apne dil me dalde
Aye allah main tujhse khushu -o- khuzu aur girya -o- zari se arz karta hoon
ke tu meri bhul chook ko muaf kar mujhe pe rahem farma
aur tune mera jo hissa mukarrar kiya he mujhe uspar razi ,khane aur har haal me
mutmayeen rak
Aye allah main tere huzoor us shakhs ki maneend sawal karta hoon
jispar sakt faqe guzar rahein hon
jo musibathtoon se tang akar apni zarurath tere samne pesh kare
jo tere lutf-o- karam ka ziyada se ziyada khuwaish mand ho
Aye allah teri saltanath bohot badi he
Tera rutba bohot buland he
Teri tatbeer poshida he
Tera hukoom saaf zahair he
Tera kahair ghaleeb he
Teri khudrath kaarfarma he
Aur teri hukoomath se nikaljana mumkeen nahi he
Aye allah mere gunnah bakshne
mere aib dhakne
Aur mere kisi bure ammal ko ache ammal se badal ne wala tere siwa koi nahi he
Tere ilawa aur koi mabood nahi he
tu paak he
aur main teri hi haamd -o- sana karta hoon
Main ne apni zaat par zulm kiya aur apni nadani k bayiz be ghairath bangaya
Main ye soch kar mutmayeen hogaya
ke tune mujhe pahele bhi yaad rakha aur apni nematoon se nawaza he
Aye allah
aye mere maalik
tune meri kitni hi burayioon ki parda poshi ki
Kitni hi sakt balaaoon ko mujhse tala
Kitni hi larzishoon se mujhe bachaya
Kitni hi afathoon ko roka
Aur meri kitni hi aysi khubbiyaan logon me mashhoor kardi jinka main ahel bhi na
tha
Aye allah meri musibath bad gayi he
Meri baadhali hadse guzar gayi he
Mere naik ammal kam hain
duniyavi talukath ke bojne mujhko daba rakha he
Meri umeedoon ki darazi ne mujhe nafa se maheroom rakha he
Duniya ne apni jhuti chamak dhamak se mujhe dhoka diya he
Aur mere nafs ne mujhe mere gunnahoon aur meri talmatool ke bayez faraib diya he
Aye mere aqa
Aye mere aqa main ab teri izzath ka wasta deke tujhse ilteja karta hoon ke meri
badh amaliyaan aur ghalat kariyaan meri dua ke khubool hone me rukawat na bane
Mere jin bhedoon se tu waqif he
unki wajah se mujhe ruswa na karna
Main ne apni tanhayiyoon me jo baddi ,burayi aur musal sal kothahi ki he
aur nadani, badhi huvi khuwaishatain nafs aur ghaflat ke sabab jo kaam kiye hain
mujhe unki saza dene me jaldi na karna
Aye allah apni izath ke tufail har haal me mujh par maherbaan rahena
Aur mere tamaam muamlath me mujhpar rahem karte rahena
Aye mere allah
Aye mere parwardigar
Tere siwa mera kaun he jisse main apni musibath ko door karne aur apne bare me
nazre karam karne ka sawal karoon
Aye mere mabood
Aur aye mere malik
Main ne khud apne khilaf faisla dediya he
kiun ke main hawa -e- nafs ke piche chalta raha
aur mere dushman ne jo mujhe sunehri khuwab dikhaye
main ne unse apna bachau nahi kiya
Chunancha usne mujhe khuwaishath ke jaal me phasa diya
Isme meri takdeer ne bhi uski madad ki
Is tarha main ne teri mukarrar ki huvi baaz hadde thod di
aur tere baaz ayehkaam ki nafarmani ki
bharhaal Tu har tareef ka mustaheeq he
aur jo kuch pesh aya isme khatah meri hi he
Is bare me tu ne jo faisla kiya tera jo hukum jari huva
aur teri tarafse meri jo aazmaish huvi uske khilaf mere pass koi uzoon
(reason)nahi he
Aye mere mabood
Aye mere mabood main apni is kothahi (careless) aur apne nafs pe zulm k baad
muafi mangne k liye hazeer hua hoon
Apne kiye pe sharmsar hoon
Dil shikasta hoon
main apne kartutoon se baaz aya
bakshish ka talabgar hoon
Pashemani(ashmed) ke saat teri jaanab me hazeer hua hoon
Jo kuch mujhse sarzad ho chuka uske baad mere liya na koi bhagne ki jagah he aur
na koi aysa madadgar jiske pass main apna muamla lejaoon
Sirf yehi he k tu meri muaazirath (forgiveness)kubool karle
Mujhe apne damane rehmath me jagah dede
Aye mere mabood
meri muafi ki darkuwasth manzoor karle
meri sakt badhali par rahem kar aur meri girah khushayi farma de
Aye mere parwardigar
mere jism ki na tawani meri jilt ki kamzori aur meri hadiyoon ki na-takati par
rahem farma
Aye wo zaath jisne mujhe wujood baksha
mera khayal rakha
meri parwarish ka samaan kiya
mere haq me bahetari ki
mere liya ghizza ke azbaab farham kiye
phaz jis tarha tune isse pahele mujpar karam kiya
aur mere liya bahetari ke samaan kiye
Ab bhi mujhpar wo pahelasa fazl-o-karam jari rak
Aye mere mabood
Aye mere malik
Aye mere parwardigar
Aye mere parwardigar main hairaan hoon
ke kya tu mujhe apni atish-e-jahaanoom ka azaab dega
Hala ke main teri tauheed ka ikraar karta hoon
Mera dil teri marefath se sarshar he
Meri zabaan par tera zikr jari he
Mere dil me teri mohabath bas chuki he
Aur main tujhe apna parwardigar maan kar sache dil se apne gunaahoon ka aytaraf
karta hoon
Aur girgida kar tujhe se dua maangta hoon
NAHI !
Aysa nahi ho sakta
Kiun ke tera karam isse kaheen badkar he
Ke tu us shaks ko besahara chod de
jisse tune khud pala ho
ya usse apne se door karde
jisse tune khud apna khurb baksha ho
Ya usse apne haan se nikaalde jisse tune khud panaah di ho
Ya usse balaoon ke hawale karde jiska tune khud zimma liya ho
aur jispar rahem kiya ho
Ye baath meri samaj me nahi ati
Aye meri malik
Aye mere mabood
Aye mere maula
Kya tu atish-e -jahaanoom ko musalath kardega un chaheroon par jo teri azmath ke
bais tere huzoor me sizda rez ho chuke hain
Un zabanoo par jo sache dil se teri tauheed ka iqraar kar ke shukr guzari ke
saat teri madha kar chuki hain
Un diloon par jo waqayi tere mabood hone ka aytaraf kar chuke hain
Un dimagoon par jo tere ilm se is khadr baherawar huve
ke teri hi huzoor me jhuke huve hain
Ya un hath ,paun par jo teri itaath ke jazbe ke saath teri ibbadathgahoon ke
taraf daudte rahe
Aur gunahoon ka iqraar karke maghfirath talab karte rahe
Aye rabe kareem
Aye rabe kareem
na to teri nisbath aysa gumaan Hi kiya ja sakta he
Aur na hi teri taraf se hume aysi koi khabar di gayi he
Aye mere palnewale
Aye mere palnewale
Tu meri kamzori se waqif he
Mujme is duniya ki mamuli azmaishoon ,choti choti takleefoon, aur un saktiyoon
ko bardash karne ki taab(bear)nahi he
Jo ahle duniya pe guzzarti he hala ke wo azmaish,takleef,
Aur sakhti mamuli hoti he
Aur uski muddath bhi choti hoti he
Phir bhala mujhse akhirath ki zabardast musibat kiun kar bardash ho sakegi
Jubke wahan ki musibat thulani(long) hogi aur usme hamesha hamesha ke liye
rahena hoga
Aur jo log usme ek martaba phasjayenge unke azab me kami
nahi hogi
Kiun ke wo azab tere ghusse, inteqam, aur narazgi ke sabab hoga
Jise na asman bardasht kar sakta he na zameen
Aye mere malik
Aye mere malik phir
Aysi surath me mera kya haal hoga jab ke main tera ek kamzor adna, lachaar, aur
ajeez banda hoon
Aye mere parwardigar
Aye mere mabood
Aye mere malik
Aye mere maula
Main tujhse kis kis baat pe nala -o -fariyaad aur aaho bukha karoon
Dardnak azaab aur uski sakhti par ya musibath aur uski taweel miyad par
Bus agar tune mujhe apne dushmano ke saat azaab me choot(let go) diya aur mujhe
unlogoon me shameel kardiya jo teri balaaoon ke sazawar hain
Aur apne ahebba aur auliya ke aur mere darmiyaan judayi daldi
Tho! Aye mere mabood
Aye mere malik
Aye mere parwardigar
Aye mere maula
Main tere diye huve azaab par agar sabar bhi karloon to teri rahemath se judayi
par kiun kar sabar karsakunga
isi tarha agar main teri aag ki tapist bardasht bhi karloon to tere nazre karm
se apni maheroomi ko kaise bardasht kar sakunga
Iske ilawa main atish-e-jahanoom main kiun kar rahe sakunga
Jub ke mujhe to tujhse afuwo(forgive) darguzar ki tawakku he
Bus Aye mere aka
Aye mere maula
main teri izzath ki khasam kha kar kaheta hoon ke agar tune wahaan meri goyayi
salamath rakhi tho main ahle jahanum ke darmian tera naaam lekar tujhe ussi
tarha pukarunga jiss tarha karam ki umeedwar pukarte hain
Main tere huzoor istarha aho bukah karunga jaise faryadi karte hain
to teri eerd rahemath ke firaakh( thoughts) me istarha rounga jaise bichadne
wale roya karte hain
Main tujhe wahaan barabar pukarunga ke tu kahaan he
Aye momino ke malik
Aye arifo ki umeedgah
Aye fariyadiyon ke fariyad ras
Aye sadiqhoon ke diloon ke mahebub
Aye illahal alameen teri zaath pak he
Aye mere mabood main teri hamd karta hoon main hairan hoon
Main hairaan hoon ke ye kuin kar hoga ke tu ussi aag me se
ek banda -e- muslim ki awaz sunne jo apni nafarmani ki padash me uske under
khaid kardiya gaya ho
Apni maasiyat ki saza me us azab me giraftar ho
Aur jurm-o-khata ke badle me jahannum ke tabtat me band kardiya gaya ho
Magar wo tere rahemath ke umeedwar ki tarha tere huzoor me fariyaad karta ho
Tere tauheed ko manne waloon kisi zaban se tujhe pukarta ho
Aur teri janaab me teri rububiyat ka wasta deta ho
Aye mere malik
Aye mere malik phir wo is azab me kaise rahe sakega
Jubke usse teri guzishta raabt-o-rahemath ki aas bandi hogi
Ye atish-e- jahanum usse kaise takleef pahuncha sakegi
Jubke usse tere fazl aur teri rahemath ka assra hoga
Ya usko jahanum ka shola kaise jala sakega
Jubke tu khud uski awaz sunraha hoga
Aur jahaan wo he tu us jagah ko daik raha hoga
ya jahanum ka shor usse kiun kar pareshan kar sakega
Jubke tu us bande ki kamzori se waqif hoga
Ya phir wo jahanum ki taptat me kiun ka tadapta rahega
Jubke tu uski sachayi se waqif hoga
Ya jahanum ki leeptain usko kiun kar pareshan kar sakeingi
Jabke wo tujhe pukar raha hoga
Ke !Aye mere malik
Aye mere parwardigar
Aysa kiun kar mumkeen he ke wo to jahanum se nijat ke liye tere fazl -o -karam
ki aas lagaye huve ho
Aur tu usse jahanum hi me pada rahene de
Nahi !
Nahi teri nisbat aysa gumaan nahi kiya jasakta
Na tere fazl se pahele kubhi aysi surath pesh ayi aur na hi ye baat is lutf-o-
karam ke saat mail khati he
Jo tu tauheed parastoon ke saat rawa rakta he
Isliye main pure yakeen se kaheta hoon ke agar tune apne munkiroon ko azab dene
ka hukoom na dediya hota
Aur unko hamesha jahanum me rakne ka faisla na karliya hota
To tu zaroor atish-e- jahanum ko aysa
Sarb kardeta ke wo aram deh banjati
Aur phir kisi bhi shaks ka thikana jahanum na hota
Lekin khud tune apne pak namo ki khasam khayi he ke tamam kafir, jinno , aur
insaano se jahanum ko bhardega
Aur apne dushmano ko humesha ke liye usme rakhega
Tu jo bohot ziyada tareef ke layak he
Apne bando par ahsaan karte huve apni kitab me pahele hi farma chuka he
Kya momin fasik ke barabar ho sakta he
Nahi
Ye kubhi ba -hum -barabar nahi hosakte
Aye mere mabood
Aye mere malik main teri us khudrat ka jisse tune maujudath ki takdeer banayi
Tere un hatmi faisloon ka jo tune sadeer kiyein hain
Aur jinpar tune unko naafis kiya he
Unpar tujhe kabu hasil he
wasta dekar ilteja karta hoon
Ke har wo jurm jiska main murtakeeb hua hoon
Aur har wo gunnah jo main ne kiya ho
Har wo burayi jo main ne chupakar ki ho
Aur har wo nadani jo mujhse sarzad huvi ho
Chahe main ne usko chupaya ho ya zaheir kiya ho
Poshida rakha ho ya afsha kiya ho
Israth aur khaskar ke issaath me bakhs de
Meri har aysi bad ammali ko muaf karde
Jisko likne ka hukoom tune kiraman, katibain ko diya ho
Jinko tune mere har amal ki nigrani par mamur kiya he
Aur jinko mere aaza-o- jawareh ke saat saat mere aamal ka gavah mukarar kiya he
Phir unse badkar tu khud mere aamal ka nigraan raha he
Aur un batoon ko bhi janta he jo unki nazar se magfi(over sight) rahegayeen
Aur jinhe tu apni rahemath se chupaliya
Aur jinpar tune apne karam se parda dal diya
Aye allah main tujhse ilteja karta hoon
Ke mujhe ziyada se ziyada hissa de har us bhalayi se jo teri tarafse nazil ho
Aur har us aysaan se jo tu apne fazl se kare
Har us neki se jisse tu pahelaye
Har us rizk se jisme tu sadde
Har us gunnah se jisse tu mauf karde
Aur har us ghalti se jisse tu chupale
Aye mere parwardigar
Aye mere parwardigar
Aye mere parwardigar
Aye mere mabood
Aye mere akah
Aye mere maula
Aur aye mere jism-o-jaan ke malik
Aye wo zaath jisse mujhpar kabu hasil he
Aye meri bad hali aur be-chargi ko janne wale
Aye mere faqr-o- faqa se aagahi rakne wale
Aye mere parwardigar
Aye mere parwardigar
Aye mere parwardigar
Main tujhe teri sachhayi
Aur Teri pakeezgi
Tere alasifath
tere mubarak nammo ka wasta dekar tujhse ilteja karta hoon
ke mere din - raat ke aukath ko apni yaad se mamoor karde
Ke har lamha teri farma bardari me basar ho
Mere aamal ko kubool farma
Yahaan tak ki mere saare aamal aur kaskaar ki ek hi laye hojaye
Aur mujhe teri farma bardari karne me dawaam hasil hojaye
Aye mere aka
Aye wo zaath jiska mujhe asra he
Aur jiski sarkar me main apni har uljhan pesh karta hoon
Aye mere parwardigar
Aye mere parwardigar
Aye mere parwardigar
Mere haat - paun me apni itta-at ke liye khuwath de
Mere dil ko neik iradoon par khayam rahene ki takath bakhs
Aur mujhe taufeeq de ke main tujhse karar-e -waqayi darta rahoon
Aur hamesha teri itta-at me sar garm rahoon
Take main teri taraf sabqat karne waloon ke saat chalta rahoon
Teri simth badne wallon ki hamra tezi se khadam badhaoon
Teri mulakath ka shauk rakne waloon ki tarha tera mushtak rahoon
Tere muqlees bando ki tarha tujhse nazdeek hojaun
Tujhpar yakeen rakne waloon ki tarha tujhse darta rahoon
Aur tere huzoor me jub momineen jama ho main unke saat rahoon
Aye allah jo shaks mujhse koi badi(wrong doer) karne ka irada kare tu usse
waisi hi saza de
Aur jo mujhse fareb kare tu usko waisi hi padasht de
Mujhe apne un bando me karar de jo tere haan se sub se acha hissa patain hain
Jinhe teri janab me subse ziyada taqaroob hasil he
Aur khas taur se tujhse ziyada nasdeek hain
Kiun ke ye rutba tere fazl ke baghair nahi milsakta
Mujhpar apna khaas karam kar aur apni shaan ke mutabiq meherbani farma
Apni rahemath se meri hifazath kar
Meri zabaan ko apne zikr me mashool rakh
Mere dil ko apni mohabath ki chashni ata kar
Meri duayain kubool karke mujhpar ahesaan kar
Meri khatayein muaf karde
Meri larzishein bakhs de
Kiun ke tune apne badoon par apni ibadath wajib ki he
Unhe dua mangne ka hukoom diya he
Aur unki duayein kubool karne ki zimmedari leli he
Isliye
Aye parwardigar
Aye parwardigar maine teri hi taraf rukh kiya he
Aur teri hi samne apna hath pahelaya he
Bus apni izzath ke sadqe me meri dua kubool farma
Aur mujhe meri murad ko pauncha
Mujhe apne fazl -o- karam se mayoos na kar
Aur jinno aur insaano me jo bhi mere dushman ho mujhko unke shar se bachale
Aye apne bandoon se jald razi hojane wale
Aye apne bando se jald razi hojane wale
us bande ko bakhs de jiske pass dua ke siwa kuch nahi
Kiun ke tu jo chahe kar sakta he
Tu aysa he jiska naam har marz ki dawa he
Jiska zikr har bimari se shifa he
Aur jiski itta-at sabse be-neyaz kardene wali he
Uspar rahem kar jiski poonji(everything wat i have) tera asra aur jiska hatiyar
rona he
Aye nematain ata karne wale
Aye balayein talne wale
Aye andheroon se ghabraye huvoon ke liye raushni
Aye wo alim jisse kisi ne taleem nahi di
Mohammed -o -ale mohammed par Durood -o- salam bhej
Aur mere saat wo sulook kar jo tere shayan -e- shan ho
Allah tallah apne rasool aur unki aulad me se ayemma -e- girami par rahematain
nazil kare
Aur bohot bohot salam bheje
Allah huma salle allah mohammed wa alle mohammed..

More Related Content

What's hot

مُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوب
مُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوبمُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوب
مُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوبLanguage Explore
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoMuhammadAhsanProfile
 
Muqaddimah khutbah
Muqaddimah khutbahMuqaddimah khutbah
Muqaddimah khutbahIkhwan Doank
 
Neeti saara-collection-of-subhaaashitaas
Neeti saara-collection-of-subhaaashitaasNeeti saara-collection-of-subhaaashitaas
Neeti saara-collection-of-subhaaashitaasBhim Upadhyaya
 
80% quranic word bangla (understanding quran)
80% quranic word bangla (understanding quran)80% quranic word bangla (understanding quran)
80% quranic word bangla (understanding quran)Sonali Jannat
 
Meditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma Mallu
Meditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma MalluMeditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma Mallu
Meditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma MalluShalem Arasavelli
 
DuA Tawassul arabic and urdu
DuA Tawassul arabic and urdu DuA Tawassul arabic and urdu
DuA Tawassul arabic and urdu iqtada askary
 
سُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُ
سُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُسُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُ
سُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُLanguage Explore
 
John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)
John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)
John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)ekfmsmemqa
 
Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা)
Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা) Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা)
Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা) Sonali Jannat
 

What's hot (20)

Easy way to learn english spelling and pronunciation
Easy way to learn english spelling and pronunciationEasy way to learn english spelling and pronunciation
Easy way to learn english spelling and pronunciation
 
مُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوب
مُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوبمُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوب
مُفَرِّج الكروب ومُفَرِّح القلوب
 
The 100 by michael h hart (bangla)
The 100  by michael h hart (bangla)The 100  by michael h hart (bangla)
The 100 by michael h hart (bangla)
 
البسملة
البسملةالبسملة
البسملة
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
 
Muqaddimah khutbah
Muqaddimah khutbahMuqaddimah khutbah
Muqaddimah khutbah
 
Irattaikkilavi 2
Irattaikkilavi 2Irattaikkilavi 2
Irattaikkilavi 2
 
MS Word 2007 bengali tutorial
MS Word 2007 bengali tutorialMS Word 2007 bengali tutorial
MS Word 2007 bengali tutorial
 
Tamil baby names
Tamil baby namesTamil baby names
Tamil baby names
 
Neeti saara-collection-of-subhaaashitaas
Neeti saara-collection-of-subhaaashitaasNeeti saara-collection-of-subhaaashitaas
Neeti saara-collection-of-subhaaashitaas
 
80% quranic word bangla (understanding quran)
80% quranic word bangla (understanding quran)80% quranic word bangla (understanding quran)
80% quranic word bangla (understanding quran)
 
DuA e Sad Subhan
DuA e Sad SubhanDuA e Sad Subhan
DuA e Sad Subhan
 
Meditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma Mallu
Meditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma MalluMeditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma Mallu
Meditations in psalms (a daily devotional) Telugu Translation by Dharma Mallu
 
Shayri
ShayriShayri
Shayri
 
DuA Tawassul arabic and urdu
DuA Tawassul arabic and urdu DuA Tawassul arabic and urdu
DuA Tawassul arabic and urdu
 
Most common words you should know volume 05
Most common words you should know volume 05 Most common words you should know volume 05
Most common words you should know volume 05
 
سُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُ
سُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُسُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُ
سُبْحَانَ الَّذِى فِى السَّمَــــآءِ عَرْشُــهُ
 
Health benefits and medicinal properties of bd fruits
Health benefits and medicinal properties of bd fruitsHealth benefits and medicinal properties of bd fruits
Health benefits and medicinal properties of bd fruits
 
John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)
John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)
John deere 2500 e professional greens mower service repair manual (tm1757)
 
Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা)
Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা) Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা)
Vocabulary of Madina Book 1, 2, 3 (বাংলা)
 

Dua e kumail urdu pdf

  • 1. Dua e kumail in urdu Bismillah Aye allah main tujhse ilteja karta hoon Aye allah main tujhse ilteja karta hoon Tujhe teri us rahemath ka wasta jo har cheez ko ghere huve he teri us khudrath ka wasta jise tu har cheez par ghaleeb he Aur jiske sabab har cheez tere agge jhuki he Aur jiske samne har cheez ajeez he Teri us jabaruth ka wasta jisse tu har cheez par havi he Teri us izath ka waste jiske agge koi cheez teher(stay) nahi pati Teri us azmath ka wasta jo har cheez se numaya he Teri us saltanath ka wasta jo har cheez par khayam he Teri us zaath ka wasta jo har shae ke pana hojane k baad bhi baki rahegi Tere un namo ka wasta jinke asrar zarre zarre me tari -o- sari hain Tere us ilm ka wasta jo har shae ka ahata kiye huve hain Teri zaath ka us noor ka wasta jise har cheez raushan he Aye haqeeqi noor Aye pako pakiza Aye sub paheloon se pahele Aye sub pichloon se pichle Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jo atap ka mustahaik banate hain Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jinki wajah se balayain ateen hain Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jo teri nayematoon se maheroomi ka sabab bante hain Aye allah mere wo sub gunnah baksh de jo duain khubool nahi hone detain hain Aye allah mere wo sub gunaah muaf karde jo musibath latain hain Aye allah meri unn sari khataoon se darguzar kar jo maine jaan buuj kar ay bhule se ki hain Aye allah main tujhe yaad karke tere kareeb ana chahata hoon Teri janaab me tujhi ko apna shifarishi thaherata hoon Aur tere karam ka wasta de kar tujhse ilteja karta hoon ke mujhe apna khurb ata kar Mujhe ada -e- shukr ki taufeeq de aur apni yaad apne dil me dalde Aye allah main tujhse khushu -o- khuzu aur girya -o- zari se arz karta hoon ke tu meri bhul chook ko muaf kar mujhe pe rahem farma aur tune mera jo hissa mukarrar kiya he mujhe uspar razi ,khane aur har haal me mutmayeen rak Aye allah main tere huzoor us shakhs ki maneend sawal karta hoon jispar sakt faqe guzar rahein hon jo musibathtoon se tang akar apni zarurath tere samne pesh kare jo tere lutf-o- karam ka ziyada se ziyada khuwaish mand ho Aye allah teri saltanath bohot badi he Tera rutba bohot buland he Teri tatbeer poshida he Tera hukoom saaf zahair he Tera kahair ghaleeb he Teri khudrath kaarfarma he Aur teri hukoomath se nikaljana mumkeen nahi he Aye allah mere gunnah bakshne
  • 2. mere aib dhakne Aur mere kisi bure ammal ko ache ammal se badal ne wala tere siwa koi nahi he Tere ilawa aur koi mabood nahi he tu paak he aur main teri hi haamd -o- sana karta hoon Main ne apni zaat par zulm kiya aur apni nadani k bayiz be ghairath bangaya Main ye soch kar mutmayeen hogaya ke tune mujhe pahele bhi yaad rakha aur apni nematoon se nawaza he Aye allah aye mere maalik tune meri kitni hi burayioon ki parda poshi ki Kitni hi sakt balaaoon ko mujhse tala Kitni hi larzishoon se mujhe bachaya Kitni hi afathoon ko roka Aur meri kitni hi aysi khubbiyaan logon me mashhoor kardi jinka main ahel bhi na tha Aye allah meri musibath bad gayi he Meri baadhali hadse guzar gayi he Mere naik ammal kam hain duniyavi talukath ke bojne mujhko daba rakha he Meri umeedoon ki darazi ne mujhe nafa se maheroom rakha he Duniya ne apni jhuti chamak dhamak se mujhe dhoka diya he Aur mere nafs ne mujhe mere gunnahoon aur meri talmatool ke bayez faraib diya he Aye mere aqa Aye mere aqa main ab teri izzath ka wasta deke tujhse ilteja karta hoon ke meri badh amaliyaan aur ghalat kariyaan meri dua ke khubool hone me rukawat na bane Mere jin bhedoon se tu waqif he unki wajah se mujhe ruswa na karna Main ne apni tanhayiyoon me jo baddi ,burayi aur musal sal kothahi ki he aur nadani, badhi huvi khuwaishatain nafs aur ghaflat ke sabab jo kaam kiye hain mujhe unki saza dene me jaldi na karna Aye allah apni izath ke tufail har haal me mujh par maherbaan rahena Aur mere tamaam muamlath me mujhpar rahem karte rahena Aye mere allah Aye mere parwardigar Tere siwa mera kaun he jisse main apni musibath ko door karne aur apne bare me nazre karam karne ka sawal karoon Aye mere mabood Aur aye mere malik Main ne khud apne khilaf faisla dediya he kiun ke main hawa -e- nafs ke piche chalta raha aur mere dushman ne jo mujhe sunehri khuwab dikhaye main ne unse apna bachau nahi kiya Chunancha usne mujhe khuwaishath ke jaal me phasa diya Isme meri takdeer ne bhi uski madad ki Is tarha main ne teri mukarrar ki huvi baaz hadde thod di aur tere baaz ayehkaam ki nafarmani ki bharhaal Tu har tareef ka mustaheeq he aur jo kuch pesh aya isme khatah meri hi he
  • 3. Is bare me tu ne jo faisla kiya tera jo hukum jari huva aur teri tarafse meri jo aazmaish huvi uske khilaf mere pass koi uzoon (reason)nahi he Aye mere mabood Aye mere mabood main apni is kothahi (careless) aur apne nafs pe zulm k baad muafi mangne k liye hazeer hua hoon Apne kiye pe sharmsar hoon Dil shikasta hoon main apne kartutoon se baaz aya bakshish ka talabgar hoon Pashemani(ashmed) ke saat teri jaanab me hazeer hua hoon Jo kuch mujhse sarzad ho chuka uske baad mere liya na koi bhagne ki jagah he aur na koi aysa madadgar jiske pass main apna muamla lejaoon Sirf yehi he k tu meri muaazirath (forgiveness)kubool karle Mujhe apne damane rehmath me jagah dede Aye mere mabood meri muafi ki darkuwasth manzoor karle meri sakt badhali par rahem kar aur meri girah khushayi farma de Aye mere parwardigar mere jism ki na tawani meri jilt ki kamzori aur meri hadiyoon ki na-takati par rahem farma Aye wo zaath jisne mujhe wujood baksha mera khayal rakha meri parwarish ka samaan kiya mere haq me bahetari ki mere liya ghizza ke azbaab farham kiye phaz jis tarha tune isse pahele mujpar karam kiya aur mere liya bahetari ke samaan kiye Ab bhi mujhpar wo pahelasa fazl-o-karam jari rak Aye mere mabood Aye mere malik Aye mere parwardigar Aye mere parwardigar main hairaan hoon ke kya tu mujhe apni atish-e-jahaanoom ka azaab dega Hala ke main teri tauheed ka ikraar karta hoon Mera dil teri marefath se sarshar he Meri zabaan par tera zikr jari he Mere dil me teri mohabath bas chuki he Aur main tujhe apna parwardigar maan kar sache dil se apne gunaahoon ka aytaraf karta hoon Aur girgida kar tujhe se dua maangta hoon NAHI ! Aysa nahi ho sakta Kiun ke tera karam isse kaheen badkar he Ke tu us shaks ko besahara chod de jisse tune khud pala ho ya usse apne se door karde jisse tune khud apna khurb baksha ho Ya usse apne haan se nikaalde jisse tune khud panaah di ho Ya usse balaoon ke hawale karde jiska tune khud zimma liya ho aur jispar rahem kiya ho Ye baath meri samaj me nahi ati
  • 4. Aye meri malik Aye mere mabood Aye mere maula Kya tu atish-e -jahaanoom ko musalath kardega un chaheroon par jo teri azmath ke bais tere huzoor me sizda rez ho chuke hain Un zabanoo par jo sache dil se teri tauheed ka iqraar kar ke shukr guzari ke saat teri madha kar chuki hain Un diloon par jo waqayi tere mabood hone ka aytaraf kar chuke hain Un dimagoon par jo tere ilm se is khadr baherawar huve ke teri hi huzoor me jhuke huve hain Ya un hath ,paun par jo teri itaath ke jazbe ke saath teri ibbadathgahoon ke taraf daudte rahe Aur gunahoon ka iqraar karke maghfirath talab karte rahe Aye rabe kareem Aye rabe kareem na to teri nisbath aysa gumaan Hi kiya ja sakta he Aur na hi teri taraf se hume aysi koi khabar di gayi he Aye mere palnewale Aye mere palnewale Tu meri kamzori se waqif he Mujme is duniya ki mamuli azmaishoon ,choti choti takleefoon, aur un saktiyoon ko bardash karne ki taab(bear)nahi he Jo ahle duniya pe guzzarti he hala ke wo azmaish,takleef, Aur sakhti mamuli hoti he Aur uski muddath bhi choti hoti he Phir bhala mujhse akhirath ki zabardast musibat kiun kar bardash ho sakegi Jubke wahan ki musibat thulani(long) hogi aur usme hamesha hamesha ke liye rahena hoga Aur jo log usme ek martaba phasjayenge unke azab me kami nahi hogi Kiun ke wo azab tere ghusse, inteqam, aur narazgi ke sabab hoga Jise na asman bardasht kar sakta he na zameen Aye mere malik Aye mere malik phir Aysi surath me mera kya haal hoga jab ke main tera ek kamzor adna, lachaar, aur ajeez banda hoon Aye mere parwardigar Aye mere mabood Aye mere malik Aye mere maula Main tujhse kis kis baat pe nala -o -fariyaad aur aaho bukha karoon Dardnak azaab aur uski sakhti par ya musibath aur uski taweel miyad par Bus agar tune mujhe apne dushmano ke saat azaab me choot(let go) diya aur mujhe unlogoon me shameel kardiya jo teri balaaoon ke sazawar hain Aur apne ahebba aur auliya ke aur mere darmiyaan judayi daldi
  • 5. Tho! Aye mere mabood Aye mere malik Aye mere parwardigar Aye mere maula Main tere diye huve azaab par agar sabar bhi karloon to teri rahemath se judayi par kiun kar sabar karsakunga isi tarha agar main teri aag ki tapist bardasht bhi karloon to tere nazre karm se apni maheroomi ko kaise bardasht kar sakunga Iske ilawa main atish-e-jahanoom main kiun kar rahe sakunga Jub ke mujhe to tujhse afuwo(forgive) darguzar ki tawakku he Bus Aye mere aka Aye mere maula main teri izzath ki khasam kha kar kaheta hoon ke agar tune wahaan meri goyayi salamath rakhi tho main ahle jahanum ke darmian tera naaam lekar tujhe ussi tarha pukarunga jiss tarha karam ki umeedwar pukarte hain Main tere huzoor istarha aho bukah karunga jaise faryadi karte hain to teri eerd rahemath ke firaakh( thoughts) me istarha rounga jaise bichadne wale roya karte hain Main tujhe wahaan barabar pukarunga ke tu kahaan he Aye momino ke malik Aye arifo ki umeedgah Aye fariyadiyon ke fariyad ras Aye sadiqhoon ke diloon ke mahebub Aye illahal alameen teri zaath pak he Aye mere mabood main teri hamd karta hoon main hairan hoon Main hairaan hoon ke ye kuin kar hoga ke tu ussi aag me se ek banda -e- muslim ki awaz sunne jo apni nafarmani ki padash me uske under khaid kardiya gaya ho Apni maasiyat ki saza me us azab me giraftar ho Aur jurm-o-khata ke badle me jahannum ke tabtat me band kardiya gaya ho Magar wo tere rahemath ke umeedwar ki tarha tere huzoor me fariyaad karta ho Tere tauheed ko manne waloon kisi zaban se tujhe pukarta ho Aur teri janaab me teri rububiyat ka wasta deta ho Aye mere malik Aye mere malik phir wo is azab me kaise rahe sakega Jubke usse teri guzishta raabt-o-rahemath ki aas bandi hogi Ye atish-e- jahanum usse kaise takleef pahuncha sakegi Jubke usse tere fazl aur teri rahemath ka assra hoga Ya usko jahanum ka shola kaise jala sakega Jubke tu khud uski awaz sunraha hoga Aur jahaan wo he tu us jagah ko daik raha hoga ya jahanum ka shor usse kiun kar pareshan kar sakega Jubke tu us bande ki kamzori se waqif hoga Ya phir wo jahanum ki taptat me kiun ka tadapta rahega Jubke tu uski sachayi se waqif hoga Ya jahanum ki leeptain usko kiun kar pareshan kar sakeingi
  • 6. Jabke wo tujhe pukar raha hoga Ke !Aye mere malik Aye mere parwardigar Aysa kiun kar mumkeen he ke wo to jahanum se nijat ke liye tere fazl -o -karam ki aas lagaye huve ho Aur tu usse jahanum hi me pada rahene de Nahi ! Nahi teri nisbat aysa gumaan nahi kiya jasakta Na tere fazl se pahele kubhi aysi surath pesh ayi aur na hi ye baat is lutf-o- karam ke saat mail khati he Jo tu tauheed parastoon ke saat rawa rakta he Isliye main pure yakeen se kaheta hoon ke agar tune apne munkiroon ko azab dene ka hukoom na dediya hota Aur unko hamesha jahanum me rakne ka faisla na karliya hota To tu zaroor atish-e- jahanum ko aysa Sarb kardeta ke wo aram deh banjati Aur phir kisi bhi shaks ka thikana jahanum na hota Lekin khud tune apne pak namo ki khasam khayi he ke tamam kafir, jinno , aur insaano se jahanum ko bhardega Aur apne dushmano ko humesha ke liye usme rakhega Tu jo bohot ziyada tareef ke layak he Apne bando par ahsaan karte huve apni kitab me pahele hi farma chuka he Kya momin fasik ke barabar ho sakta he Nahi Ye kubhi ba -hum -barabar nahi hosakte Aye mere mabood Aye mere malik main teri us khudrat ka jisse tune maujudath ki takdeer banayi Tere un hatmi faisloon ka jo tune sadeer kiyein hain Aur jinpar tune unko naafis kiya he Unpar tujhe kabu hasil he wasta dekar ilteja karta hoon Ke har wo jurm jiska main murtakeeb hua hoon Aur har wo gunnah jo main ne kiya ho Har wo burayi jo main ne chupakar ki ho Aur har wo nadani jo mujhse sarzad huvi ho Chahe main ne usko chupaya ho ya zaheir kiya ho Poshida rakha ho ya afsha kiya ho Israth aur khaskar ke issaath me bakhs de Meri har aysi bad ammali ko muaf karde Jisko likne ka hukoom tune kiraman, katibain ko diya ho Jinko tune mere har amal ki nigrani par mamur kiya he Aur jinko mere aaza-o- jawareh ke saat saat mere aamal ka gavah mukarar kiya he Phir unse badkar tu khud mere aamal ka nigraan raha he Aur un batoon ko bhi janta he jo unki nazar se magfi(over sight) rahegayeen Aur jinhe tu apni rahemath se chupaliya Aur jinpar tune apne karam se parda dal diya Aye allah main tujhse ilteja karta hoon Ke mujhe ziyada se ziyada hissa de har us bhalayi se jo teri tarafse nazil ho
  • 7. Aur har us aysaan se jo tu apne fazl se kare Har us neki se jisse tu pahelaye Har us rizk se jisme tu sadde Har us gunnah se jisse tu mauf karde Aur har us ghalti se jisse tu chupale Aye mere parwardigar Aye mere parwardigar Aye mere parwardigar Aye mere mabood Aye mere akah Aye mere maula Aur aye mere jism-o-jaan ke malik Aye wo zaath jisse mujhpar kabu hasil he Aye meri bad hali aur be-chargi ko janne wale Aye mere faqr-o- faqa se aagahi rakne wale Aye mere parwardigar Aye mere parwardigar Aye mere parwardigar Main tujhe teri sachhayi Aur Teri pakeezgi Tere alasifath tere mubarak nammo ka wasta dekar tujhse ilteja karta hoon ke mere din - raat ke aukath ko apni yaad se mamoor karde Ke har lamha teri farma bardari me basar ho Mere aamal ko kubool farma Yahaan tak ki mere saare aamal aur kaskaar ki ek hi laye hojaye Aur mujhe teri farma bardari karne me dawaam hasil hojaye Aye mere aka Aye wo zaath jiska mujhe asra he Aur jiski sarkar me main apni har uljhan pesh karta hoon Aye mere parwardigar Aye mere parwardigar Aye mere parwardigar Mere haat - paun me apni itta-at ke liye khuwath de Mere dil ko neik iradoon par khayam rahene ki takath bakhs Aur mujhe taufeeq de ke main tujhse karar-e -waqayi darta rahoon Aur hamesha teri itta-at me sar garm rahoon Take main teri taraf sabqat karne waloon ke saat chalta rahoon Teri simth badne wallon ki hamra tezi se khadam badhaoon Teri mulakath ka shauk rakne waloon ki tarha tera mushtak rahoon Tere muqlees bando ki tarha tujhse nazdeek hojaun Tujhpar yakeen rakne waloon ki tarha tujhse darta rahoon Aur tere huzoor me jub momineen jama ho main unke saat rahoon Aye allah jo shaks mujhse koi badi(wrong doer) karne ka irada kare tu usse waisi hi saza de Aur jo mujhse fareb kare tu usko waisi hi padasht de Mujhe apne un bando me karar de jo tere haan se sub se acha hissa patain hain Jinhe teri janab me subse ziyada taqaroob hasil he Aur khas taur se tujhse ziyada nasdeek hain Kiun ke ye rutba tere fazl ke baghair nahi milsakta Mujhpar apna khaas karam kar aur apni shaan ke mutabiq meherbani farma
  • 8. Apni rahemath se meri hifazath kar Meri zabaan ko apne zikr me mashool rakh Mere dil ko apni mohabath ki chashni ata kar Meri duayain kubool karke mujhpar ahesaan kar Meri khatayein muaf karde Meri larzishein bakhs de Kiun ke tune apne badoon par apni ibadath wajib ki he Unhe dua mangne ka hukoom diya he Aur unki duayein kubool karne ki zimmedari leli he Isliye Aye parwardigar Aye parwardigar maine teri hi taraf rukh kiya he Aur teri hi samne apna hath pahelaya he Bus apni izzath ke sadqe me meri dua kubool farma Aur mujhe meri murad ko pauncha Mujhe apne fazl -o- karam se mayoos na kar Aur jinno aur insaano me jo bhi mere dushman ho mujhko unke shar se bachale Aye apne bandoon se jald razi hojane wale Aye apne bando se jald razi hojane wale us bande ko bakhs de jiske pass dua ke siwa kuch nahi Kiun ke tu jo chahe kar sakta he Tu aysa he jiska naam har marz ki dawa he Jiska zikr har bimari se shifa he Aur jiski itta-at sabse be-neyaz kardene wali he Uspar rahem kar jiski poonji(everything wat i have) tera asra aur jiska hatiyar rona he Aye nematain ata karne wale Aye balayein talne wale Aye andheroon se ghabraye huvoon ke liye raushni Aye wo alim jisse kisi ne taleem nahi di Mohammed -o -ale mohammed par Durood -o- salam bhej Aur mere saat wo sulook kar jo tere shayan -e- shan ho Allah tallah apne rasool aur unki aulad me se ayemma -e- girami par rahematain nazil kare Aur bohot bohot salam bheje Allah huma salle allah mohammed wa alle mohammed..